Chapter - 8 : Kya Gunjegi Sehnai?

Dusra din yun aa gaya maano bin bulaya mehmaan jo mehmaan banne ko taras rahe ho. Vineet aur Viren ko toh ye din swarg se utra hua aisa mauka tha jisse gawana bewakoofi thi wo bhi tab jab saare intezaam ho gaye hai. Raaton raat, dono ne passport banwa liya, paise kam pade toh Rastogi ji ki sone ki chain chura le gaye, unka manna tha jab chain tijori mei padi hai toh kya faida, unke koi kaam toh aaye, so aise sahi. Aur raha sawal maa baap ka toh pass ke nautanki mandali ko kuch paise de niyukt kar liya gaya aur shakt hidayat di gayi ki overacting kar kaam na bigada jaaye kyunki agar kaam bigad toh bhooti kaudi na milegi lekin agar kaam ban gaya toh do ke badle char hazar diye jaayenge.

Ladko ko pata hai, aab unhe ameer hone se koi nahi rok sakta. Aab toh wo nooto ke bistar pe soyenge aur sone ke cup mei chai peeyenge, aab unke pita ke ye do kaudi ka ghar unke kissi kaam ka nahi.

Issiliye, subha subha naha dho ke, taiyaar ho ke Vineet aur Viren ghar se nikalne ko taiyaar hue toh lekin Rastogi ji ne dono ko rok liya.

''Kahan chali sawari?? Itni subha subha baal waal jhad ke, ye mehanga itra laga ke kahan muh marne jaa rahe ho?'' Vyangta se Rastogi ji ne chai ki chuski lete hue pucha toh ladko ka mood ukhad gaya.

''Chai piyo chai, humare mamle mei tang na karo jyada. Kissi ne sikhaya nahi kabhi bahar jaate waqt piche se tokte nahi? Jab dekho mauka mila nahi bolna suru kar dete ho!" Muh banata hua Viren ne apne pita ko danta.

''Sikhaya toh hai, par jab koi ache kaam ke liye jaa raha ho na tab nahi tokte, aur tum dono toh kabhi koi acha kaam kar hi nahi sakte na. Bas din bhar yahan wahan ghoom ye ho, muft ka khana thuste ho aur pade rehte ho fir kya harz puchne mei.'' Ladko ko aaina dikhate hue Rastogi ji bole toh dono ne unhe yun ghora maano unhone koi galat baat bol di ho.

''Aap na apne iss sade hue ghar mei baith ke chai piyo chai, hum kya kar rahe hai wo na socho!" Vineet jhunjhalaya.

''Haan, bade Bill Gates ho na dono, aab mahal mei rahoge na iss sade ghar mei toh aaoge nahi!?" Vyangta se unki maa ne pucha toh dono ne keh diya ki unhe shauk naji yahan rehna ka aur chalte bane Kyunki dono jald se jald shadi kar ameer banna hai jo yahan khade reh ke toh ho nahi sakta kissi keemat pe.

Yahan dusri aur, har din ki tarah Bulbul aur Anamika office ke liye taiyaar ho naste ke liye baithi hai. Inke zehen mei ladkon ki baat tak nahi hai aab, hai toh bas apne office ka kaam par Girish ji saatve aasman pe hai aur badi besabri se ladko ka intezar kar rahe hai.

''Dad breakfast toh kijiye!!'' Apne pita ko bewajah muskurate aur khoye se dekh Anamika unhe hi late hue boli.

''Haan haan!!! Karta hoon!! Tum khao na, main karta hoon!!" Girish ji usse aaswasan dete hai par unki aankhe toh ladkon ke intezaar mei darwaaje pe bichi hui hai ki kab wo aa ke unhe jeevan bhar ki khushi denge.

Bulbul aur Anamika ache se samajh rahi thi unke pita ke mann mei kya chal raha hai par dono ne iss visay pe chup rehna hi sahi samjha aur apne naste oe concentrate kiya. Par wo kehte hai na jab koi poore siddat  se kissi ko chahta hai poori kainat aapko uss se milane mei jut jaati hai. Kuch aisa hi hua Girish ke saath. Unke intezaar ki ghadiyan khatam hui jab dono ladkon ne ghar mei kadam rakha. Khushi se i chalte hue Girish unke pass kud pade aur gale laga liya, dono ne fir apni nakli sanskar dikhate hue unke pair chu aashirwad liya, gadgadate hue Girish ne bhi aashirwad diya par Anamika aur Bulbul ka pada aur mood dono bigad gaya. Dono ne wahan se nikal jana hi sahi samjha par Girish ne dono ko rok liya, akhir wo aise kaise jaane dete dono ko.

