part 15

Part 15

Abhimanyu ke room me Raj Naina aur abhi teeno mil kar shadi ki preparation se related baatein kar rahe the ...

Teeno ne decide kiya ki woh abhi market jaa kar shopping karna shuru karde gay kyuki jada waqt nahi bacha tha shadi ki taiyariyo ke liye ...

      Raj ne Naveen ko bata diya ki wo teeno market jaa rahe hain...
Par jab KMA se bahar nikalne ki bari aayi toh Naina ke kadam dagmane lage ...

Aaj Naina ko KMA aaye karib 3 mahine hone wale the par iss doran Naina kabhi bhi KMA se bahar nahi gayi thi ...

Mana uska self confidence wapas aa gaya tha par phir bhi wapas ussi duniya me jana muskil ho raha tha ...
Naina ke maathe(forehead) ke sikanth dekh kar Raj samjh gaya ki Naina ke dil me kya chal rah hain ...

Raj : (Naina ka haath apni haath me lete hue) bas thodi aur himmat Naina
Yeh kah kar Raj Naina ko jeep ke back seat pe baitha deta hain aur front seat pe abhimanyu aur driving seat pe Raj baitha hain


Woh teeno mall puch gaye aur shopping start kardi Raj Naina ka behavior observe kar raha tha kuch tha jo Naina ko pareshan kar raha tha par kya yeh Raj ko pata nahi tha usne Naina se baat karne ki koshish bhi ki par Naina jase jaan much kar Raj ko neglect kar rahi thi

Yeh baat abhi aur Raj dono ne notice ki thi Naina abhimanyu ke saath jada comfortable thi In comparison of Raj ...

Naina Raj ki taraf dekhti thi aur agar Raj bhi usse dekh leta tha toh woh turant apni nazre jhuka leti ...

Abhimanyu aur Raj dono ko he samjh nahi aa raha tha ki Naina Raj se douri kyu bana rahi hain ...



In jewellery show room

Naina : (abhi ko ek necklace dekhate hue) see abhi its look beautiful naa...bhabhi pe khub jamega hana ...

Abhimanyu : (smiling) lagta hain aap aaj apne bhai ke back corrupt bana kar rahgi ...

Naina : (laughing) hahaha... Sahi kaha abhi wase bhi shadi roj roj thodi hoti hain ...abhi main bank corrupt bana rahi hu aur bacha khucha shadi ke baad bhabhi bana degi

Raj bas naina ko dekhne me busy tha ...

Raj : tumhe apne liye kuch nahi lena ...

Naina : (nazre churate hue) umm..wo..mujhe kuch nahi chaheyi ...
Yeh kah kar Naina shadi ke liye kuch aur dekhne dosre counter pe chali jati hain ..


Abhimanyu : (Raj ke shoulder pe haath rakhte hue) hume asa kyu lag raha hain ki woh apko avoid kar rahi hain .????


Raj : (confidently) avoid nahi chauhan sahab ... kuch hain jo Naina ko pareshan kar raha hain par woh baat hume batana nahi chahti isliye mujhse douri bana rahi hain kyuki...


Abhimanyu : (bech me bolta hain) kyuki aap unke aakhe padh lete hain ...aur woh nahi chahti ki aapko yeh baat pata chale ???haina


Raj : (with small smile) sahi kaha ...par main bhi jaan kar rahuga ki aakhi woh pareshan kyu hain ...kuch toh hain jo uski muskurahat ko uski aakho tak puchne nahi de raha hain ...


Abhimanyu : phir toh all the best Raj... Naina se unka secret nikalwana itna asan nahi hone wala ...

Yeh kah kar abhimanyu Naina ke pas chala jata hain ...


Raj : (in mind) assan kam Captain Rajveer Singh Shekhawat ko pasand bhi nahi hain chauhan shahab ...

Phir Raj Naina Abhimanyu teeno ne bohat sari shopping ki shadi ke liye ...


