Suleh

Heyy Guys! Welcome to the 5th part of 'Dil_Wil_Pyaar_Vyaar'. So let's start without any delay.

Kahani ab tak: Dushyant Purvi ko apni behen banata hai. 

Ab aage: 

In ACP's car.

ACP – Mai jaanta hu Ishita tum kya soch rahi ho. Par kabhi kabhi dil ke aage duty ko rakhna padta hai.

Ishita is silent.

In Kavin's car.

Kavin is enraged as well as guilty.

Dushyant – Kuch bakbak nahi karega?

Kavin – Kya bolu?

Dushyant – Kyu bhai? Roj to chup karne ke liye bolna padta hai..aaj kya hua?

Kavin – Kuch nahi..

Dushyant – Samajh gaya....chal bata kya hua?

Kavin – Samajh gaya tha to phir kyu puch raha hai?

Dushyant – Kyuki mujhe tere muh se sunna hai..

Kavin – Aur mujhe kuch sunana nahi hai..

Dushyant – Par mai sun ke hi rahunga

Kavin – Aur mai chup hi rahunga.

Dushyant just smiles and becomes silent.

After a while,

Kavin – Kya lagta hai? Purvi abhi bhi gussa hogi?

Dushyant – Nahi..maa-baap pe jaane ki wajah se aarti hi utaregi kal teri.

Kavin – Yaar......tujhse baat karna hi bekaar hai..

Dushyant – Mere kehne na kehne se sach nahi badalne wala. Tune khadoos banke jo kuch bola hai na use, wo agle 7 janmo tak nahi bhulne wali.

Kavin – Ye baat to hai..par..

Dushyant – Par kya Kavin?

Kavin – Par usne bhi to humari ijaajat ke bina baatein suni..

Dushyant – Are you serious? Wo file dene hi aayi thi. Jaanbujhkar baatein nahi suni hai usne. Mana galat hai..lekin us galti ki wajah se tu uske maa-papa ki insult nahi kar sakta.

Kavin – I know yaar! Gadha hu mai! Par mujhe aa gaya gussa.

Dushyant – Ha tu gadha to hai..par ab soch use kaise manayega..

Both again maintain silence for sometime.

Kavin stops the car in front of Dushyant's house.

Kavin (making cute face) – Dushu..

Dushyant – Bhai bade hi pyaar me aaye hai janaab aaj? Abhi tak to jhagad rahe the..

Kavin – Sun to leta.. 😐

Dushyant – Suna

Kavin – Tujhe pata hai na mai kitna bada darpok hu..

Dushyant – Haan

Kavin – Mai dopahar mai bhi darr gaya tha. Tujhe aise dekhkar...tu meri tarah nahi haina..koi bhi situation kitne coolness se handle karta hai..isliye teri aankho ke aasuo se (he can't speak more) mai jab bhi tuta hu..tune mujhe sambhala hai...aur aaj jab mujhe chance mila to wo Purvi ne cheen liya...mujhe laga ki..

Dushyant – Ki ab mai tujhse dur jaunga. Purvi ko jab maine behen bana liya tab tujhe laga ki teri jagah wo lene wali hai..

Kavin nods his head.

Dushyant pov: Iska bachpana kabhi kam nahi hoga.

Dushyant – Tu na sirf darpok nahi hai..jalkukda bhi hai..

Kavin – Dekh...Tu..

Dushyant – Chup! Mujhe bolne de..kitne saalo se saath hai hum? 22 saal se. Dost uske 2 saal pehle bane the. Yani ki 24 saal ka yaarana. Ek dusre ke ups downs dekhe. Ek dusre ko support kiya. Tune ghar choda hai mere liye saale..Aur mai itni jaldi kisi aur ko teri jagah de dunga? Life me kai log humse milte hai. Aaj meri life me bhalehi Ishita aayi ho...par teri aur uski barabari nahi ho sakti. Kyuki hum dono ka aur mera aur Ishita ka Rishta bohot alag hai. Waise hi Mera aur Purvi ka relation. Kal teri life me koi aayi, to bhi apna bond waisa hi rehne wala hai. Bas jitna pehle ek dusre ko time dete the, utna hum nahi de payege. Par isse ye matlab nahi nikalta ki tujhe maine dur kiya hoga. Tu humesha meri priority tha,hai aur rahega. Aur ye dono to aaj meri life ka hissa haina? Tu itne saalo se..phir bhi aisi cheeze sochta hai. Aur apne galat behavior ko justify karta hai..

Kavin hugs Dushyant tightly.

Dushyant – Chal ab chod mujhe. Aur Purvi ko mana liyo.

Kavin – Haa yarr! Bohot hi jyada limit cross ki maine. Aaj hi sorry bol dunga.

