dil na jaaneya ( part 8 )
Hai ..
Hello ..
Happy reading ..
So here i am with a new chapter ..
I believe that every failure gives us a new experience , so my last update is also a new experience for me ..
Ab zyada time waste na karke chapter shuru karthe hai ...
***********"***"*
Monu : ( in call ) Aslam kuch pata chala , woh ladkiyon kab aur kaha bhej Raha hai ??
Aslam : nahi bhaji , karan sir yaha sab kuch tight kardiya hai , mujhe bhi kuch nahi patha chala iss baar ..
Mo : toh pata karke bathav Aslam , tum jaanthe hona yeh kithna important hai..
Just then someone grabs phone from Aslam hand ..
"Agar kuch jaan hai toh aap humme directly bhi puch sakthe hai "
Mo : app ??
Karan : ji mein karan Sherghil ..waise puchiye kya puchna hai ..
Mo : aap victor ko kaise pakadne wale hai ?? Do din mein woh sari ladkiyon ko export karne wala hai , aur aap abhi tak kuch nahi kar rahe the ..
Karan : madam jaisa diktha hai waise nahi hotha humesha , waise bhi cheezon ko Bina jaane hi assume karna aapki aadat hai , ismein mei kya kar saktha , anyways aap humare team join karsakthe hai ..
Mo : aur aap koun hothe hai permission Dene Wale ?? Mein khud sab kuch kar sakthi hunn mujhe kisi ki help ki jarurat nahi hai ..
Karan sees the phone in his hand and signs in disbelief..
Karan : dekhiye madam , mein aapko koi permission nahi de raha hunn , bus yeh raha hunn ki aap humare saath kaam kar sakthe hai , agar aap akele karengey toh khatra hogi isiliye humare sath aane ko bol raha hunn ..
Both were silent for 30 seconds..
Karan was waiting for monu 's anwer but monu was still unsure with her thoughts ..
Karan : dekhiye ab aap mere baat nahi maane toh majbhuran mujhe aapko house arrest karna padega kyuki aapko akele bhejne ka risk mein nahi le saktha ..
After a few minutes of silence ..
Mo : teek hai mein abhi police station aati hunn ..
Karan smiles to himself and says
Karan : jarurat nahi aapko police station aane ki , mein aur Aslam aapke Ghar ke saamney hai ek white colour suv mein , aap face cover karke ayiyega ..
Mo : matlab aapko pata hai mein Maan javungi ..
Karan : nahi mujhe pata hai mein aapko mana lunga ..
Mo : ( mutters under the breath ) sach an idiot ..
Karan : haan ek minute saree mein math aana , mein distract hojavunga ..
Mo : what ??
Karan : i mean saree mein mission ko complete karna mushkhil hai isiliye ..
Immediately monu cuts the call irritatingly , karan senses someone's glare on him ..
Karan : kya hua ??
Faizi : jo raita failaya hai uss din woh khafhi nahi tha ?? Ab fhirse uss ladki se flirt kar rahe , pagal hogaye ho tum ??
Karan : jo galathi hogayi hai isse teek karna chahtha hunn , and i want to marry her , bcoz i really love her ..
Faizi : but karan ...
Karan kept his headphones and start kuch old Kishore Kumar songs and remembers what happened btw him and monu at that night when he got to know about her past ..
Here monu changing herself into kurthi and jeans from saree remembers the same thing which was happened on that night .
*************
Flash back ...
Monu was still unconscious bcoz of medicines , she had fever also ..
Karan was keeping wet cloth on her forehead , and giving a regular check on her ..
Suddenly she wokes up from her sleep and saw karan caressing her hair , she feels uncomfortable..
Mo : aap abhi tak yaha ho ??
Karan : haan aapko bhuka tha isiliye ..
Mo : it's ohk i will manage, aap jayiye ghar ..
Karan : it's ohk kal subha chala jaunga ,khafhi raat hogayi hai ..
Monu can't deny, she about to stand but karan says in btw ..
Karan : kuch chahiye aapko ?? Bathayiye mein help karunga ..
