part 31
Part 31
Ek Ajnabi Rishta
Raj letter ko dekhte he samjh gaya ki naina ne akhir kar uska saath chod he diya usse uske galti ki saza dedi ...
Par raj yeh bhi ache se janta tha ki yeh saza uske liye kam aur khud naina ke liye jada hain wapas unlogo ke bech jana ... Woh sab phir se sahna kitna muskil hone wala hain iska andaza toh shayad naina ko bhi nahi tha ...
Aaj tak unlogo ne naina ko sirf ek army solider ki beti hone ki saza de thi par aaj woh sirf ek solider ki beti he nahi ek solider ki behan bhi hain ek solider ki biwi bhi hain....
Naina agar sirf raj se rishta tod kar gayi hoti toh raj shayad chup chap yeh seh leta kyuki jo usne kiya hain uski koi mafi nahi hain par naina usse chod kar nahi balki apni zindagi puri tarha barbad karne jaa rahi thi jo raj kisi haal me nahi hone de sakta tha .....
Raj ne than liya tha ki woh naina ko kma wapas laa kar rahega. Chaeye uske baad naina usse rishta rakhe yaa na rakhe woh uski marzi jo bhi saza de raj seh lega par yeh nahi ....
Raj ne naveen aur baki sabko yeh inform kiya ki naina ab yaha nahi hain ...
Gunny naveen alekh abhimanyu sabhi yeh sunkar haran rah gaye unhone umeed nahi ki thi ki naina iss tarha chali jayegi woh bhi tab jab ab unhe sab sach pata chal gaya tha ...
Woh pancho bina kisi ko kuch bataye chup chap kma se nikal gayi naina ki talash me ...
Gunny ne raj ko bataya ki un sab terrorist ka adda kma se kafi dori pe hain toh agar naina padal he nikli hogi toh woh ab tak puchi nahi hoga ... Par agar naina un tak puch gayi hogi toh usse wapas lana itna asan nahi hone wala ... Gunny ke chahre ka rang dekh kar saaf pta chal raha tha ki woh kuch chupa raha hain....
Raj : kya chupa rahe ho tum hum sabse Gunny...
Gunny : (tensed) main nahi toh main kya chupauga Raj... Chalo hume nikalna chaheyi ...hum jitni der kare gay naina pe khatra utna badhta jayega ....
Raj : (angrily) don't test my patience Gunny ... Saaf saaf bolo baat kya hain ...
Gunny ko samjh nahi aa raha tha ki wo kya bole sach woh bata nahi sakta tha aur jhoot bolne ka fayda nahi tha kyuki raj ko uss par doubt ho gaya tha ....
Gunny : (taking deep breath) Raj ab Naina tak puchne ka koi fayda nahi hain... Aaj jis maksad se woh nikle hain usse pura hone se koi nahi rok sakta ....
Naveen : jis maksad se matlab ??? Tumhe pata tha Gunny woh Kma chod kar jaa rahi hain????
Gunny ne bas haa me ser hila diya ...
Raj : Gunny isse phele ki mein kuch asa kar jau jo mujhe karna nahi chaheyi please tell me naina ne kya plan kiya hain ...woh asa kya karne wali hain ,kis maksad ki baat kar rahe ho tum ....
Gunny : human bomb ...
Yeh sunn kar sabhi shocked khade rah gaye ... human bomb ???
Unhe samjh nahi aa raha tha ki woh kase react kare jo abhi abhi unhone sunna kya woh sach tha ya unka waham... Human bomb ke naam se raj or naveen ki duniya hil gayi unhe idea thi ki naina ne kya plan kiya hain inhe bachane ke liye ...
Abhimanyu kisi tarha iss shocked se bahar aaya ..
Abhi : (shocked n confused) human bomb ??? Kon Gunny kon human bomb bana hain aur isse naina ka kya lena dena hain please aap saaf saaf btaye gaye akhir baat kya hain ...
Gunny : hum sab ke kamre se jane ke baad naina sham me mujhse milne aayi thi chori chupe kisi ko bhi pata nahi tha ki woh hosh me aa gayi hain.... Maine usse baat ki isse samjhaya ki ab usse darne ki jarurat nahi hain kyuki raj or naveen infact puri indian army uske saath hain par woh raj or naveen ki security ko le kar itna dari hui thi ki usne meri ek nahi sunni ...
