part 26

Part 26

Recap ...
Naina ne apna pura past raj ke samne reveal kiya aur saath me apne maksad bhi 

Raj room se nikal ke jane lagta hain par kaha yeh toh shayad usse bhi nahi pata tha...jaha uske kadam le gay woh chalta chala gaya ...

(((((Love in you is losin my soul
I was in the lost battle
death at my door
A dog in the backyard
Feels for my pain
Beau in broken bottle
Beatin rain. )))))

Raj ke dimak me naina ki kahi ek ek baat gunj rahi thi usse samjh nahi aa raha tha ki woh kya kare ..jisne naina pe usne khud se jada bharosa kiya apna sab kuch maan liya uss naina ne asa selha diya tha uske pyaar ka...

O sajna aaja ve
Dil di sunava gallan
Muh te uda ke pallan
Sir choom laan
O meri gal sun ja ve
Dil mera hoya jhalla
Ek bus tu hi ikalla
Tere te manave..

    Aaj raj ka pyaar pe se vishwas he uth gaya tha...
Jo naina ne uske saath kiya uske pyaar ka saath kiya hain uska mazak bana diya...usse yakeen nahi ho raha tha ki 
Yeh wahi naina thi jisse raj ne khud par bharosa karna sekhaya tha yeh yakeen dilaya tha ki pyaar sahi hota hain bas kabhi kabhi halat or insaan galat ho jate hain aaj ussi naina ne raj ka he pyaar se bharosa utha diya tha ... ..


(((((Tera mera rishta tha bhool
Tu ne ik pal mein mita daala jaise ho dhool
Ab bas main hoon yaadein or gham hai
Ab is gham ko saari umar sahenge hum..)))))

Raj ne aaj sirf apna pyaar he nahi apna bacha apni princess bhi khodi ...
Naina apne bache ko mare ko taiyar thi par usse raj ke saath batne ko nahi ...

Ek pal me naina ne uska aur apna rishte ko bhool me badal diya ...
      Naina ne raj ko ek asa ghum diya tha jise ab bas woh sare umar sirf sah sakta tha aur kuch nahi...

(((( Toota dil to sub kuchh jal gay

Mausam vo achanak

khushiyon bhara badal gaya

Khwaab the jitne aankho se beh gaye

Bas karne ko yaad purane kisse reh gaye ..))))

Raj ko naina aur apne saath beetey pal yaad aa rahe the har woh khubsurat pal aaj ke saath mil kar ek nayi kadwi yaad baan rahi thi ..
Raj ke aakho se aasu bahna chah rahe the par uske aakhe bhi naina ke dhokhe ki nafrat me ek bundh aasu bahane se enkar kar rahe the ...par uska dil toh aaj khoon ke aasu roo raha tha...
Naina ka diya zakham puri zindagi raj ko nasur ki tarha chub raha tha...

O sajna aaja ve
O meri gal sun ja ve...


Movie: Table No 21
Music n Lyrics: Gajendra Verma
Singers: Gajendra Verma, Puja Thaker

Guys raj ka dard show karne ke liye raj ki movie ke song se acha song or konsa ho sakata h bhala ...}}}}

Raj pata nahi kab apni soch me ghum ussi kamre me puch gaya jaha alekh abhi aur naveen uska intzar kar rahe the ...

Raj yun teeno ko apne samne dekh kar apne emotions ko control karne laga...


Raj : (nazre churate hue) naveen baat utni bhi nahi begdi hain jitna humne socha tha ...hume abhi bhi naina ko uski galti ka ehsaas dila sakte hain ..woh sirf yun terrorist ke influence me hain ...par insab me sabse achi baat yeh hain naina tujhse bohat pyaar karti hain infact woh hum sabse
Bohat pyaar karti hain ...


Isse phele ki raj aur kuch bolta naveen uske pas gaya aur uski jacket se ek phone bahar nikal kar uske haath me rakh diya ...

Jab rahne phone ki taraf dekha toh woh naveen ka phone tha jis par abhi ki call on thi ...

Phone dekhte he raj samjh gaya ki naveen aur baki sabne uski aur naina ki sari baatein sunn li hain ...
        Ab raj ke pas kuch nahi bacha tha chupane ko ... Naveen ne sab kuch sunn liya tha naina ka woh sach jo raj naveen ko btana nahi chahta tha ...

