Part - 53💗💗
Hello readers,
I hope you all love this story,
Thank you for your love and support ❣️❣️
ENJOY READING❤❤
Teju was crying at TD's outburst. Karan and others were upset to see her cry. Karan thought to interfere and solve this problem but changed his mind, thinking it might worsen the situation..
Kd : shaant hoja Sunil.. Aisa chilana thik nhi hai.. Voh bhi kya karegi.. Voh try karti hai time spend karne ki.. Par kaam ki vajase nhi ho para hai..
Td : vahi toh bolra hun.. Kaam ki vajase.. Ye sab kuch uski kaam ke vajase hora hai.. Uski kaam uske appa se badkar hai kya?.. Paisa kamane me itna shauk hai ki appa ko hi bhul jao..
Tm : Sunil.. Abh syada hora hai.. Amaithiya irunga (chup ho jao)
Td : naan yen amaithiya irukanum ( mai kyun chup rahun).. I can't be here anymore.. I'm going to Chennai..
Teja wiped her tears and snatched the bag from TD..
Teja : bass.. Bohot hogaya.. Main sun rahi hun iska matlab ye nhi ki aap kuch bhi bologe..
Td : Mere upar chillayegi?... Tumhare selfish reasons ko point out karunga toh mujhpe chillayegi..
Teja : Mai selfish nahi hun... Never ever call me that... Haan, mai chillaoongi... Aap aisa bol rahe hain jaise mai paiso ki laalach mein zyada kaam kar rahi hun... Mai jo bhi kar rahi hun, sirf aapke liye kar rahi hun... Kya lagta hai aapko haan?... Mai meri shauk pure karne ke liye nahi, humari zaruraton ko pura karne ke liye kaam kar rahi hun
Karan : Laddoo, stop, baba. Don't speak to Appa like this..
Teja : No, Sunny... Aaj mujhe bolne do... Kya problem hai aapki, haan? Haan, maine aapke saath time spend nahi kar paya... Par aapko uska reason pata hai? Kuch dinon se meri life mein kya-kya ho raha hai, uske baare mein aap jaante ho? Nahi... Kuch nahi jaante ho... Aapko sirf aapki fikar hai... Thik hai, zyada kaam karne ki wajah se main aapse baat nahi kar pa rahi hoon, mil nahi pa rahi hoon... Par kabhi aapne khud phone karke pucha ki Teju kahan pe hai tu, khana khaya, kab aake appa ke saath time spend karegi... Aise kabhi pucha aapne? Nahi... Aapne kabhi mere professional life ke bare mein pucha? Kya kar rahi hoon, kaunsa project kar rahi hoon, meri manager kaun hai... Kuch bhi jaanne ki koshish kiya aapne? Nahi... Aapne bade aasaani se bol diya ki main apna shauk ke liye kaam kar rahi hoon... Wah... Aapko yahi lagta hai na... Itna hi jaan paaye ho na... I didn't expect this from you, appa... Poocho bhai se, Sunny se... Agar main chahti thi to bahar inke saath khana khakar aati... Par nahi....I thought of having dinner with my family.. Ungaloda, amma oda, Elarodayum sernthu sapadalam nu nenachan (aapke saath, amma ke saath, sabke saath milke khana khane ka soch rahi thi)..Sunny se baat kar rahi thi, aapko ghar jaake manana hai... Aap mere pe gusse ho, thoda manaungi toh thik ho jayenge, par nahi... Aaj aapki wajah se maine Sunny se bhi rudely baat kiya... Usne mere saath ladaai bhi nahi ki... Par aap... Aapne mere love and care ko galat bola... Mere intentions ko galat bola..
Tm : Teju.. Calm down.. Andhar jaa.. Appa ko mai handle karlungi..you go inside.. Karan, beta usko andhar leke jao
Karan kept his hand on her shoulder.. But she looked at him to stop his action..
Teja : I am talking to him.
Karan : kar na.. Par abh nhi Baad mei.. Now, you're not in your senses..
Teja : not in my senses matlab.. Mai paagal hun kya?..
Karan : mera aaisa matlab nhi hai laddoo.. The situation is not right.. Phele thande ho jao.. Phir baat karte hein.. Appa, aap bhi andhar jayiye.. Please..
Karan dragged Teju to her room and hugged her tightly.. She hugged him tightly, releasing all her frustration.. He comforted her, patting her head and rubbing her back until she calmed down.. After some time, she calmed down but tears never stopped drenching his shirt.. Her mind was flashing with all the recent happenings- the words, the actions, everything..
Karan : Chup hoja laddoo.. Kitna royegi.. Bass.. Hogaya..
Teja : sunny..
Karan : haan laddoo.. Calm down..
Teja : mai achi beti nhi hun kya?