Usne mjhse chune ko kaha ya toh mein tum sab ka saath de kar unsab terrorist ko khatam karu or hum me ise kisi na kisi ko marne du ...kyuki agar jang hogi toh sipahi sahid bhi hoga ....
Yaa phir yeh jang woh akele ladde aur iss ladai ko yahi khatam karde bina kisi begunah ka khoon bahaye...
Naveen : (angrily) aur tum maan gaye,,,, maan gaye mere behan ko waha human bomb bana kar bhejne ke liye taki woh khud ko khatam karde un logo ke saath ...
Gunny : mere pas aur koi option nahi tha naveen usne saaf saaf kah diya tha ki agar main uska saath nahi duga toh woh wase bhi khud ko khatam kar legi kyuki ab woh yaha nahi rah sakti khas taur se jo kuch bhi phechli kuch dino me hua hain ...uske baad toh bilkul nahi ...( To raj) trust me raj agar mere pas koi aur option hota toh main khud yeh kbhi nahi karne deta usse tumhe kya lagta hain mujhe khushi ho rahi hain naina ko yuh maut ke muh me bhej kar behan mana hain maine usse par kya karu yaar mujhe laga tha ki tumhara pyaar usse yaha rok lega par main galat tha tumhara pyaar he aaj uske yaha se jane ki wajah ban gaya hain ....
Raj sawalo se bhare nazro se Gunny ko dekh raha tha ...
Gunny : woh nahi chahti ki ab tumhara usse koi bhi rishta rahe khas taur se tumahre bache ke jane ke baad , raj woh tum par khud ka bojh nahi dalna chahti usse lagta hain ki woh tumhare layak nahi hain ....uske saath jo kuch bhi hua hain uske baad tumhara haath thamna uske liye impossible ho gaya hain har waqt woh sirf yahi sochti hain ki woh tumhare aur tumhare pyaar ke layak nahi hain jo kuch bhi hua uske saath ....
Beech me raj gusse se chillane lagta hain ...
Raj : (shouting) kya kab se laga rakha hain mere layak nahi hain mere layak nahi hain ???? Kisne hak diya naina ya tumhe meri life ka fasla karne ka (holding is collar) yeh meri life hain Gunny yeh sirf mera hak hain decide karne ka ki kon meri life me rahega aur kon nahi ...rahi baat naina ke mere layak hone ki toh jo maine uske saath kiya kya uske baad main uske layak hu ??? Jis bache ko usne apne andar itne mahino se rakaha maine usse uss bache ki shakal tak dekhne nahi di, uss par haath utha diya ...usse itna bhala bura kaha woh bhi tab jab usse meri sabse jada jarurat thi ...bolo Gunny kya jo maine kiya woh sahi tha jo naina khud ko blame kar rahi hain unn hadso ke liye jisme uski koi galti bhi nahi thi ...
Alekh bech me bolte hue
Alekh : yeh sab apun log baad me bhi discuss kar sakta hain abhi naina ko kuch galat karne se rokna hain
Naveen ;:. bilkul sahi kaha alekh hum apna time ase waste nahi kar sakte isse phele ki woh kuch galat kare hume usse rokna hoga ..
Phir sabne bina time gawaye waha ke kiye nikal gaye jaha naina gayi hain aaj khud ki kahani ko khatam karne ...
In jeep
Raj bas naina ke sangh bete hui palo me khoya tha ...
Aaj kuch pal ki deri usse uski naina ko humesha ke liye alag kar sakti hain ...
(((( Paas aaye..
Dooriyaan phir bhi kam naa hui
Ek adhuri si hamari kahani rahi
Aasmaan ko zameen, ye zaroori nahi
Jaa mile.. jaa mile..
Ishq saccha wahi
Jisko milti nahi manzilein.. manzilein..)))
Ase he kahi beech sadak par naina bhi chale jaa rahi thi usne ek black jacket pehni thi shayad yeh wahi bomb wali jacket thi ...Naina ki aakho me aag the aaj sab kuch jala dene wali aag ...
Par saath he uske aakho me ek chamak thi raj ke saath batayi hui har ek pal ko yaad karke ... Ek sukoon tha yeh soch kar ke aaj woh apne logo se har ek khatre ko dor kar degi ...
((((( Rang thhe, noor tha
Jab kareeb tu tha
Ek jannat sa tha, yeh jahaan
Waqt ki ret pe kuch mere naam sa
Likh ke chhod gaya tu kahaan
Hamari adhuri kahani..
