din na jaaneya ( part 1 )
Hai ..
Hello..
Happy reading ....
*************"
Goa ...
City of beeches ..
Yaha log mostly enjoy karne aathe hai one of the best tourist places in the world..
Yaha din ke saath saath raat bhi share saraba hothe hai ,
Har wakth parties and tourists ke saath beaches humesha busy hi hothe hai , lekin kuch dinon se yaha raat ko logon ko bahar na nikhalne ka strict instructions diye gaye hai yaha ke police ne ..
Raat ke wakth kisi ko bhi apne cottages aur rooms se bahar aane ki permission nahi hai ..
Kyu ki yaha kuch dinon se human trafficking ki rate bad gayi hai , girls ko kidnapping karke gayab Lara jare hai , saath mein unke parterns ko berehmi se maare jara hai , yeh sab Goa ki jane maane gambler victor kar raha hai lekin unke khilaaf koi evidence na hone ke kaaran local police koi action nahi le parahe the , isiliye spl officer ACP karan Sherghil ko yaha posting diya gaya ..
Karan Sherghil track record bahut acchi hai , abhi tak 2 saalon mein woh 8 jagah transfer Kiya gaya kyuki woh kabhi kisi ke saamney sar nahi jhuka tha hai , aur criminals ka toh inhe dekh hi rooh kaap jathi hai ..
Aaj inka joining day hai , sabhi log Inka hi inthazaar kar raha hai ...
Tabhi ek jeep mein se ek officer utarthe huye aaya , aur unhe dekh kar sabhi log salute karne lage , lekin woh officer bade hi attitude mein ander aaya aur apne seat mein bhait gaya ..
Senoir inspector ne bola : sir namasthe aapke liye chai coffee mangvalu ??
Uss officer ne bola : nahi do ghoot whiskey lekar ayiye ustad ji...
Ustad ji : kya karan sir aap abhi tak woh baat bhula nahi ??
Karan : kaise bhul sakta hunn ustadji , waise case ka details bathav jaldi ..
Ustad ji : sir , Goa mein human trafficking ki rate badgaya hai sir , khulle aam ladkiyon ko kidnap karke lekar jara hai aur uske saath jo bhi hotha hai unhe maar detha hai , fhir ladkiyon ko kaha lekar jara hai yeh kisi ko pata nahi chaltha ..
Yeh sab ek ladki bhi waha kuch information karan ko dene keliye aayi thi , lekin karan ka attitude dekh kar Rukh gayi thi ab ustad ji ki baat sunkar uski aankhon mein paani aane lage ..
Karan : wahh ustad ji jo baat mujhe pehle se pata hai usse fhir se bolne keliye tumhe zubani thanks bolu ya thanks ka card likh ke dedu , kuch Naya bathav ustad ji..
Uss ladki ko karan ka behaviour kuch bhi accha nahi lagra hai , ustad ji iss police taane ka senoir inspector hai aur bahut inmandar officer hai , iss case mein iss ladki ko bahut help Kiya hai , uske saath ayisa batein karna uss ladki ko bilkul pasand nahi aari hai ..
Karan : chalo woh victor ke baremein kuch bolo .
Sabhi log ek dusre ko dekhne lage ..
Uss ladki ko bhi thoda ummed agayi ki shayad karan usse help karega ,, lekin kuch hi seconds mein woh umeed bhi chali gayi karan ke baatein sunke ..
Karan : waise maine suna ki victors parties accha kartha , old monk rum milthi hai kya uska party mein ..
Ustad ji ko sab pata tha isiliye woh chup chaap sun raha hai ..
Karan : ( by lightening the ciggeratte) waise yeh victor toh bada party lagra hai , kuch bada hi rakam milegi na humme after all ithni badi danda bina gift deke nahi chala saktha woh ..
Jo log abhi police station mein the un sab ko ab karan ki image ek dum se badal gayi thi , woh ab ek corrupted officer ki tarah dikh raha hai , tabhi ek junior inspector Aslam ne bola ...
Aslam : sir hum maante hai aap humare senoir officer hai lekin aap yaha ladkiyon ko bachane aaye hai , bhejne keliye nahi , sharam aani chahiye vardi pehen kar ayisi soch rakhne keliye ..
Isse pehle ustad ji kuch bolthe karan ne chup ke se haath dikhaya aur bola ..
Karan : Aslam, iss dande mein sirf humari profit dekhna hai , ladkiyon ka kya woh toh life mein aate jate rehthey hai ..