Dushyant (pulling Kavin's cheeks) – Accha hua jaldi samjh gaya jalkukde..

Kavin (making angry pout)– Mai jalkukda nahi hu!

Dushyant (getting out of the car) – Chal...aata hu mai...aur tu bhi ghar aa ja. Kitne din aise gussa rahega?

Kavin (gets out of the car) – Chal aaj aa hi jaata hu tere ghar. Aur sun (side embracing Dushyant) Thanks yarr! Mujhe kabhi akela na chodne ke liye aur meri aankhein kholne ke liye.

Dushyant – Tere nahi Humare ghar. Aur (playfully punching Kavin's shoulder) dost ko thanks bolega? Itne manners nahi sikhaye maa-baap ne?

Kavin – Aah! (Wrapping hand around Dushyant's neck) Kuch jyada hi tarafdaari nahi ho rahi behen ki?

Both laugh and go inside.

Inside, Dushyant's mother and father are discussing something.

Kavin goes and hugs Dushyant's mother.

Dushyant's maa- Kavin!! Kaisa hai beta? Aakhir gussa utar hi gaya na? Kitne din khafa rehta aakhir maa se? Chal haath muh dho le..fresh ho jaa. Mai khana lagwati hu. Are ramu kaka!

Dushyant's baba – Are ruko bhaagywaan..hum bhi to jara apne bete se mil lete hai.

Dushyant's father comes in front of Kavin. Holding his shoulders

Dushyant's baba – I am sorry bete. Mai baap hokar bhi kabhi tumhare dreams samajh hi nahi paya. Mere bete meri ek galti ki wajah se 4.5 saal tak mujhse bina baat kiye rahe. I am sorry..

Kavin – Uncle...mai bhi sorry..maine bhi aapko bohot bhala bura kaha..aap mujhse bade hokar bhi...maine aapke saath aisa bartaav kiya. Galti meri bhi thi. Mai apni baat samjha nahi paya.

Dushyant's baba – Kaash 4.5 saal pehle hum aise baat kar lete.

And both share a warm hug. Both cry. Apologize.

[Flashback: Around 4.5 years ago Dushyant and Kavin are posted to CID Delhi. Dushyant's parents are business persons. They (specially Dushyant's dad) want both Kavin and Dushyant to follow their footsteps. But Kavin and Dushyant want to join CID. And they succeed. The day when going to Delhi, Dushyant's father insults both of them. Kavin couldn't handle Dushyant's insult and leaves the house. They join CID Delhi. Dushyant talks with his mother sometimes. But Kavin never talks with them till now. Even after the transfer to Mumbai, Kavin never visited Dushyant's house.But now, everything's sorted.]

After sometime

Dushyant – Chalo maa, iss bhukkad ka to ro ro ke pet bhar gaya hoga. Mujhe hi khana khilado.

(Separating from hug) Kavin – Haa mai bhukkad. Aur tu kya? Ruk abhi dikhata hu tujhe.

Kavin runs behind Dushyant. After a lot of masti majak, the 4 have their dinner happily.

In Dushyant's room Dushyant is reading and Kavin is tossing the pillow.

Kavin – Tujhe nahi lagta uncle -aunty ko Ishita ke baare me pata hona chahiye?

Dushyant – Lagta to hai. Par mujhe aisa lagta hai ki pehle Ishita ke dil ki baat jaanni chahiye. Warna maa-baba ko jyada bura lagega.

Kavin – Sahi keh raha hai.

Just then Dushyant's maa enters.

Dushyant's maa- Ye lo haldi ka doodh dono ke liye.

Dushyant/ Kavin – Thanks maa/ aunty

Dushyant's maa- Hmm..aur jaldi so jaana dono. Kal jaldi bhi to uthna hai.

Kavin – Aunty ab school ke bacche thode hai hum. Jaldi kyu uthna?

Dushyant's maa – Kyuki kal hum ek business meeting ke liye jaa rahe hai. 10 dino ke liye Chennai. To tum dono hume chodne aa jana..

Dushyant – Sure. Maa, meeting kiske saath hai?

Dushyant's maa- Dhananjay Malhotra ke saath.

Kavin/ Dushyant – KYAA?

Dushyant'smaa- Haa..isme itne chaukne wali kya baat hai? 1 hafte me aa jayege. Khayalrakhna tum dono apna. Aur tum dono...kal jaldi uthna. Aalas kiya to dekho! Chalo.Aati hu mai.

.

.

.

.

.

.

So guyss!! Chapter's over..

Also I feel, my chapters are little short. Tell me if you also feel the same. 

Do tell me in the comments if you liked the story.

Do share the story with all #KaVi fans.

Fell free to tell me about the areas of improvisation.

Target for publishing next part - 25+ Votes.

Tab tak ke liye

Stay Home Stay Safe

Namaste


Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top