Chapter - 7 : Maa ki Mamta aur Baap ki?

Nirash, hatash dono ladke apne ghar pahuche toh maa ne galiyon se swagat kiya. Pita ne toh kapde tak utarwa liye, akhir ek suit 10 hazaar ka hai aur dono ladkon ki keemat 10 rupaye tak ki nahi.

Mata pita dono, aag babula ho rakhe the, ek pal toh ladko ko aisa prateet hua kahin aaj unka khoon hi na ho jaaye.

''Nalayakon, kutton ki tarah kahan ghoom rahe the kalse? Suit press karwane bheja tha par issi ko chadha ke, babu sahab bann ke kahan awaragardi kar rahe the?? Arey, tum dono ke bajaye agar meine do kutte paale hote toh wo mujhe sukh dete par tum dono uss se bhi gaye guzre ho, kissi layak hi nahi." Pita dono pe garje, apne mehange suit ko saste beton pe dekh unka pada chadh gaya tha.

Ladkon ne apne pita ko ghura,''sukar karo papa hum kitte nahi hai, warna iss insult pe abbi kaat lete na toh aatthaish injection padne se koi nahi bacha pata aapko, baat karte hai.'' Vyang se Vineet bola.

''Aur nahi toh kya, ek mamuli 10 hazar ke suit ke liye itna chilla rahe ho, dekhna ek din iss se mehange kapdon se apne pair pochunga main.'' Viren ne bhi badh chadh ke bolna suru kiya toh pita ne jhat se chata maar diya dono ko.

''Haan haan, lottery jo laagi gayi hai dono ki. Aab toh mahal mei rahoge na, yahan kyun aaye ho!?" Maa ne bhi ullas uda diya.

''Tum do garibon ka uddhar karne. Aab khana lagao, fresh ho ke aate hai. Jab se aaye hai dono miya biwi police police khelne baith gaye, ye nahi ladke bahar se aaye hai toh chai pani puche, hatt!!" Apni maa pe order jharte hue Viren bola aur fir dono bhai apne kamre ki aur badh chale.

...

Naha dho ke taiyaar ho, dono ladke palang pe chadar ki tarah fail gaye. Reh reh ke vichar aa raha tha ki akhir passport ka intezam kaise kare. Jahan tak baat maa baap ki hai wo toh aasani se nakli bhi mil jaayenge par passport kaise milega? Kaise jugad lagaya jaaye iska?

''Viru, hum passport kahan se laayenge? Wo Rajesh tha jo help kar sakta tha par usko bhi papa ne peet ke dushmani mol le li, aab toh wo shayad hi help karega humari. Aise mei kaise hoga humara kaam!?" Chinta mei doobe hue Vineet ne apne bhai se kaha jis ne bhi haanmi bhadi.

''Main bhi wahi soch raha hoon Vinu. Maa baap ke liye toh kissi ko hazar - do hazar denge toh ban jaayenge par passport. Mujhe toh samajh nahi aata papa ko bich bich mei kis chij ke dauhre padte hai jo ye aisi harkat karte hai. Dono miya biwi se ek dhang ki chij expect nahi kar sakte, huhh!!" Kuch krodh mei Viren bola.

Vineet ne ek gehri saans bhari, kuch waqt vichara aur fir bola,''iss Rajesh ko hi pakadte hai passport ke liye. Thoda request kare aur paise ka lalach de toh wo maan jaayega aur iss mas baap ke liye usse aur uski biwi ko hi bolenge kyunki aur koi rasta nahi, jyada logon ko involve kiya toh bhanda phoot jaayega, sone ki murgi haath se nikal jaayegi.'' Gehrai se Vineet bola toh Viren ko bhi baat sahi lagi. Usne jhat se Rajesh se milne ka intezaam kiya kyunki unhe kal hi saare saboot dene honge aur uske liye aaj hi baat karni hogi.