Mo : no it's ok i will manage, mujhe kisi ki help nahi chahiye ..
She is a bit rude to him .
Karan remains silent bcoz he don't want her to feel uncomfortable..
She about to go to washroom, but in btw her head got spinned and she stumbles with a teapoy , she about to fall but karan saves her from falling ..
Thats it for karan , he bursted on monu .
Karan : samajthe kya ho apne appko ?? Humesha chot lagavane ki aadat lag gayi kya ?? Mein keh raha hunn na help karunga sunte kyu nahi tum haa ??
Mo : stop it and leave me , i told you na, mujhe kisi ki help nahi chahiye , waise bhi aapko meri ithna chinta kyu hori hai ??
Karan : haan chitha hotha hai mujhe tumhare liye , aaj se ya abhi se nahi jis din pehli baar aapko police station mein dekha tha tab se i care for you, i dont know why but tum jab bhi koi problem mein hothi toh mere dil ko pata chal hi jatha hai , chot tumhe lagthi hai lekin yaha ( pointing to his heart ) yaha mere dil mein hothi bcoz i love you , when the moment I saw you for the first time..
Shock is very underestimate to monu ..
Mo : tum bhi baaki jaise hi ho ?? Ek ladki ko dekha nahi , kwaab dekhne lage ho , jao yaha se ,and kabhi mujhe apne shakal math dikhana ...
Karan : ( in frustration) tumhe yeh lagra hai ki mein tumhari faida utana chahtha hunn ..
Mo : aur nahi toh kya ?? Yeh pyaar vyaar ka ....
Woh yeh bol hi Rahi thi ki karan ne apne lips ko monu ki lips ke saath jhod liya tha ...
Ek second ke baad dhur hogaya tha ..
Karan : mere pass iske alawa koi tareeka nahi hai , agar mere chuvan mein 0.0001 percent ka lust bhi mehsoos ki na toh mein zindagi kabhi apna shakal nahi dikhavunga ..
Yeh kehkar woh waha se chala gaya aur uss din ke baad nahi monu karan se mili , nahi karan monu se mila ...
Flashback end
***************
Monu : ( hiding in suv ) hum yaha kya kar rahe hai , yeh kounsi jagah hai ??
Karan : kuch dher inthazaar karo samaj javogi ..
Tabhi ek ladki apni friends ke saath coffee shop se ander aane wali hothi ek van mein kuch nakaab pehne log aakar uss ladki ko kidnap kar lethey ..
Mo : yeh log yeh log uss ladki ko kidnap karke chale gaye , chalo follow Karo unhe , bachana hai uss ladki ko ..
Karan : relax woh mask men koi aur nahi Bala and Sid the ..
Mo ;: what ??
Karan : yes , ab game shuru hogayi hai , ab aage dekho kya hothi ....
Monu got confused ...
************
After few hours .
DGP : ( in call to victor ) meri beti ko tumhare logon ne hi kidnap kiya hai , coffee shop ki CCTV camera mein tumhari gaadi ka number plate nazar aari hai , yeh sab kya chalra hai victor ..
Victor: ( in call ) trust me DGP , yeh sab uss karan ka plan hai humme fasane keliye , yaad hai na parso sari ladkiyon ko sea routine se bahar bhejna hai , isiliye yeh sab kar raha hai ..
DGP : i know but i want my daughter back , ab tum hi kuch kar sakthe ho , un ladkiyon ko wapas kardo victor. .
Victor : tumhari beti keliye mein apna kaam kyu rokhu ?? Jane do tumhari beti ko , badle mein 20 percent extra dunga ..
DGP : tum pagal hogaye ho , mein paison keliye apni beti ko bhejunga ??
Victor : ( laughing ) hehehe hey tum toh ayise bol rahe ho ki tum koi saccha imaandhar officer ho , waise bhi woh karan ladkiyon se kuch galat nahi hone dega , so chill kuch nahi hoga ...
DGP : haan mein maantha hunn, mein aaj tak Tere har ilegal activities mein tere saath diya hai , lekin ab baat meri beti par agaya hai , and agar usse kuch hogaya toh mein tumhe expose kardunga ..