Abhimanyu : (tiredly) ab bas hum aur shopping nahi kar sakte ...humne itni shopping apni puri zindagi me nahi ki jitni shopping hum aaj ki hain ...


Raj ka bhi haal kuch asa he tha uss bechare ne itne bag pakad rakhe the ki ab army officer kam aur cooling jada lag raha tha ...

Raj : (mall me ek kone me jaa kar baith gaya) shopping karne se acha toh main KMA me rah kar cadets ki classes le leta ...kamse kam meri yeh halat toh nahi hoti ...

Naina dono ki halat dekh kar maan he maan khub hass rahi thi


Naina : (making face) arre abhi se thak gaye abhi toh adhi ki adhi shopping bhi nahi hue hain ...


Raj abhimanyu ek saath : (with horror face) nooo...


Naina : (apne kaano pe haath rahte hue) arre chilla kyu rahe ho ...fine chalo thodi der ka break lete hain ...
Par aage ki shopping hum break ke baad continue kare gay ...wase aap log pata nahi army me kase hain thoda der chale nahi ki thak gaye ...(with attitude) lazybones kahi ke...


Yeh kah kar Naina ek cafe me chali gayi ...

Raj abhi ko dekhte hue...

Raj : sare shopping bag hum uthe ...subha se le kar shaam tak hume yaha se yaha bhaga rahi hain aur khud aaram se shop me baith kar shopping kar rahi aur phir bhi hum lazybones hain .?????


Abhimanyu : Raj aap bhul rahe hain hum dono ek ladki ke saath shopping pe aayi hain ase halat toh honi he thi...


Raj : haa sahi kaha ab chal warna tankha(salary) kat jayegi hum personal assistant ki ...

Aur phir dono haste hue cafe me chale jate hain

Teeno cafe me baith kar coffee pete hain thoda relax kar rahe the ...

Aage ki planning karte hain par Naina abhi bhi Raj ko avoid karni ki puri koshish kar rahi thi ...

Abhimanyu Raj ko ishara karta hain Naina se baat karne ka

Abhimanyu : aap dono aage ki planning karo tab tak hum jara washroom ho kar aate hain
Yeh kaha kar abhimanyu waha se chala gaya ...

Abhimanyu ke jane ke baad Raj Naina dono he chup the Naina Raj ko avoid karna chahti thi toh wahi Raj ko samjh nahi aa raha tha ki Naina se baat kase kare kya kahe kaha se shuru kare ...

Raj : Naina...

Naina : (nazre jhuka ke) jii..

Raj : kya problem hain

Naina Raj ki taraf dekhti hain aur phir turant nazre jhuka leti hain ..

Raj : (taking long breath) dekho Naina mujhe nahi pata kyu par tum mujhe avoid kar rahi ho mujhse nazre milane se bhi ghabra rahi ho ...pata nahi kyu par mujhe asa lag raha hain ki tum kuch chupa rahi ho hum sab se (with little pause) mujhse ...

Naina : (turant) ji main ...nahi toh main kya chupaugi ...mere bare me sab kuch toh jante hain aap ...


Naina sari baat Raj se nazre churate hue kah rahi thi ...


Raj : (in mind) tum btao ya mat btao Naina kuch toh hain jo tumhe pareshan kar raha hain (with determination ) aur wo main jaan kar rahuga ...


Raj Naina dono chup ho jate hain ...kuch der me abhimanyu waps aata hain aur teeno phir se apni shopping me lag jate hain ...


Raj aur Abhimanyu apne liye kuch kapde select kar rahe the tabhi Raj ne dhayan diya ki Naina waha se gayab hain . ...

Raj : (charo taraf dekhte hue) chauhan sahab apne Naina ko kahi dekha hain
Phir abhimanyu bhi dhayan deta hain ki naina unke saath nahi hain ...

Abhimanyu : arre kaha gayi woh ???? Abhi thodi der phele he toh woh yaha tha achanak kaha chali gayi woh ...

Raj : (tensed) yaar tu yahi ruk main usse dhundh kar aata hu ase kase bina bataye kahi chali gayi woh ..

