part 20

Part 20




After 3 months ...



Yeh teen mahine kaha gaye kisi ko pata he nahi chala ... In teen mahino me bohat kuch ho gaya ...kuch acha toh kuch bura ...



First year ke cadets ne apne exam diye aur ache nambaro se pas bhi hue ...

Bechara naveen abhi tak honeymoon pe nahi ja paya .. 

                          Raina ki dost in 3 mahino me aur bhi jada gahri ho gayi ab naina ka 6 month chal raha aur bechara raj humesha ki taraha apni phoolan devi with AK 47 ke sare nakhre jhel raha hain ...naina ki mood swings ne Raj ki halat kharab kar rakhi thi

   In teen mahino me naina aur raj puri tarha ek dosre pe dependent ho chuke thi jaha Naina Raj ke har ek chiz ka khayal rakhti hain ...wahi raj ab apni duty pe kam aur naina ke mood swings ko sambhalne me jada laga rahta hain ...

                           Raj ne pura kamra toys dolls aur najane kin kin chizo se bhar rakha hain ...

         Apne princess ke aane ki taiyaario me koi kami nahi chodi hain usne ...

          Ab sirf ek he baat  hain jisme dono ladte rahte hain ...raj ko princess chaheye toh naina ko prince...




Par kuch asa bhi hua hain kma me jisne raj naveen abhimanyu ki pareshaniyon ko aur badha diya hain ...

      Trigger churane ki koshish dubara ki gayi par iss bar woh chor pakda gaya par isse phele ki Raj koi puchtach karta uss chor ne khudkhushi karli aur enquiry karne pe pata chala ki woh chor bohat bade terrorist group ka member tha 

       Yeh jaan kar raj ko jada shock toh nahi laga par woh iss baat se pareshan tha ki aakhir kon hain woh jisne information dushmano tak puche kyuki kma ke andar itni asani se ghus kar 2 bar triggers churane ki koshish koi andar ka insan he kar sakta hain kisi bahar wale ke liye yeh muskil he nahi namumkin tha ...


In mid night...



At 1 am


Raj roj ki taraha sofe pe so raha tha par achanak uski kuch aawaze aayi jinse uski aakh khul gayi ...

     Jab usne idhar udhar dekha toh koi nahi tha jab uski nazar bed pe gayi toh naina waha nahi thi... Raj ghabra ke utha aur bedroom se bahar nikal ke dekha toh naina kitchen me choro ki tarah kuch kar rahi thi...



Raj : (dabe kadmo se naina ke pas jate hue) slowly in her ear)  kya kar rahi ho ...



Naina yuh achank se aawaz sunn kar dargayi 


Naina : (placing hr hand on her heart) gusse se raj ko ghurte hue ) yeh kya tarika hain kisi se baat karne ka ...dara diya mjhe ...



Raj : (rising his eyebrows) acha ji ulta chir kotwal ko dante...ek toh khud aadhi raat ko choro ki taraha kitchen me kuch chura ke kha rahi hu ...aur mujhe bol rahi hu ...


Naina : (making puppy face) placing her hand on her tummy) hume bhool lagi hain ...aur aap so rahe the isliye hum dono apko disturb kiye bina kitchen me aa gaye kuch khane ...



Raj : (with concern ) tumhe mujhe uthana chaeyi tha na ...iss taraha andhere me yaha aane ki jarurat kya thi ...


Naina : arre par aap soo rahe the na bas isliye disturb nahi kiya ...aap  kitna thak jate hain apni duty aur mujhe sambhalte sambhalte...main apko pareshan nahi karna chahti thi...


Raj : {smiling } tum aur meri princess kabhi mjhe pareshan nahi karti ho naina... {Chalo ab baitho main kuch khane ke liye lata hu tumhare liye...


Naina sofe pe baith gayi ...Raj kitchen me uske liye sandwich bana raha tha. ...aur naina usse laga tar dekh jaa rahi thi ...

             kuch alag sa khichaw mehsoos karne lagi thi naina raj ke liye in kuch mahino me...jis taraha woh uska khayal rakhta ... chaeyi kitna bhi busy kyu na ho naina ke meds usse time pe dena ...roj subha uth kar naina ke liye khud breakfast banana...usse yoga karana walk pe le jana aur naa jane kya kya ...

