Chapter - 5. Pehli milan ka khumar
Girish ji ke ghar se nikal saare rishtedar apne ghar ki aur chal diye. Raste mei na jaane Vaani ne Bindu ko kitni hi khari khoti sunai uske chamchagiri ke liye.
''Vaani Didi tumhe kya problem hai agar dono ladkiyon ki shadi ho jaaye toh? Main toh bas Girish bhai saab ki madad karna chahti hoon isliye ladke dhundhe hai meine, aapko kya dikkat hai?" Bindu ne bhi palat war kiya, akhir kab tak sune wo Vaani ke taane? Aur sune hi kyun?
Vaani shot her a deadly glare,''haan main ache se janti hoon kitni fikar ho rahi hai tumhe unki par ye jaan lo Bulbul aur Anamika apni property ka ek katra bhi nahi degi kissi ko toh aise sapne bhi na dekho!!"
Vaani ki baat sun ke Bindu ne usse ghura, jahir tha Vaani ki baat usse pasand na aai.
Abhi aurton ki behes chal hi rahi thi ki kissi ne unhe rok liye. Samne dekha toh ek car mei do ladke the aur unhone Girish ji ke ghar ka pata pucha. Sab ek dusre ko dekhne lage, samajhne ki koshish karne lage ki akhir hua kya, ye ladke kyun unke ghar ka pata puch rahe hai ki tabhi unn ladkon ne Bindu ko pehchan liya aur apna parichay diya. Bindu dang reh gayi, saath hi baki bhi. Sapko samajh aa gaya ki unke samne jo ladke hai wo NRI hai jiski baat Bindu ne ki air jo ladke Girish ji ke ghar pe hai wo pakka koi aur hai. Ya toh galti se pahuche hai ya fir dhokhebaaz hai!! Jyada chance dhokhebaaz hone ka hai.
Par Vaani ne Bindu aur baki ko wahin chup kara diya, iss se acha mauka usse kahan milne wala tha ladkiyon se badla lene ka. Bahut beizzat kiya gaya hai unhe kal raat ko, aab unki baari hai.
''Beta aap log late ho gaye, Girish bhai saab ne kissi aur ko pasand kar liya hai apni betiyon ke liye.'' Vaani ne jhooth bol diya, ladke nirash ho chale gaye.
Bindu aur baki ne Vaani se sawal kiye par Vaani ne sab ko chup kara diya aur Girish ji se kuch batane ko bhi mana kar diya. Waise toh Vaani janti hai ki Bindu shayad bata hi degi isliye Bindu ko diamond set ka lalach diya jis se wo chup ho gayi aur fir kuch boli hi nahi.
....
Idhar Bulbul aur Anamika ghar aai toh do anjaan ko dekh jhat se samajh gayi unke aane ka karan.
Girish dono sang bade serious ho ke baat kar rahe the asal mei unki jankari nikal rahe the. Abhi tak dono ladkon ne jhooth ke pull band diye hai aur jab Girish ne ye kaha ki unki betiyan unhe chor ke nahi jana chahti toh ladke unke saath rehne ko bhi taiyaar ho gaye. Girish ji gadgad ho gaye ye jaan ke ki ladke itne ache hai, unke liye ghar jamai banne ko bhi taiyar ho gaye.
Par apni betiyon ko gusse ke bhao se khada dekh wo jara side ho gaye. Unhe chetna kari ki aaram se lunch kar le fir aage ki baat karege. Ladkiyan chup rahi, sab khane baithe.
Apne samne chappan bhog dekh Vineet aur Viren ke muh mei paani bhar aaya. Itna saara khana ek saath aur wo bhi itne bade ghar mei. Dono ke mann mei laddoo phoot rahe hai, sapne sanjo rahe hai ki aab toh yahin unhe rehna hai jeevan bhar.
Lekin khane ke badh jab ladkiyon ne seedhe jaane ko kaha toh dono ka muh utar gaya. Itta sa muh leke dono ne Girish ji ko dekha.
''Beta meri baat toh sunn!! Ek baar baat kar lene mei kya dikkat hai?" Girish ji unhe manane ki koshish karne lage.
''Dad!! Kitni baar aapse kaha hai humei shadi nahi karni fir kyun aap hamare piche pade hai? Dad iska koi faida nahi hoga, sirf time hi waste hoga sabka toh behtar hai hum iss topic ko yahin close kar de!!" Bulbul declares, par Girish ji kahan manne wale hai.
Minnatein karne lage, ladkon ke samne hi ajeeb harkat karne lage. Anamika ne unhe unki harkat ke liye danta bhi par wo na maane aur akhir ladkiyon ko hi unki baat manni padi. Aur kare bhi kya? Unke pita kissi aur ke samne bachon si zidd kar rahe hai, ghar se bhag jaane ki dhamki de rahe hai. Aise mei dono ke pass koi aur chara hi kya tha?
Girish ji aur ladke, dono satve asman pe pahuch gaye par dusre hi chan dhar se jameen pe gir pade jab Anamika ne ladkon se akele mei baat karne ki mang rakhi. Girish ji ka dil kanpa, pakka dono ladkon ko bhagane ka upay hai ye, ladke bhi ghabraye, akhir baat kya karni hai unhe soch ke.
Jab Girish ji ne unki baat ko katna chaha toh ladkiyon ne saaf keh diya , agar unhe baat na karne di gayi toh wo shadi nahi karengi. Nirash ho Girish ko unki baat manni padi.
...
Study room
Vineet aur Viren kabhi ek dusre ko toh kabhi samne baithi ladkiyon ko tuk tuk dekh rahe hai. Das minute ho chala hai aur ladkiyan chup chap baithi hai, jaane kya soch rahi hai aur unhe nihare jaa rahi hai.
''Kya baat karni hai aap logon ko?" Himmat kar aab Viren ne puch hi liya, akhir kab tak yunhi baithe rehte.
''Ghuma phira ke baat karne ki hamari aadat nahi, isliye saaf saaf kehti hoon. Humein shadi nahi karni kyunki hum apne Dad ko chor ke nahi jaa sakte, he need us. Par wo hamari baat nahi maanenge issliye tum dono unhe mana kar doh shadi ke liye.'' Bulbul ne saaf saaf keh diya.
''Lekin wo hamare saath bhi reh sakte hai shadi ke badh ya fir hum bhi yahan reh sakte hai, koi problem nahi hai humein, akhir wo bujurg hai aur akele nahi reh sakte toh hum saath mei ek parivar ki tarah rahenge!!" Vineet ne apni maa ka ek purana dialogue chipka diya, usse laga na tha ye betuki baat kabhi unke kaam aayengi.
''Nahi!! Na hum kahin jaayenge aur na tum log aaoge. Ye shadi nahi hogi, jaa ke mana karo Dad ko samjhe!!" Anamika ne unhe dhamkate hue bola.
Par ladke har na maane, unhe jaise bhi shadi karni thi aur ye jaan gaye the ladkiyan pita ko chor ke na jaana chahti isiliye shadi se inkaar kar rahi hai par wo unhe mana ke rahenge, itni asani se ye mauka haath se na jaane denge wo!!
...
To be continued...
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top