Karan yeh kehkar hasne laga , uske saath kuch constables bhi hasne lage , yeh dekh kar woh ladki jo abhi tak yeh bakwaas sun rahi thi uski patiency level katham hogayi woh gusse mein waha se jane lagi ..
Karan : ma'am aap kaha jare ho ?? Complaint nahi deni kya ??
Girl : complaint ?? Aur woh bhi tumhe ?? Mujhe laga ki alteast tum iss case mein madad karoge aur un ladkiyon ko bacha sakthi jo uss daldal mein fhas gaya hai , lekin tum toh kudh ek corrupted officer hai , tumse help expect karna meri galathi nahi bewakoofhi hogi...
Ustad ji: Monami beta yeh sirji ..
Karan stops by showing his hand ...
Monu comes near karan and sees starightly into his eyes ..
Mo : sirf aur sirf tum jaise officers ki wajese , public ko police walon par vishwaas udta jara hai , infact aam log goondon se zyada police walon se darne lage , i wish ki mein abhi ke abhi tumhare muhh par keench kar ek tappad mardu , lekin jo yeh dress hai na jo abhi tum pehna hai , usse mein bahut respect karthi isiliye haath nahi uta pari hunn , zindagi kabhi tumhara shakal math dikhana mujhe ..
Saying this Monami left from there , but karan toh uski adha par apna dil kho bhaita hai , unke chehre par ek chota sa smile agayi thi Monami ki himmat dekh kar , lekin woh tehra toh ultikopdi hi hai , usne case par concerntrate karne laga...
Karan : lagtha hai Goa ki climate bahut hot hai ..
Jathe jathe yeh comment sunkar monu ki gussa aur bhi bad gayi , woh waha se gusse mein chali gayi ...
Tabhi constable patak ne bola ..
Patak : sir ji , lagtha aap masthi bahut karthe hai ( to a boy ) chotu saheb keliye ek chai lekar aa , aur saath mein biscuits bhi ..
Karan : ( by tapping on patak shoulder ) humm mein ithna bhi khadoos nahi hunn ..
Patak bhi samajne laga ki log jo iss officer ke bare mein bolthe hai sab jhoot hai , na toh yeh officer case mein interested tha nahi kaam mein ..
Patak : saheb ji aaj victor sir ki Janam din hai agar aap chahe toh mein milwa saktha hunn aapko ..
Karan : ohh birthday party matlab dharu , mein dharu keliye toh kayi bhi Jaa saktha hunn ..
Ustad ji had a smirk on his face ..
Finally din raat mein dal gayi aur karan ustad ji, patak aur Aslam party ki venue par pahunch gaye. Aslam toh karan par bahut gussa tha , agar unhe chance mile toh victor ke saath saath karan ko bhi goli maar dega ..
Sabhi log party mein enter hogaye victor ne karan ko dharu ke glass ke saath welcome kiya ..
Karan glass ke upar rakh diya ..
Victor : karan Sherghil saab , patak ne bahut kuch bathaya tumhare baremein , tumse milkar kushi hora hai mujhe ..
Victor ne hand shake Kiya aur karan bhi muskhurathey huye, vactor ko haath pakda , victor ne haath release Kiya lekin karan abhi tak victor ki haath ko choda nahi .
Victor : haat chodo dosth .
But karan ne grip ko aur tight kiya ..
Victor : yeh kya kar Raha tum ?? Chodo mere haath ko ..
Ab victor ki haat dard karne laga ..
Victor : ahhhhhh arey yeh police wala humme bewakoof banaya hai , maaro isko. .
Karan bina victor ki haath chode hi sab ko maarne laga , kiski ko chest mein maartha toh kisi ko stomach , woh ithna speed se maar raha ki kisi ko kya hora hai digest bhi nahi kar paraha hai ..
Finally karan victor ki haath choda aur victor haath ko pakad ke neeche jameen par bhait gaya , karan apna ciggerate ko jalaya aur bola ..
Karan : tum ne karan Sherghil bahut kum samja victor , ( smoke ko bahar nikalthe huye ) aaj se tera bura wakth shuru huva hai kyuki tumhara mulaqat karan Sherghil se huva hai , aur ithna hi nahi abhi se yaha kisi ladki ke saath galat karneki sapne mein bhi socha na , agle minute tum apne saamney mujhe dekhoge ..
Victor : tum jaise officer ko bahut dekha maine , ab tera bura wakth bhi shuru huva hai , aur yaad rakhna abhi tak jithne bhi ladkiyon ko maine kidnap kiya , sab ko Dubai pahunchakar hi rahunga hosakey toh bachakar dikhav tab manunga ki tum ek saccha police officer ho ..