Abhimanyu : come on Raj kuch khredne gayi hogi woh aa jayegi ...aap tension mat le jeyi


Raj : (kuch sochte hue) nahi tu ruk main dekh kar aata hu usse ...

Yeh kah kar Raj bina Abhimanyu ke jawab ka intzar kiye , waha se Naina ko dhundhne nikal gaya ...


Raj kuch der waha yaha shops me Naina ko dhundh raha tha par Naina usse kahi nazar nahi aayi
Raj har bitete pal ke saath Naina ke liye pareshan ho raha tha ...Raj security ke pas jane he wala tha ki usne Naina ko samne se aate hue dekha ...

Jaha Raj ki jaan me jaan aayi Naina ko dekh kar wahi Naina ki maithe(forehead) ke shikhant Raj se chup nahi payi ...
Raj bhag kar Naina ke pas gaya ..

Raj : (holding her frm shoulder) tum kaha chali gayi thi bina kuch baateiy pata hain main kitna pareshan ho gaya tha kabse tumhe ghundh raha hu main...


Naina achanak se raj ko apne samne dekh kar dhabra gayi ...kuch tha Naina ke haath me jo wo apne dupatte me chupane ki koshish kar rahi thi ...

Naina : (stammering) wo..woh main ...woh ...rajveer ji ...woh main ..actually (kuch sochte hue) haa woh main apne liye kuch kapde dekhne gayi thi ...


Naina phir Raj se nazre chura kar baat kar rahi thi ..aur apne haath me pakdi hue chiz dupatte me chupa rahi thi ...aur jis taraf se naina aayi thi uss taraf ke bhi ladies garment shop nahi thi ...


Raj ne yeh sab baat note ki par usne naina se kuch nahi kaha kyuki woh janta tha ki agar usne kuch aur pucha toh Naina ek aur jhoot bol degi usse ...


Raj : (little upset) ok ...par tumhe kamse kam hume baata kar jana chaheyi tha ..hum saath chalte , chalo ab abhi wait kar raha hoga ...aur haa please ab kahi jana ho toh humare saath he chalna


Naina ne haa me sir hila diya aur shop me chali gayi

Phir teeno thodi der aur shopping kar ke kma wapas laut gayi ...
KAM me ab shadi ki taiyariya jor shor se shuru ho gayi thi
..jaha cadets ko unke favorite teacher ki shadi ki khushi thi wahi issi bahane unhe apni tuff training se bhi kuch dino ki rahat milne wali thi ...
Jab teeno KMA puche toh shalini Naveen aur cadets sab mil kar inki shopping dekhne me busy ho gaye ... Naina headache ka bahana kar ke chali gayi kisne bhi is baat pe itna dhayan nahi diya par Raj Naina ki har ek harkat pe nazre rakhe hue tha pata nahi kyu par Raj ko kuch toh galat lag raha tha ...


In night

Sab log dinner kar ke sone jaa chuke the...

Kareeb raat ke 2 bje KMA ka security alarm bajne laga ...
Sab haran ho gaye ki aakhir itni raat me achanak kya hua

Raj abhimanyu Naveen teeno ko pata tha ki yeh kis wajah se baj raha hain
Teeno ghagte hue waha gayi ...

Jis khas maksad se teeno ki posting yaha KMA me hue thi aaj ussi maksad ko khatra tha ...

Ji haa yeh alarm iss liye baja tha kyuki kisine necular trigger ki security tod kar ghusne ki koshish ki thi ...
Jab teeno waha puche toh dekha ki waha koi nahi tha par kisine security door opne karne ki koshish ki thi ...jab raj ne security system check kiya toh pata chala ki kisine Naveen ke security card se door open karne ki koshish par password galat dalne ki wajah se alarm baj gaya tha ...
Naveen ki card ki entry dekh kar teeno haran rah gaye ...