Victor : jo karna hai karlo victor kisi se dartha nahi ..
All this was heard by Ayesha ( DGP daughter ) from Sid laptop as he hacked victor phone and laptop..
Ayesha : mere papa yeh sab karthe ..
Karan : aur bhi kuch kar sakthe hai , ab in sab ko bachana tumhari baath mein hai , kya tum humare saath dogi ??
Mo : karan just leave her , yeh galat hai , tum baaki masoom bacchon ko bachane keliye ek aur baccho ko use kar rahe ho , yeh sab mein hone nahi dungi , Ayesha chalo mein tumhe Ghar chod avungi ..
Karan : dekhiye kabhi kabhi galat ko sahi karne keliye galat ka raastha apnana padtha hai , so plz samajne ki koshish kariye ..
Mo : fhir end of the sab kuch Ayesha ko sehna padtha hai , iss ke baad hazaar log haraaz sawal puchenge , tumhe kaha lekar Gaye , kya kiya tumhare saath , kya tumhqre saath kisi ne force Kiya hai ?? Yeh sab ek ladki ko hi sehna padtha hai ..
Ayesha was still in shock which is clearly visible in her eyes ..
Monu sat beside her and says ..
Mo : dekho tum ek kaam karo ghar wapas jane ke baad boldo ki kisi dosth ne tumhare saath prank Kiya hai , that's it don't worry everything will be under control..
Ayesha : nahi ma'am , jab mujhe yaha lekar aayi toh mein kithna dar gayi thi , mere jaise hi bahut sare ladkiya hai jo yeh sab ko seh rahe the , i want to be a future army officer , agar aaj mein peeche Hut gayi toh kabhi meri sapne tak pahunch nahi pavungi , ( seeing karan ) sir i am with you in this mission ..
Karan : thank you chalo koi toh baat ko samja ..
Monu glares at him but he royally ignored...
****************
Home minister : ( to his team ) tum log kya kar rahe ho ?? Yaha subha se press and media police walon ka izzat mein mazaak bana rahe hai , tum log abhi tak koi action kyu nahi li ?? And jiss kaam keliye mein karan ko appoint kiya tha spl duty mein woh bhi koi response nahi dera hai ,, yeh sab kya hora hai ..
One of the office : sir subha se contact karne ki koshish kar raha hunn , karan ka team se baat hi nahi ho pati hai ..
Hm : toh kya mein khud jao unse baat karne ??
Senoir officer: sir sunne mein accha toh nahi lagega lekin yehi sach hai , aapko hi baat karna hoga karan , you know him very well ..
Hm : ( taking a deep breath ) ok call Karo unhe mere number se , i mean mere personal number se ..
Hm minister PA calls to karan ..
***************
Here karan police station ko lock karke baaki gali mahole ke baachon ke saath Gilli danda khel Raha hai , monu gusse toh gusse mein dekh rahi hai , Lenin bhi baaki bacchon ke saath khel raha tha tabhi faizi ko call aaya ..
Faizi : karannnn , home minister se call aaya ..
Karan : hello sir kaise ho , aapko meri yaad kaise aaya ..
Hm : karan kya kar rahe ho , subha se kaha ho ??
Karan : sir Gilli danda khel Raha hunn bacchon ke saath , kya mast game hai maza aara hai ..
Hm : what ?? Yaha ithna sab kuch hora hai and yeh sab kuch tumhe mazak lagra hai ??
Karan : sorry sir but mazak toh hum pehle hi ban chuke hai kithni baar aap se bola ki mujhe sari ladkiyon ko rescue karne ka permission chahiye aapne toh Diya hi nahi , ab mein kya kar saktha hunn sir ..
Hm : ok ab dera hunn immediately Ayesha ko rescue karo and saath mein sari ladkiyon ko bhi bachalo .
Karan : thank you sir , shaam tak sab kuch clear hojayega ...
He cuts the call .
Karan : officers back to work , humare team ko inform Karo ki the mission is on , ( to children ) bacchon hum kal khelengey yeh game abhi mujhe jana hoga ..