Naveen : (with painful voice ) mujhe pata tha tu pura sach hume kabhi nahi btayega isliye mujhe asa karna pada... Aur Raj mar chuki hain meri gudiya ...un logo ne bohat phele he mar diya usse ab jo hain woh sirf naaz khan hain ...woh naaz khan jo apne maksad ko pura karne ke liye kuch bhi kar sakti hain kisi bhi haad tak jaa sakti hain apne bache ki jaan bhi le sakti hain ...


Naveen ki baatein sunn kar raj ne apni aakhe band karli aur naa chahte hue bhi do bund aasu ke chalak he gaye uski aakho se ...


Abhi : (shocked) hum ab tak yakeen nahi ho raha naina asa kuch kar sakti hain ...itna bada dhokha ... Unhone ek bar bhi hum sab ke bare me nahi socha ????? Ek baar ko yeh maan le ki hum sab ajnabi thi unke liye par naveen woh toh unka saga bhai hain ...naina ne unhe bhi dhoka dene se phele ek baar nahi socha ?????

Alekh : pagal ho gayi hain woh sir ...ek aurat ho kar usne ek aurat aur uske izzat ka mazak bana ke rakh diya usne ...apun ko toh yakeen hech nahi ho raha ki jo usne hum sab ko bataya tha woh sab jhoot tha ek natak apun sab ka bharosa jetne ke liye...


Naveen : (angrily) hum usse abhi issi waqt arrest kare gay ...main ek traitor ko apne asa pas bardash nahi kar sakta ...

Abhimanyu : hum apse sahamat hain naveen...


Raj : (shocked) pagal ho gaye ho tum dono ...main manta hu ki naina galat hain par tum yeh kase bhul sakte ho ki woh maa bane wali hain ...


Naveen : (angrily) konsa bacha Raj.????woh bacha jiski kadar khud naina ko nahi hain ...

Raj : (with determination) chahe naina ko ho ya na ho mujhe mere bache ki kadar hain naveen aur main apne bache ko kuch nahi hone duga ...

Abhimanyu : apka bacha ??? Raj please ab toh bahar aa jayeye woh bacha naaz khan aur shabbir khan ka hain ...naina toh apka naam bhi jodna pasand nahi karti apne bache ke saath

abhimanyu ki baat sunn kar raj hurt hota hain usse naina ki kahi baat yaad aati hain...

Raj : (with lots of pain in his voice) mujhe ache se pata hain abhimanyu ki naina apne bache ke saath mera naam jodna pasand nahi karti hain ... Par iska matlab yeh nahi ki jiss bache ki fikar main aaj tak karta aaya hu usse main ek pal me apna nata tod du ...


Raj ne shayad aaj pheli bar abhimanyu ko abhimanyu kaha chauhan sahab nahi raj ki issi baat se woh sab andaza laga sakte the ki raj abhimanyu ki baat se kitna hurt hua tha ...

Abhimanyu : (guiltily) I am sorry Raj humara maksad apko taklif dena bilkul nahi tha...

Koi kuch bolta usse pheli he raj ka phone baja ...
Raj ne dekha ki naina kisi ko call kar rahi thi ... Naina ke call receive karne ke baad raj ne bhi apne phone ka speaker on kar diya ...

Naina : kase hain aap abbu...


Abbu : hume ache hain naaz ...tum sunao kya chal raha hain yaha ????


Naina : (hesitantly) woh abba jaan ... major rajveer ko sab pata chal gaya hain humare bare me ...

Phir naina raj aur apni bech hui baat apne abbu ko btati hain

Abbu : (shocked) kya kase ??? (Angrily) naaz tum asi laparwahi kase kar sakti ho ...aur tumne khud samne se apna jurm kabul liya ??? Ab woh major tumhe nahi chodega apne saath hue dhokhe ka badla woh le kar rahega aur humara mission kase nazar andaz kar sakti ho tum humare mission ko ???? Ab woh major tumhe giraftar kar lega socha hain ab tak ki humari sari mehnat zaya ho jayegi ????? Tumhe yun hindustaniyo ke haatho marne ka itna he shok hain toh maro par phele humara mission pura karo janti hona kitna jaruri hain yeh mission humare liye ...