''Hai ruko!! Tum dono kahan nikal rahi ho?? Chalo, fatafat jo dekhna janna hai wo jaano kyunki tumhara pata nahi par main jara bhi der nahi karna chahta!!!" Spasthta-ta se Girish bole aur ladkon se passport manga toh dono ne jhat se apna passport Girish ke haath mei rakh diya aur Girish ne apni betiyon ke haath mei jinhe dekh ladkiyon ko jara bhi khushi nahi hui balki gussa aur dukh hua, wo alag baat hai dono jahir nahi kar pai apne emotions ko.

''Dad humei bahut kaam hai, please!!" Patli gali se nikalne ki koshish karte hue Bulbul boli toh Girish ji ne usse aankhe dikha di.

Ladko ne mauke ka faida utha apne nakli maa baap ko phone kar diya aur Girish ko pakda diya. Girish ne tasali se unse baat ki, ladko ki khush kismati se unka kaam ban gaya par ladkiyon ne aab saaf inkaar kar diya.

''Ye kya baat hui?? Pehle kaha maa baap se baat karwao aab kehti ho shadi nahi karni, aise kaise chalega? Hum apne parents ko kya jawab denge!?" Vineet ne kuch gusse mei ladkiyon se pucha.

''Tumhare maa baap hai tum socho par shadi toh bhool jao. Kal toh tum dono ko yahan se bhagane ke liye kuch bhi bol diya par iska ye matlab nahi hum tumse shadi kar le, never!!" Anamika ne apni baat saaf ki toh Girish ka pada chadh gaya.

''Dekho, tum dono aise nahi kar sakti. Tumne wada kiya tha mujh se!!" Girish ne dono ko apni baat yaad dilai.

''Wadaa todne ke kiye hote hai Dad, aur jaruri nahi sab waade nibhaye hi jaaye!!" Bulbul ne Vyangta se jawab diya jisse sun Girish toh baukhla hi gaye, sofa ke upar chadh ke cheekhne lage.

''Tum dono aise nahi milad sakti apni baaton se. Dekho, main bata doon main yahan se kud ke jaan de dunga agar dono ne inkaar kiya toh!" Betiyon ko dhamkate hue Girish bole.

''Sofe se kud ke kiski jaan jaati hai? Dad natak maat kijiye aur niche aaiye!" Bulbul ne apne pita ko neeche aane ka order diya par  aab wo kahan manne wale the, saaf inkaar kiya.

''Nahi!! Agar Yahan se nahi toh chaat se kud ke ya fir main chhuhe marne ki dawai kha lunga ya oily kha ke apna pet bigad lunga aur dawai bhi nahi lunga. Par apni jaan toh de ke rahunga main agar tum dono ne aab shadi se inkaar kiya toh!!" Girish ne saaf saaf dhamkaya aur ladkiyon ko pata chal raha tha, unke pita ki dhamki khokhli nahi. Wo aab bardasht karne ki chatan seema pe pahuch chuke hai.

''Dad, aap aise kyun kar rahe ho? Aap jaante ho humei shafi nahi karni fir bhi jabardasti kar rahe ho, kya ye sahi hai? Kya itna hi pyar hai aapko humse!?" Apne pita ko emotional blackmail karne ki koshish karte hue Anamika ne aankho mein nami late hue boli.

Par Girish bhali bhanti samajh rahe the ye paintra,''main tumhare iss behkaawe mei nahi aane wala, jyada magarmach ke aansu bahane ki jarurat nahi hai. Aab main kuch nahi sunna chahta siwa shadi ke liye manjuri ke!!" Girish ne aankhe dikhate hue ladkiyon se kaha toh dono apna sa muh lekar reh gayi.

Duvidha badh gayi, kya kare kya na kare. Shadi ki iccha nahi par aab pita ko tala bhi nahi jaa sakta, akhir aise mei kare kya? Dono ne kaafi vichara ki tabhi Bulbul ko ek yukti sujhi aur usne jhat se shadi ke liye manjuri de diya. Anamika ki aankhe phati ki phati reh gayi, usse yakeen nahi hue uski behen ne haan kar di. Usne Bulbul ka haath thama toh bulbul ne usse bhi haan karne ki salah di, Anamika nahi maani aur ghar se nikal gayi par Bulbul ne apne pita ko aaswasan dilaya ki wo anamika ko mana legi. Aur saath hi ladko ko saath mei office chalne ka prastao diya taki wo unka business dekh le aur apne pita se jaate jaate ye keh gayi ki wo shadi ki taiyaari kare.

Fir kya, khushi se jhoom Girish ghee ke diye jalane lage, akhir aab sehnai jo gunjegi.
Par kya sach mai sehnai gunjegi?

...

To be continued...

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top