Kid ok bolke chale jathe hai ..
Karan : chale rani sahiba , ab thoda action bhi karle ...
Without giving him any answer monu left from there , karan follows her ...
****************"
" Breaking news aaj India mein har ek badi sheher mein ek saath raids hogaye the , ismein more than 700 girls recue kiye gaye hai , aur Goa ki sab se bade gangster victor ke bahut sare admi pakade Gaye ,
Police har jagah victor ko doond rahe hai , agar victor pakde gaye toh bahut sare bade logon ka naam bahar aane ki chances hai , dekhthe hai karan and team kaha tak sadak ho jayengey iss mission mein .."
***********
Hospital
Karan : faizi kya hua hai iss ladki ko ?? Behosh kyu hai ??
Faizi : jab yeh ladki humme mili toh bahut buri condition mein thi karan , iske saath kisi ne buri tarah rape Kiya hai , bina kapdon se behosh padi thi Sanju isse kapde pehna kar bahar layi hai , Monami isse treatment ki sakth jarurat hai ..
Monami toh iss duniya hai hi nahi , usse uss raat ki yaad agayi thi , jiss din woh apni bacchi ko khoyi thi , ayise hi behosh hogayi thi jab usse pet mein maara , jab ymonu yeh sab yaad kar rahi uski aankhon se lagadhar aasu aane lage ,
Tabhi karan ne jhor se monu ko hilaya aur bola ..
Karan : dekhiye Monami , aap ke saath jo kuch bhi huva uska bhi hisaab barabar karengey lekin aap apne duty ko complete karna padega , ab uss ladki tumhari jarurat hai, so apne aap ko sambhaliye aur uss ladki ko treatment shuru kardijiye ..
Monami ko ayise lagne laga ki yeh sab karan nahi adi bol raha hai , woh kuch der karan ko dekh kar fhir khud ko control karke operation theatre mein chali gayi ..
Akhir ek doctor ki life hothi hi ayise , woh log apne dard ko bhul kar har worst se worst situation par bhi ready rehna padtha hai ...
Kuch dher baad Monami operation theatre se bahar aayi ...
Karan : ab kaisi hai woh ..
Mo : jaan ka toh Katra nahi lekin , heal hone mein bahut wakth lagega , bahut buri barthav kiya hai uss ladki ke saath ..
Karan nodded and hold monu hand started to left from there ..
Mo : kaha jare humm ..
Karan : bola na hisaab barabar karna hai , abhi pay back ka time hai ..
He didn't left her hand and make her sat in jeep , Sanju koel bhi un dono ke saath Gaye ,, faizi aur baaki sab hospital mein baaki sab ke saath hai ..
**********"*""*
Karan stops his jeep infront of a police station..
Yeh wahi police station tha jaha monu ke saath galat huva hai ..
Monu ko sab kuch ek saath yaad aane lagi , jo kuch uss raat mein huva tha , woh peeche mud kar jane lagi toh kisine uski haath padka , woh sar utakar dekho toh saamney Adithya khada tha , monu ki sorrounding smoke se bhara huva tha , adi ke alawa kuch dikhayi nahi de rahi thi usse ..
Adi : nahi monu iss wakth tum peeche nahi hatogi , agar iss wakth kamzhor pad gayi toh zindagi bhar kamzhor hi reh javogi and i know meri Monami kamzhor nahi hai ..
Kisine monu ko jhor se hilaya toh woh apni khayalon se bahar agayi aur dekhne lagi , karan ander jane ko ishara kiya toh ander dheere dheere chali gayi ..
Waha ki lady inspector ne monu ko dekhi aur bolne lagi ..
Komal ( lady inspector) : oyye ladki tum , ithne dinon baad ?? Waise kya chahiye ab tum muhh utake fhirse agayi ..
Monu ki ander ki sari pain bahar agayi aur seedha inspector ko tappad maardhi ,, thappad ithni zhpr se maari ki inspector ki hosh udd gayi thi , fhir kuch second ke baad inspector kush ko sambhali aur monu ki hair pakadne lagi ..