Karan : Tu kitni achi beti hai apne Appa ki, voh toh sab jaante hain laddoo..
Teja : Toh Appa ne aise kyun bola?.. He called me selfish.. Kya mai selfish hun, sunny? *she looked at him with tearful eyes*
Karan : nhi laddoo.. Unhone gusse me boldiya..
Teja : But they say people speak their hearts out when angry... Appa ke dil me bhi ye baat hai na, ki mai selfish hun.. Unhone aisa kyun socha mere bareme? *she kept her head on his chest and cried hugging him*
Karan : laddoo, aisa kuch nhi hai, baby.. See, unko na dar lagra hai.. Unko already pata hai na ki voh kuch mahino hi iss duniya mei rehne vale hein.. Toh uss dar ne unke dimag ko khabo kardiya hai.. Vahi hua hai.. Appa ko already voh dar hai, upar se hum unke saath time spend nhi kiye hain.. Toh voh sab unke mann me ek gusse ko paida kardiya hai, laddoo. Tu hi bata, agar mai ya Omi tumse kuch din baat nhi karte hein, toh tuje kaisa feel hota.. Tu hurt hogi, gussa hoga na tuje, vaisa hi hai, bacha.. Voh toh tumare Appa hai na.. Tum dono ka rishta toh tu paida hone se pehle se hi hai.. Unke iss condition me, Tu unke saath nhi hai, tu unko time nhi derahi hai, unse baat nhi karti hai toh unko ek lonely feeling hoga na.. Ghar me kitne bhi log rahenge, phir bhi voh akele hi feel karenge.. You have to be calm and composed in these situations.. Agar tu aise chilaogi toh unko aur bhi hurt hoga.. Unke beti sabke saamne unko chila rahi hai, unko galat sabeet karne ki koshish karrahi hai toh unko kitna dukh hoga..
Teja : Par Sunny, mai unke liye kuch bhi nahi kiya, unhone aise kyun socha?
Karan: Laddoo, sometimes logon ko apne fears aur insecurities ke wajah se aisi galatfehmiyan ho jati hain... Tujhe ya mujhe lagta hoga ki hum unke liye bahut kuch karte hain, lekin unke dil aur dimaag mein kuch aur chal raha hoga.. Unka dard samajhne ki koshish kar, Laddoo... Unka gussa unke internal struggles ka ek reflection ho sakta hai..
Teju : Par Sunny, maine bhi to kuch galat nahi kiya... Maanti hoon, maine zyada time nahi de payi, par main genuinely busy thi... Main holiday thodi mana rahi thi... I was doing my job... Vo bhi kiske liye, unke liye hi to hai... Unka medical expenses, Amma ka expenses, vo sab ke liye to kar rahi hoon... Appa ka operation ke liye maine kitna paisa kata karna pada... Usmein adha paisa to tum logon ne diya tha... Usko bhi to vapas dena hai... Vo sab ke liye hi to kar rahi hoon... Wahan Chennai mein ghar ka EMI chal raha hai... Agar main sara time Appa ke saath rahungi to vo sab kaise pay kar paungi...
Karan : hello.. Koi tumse pucha, paisa vaapas dene ka..
Teja : phir bhi dena hai na sunny.. I don't want to have any sort of problem with this thing in the future.. I know, tum log kabhi nhi puchoge, phir bhi dena toh padega na..
Karan : laddoo, Tu bevajah stress le rahi hai.. Pehle clear your mind.. Appa se jaake baat kar.. Unse sorry kaho.. Aur kuch din keliye leave lekar unke saath time spend kar.. Sab thik hojayega..
Teja : muje unse baat nhi karni hai..
Karan : aisa nhi bolte hein.. *he wiped her tears, setted her hair and kissed her forehead* pehle jaake fresh ho ja, phir Appa ke liye khana leke jao aur beth ke baat kar.. Koi bhi relationship ko sahi se nibhana hai toh baat karna zaruri hai..ye toh kisi ne muje kaha..par voh khud nhi karti.. *he said this rolling his eyes*
Teju slapped his chest lightly..
Karan : aah dard hora hai.. Kitni zor se marti hai tu..
Teja : sorry.. Zyada laga..
She caressed the place and kissed there..
Teju : abh thik hai?
Karan : no *nodded cutely*
Teju : toh ?
He showed his cheeks and asked her to kiss him there.. She smiled at him and kissed him on both cheeks.. Then she went to get fresh.. Meanwhile, Karan goes to TD's room..
In TD's room, he sat silently with a blank expression while TM scolded him..