Karan didn't give any expression and started counting 3 2 1 on his fingers , jaise hi woh 1 count Kiya waise hi pura venue ke ander bomb blast hone lage aur sab ke sab hawa mein usne lage , karan , ustad ji, Aslam , victor thoda dhur hai isiliye bach gaye , lekin karan ke alawa sabhi log yeh dekh kar heraan hogaye ,, victor chillane laga .n
Victor: mera maal , mera karodon rupai drugs.
Karan : tujhe kya laga ?? Mein ithni dhur tumhe warning dene keliye aaya tha , tch tch tch , yeh toh fhir bhi bacchon wali khel hai victor aage aage dekho mein tumhare saath kya kartha hunn ..
Yeh kehkar karan apna chasma nikala aur uske upar blow kiya aur apne aankhon mein laga kar waha se muda hi tha patak karan ke phairon ke saamney girgaya , karan puri tarah ignore karke waha se jane laga ustad ji ko pahle se hi patha tha unka karan sirji ka strategy kya hai isiliye unke chehre par ek muskaan tha , lekin aslaam toh karan Sherghil keliye fan hogaya tha , jo abhi kuch dher pehle jaan se maarneki soch raha tha ab Jaan dene keliye bhi ready hogaya tha ..
Karan : Aslam ..
Aslam : ( by saluting) ji sir ..
Karan : gaadi nikalo abhi bahut kuch saaf karna hai Goa mein ..
Aslam feels proud and gets into the jeep and started the jeep , they 3 left from there in full swag ....
*************""
Dusri taraf Monami beech mein ek sunsaan jagah par bhaiti hothi hai , raat ki andera mein chaand ki roshini mein samadar ki lehron ki shore se zyada uski dil teezi se dhadak rahi hai , woh ek tak samandar ko dekh rahi hai , tabhi peechey se kisi ne bola ..
"Aur kithni dher dekhthi rahogi "
Monami didn't said anything but seeing the waves ,, that person came and sat beside monu .she kept her head on that person shoulder .
Mo : adi life long ayise hi rehne ko mann kar raha hai mujhe ..
Adi : woh toh possible nahi hai , ithni handsome hunk ko tum ayise kaise apna bana sakthi ho ??
Mo : woh toh mein already kar chuki hunn , tum sirf mere ho aur mere hi rahoge , aur mein tumhari ..
Adi : hunn madam Aaj thoda accha mood mein hai isiliye ithni shanthi se baat kar rahi hai , warna jo kuch bhi aaj police station mein huyi uske baad toh mujhe laga ki tum Sara gussa mujh par nikaal degi ..
Mo : yaar fhirse yaad math dilaav uss officer ka kithni ummeed lekar gayi thi aaj police station, lekin humesha ki tarah aaj bhi mein galat hunn .
Adi : woh sab chodo lekin ek fraction second keliye Jo tumhari chehre par smile agayi thi kuch dher pehle woh chahiye mujhe ...
Monu smiles by hearing his words ..
Adi : hayee issi smile ki wajese mein baar baar tumhare pyaar ki jaal mein pad raha hunn . .
Mo : chup karo tum , jab dekho tab flirt karthe rehthe ho ..
Adi : you know something, i love you ..
Mo : but i love you more ...
Tabhi kisi ne dhur se bola ,
"Oye ladki iss wakth yaha akeli kya kar rahi ho ?? Jaanthi nahi kya iss wakth yaha rehna safe nahi hai "
Monu jaise neendh mein se jaagi ho aur peechey mid kar dekhi toh karan , Aslam petroling keliye agaye the , actually Aslam ki duty thi , lekin karan sab kuch ek baar dekhne keliye waha agaya tha ..
Karan ko patha nahi kyu, monu ko dekh kar unke ander ek ajeeb sa hal chal hone lagi , monu undono ko puri tarah se ignore karke waha se chali gayi , lekin karan ek tak usse hi dekhne laga ..
So that's it for today ..
Yaar i thought ki yeh book ko ek hi chapter mein khatham kardungi lekin emotions ko ek chapter mein dikhana mushkhil hora hai , so may ek do chapters aur ayengey iss book ki ..
So abhi tak Jin logon ko bhi yeh confusion hai ki iss book ka lead koun hai ..
Here is the character skech of this story ..
ACP karan Sherghil ..
Dr Monami Mahajan...
Major Adithya Sinha. .
It's a complete traongle love story .m
Let's meet in next chapter soon ..
Agar by mistake story acchi lagi toh vote and comment karna math bhuliye 😁😁
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top