After all police wali hai , chup toh bhaitegi nahi ..
Monu ki Baal padkadthe huye dekh kar koel , Sanju dono madad karne keliye aage Jane Lage toh karan ne un dono ko rokha ..
Karan : acchi baat hai , ek ladki dusre ladkiyan stand lena chahiye but iss wakth nahi , yeh uski ladayi hai isse khud ladne do , jab tak woh sari dard ko bahar nahi nikaal payegi woh kabhi teek nahi ho payegi , normal life nahi jee payegi , so back off guys ...
Sanju and koel ne wahi par Rukh Gaye ...
Monu kudh ki baalon ko chudayi aur inspector ko dakka dedi , waha ki pass wali stick utake komal ko maarne lagi ..
Uss raat jo kuch bhi komal ne boli sab kuch yaad karke maarne lagi , uski baby ki dard ko yaad karke jo uss duniya mein aayi bhi nahi uss ko yaad karke maarne lagi , kuch minuton ke baad , komal ne haar maanli aur monu ko phair pakadke maafhi maangne lagi , apni galathiyon ko sab ke saamney bayaan dene ke baad monu ko lekar karan and team waha se chale gaye ..
Monu ko bahut dinon ke baad mann mein thoda halka fee hone laga ..
Hala ki uski dard ithni asani se puri tarah Jane wali nahi hai par yeh sab zakam par thoda maram lagane jaisi thi ...
********************
Victor : ( to himself while driving ) mein uss karan ko chodunga nahi , fhir se wapas avunga aur un sare logon ko ayise mooth dunga ki kabhi bhul na jaye ..
Saying this he turned his car towards forest area ..
Here Monami and karan were in forest ..
Mo : hum yaha kyu aaye hai ??
Karan : ( by doing something with stones near him ) hunting karne , kuch ek jungli janwar yaha ki Masoom janwaron ko bahut dinon se sata Rahi thi isiliye hunting karne aaye the hum ..
Mo : what ?? Waha victor ko pakadna hai aur tum yaha patharon se taj mehel bana rahe ho ??
Karan : wait rani sahiba , ithni jaldi judge math karo mujhe ..
Just then karan's phone got pinged and he saw the msg ..
Karan : chalo yaha se , jungli jaanwar aarahi hai raasthe mein hi hai ..
He takes her to a side , just then a jeep comes and stublems with a thin elastic wire and jumped in air and just then all bigs rock who were attached with the thin elastic wire got blased and felled on that car , that car was fully covered with big rocks ..
Mo : koun tha is caar mein , and tumne blast kyu kardiya ..
Karan : chalo jake dekhthe jinda hai yavmar gaya hai ..
They both comes to the car and removes the big rocks from that car , monu shocked to see victor in that car ..
Karan : ( by checking victor pulse ) chalo zinda hai , mera kaam toh pura huva hai , aage ki tum sambhalo , ab mujhe rest karneka ka wakth agaya ,,
Yeh kehkar woh aaram se gaadi ke bonut ke upar bhait jatha hai , monu apni bag se ek water bottle nikal ke victor ko pila dethi hai , karan yeh sab confusion mein dekh raha hai , akhar yeh ladki ke ander ithni sari patience kaha se aayi hai ..
Mo : bus ek hi sawaal hai victor ,plz bathav adi kaha hai ,
Victor : ( by taking heavy breath ) uss officer ko humne maar diya hai , uss din proof ko humesha keliye mitane keliye uss officer ki gaadi ko accident kar diye the , aur gaadi ke saath khai mein girgaya aur body gaadi ke saath blast ho chuki thi ..
Monu ki aankhon se aasu nikalne lage , jisko dekh kar karan ko bahut gussa aane laga , woh victor ke pass gaya aur do chaar thappad maara ho tha victor ne karan ke aankhon dhul chata kar apni shoes se ek knife nikaal ke Karan ke chesy mein chup diya tha ...
