Boy Friend
Karan - (laughing loudly) Oo my godd,.. Someone is jealous oh god...
Raghbir - Shut up Karan! Tu toh bol hi mat teri biwi aisi hai ki tujhe toh haath lagane deti nahi doosro ko kya degi!
Karan - (stopped laughing) Dukhte nas par haath mat rakh samjha na!
Preeta - Shut up you both duffers . Karan tumhe toh mai batati hu! Aur tum Raghbir Malhotra, karlo jitna mazaak karna hai mai bata de rahi hu aage jaake mere hi paas aakar roge tum! Rohu itna sweet ladka hai.. Itna charming itna handsome itna successful.. Ki kya pta uske aate hi Pragati apna decision badal le..
Raghbir -:What do you mean by decision badal le?
Preeta - Yahi mai tumhaari saali bani hi na bhabhi hi reh jaau..(smiling sweetly)
Raghbir - Yaar aise daraa kyu rahi ho! Karan kis bhootni se shaadi karli tune!
Preeta - (throwing cushion on him) Chup! Idiot person! Mai abhi Pragati ko bolti hu ki maine tujhe Karan ki PA ke saath mall mein ghoomte hue dekha!
Raghbir - Uske saath Karan ghoomta hai mai used maal thodi use karunga!
Karan - Abey oye bhediye ki khaal mein bhediya!
Preeta - Karan hindi sudhaaro apni! Ek toh kahawat galat boli aur vo bhi out of context jaake boli.. Tum.. Tum chup hi raho! and you Raghbir waghbir whatever your name is.. Do hafte mein Rohu ne tera haal kardiya hai do mahino mein kya karega ye socho! Mai toh mom dad ko idea dene wali hu Pragati ki shaadi ki baat kare Rohan se!
Hmhh!!
Raghbir - Aree yaar tu kaiko itni serious ho reli hai re!
Preeta - Kaiki teri girlfriend tere haath se fisal reli hai!
Raghbir - Bechare tapori language ka sab kuch ek kardiya😂
Preeta - Whatever! waise maine tumhe ek baat nahi batayi.. Prahan movie dekh rahe hai saath mein..
Raghbir - Kon kon?
Preeta - Prahan.. Pragati and Rohan.. Kitna cute couple name hai!
Raghbir -. Teri toh!! Mai chala! (Leaves)
After sometime Raghbir reached Pragati's house and rang the doorbell..
Pragati came and opened the door...
Pragati - Raghbir..(happily hugs him)
Raghbir - (thinking) Nahi nahi abhi tak toh nahi fisli..
Raghbir - Kya kar rahi thi?
Pragati - kuch nahi mai aur Rohan movie dekh rahe the..
Raghbir - Ohho.. (getting inside the house and closing the door) Konsi?
Pragati - Kis kis ko pyaar karu..
Raghbir - (in mind) Mere alawa kisi ko nahi.. Okay?(to her) Oh wahh. Mujhe lagta hai maine disturb kardiya.. Ek kaam karo enjoy karo mai baad mein aaunga..
Pragati - Aree wait.. Tum bhi chalo na hum saath mein movie dekhenge.. Tum kahi nahi jaaoge..
Raghbir - (in mind) Haa haa mai waise bhi nahi jaa raha tha bas confirmation chahiye tha baby..
Raghbir - (pulling her closer by waist) Mere movie dekhne ka style alag hai.. U know right..
Pragati - Vo personal mein alag chalega.. Abhi saath mein shaanti se good boy ki tarah movie dekhoge.. Chalo...
Raghbir - Yaar tum na bohot change ho gayi ho jab se mai London se aaya hu.. Mujhe meri pehli waali Pragati chahiye..
Pragati - Raghbir.. Chalo na jaldi (pulls him and takes him to his room ..
As they entered, they saw Rohan switching off the TV..
Pragati - Kya hua?
Rohan - Mai tumhe hi dekhne aa raha tha.. Oh hey Raghbir..
Raghbir - Hi..
Rohan - Mai aur Pragati movie dekh rahe the.. U are late..
Raghbir - It's okay.. Maine aur Pragati ne ye movie already bohot baar dekh li hai..
Pragati - Haa.. Waise aap dono yaha wait karo mai kuch khaane ko lekar aati hu..