Naveen : (shocked) yeh kase ho sakta hain ...mere card se door open karne ki koshish ki gayi hain ...jabki mera card toh mere pas hain ...

Yeh kah kar Naveen apna card check karne lagta hain apne pocket me par uska card missing tha ...


Naveen : (tensed ) mera card kaha gaya ?????

Abhimanyu : may be room me ho ,chal kar ek bar check kar lete hain...


Raj : (kuch soch kar ) nahi room me jane ki jarurat nahi hain ...
Chauhan sabko assembly hall me bulayeyi ...(with pause) sabko matabl sabko koi bhi bachna nahi chaheyi ...
Phir abhimanyu mick me sabko assembly me ikatha hone ko kahata hain ...
Kuch he der me sab ikatha ho jate hain ..

Bc : (angrily) yeah kya ho raha hain major naveen ??
(Slowly) trigger toh surakshit hain na.????

Naveen : yes sir kisine security toh kar triggee churane ki koshish ki thi par isse phele ki woh kuch kar pata alarm baj gaya aur woh yaha se bhag gaya ...

Abhimanyu : sab aa gaye hain ab kya karna hain ...

Raj ek bar sabki taraf dekhta hain par jisko uski nazar dhundh rahi thi bas yahi nahi thi yaha ...

Raj : (without expression) Naina kaha hain????

Raj ki baat sunn kar Naveen abhimanyu dono Naina ko dekhne lagte hain par woh toh yaha thi he nahi


Naveen : mujhe lagta hain woh abhi room me he soo rahi hogi shayad pata nahi chala hoga usse


Raj : (quickly) cadet alekh aur cadet yudi ...Naveen ki quarter me jaa kar Naina ko le kar aao abhi ...

Raj ke order ke according alekh yudi dono Naina ko lene Naveen ke room ki taraf chale gaye ...


Abhimanyu : Raj chal kya raha hain apke dimak me Naina ko iss taraha yaha bulane ka mtlab ???? Kahi aap Naina pe dought toh nahi kar rahe hain


Naveen : (angrily) dimak kharab ho gaya hain kya tera Raj ????toh meri behen pe shak kar raha hain


Raj : main kisi pe shak nahi kar raha hu Naveen bas apna kam kar raha hu samjha tu ...security me ghusne ki koshish tere card se ki gayi hain ...ab tera card bhi gayab hain ...yaha assembly me pura KMA hain bas

Naina he yaha nahi hain ...
Main bas yeh jana chahta hu woh hain kaha ...


Naveen : (angrily holding raj collar) toh meri behen pe ilzam laga raha hain Raj... Tujhe kya lagta hain meri behen desh drohi hain?????woh gadari kar rahi hain humare desh ke saath...

Raj : (irritated apna collaer chudate hue) Maine asa kuch nahi kaha Naveen main bas yeh kaha raha hu ki itni zor se security alarm baja mick me announcement hue KMA me bhagda mach gayi phir bhi Naina ki neend nahi khuli ...yeh baat mujhe kuch hazam nahi ho rahi hain Naveen.????

Raj ki baat sunn kar ek pal ke liye Naveen bhi soch me pad gaya ...kyuki woh janta tha ki Naina ki neend jada gahri nahi hain ...


Tabhi waha alekh yudi aayi dono thode pareshan the ...

Alekh : (to raj) sir Naina kamre me nahi hain ,,...

Alekh ki baat sunn kar toh jase Raj Naveen abhimanyu teeno ke paro tale zameen he khisak gayi thi ...


Raj : (controlling his anger)to orderlies) KMA se bahar jane wale sare raste band kardo aur Naina ko dhundhna suru karo jase he woh mile usse arreste kar lena thats my order ...
Raj ki baat sunn kar sabhi shocked ho gaye khas taur se Naveen ...

End of part 15


Sorryyy...
Kafi time baad update kiya par sach me yr family ke saath kafi busy ho gayi thi m ..
Kuch na kuch kam aa ja raha tha ...
Par ab m regular update karne ki koshish karugi
Love
Arti

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top