                  Naina yeh baat aab ache se samjhne lagi thi ki raj ke dil me uske liye kya hain ...aur isliye darti bhi bohat thi...jo pyaar raj usse de raha tha woh shayad naina usse kabhi na de sake ...

Naina inhe khayalo me khoi thi ki usse pata he nahi chala ki raj kab uske samane aa kar khada ho gaya..



Raj ;: kaha kho gayi ...chalo ab jaldi se sandwich khalo



Naina  apne khayalo se bahar aate hue ...

Naina : {plate me dekhte hue} yukkk...sandwich.??????



Raj : {confused} haa sandwich ab itni raat me aur kya banu ...



Naina : {making face} mujhe yeh nahi khana aur naa mere bete ko ...



Raj : {sweetly} beta nahi beti naina ...humari princess...


Naina : {stubbornly} beta

Raj : {with equally stubbornly} beti 

Naina : beta

Raj : beti

Naina beta 

Raj : beti

Naina : beta

Raj : beti

Naina : beta beta beta 

Raj ; beti beti beti ...



Dono gusse me alag directions me muh karke baith jate hain ...

Par phir bechara Raj ne he naina ko mane ki koshish ki ...


Raj ;: chalo abhi ke liye sandwich khalo main kal tumhare liye kuch asa sa breakfast bana duga ...



Naina ;: {naughtily} in mind}}} mujhse panga ...ruku abhi batati hu.


Naina : mujhe chocolate ice cream chaheti



Raj : {smiling } ok maine phele he tumhare liye chocolate ice cream la kar fridge me rakhi hain abhi lata hu...


Naina : {under breath} arre ab kya karu inke pas toh har problem ka solution phele he hota hain ...


Tabhi naina ke dimak me ek idea aaya ...

Naina : {innocently} Raj mujhe Chocolate ice cream loaded with chocolate chips, chocolate chip cookie dough and sweet, gooey fudge chaeyi abhi issi waqt


Raj : {widely his eyes in shock} kya chaheti... chocolate ice cream loaded with chocolate chips, chocolate ...arre aur kya kya main kaha se lau iss waqt ...



Naina : {stubbornly } mujhe nahi pata bas chahiye chahiye chahiye...

{Making baby face} wase mujhe nahi isse khana hain ...{placing hand on her tummy..} 


Naina ache se janti hain raj ki weakness iss liye jab usse pareshan karne ka maan karta hain toh woh baby ko as weapon use karti hain...

  Raj : {in mind} raj beta teri biwi ko teri kamzori ache se pata hain .. paka yeh tujhe kisi din sulhi pe chada kar rahegi ...


Raj : {rolling his eyes } jaa raha hu ab emotional black mail karna band karo ...bas ek bar meri princess aa haye phir dekhna main kase gin gin kar badle leta hu...

Raj : apna khayal rakhna aur jab tak main naa aa jau please koshish karna ki koi naya tufaan naa machano


Naina : {with bright smile} ok ...



Raj jaa kar change karta hain aur naina ki chocolate ice cream  lene chala jata hain ... 




Naina : {taking to baby} dekho raj ko ullu banana kitna aasan hain...{suddenly baby kicked naina} hawwa...{making big ""O""face} tu sach me apne papa ki princess he hain kuch nahi sunn sakti unke against...


Tabhi naina ko ehsaas hua ki usne abhi kya bol diya ...

Naina ;papa... Kya maine abhi raj ko  tumhare. Papa kaha...{with tears} par kya yeh hum deserve karte hain ...



In corridor

Raj : {khud se} naina ko yuh akela choda sahi nahi hain iss halat me ...


Phir raj Naveen ke room me jaa kar shalini ko naina ke pas aur bechare Naveen ko aadhi neend me ghasitta hua apni saath le jane laga ...


Naveen : {irritated} Raj tu jana yr mujhe kyu le kar jaa raha hain ... kal morning me class hain meri ...