Raj aur baki sabhi naina ke abbu ki baat sunn kar kuch khas haran nahi hue woh yeh baat toh phele he samajh chuke the ki woh sab sirf naina ka istemal kar rahe hain jis din unka mission pura hua woh shayad khud he naina ko marde ...
       Par jo unhe haran kar raha tha woh thi naina ki chupi uske abbu uske marne ki baat itne asani se kah rahe the aur woh thi ki usse koi farak he nahi pad raha tha ...


Naina : apko fikar na kare abbu ...mere pet (tummy ) me pal raha bacha he meri hifasad karega un sabse ...Raj Mujhse naraz ho sakte hain shayad nafrat bhi kare par jab tak mera bacha hain mere pas raj mere khilaf koi action nahi le gay ...achi tarha se wakif hu main unse...

Abbu : agar usne kisi ko bata diya toh ????? Tumhara woh kuch waqt ka bhai ???usse bata diya toh ...

Naina : Raj asa kuch nahi kare gay abbu aap fikar na kar agar bhai ya kisi ko pata bhi chal gaya meri asliyat ke bare me toh bhi mujhe pura bharosa hain raj pe woh kisi ko mujhe haath nahi lagane de gay ...ya fir yeh kahu woh apni princess ko kuch nahi hone de gay bas aap dekhte jayeyi kase main iss bache ke jariye apna mission pura karugi ...

Jaha raj naina ki baatein sunn kar hurt ho raha tha wahi naveen ka gussa satve (7) ?asmaan pe tha ...


Naina ne jase he phone cut kiya naveen gusse me room se bahar jane laga...

Raj : kaha ja raha hain naveen????

Naveen : usse arrest karne ...

Raj : dimak kharab ho gaya hain kya tera ... Maine kaha na ki koi naina ko kuch nahi kahega abhi ????

Naveen : (angrily ) haa ho gaya hain mera dimak kharab ...ho gaya hu main pagal ...(raj ke shoulder pe haath rakhte hue) kis mitti ka bana hain tu raj woh waha tere pyaar ka mazak bana rahi hain aur tu hain ki ussi ko bachane me laga hain????

Raj : janta hu main ki usse na meri na mere pyaar ki kadar hain naveen par usse teri kadar hain bohat fikar bhi hain dekha hain maine uski aakho me jab bhi tera naam aata hain uski palke jhuk jati hain...uski aakho me tere liye pyaar saaf nazar aata hain aur shayad yahi pyaar hain jiski wajah se woh ab tak shant hain... Tu khud soch naveen woh chahti toh bohat kuch kar sakti thi ...itne waqt woh kma me rahi par sirf 2 bar usne triggers tak puchne ki koshish ki ..aaj tak usne kisi ko bhi nuksan nahi pahuchaya ...mujhe lagta hain ki agar naina khud ko kuch asi galati karne se rok rahi hain jise hum kabhi thik na kar sake toh woh sirf tera pyaar ki wajah se naveen woh tera pyaar he hain jo usse ab tak roke hue hain ...

Raj ki baat sunn kar sab soch me pad gaye shayad Raj sahi kah raha tha bhale he naina ab naina nahi naaz khan hain par usne aaj tak kisi ko bhi kabhi nuksan nahi pahuchaya...


Naveen : (kuch sochte hue) shayad tu sahi kah raha hain raj ...par (with strain face ) jo usne tere saath kiya uska jawab toh usse dena he hoga...

Raj kuch bolta isse phele he naveen waha se chala gaya


Raj : (frustrated) dame it ... Naveen meri baat kyu nahi samjh raha hain abhi naina se kuch bhi bolna bekar hain...hum usse jitna samjhaye gay woh utna he humare khilaaf hoti chali jayegi ...

Alekh : apun ko lagta hain apun logo ko jana chaheyi unke saath pata nahi gusse me kya kah de naveen sir naina ko ...


Abhimanyu : bilkul sahi kaha apne alekh ...chaliye raj 


Woh teeno naveen ke peche chale jate hain usse kuch asa karne se rokne ke liye jiske baad uske pas pachtane ke alawa koi aur rasta na bache ...

End of part 26

Love Arti 

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top