bechara hero
Devil To Prince Or Prince To Devil
Part 4
Naveen Raj aur alekh ko ghar dekha raha tha ki ek kamre ke aage jaa kar raj ke kadmo ne kam karna he band kar diya ...woh statue ban kar bas us kamre me he dekha jaa raha tha ....
Raj ke rokti he bechara alekh jo uske peche peche chal raha tha usse takra gaya aur kuch asa takraya ki zameen me pada nazar aaya...
Alekh : saale kutte ....
Iske aage alekh kuch bolta uski nazar raj ki taraf padi jo ek kamre me dekhne me busy tha alekh utha aur ussi kamre me dekhne laga jaha raj dekh raha tha ...
Uss room me samne ek badi si photo thi ek khubsurat ladki ki ...jab alekh ne dhayan se pic dekhi toh yeh wahi red light wali ladki ki pic thi ...
Alekh : (surprised) arre yeh toh wahi ladki red light wali ladki hain ....
Raj ab bhi bina palak jhapkaye uss tasveer ko dekhe jaa raha tha ...aur naveen jo ab tak silent viewer ban kar yeh sara darma dekh raha tha usse chup nahi raha gaya ...
Naveen : (confused) kon red light wali ladki??? Aur yeh raj kyu ase khada ho gaya statue ki tarha .....
Alekh : phele tu bata yeh ladki kon hain aur iski photo yaha kya kar rahi hain ..kahi yeh teri girlfriend toh nahi ...
Alekh ki baat sunn Kar ek nahi do bijliya giri ek bechare naveen pe aur dosri humare bechara raj uske upar toh jase bijli ke saath saath pura badal he gir gaya ho ....
Raj Naveen : (together) kya ??? ( Phir dono ek dosre ki shakal dekhte hain phir dobara ek saath bolte hain ) dimak kharab hain tera ....
Alekh : (little scared) saale tum dono dara kyu rahe ho ...nahi hain teri girlfriend phir hain kon hain yeh ???
Alekh ka sawal sunn kar raj bhi betab ho kar naveen ki taraf dekhne laga usse bhi iss sawal ka jawab jana tha ...
Naveen : (irritated) behan hain woh meri ... Naina
Raj : (whispering) Nainaaa...
Alekh : (apni aakhe gol gol karte hue) teri behan ??? (To raj) saale tujhe puri duniya me iski he behan mili thi pheli nazar ka pyaar karne ke liye ...
Naveen : (shocked or confused ) pheli nazar ka pyaar ???meri behan se raj ko ?? Kab kaha kase 3 saal se toh raj india me he nahi tha na kabhi meri behan London gayi... na kabhi maine tumhe apne behen se milaya..na kabhi tumne uski photo dekhi ...toh pyaar kase ho gaya ????
Ab tak toh sirf alekh ki aakhe gol gol hui thi par an Naveen ki baatein sunn kar uska dimak bhi gol gol ho gaya tha...
Bechara raj bina palak jhapkaye naveen ko dekhe jaa raha tha...uske yakeen ho gaya tha ki aaj phela din uska kuch kamal jane wala hain... Ab dekhna yeh tha ki phela din asa hain toh aage kya hoga uska ....
Bechare alekh ne kisi tarha khud ko samhala teeno naveen ke kamre me jaa kar baithe...
Naveen : (impatiently) ab bata kya baat hain mujhe sab kuch sach sach bata dekh kuch chupana mat ...
Naveen ki baatein sunn kar bechara raj muh chupa ke baith gaya usne kuch kiya bhi nahi aur naveen uss par shak kiye jaa raha tha...
Alekh Raj ki situation ko enjoy kar raha tha usse pata tha naveen ke aage Raj ki juban nahi khulegi ...aur ab woh iss baat ka pura fayda uthane ke chakar me tha...
Alekh : (looking toward raj) oye bata du isse kase taad raha tha tu iski behan ko ...
Bechara raj majburi bhari nazro se alekh ke dekh raha tha ...aaj woh pyaar me shahid hone wala tha woh bhi woh pyaar jo abhi thik se panpa he nhi
Naveen : (impatiently) arre bol na saaf saaf baat kya hain
Phir alekh ko raj pe thoda taras aa gaya aur usne bina mirch masala lagaye naveen ko raj ki story suna dii..
Jise sunn kar naveen bechara yeh soch kar confused ho gaya ki woh khush yeh soch kar ki uske best friend ko pyaar ho gaya ya yeh soch kar dukhi ho ki uska dil tutne wala hain ...
Naveen : (taking deep breath) raj tu devil hain ???
Alekh : (dramatically) hey bhagwan bas yahi din dekhna baki rah gaya tha .... Tujhe raj ki shadi nahi karani hain apni behan se toh thik hain par iss tarha usse devil toh mat bol yaar mera dost ram hain ram aur tu usse ravan bol raha hain ....mana ki yeh ravano wali harkate karta hain par woh sirf mere saath baki duniya ke liye toh yeh ram hain ram ....
Naveen : kyuki meri behen ko ravan chahiye ram nahi
Raj bechara tennis ball ki tarha kabhi toh kabhi uss side apni gardan ghuma raha tha ...
Phir naveen ne naina ki demand batayi jisse sunn kar bechare raj ke hosh uud gaye ...
Alekh : (double melodramatically) yeh bhagwan main yeh kya sunn raha hu ???? Be...
Isse aage ki woh apna rona rota kuch girne ki aawaz aayi aur jab usne dekh toh raj bechara behosh zameen me pada tha sadme ki wajah se....
End of this part
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top