Raj : {smirked} saale main akela kyu bhatku aadhi raat me ...teri behen ne mera jeena haram kar rakha hain aur ab maine tera... Wase bhi mama hain tu kuch farz tujhe bhi nibhane padege na



Naveen : {laughing} wase maana padega meri behen ne tera  band bohat acha baja rakhi hain  ...



Raj : tujhe hassi aa rahi hain saale ...itna toh maine apne seniors ke order nahi sunne jitne inn teen mahino me naina ne sunai hain mujhe ... 



Naveen : {kuch sochte hue} wase sirf hum he kyu bhugte {raj & naina both smirked } chale ..



Raj bhi smile karte hue chala jata hain ...



In car..


Raj bechara ambala ki sadko pe apne jeep idhar se udhar ghuma raha tha ki shayad usse kahi koi ice cream parlour mil jaye ...

Raj ke bagal me bechara Naveen thoda jaga thoda soya sa baitha tha ...

         Aur back seat pe koi jor jor se kharate le kar soo raha tha ...

Jab raj ne dekha ki usse chod kar yeh dono maze se soo rahe hain toh usme suddenly breaks mari jise bechara Naveen jhutke ae aage sheeshe me chipak gaya aur back seat pe sota hua kumbh karan seat se neeche gir gaya ...


Kumbh karan I mean abhimanyu hadbadata hua utha...


Abhi ;: kon hain kon hain ...


Raj : tera baap ...


Naveen : saale tune ase break kyu mara ...


abhimanhyu : {sleepy voice} Raj hum bol rahe hain aap dono ne humare saath bohat galat kiya hain ...arre apki biwi sur inki behen ko kuch chaeyi toh aap layeyi na hume kyu saath me le jaa rahe hain..

   Kam se kam hume sone dejeyi chan se ...



Raj : {smirked} chauhan saahab apne woh kahawat nahi sunni gehu(wheat) ke saath ghun bhi pista hain aap bhi wahi ghun hain jo mere saath piss rahe hain ...



In kma 


Jaha waha bechare teeno ladke ambala ki galiyo me bhatak rahe the wahi yaha ... naina aur shalini bade maze he soo rahi thi ...


Finally Raj ko bohat dhundne ke baad ek ice cream parlour woh bhi band tha par uss parlour ka owner wahi rahta tha ...

Raj ne kisi taraha uss bechare ke haath pair jod kar usse extra paise de kar naina ki demande Chocolate ice cream loaded with chocolate chips, chocolate chip cookie dough and sweet, gooey fudge ...ice cream le kar aaya ...



Bechara Raj jab ice cream le kar kma pucha toh karte 3:30 baje chuke the ...

Naveen Abhimanyu bhi bechare neend me ladkhadate hue uske peche peche chal rahe thi ...



Raj : (standing outside of his room }. To Naveen &abhi} } ab tum dono mere peche peche yaha kyu khade ho niklo yaha se ...main naina ko ice cream de duga ...


Abhi & Naveen angrily glared to raj 


Naveen : {gritted his teeth} isse kahte hain apna kaam banta bhad me jaye janta ...

               Saale tera kaam tha toh hume jabardasti apne saath le gya aur ab kaam nikal gaya toh bhaga raha hain...

            Aur shayad tu bhul raha hain ki mere biwi tere biwi ke saath hain toh m andar jaa raha hu ...



Yeh kah kar Naveen almost Raj ko dhaka mar ke andar chala jata hain ...


Abhimanhyu : hume humare room se adhir raat ko ghaseet kar ke gaye the aap ...

        Raat me ambala ki sadko pe idhar se udhar bhatkaya ...

Aur ab jab ice cream khane ki bare aayi toh akele akele khane ke chakar me hain ...ab hum ice cream kha kar he jaye gay yaha se...


Yeh kah kar abhimanyu bhi bechare Raj ko dhaka mar ke andar chala gaya ...



Raj : {giving unbelievable look} meri biwi kya kam thi jo ab yeh dono bhi mujhe attitude dekhne lage ...




Naveen Abhimanyu bhara room me baithe the aur raj muskurate ke saath andar room me naina ko jagane gaya iss baat se anjan ki anadar ek toofan uska intzar kar raha hain  ...


End of part 20

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top