Palak jhapakte hi dono ladke fir ghar se gayab ho gaye. Piche unki maa chillati rahi par aaj tak unhone kabhi uski suni jo aaj sunenge wo bhi tab jab aab wo ameer hone wale hai, bilkul nahi. 

...

Idhar Bulbul aur Anamika ko Girish shadi ka plan bata rahe hai. Wo toh saatve aasman pe baithe hai kyunki unhe pura yakeen hai aab shadi ho hi jaayegi unki betiyon ki.

''Papa aap kyun itna excited ho rahe ho? Abhi koi baat nahi hui hai jo aap itni planning kar rahe ho, calm down!" Anamika ne aone pita ko shant karne ki koshish ki par wo kahan manne wale the. Itni badi khush khabri, uspe rishtey ka itna aage tak badhna, nahi nahi aab toh shadi ho ke rahegi aur wi world tour jaa ke rahenge.

''Kyun na hou excited?? Passport toh dono kal le hi aayenge aur parents se baat bhi karwa denge fir toh rishta pakka na. Tum dono ke bhi haath peele honge, iss ghar mei sehnaiyan banjengi aur kuch saal badh bachon ki kilkari bhi aur main jaunga world tour pe. Haaye, kitna maza aane wala hai. Dekhna itni dhoom dham se shadi karunga ki pura seher dekhta reh jaayega. Meine toh sab decide kar liya hai. Shadi ke card ke saath sab ko gold ke sikke dunga main aur shadi ke din sabhi aurton ko diamond earrings aur mardon ko rolex ki watch aur Bindu!!! Usse toh main pura set dunga diamond ka!! Aur khana!?? Chhapan bhog!! Duniya bhar ke pakwan banenge uss din. Uff, kya din hoga wo bhi!!" Shadi ke khushnuma shapne bunte hue, khushi se machalte hue Girish ji ne apni baat jahir ki toh ladkiyon ka mood ukhad gaya.

''Dad, jo chij ho nahi rahi uske kiye pehle se itna maat socho. Wo dono aab tak aaye nahi hai jab aayenge tab dekha jaayega toh please. Aur rahi baat kissi ko kuch dene ki toh wo tab hogi jab shadi hogi jiska abhi dur dur tak ata pata nahi hai. Toh aab aap shanti se Lunch kijiye.'' Bandhe sabdon mei hi lekin Bulbul ne apne pita se kaafi kuch bol diya jiska matlab samajh ne mei unhe jara sa bhi waqt nahi laga.

''Main keh deta hoon agar dono ke aane ke badh, tumhari shart manne ke badh fir tum dono ne shadi se inkaar kiya toh acha nahi hoga.'' Girish ji ne dono ko dhamkaya par ladkiyan aaj tak unse dari hai jo aaj darenge.

''Dad aap jaante ho hum shadi nahi karna chahte fir bhi uss do loafer ko pakad laaye wo bhi apne do kauri ke rishtedaaro ke kehne pe aur aap chahte ho hum unse shadi kare, kabhi nahi!! Wo toh wo dono jaa nahi rahe the issliye bahana banana pada unhe nikalne ka par shadi toh unse kissi keemat pe nahi karenge hum, aap ye baat ache se samajh lo!" Bulbul ne saaf saaf apne pita se shadi ka faishla suna diya, fir kya tha Girish ji gussa hone lage par bechare jyada kuch bol hi nahi paa rahe the, beti ka khauf jo tha.

''Tum dono ko shadi karni padegi, kyunki tabhi meri world tour jaane ki mannat poori hogi.'' Girish ji ne tark rakha.

''World tour pe hi jana hai na, abhi tickets kar deti hoon aapki chale jao. Par shadi ka khayal demag se nikal doh!" Anamika ne sujhav doya toh Girish ji bhadak gaye aur khana chor ke apne kamre mei chale gaye.

Ladkiyon ne gehri saans bhari, ek world tour ke liye itni badi keemat toh dono chukane se rahi. Aab kal ladke aye, toh unka faishla yahin kar liya jaayega.

....

To be continued.....

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top