Hamari adhuri kahani.. ))))
Raj jeep me baitha baitha har woh waqt yaad kar raha tha jab jab usne naina ko khud ke kareeb paya tha unka woh kiss ...raj aaj bhi naina ke laboo ko khud ke laboo pe mehsoos kar sakta tha ...
(((. Khushbuon se teri yunhi takra gaye
Chalte chalte dekho na hum kahaan aa gaye
Jannatein agar yahin
Tu dikhe kyon nahin
Chaand suraj sabhi hai yahaan
Intezar tera sadiyon se kar raha
Pyaasi baithi hai kab se yahaan. )))))
((((Humari adhoori kahaani
Humari adhoori kahaani..))))
Naina ko raj se khud ko dor jate hue woh dardnak pal yaad aa rahe the jab raj ne uska haath chod diya tha ... Naina ki aakho se lagatar aasu beh rahe the ...
((( Pyaas ka ye safar khatam ho jayega
Kuch adhura sa jo tha poora ho jayega ))))
Naina ko pata he nahi chala ki kab woh yun terrorist ke group tak puch gayi naina ne apne aasu puche aur determination ke saath andar chali gayi ...par ek baat jo usne notice nahi ki woh yeh thi ki usse saath saath do aur Jeep bhi waha puchi thi ...
Raj jase he jeep se bahar dekhta hain naina usse nazar aati hain raj ki woh tuti umeed phir se zinda ho gayi ki uski naina usse chod kar nahi jayegi ...
(((((. Jhuk gaya aasmaan
Mill gaye do jahaan
Har taraf hai milan ka samaa
Doliya hain saji, khushbuein har kahin
Padhne aaya Khuda khud yahaan..))))
((((( Hamari adhuri kahani
Hamari adhuri kahani.. ))))
Raj jeep se utar ke naina ki taraf bhagne he wala tha ki Gunny ne uska haath pakad kar rok liya aur itne me naina uss ghar me chali gayi jagah woh sare terrorist the ....
Raj : (angrily) kyu roka mujhe Gunny hum naina ko andar jane se roj sakte the abhi bhi bohat der nahi hui hain ...
Gunny ;: janta hu par agar main tumhe nahi rokta toh terrorist ka toh pata nahi par hum sab jarur mare jate ...
Sab confused ho kar gunny ko dekhne lage ..tab Gunny ne ghar ki taraf ishara kiya aur sabne dhayan diya ki woh ghar kadi tight security me tha ,,charo taraf unke log gun le kar khade the ...
Par woh log raj aur baki sabko isliye nahi dekh paye kyuki Gunny ne jeep ghar se kuch dori pe rukwayi thi jaha se woh toh sab clear dekh sakte the par terrorist unhe nahi ...
Gunny : naina one piece me andar gayi hain kyuki woh usse jante hain agar tum waha jane ki ya naina ki taraf ek kadam bhi badhate toh woh tumhe goliyo se bhun dete ...
Naveen : toh kya kare ...itne pas ho kar bhi naina ko na bachay ????
Gunny : maine asa toh nahi kaha na naveen ... (Frustrated) tum sab army me ho still tumhe itni si baat samjh nahi aati ki hume har kaam planning se karna padega ...I know ki tum log naina ko le kar dare hue ho par trust me kuch galat nahi hoga ....
Raj : oh! Yes why not tum par trust kare jisne usse chalta phirta bomb bana kar yaha bhej diya marne ke liye naina ko ....let it be Gunny thanks itni help ke liye ab yaha se main apni naina ko khud wapas le jauga ...
Yeh kah kar raj uss ghar ki taraf chala gya aur uske peche naveen aur alekh bhi ...
Gunny : yeh naya navela major angry young man kabse ban gaya ....
Tabhi kise ne bola
Apne pyaar ke kiye woh angry young man kya majnu bhi ban sakte hain ...
Gunny palat kar dekha toh bhi uske peche he khada tha ..
Gunny : (sadly smiling) I just hope aaj iss janu ko uski lala humesha ke liye mil jaye...
Phir woh dono bhi uss ghar ki taraf chal pade ...
End of part....
Sooooooo sorryyyyyy
Itna late update karne ke liye ...
Par yr meri bhi kuch problems thi
N thanks itna supportive hone keliye
I will try to update next part soon
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top