Tm : ungalukaga evlo seiyura (voh aapke keliye kitna kuch karti hai), still you called her selfish.. Kaise Sunil?.. I can't believe you.. Chennai se yahaan aapko laane vali kon thi, aapke treatment keliye paisa kon diya.. Aaj aap apni beti ki hone wali sasuraal mein hai.. Aise ache family se milane vali kon thi?.. Aapne joh ghar khareeda, uska EMI kon pay karta hai.. Aapke retirement ke baad humara parivaar ko Kon sambhalta hai?.. Sab apni beti kari hai... Ek beta bhi itna nhi karega jitna humari beti humare liye karrahi hai.. Par aapne usko aaj selfish boldiya.. Bachpan se leke aaj tak voh kabhi kisi cheez keliye zid nhi ki.. Jab hum kitne struggle karrahe the tabbhi voh humse kuch nhi pucha.. Uski college fees voh kudh kaam karke bari thi.. Usne life me ek hi cheez maangi thi voh hai acting career.. Uske liye bhi usne kitni baar sochi thi.. Aapke kehne par voh gayi thi acting karne.. Tabse lekar aaj tak usne aapke har baat maani.. Phir bhi aapne usko selfish bola... Mujse bardaasht nhi hora hai Sunil..
Karan to ease the situation, knocked on the door..
Karan : Appa, Amma.. Mai aa sakta hun?
Tm : andhar aa beta..
Karan came and sat beside TD.. Tm thought to give them some alone time so that they could talk freely.. After Tm left the room, Karan took TD's hand..
Karan : Appa.. I know aap laddoo, I mean Teju se gusse mein hain.. Aapka haq banta hai.. Aapka gussa bhi jayas hai.. Aap use daanto, gussa karo, usse lado.. Par kabhi ghar chod ke jaane ka socho mat.. Please.. Aapke treatment keliye hi Teju, aap aur Amma ko yahaan leke aayi thi.. Aap bhi yahaan rehke, humare saath rehke kitne kush the.. Abh kya hua appa?.. Aap itna kyun gussa kare ho?.. Agar aap uski time spend naa karne se gussa hai toh mai nhi maanta hun.. Aapke mann me kuch aur hai, ye uska outburst hai.. Boliye appa.. Kya hua? .. Aap kis cheez se dar rahe hain?
Td : Karan beta, jab mann me bohot kuch chalraha hota hai toh zubaan ka control nhi hota.. Mai kabhi bhi apni hi beti joh mere liye bohot kuch ki hai, usko jaan bhuj ke selfish nhi bolta..aaj joh kuch bhi maine bola voh sab mai mean bhi nhi karta hun.. Pata nhi kya hua Karan, kuch dinse mere ko mere upar hi gussa aara hai.. Kyun mai aisa hojata hun, pata nhi.. Mann me galat khayal aara hai.. Mann karta meri beti ko mere paas hi rakhne ka.. Kuch thik nhi lagra hai.. Kuch dinse bure sapne aate hain.. Mai kisi se bol bhi nhi para hun.. Aise aise sapne aate hein joh mai kisiko nhi bata paun..sab cheez ka dar hi muje aise behave karne ko bolta hai.. Mai apne aap ko control nhi kar parahun..
Karan : aisa kya sapna aata hai appa.. Mere ko boliye.. Cheezen andhar hi rakhne se dukh badta hai appa.. Aap muje apne beta maante ho na.. Aap batao.. Konsa sapna aata hai joh aapko pareshaan karra hai..
Td : mai kaise bataun Laran.. Joh apni beti ke saath zindagi me nhi hona chahta hun voh sab sapne me hora hai.. Mai bol bhi nahi para hun Karan..
Karan : appa.. Aapko meri kasam.. Batayiye..
Td : Teju ke saath koi galat behave karra hai.. Aisa sapna aara hai beta.. I know, reality me tu hai, Omi hai usko protect karne.. Phir bhi muje aise sapne aara hai.. Mai kya karun.. Isliye usko mere paas hi rakhna chahta hun.. Isliye uske saath ladta hun time na dene keliye... Dar lagra hai Karan.. Joh sapne me hua voh sach hogaya toh?.. No no.. Aisa sochne me bhi muje dar lagta hai..
Karan in his mind : toh ye baat hai.. Appa ko intuition problem hai.. Unko joh hone wala hai, uss cheez ka pehle se hi sapna aata hai.. Teju ke saath jo hua, uske bareme inko pehle se hi sapna aara tha..
Karan : mai aapko kuch bataunga.. Par aapko tense nhi hona hai..
Td : kya Karan?..
Karan : aapka sapna sach hai..
Td : matlab?
***************************************
Next part : Teja cancelling her projects
Td is feeling guilty
Galti huyi toh maaf kardena
If you like this story, please hit the ⭐button and also comment 💬 your views. Silent readers, do comment and vote..
Published on 12/01/2024
Pooja mouli
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top