Rohan - haa yaar apne haath se bana kar laana aur apni haatho se mujhe khilaana.. Tune bachpan mein promise kiya tha bade hokar tu mujhe apne haatho se khilayegi..
Raghbir -(angrily) Pragati dining table se chaaku laakar dena zaraa!
Pragati/Rohan - ??
Raghbir - Are ye.. (takes apple from the fruit basket on the table) Apple kaatna hai..
Pragati - Oh okay..
Rohan - Ya Pragati ek kaam kar tu rehne de... Aisa kuch khaas mann bhi nahi hain khaane ka..
Raghbir - Haa better...
Pragati - Okay then.. Chalo baith ke baatein karte hai..
The three of them were having a normal conversation.. (not for Raghbir)
After sometime,
Rohan - Aree Pragati mai toh tujhe batana hi bhool gaya.. Bags pack kar lena hum do mahine ke liye Pune jaa rahe...
Pragati - Pune?! Tumhare ghar?
Rohan - Yes of course.. Mai uncle aunty ko bol dunga waise bhi vo meri baat maan jaayenge.. Aur tu meri baat kaat nahi sakti.. So pack your bags kuch dino mein chalenge..
Raghbir - (in mind) Ye banda mujhe harr baar ise maarne ke alag alag plan banane ke liye kyu force kar deta hai! Saale teri toh! Tum meri baat kaat nahi saktii . Vo teri baat ko kaat ke piece piece karke phek degi.. Just wait and watch!
Pragati - Wow.. Kitna mazaa aayega (excited) Aur mai toh.. (Suddenely Rohan's phone rang)
Rohan - Umm.. Urgent call.. Pragati maine bola tha na kuch friends se milne jaana hai.. Mai mil kar aata hu maybe shaam ho jaaye... byee..
Pragati - Accha okay.. Byee..
Rohan leaves
Pragati - Raghbir.. (turns towards him and saw his stern face) Kya hua tumhe?
Raghbir - Mujhe kya hoga! bilkul theek hu mai dekho kitna khush hu!!!
Pragati - Vo mai pooch rahi thi mai jaau? (Cutely)
Raghbir - ye tum pooch nahi rahi ho bata rahi ko mujhe ki tum jaa rahi ho!
Pragati - Nahi.. Pooch rahi hu.. Tum bolo naa jaau ya nahi?
Raghbir - Nahi nahi meri opinion ki koi zaroorat nahi hai tumhe.. Jo karna hai karoo.. Itni khushi se haa bola hai use toh uska dil thodi tod sakti ho tum . Phir chahe mai kuch bhi chahu..
Pragati - Tumhari permission ke bina mai kaise jaa sakti hu.. Mann ho ya na ho, tum bologe tab hi..
Raghbir - Mat jaao.. Tum yahi mere paas rahogi..
Pragati - Nahi jaau? Raghbir maine use haa boldiya jaane ko aur ab tum bol rahe ho mai naa jaau? Aise kaise chalega..
Raghbir - Toh phir poocha hi kyu jab apne hi mann ki karni hai..
Pragati - Aree nahi mera mtlb maine tumhe London jaane se roka tha? Nahi naa.. Kuch dino mein wapas aa jaaungi bas..
Raghbir - (sadly smiling) Haa baat toh sahi hai.. Kya hi hoga mai tumhe do mahine toh miss hi karunga na.. Kya fark prta hai agar mujhe tumhari yaad aayegi bohot tumhare paas aane ka mann karega.. Par koi baat nahi tum jaao.. Mai reh lunga phir chahe usi beech agar mujhe koi aur ladki pasand (Pragati came upon his lap and held him by collar)
Pragati - Tum na sirf mere ho kisi aur ke baare mein sochna bhi mat.. Aur inn sab cheezo se mujhe fark parta hai okay.. Nahi jaa rahi mai kahi bhi! Aur itne zyada time ke liye toh bilkul bhi nahi.. (hugs him and keeps her head on his shoulder)
Raghbir - (hugs her back and remains like that) (in mind) Rohan bete.. Best friend best friend hota hai aur boyfriend boyfriend.. Aainda panga lene ki koshish bhi mat karna.. Kyuki Pragati ke sangat mein reh reh kar thoda drama karna toh mujhe bhi aa gaya hai..(smirking)
End for today!
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top