Monu ko yeh sab process hone mein 30 seconds lagi thi , jab tak karan behosh hogaya tha ,
Victor : kya soch rahi ho ?? Mein ithna bhi accha nahi hunn aur tumhare jaisi bewakoof nahi hunn , jo enemy ko help kar sakhu ..
Mo : tumne karan ke saath kya Kiya ayise behosh kaise hogaya ??
Victor : uss knife ke upar poison thi ab thirty minutes yeh humesha keliye iss duniya ko chod ke chala jayega , agar ho sake toh bacha Lena , mein jara hunn ..
He got up and tries to restart his car , here monu immediately took something from her bag and make karan gulp it with in seconds he got conscious , here victor about to start his car , monu took a bottle and throws on victors jeep , that bottle blast with full force jis ki wajese puri car mein aag lag jathi hai ..
Karan : ( with heavy breath ) yeh kya kiya tumne ?? Bag mein bomb lagakar ghoom rahi ho ??
Mo : chalo yaha se yaha rehna ab safe nahi hai ..
Karan : matlab ??
Mo : matlab bathathi hunn , pehle you need treatment, abhi tumhare ander poison trails hai so chalo yaha se ..
Woh dono ne dekha ki victor cheek raha hai , unka saas nahi chal raha hai ..
Monu karan ko jeep mein bhaita kar seatbelt lagayi aur waha se nikalne lagi ..
Karan : ab bathav kya kiya tumhe , victor ki saasein kyu nahi chalra hai ..
Mo : it's a liquid chloroform jisko 10 seconds sunlight mein lagane ke baad ek chemical reaction hothi hai and uss se
Karan : foshguine gas ke tarah convert hojathi hai ..
Mo : yes ab jo log uss gas ki 10 meters ki radius mein hothey hai yeh gas ko smell karthe hi unke nervous system kaam karna chod dethi hai and sari organs ek ke baad kaam karna chod dethe hai ..
Karan : jiski wajese victor ab tadap tadap ke marega ..
Mo : mein maarna nahi chahthi but i have option , iskeliye jo saza hai i am ready for that ..
Karan : humm ek cigaar milega ??
Monu glares at him ..
Mo : waise bhi kisi ka last wish puri karna acchi baat hai but mein tumhara yeh last wish puri nahi kar pavungi bcoz mujhe smoking ki aadat nahi hai ..
Karan : jiss tarah tum gaadi chala rahi hai , hum hospital pahunchna mushkhil hai , beech mein kisi truck ke neeche girengey ..
Tabhi monu aur rashly drive karna start karthi hai , karan ko hospital pahucha dethi hai ..
Karan ko treatment dene ke baad some senior officers comes to take karan's statement .
Senoir officer: karan what happened and victor kaha hai , we need him alive you know that ..
Karan : sir woh bhaag Gaya hai mujhe and Monami ko maar ke woh bhaag Gaya hai , but don't worry sir hum jaldi unhe pakadengey ..
Senoir officer: ok you take rest now , baad mein duty join karne ke baad fhir se mission shuru kar na ..
Karan : yes sir ...
And senoir officer left from there , monu sees him with questioning eyes but he royally ignored and acts like he need some rest ..
After that incident monu totally avoids karan ..
***********"**
Few days later ..
Military academy..
They arranged a ceremony in honour of Adithya Sinha 's sacrifice for his country , with all respect they give his medals to monu and from far away Adithya was seeing this and had a pride smile on his face ,
I really don't know how was this chapter but i tried to justify monu charector bcoz koi bhi doctor apne aakhon ke saamney kisi ko Marne nahi dethe , chahe woh dushman hi kyu na ho ,
And one more thing monu ek normal ladki hai , ek doctor hai so usse victor jaise gangster se ladne keliye power chahiye so that's why she took the help of karan and team ..
Ab isse zyada toh mein likh nahi sakthi ,
So yeah bye , and let's meet in the last chapter , and abhi tak karan and adi ke beech mein kya hua hai kya connection hai yeh bhi pata chalna baaki hai
Hummm so yeah thank you for being with me till now ..
❤️❤️
Word count 3755 ..
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top