Chapter - 11: Shadi ka Laddoo(I)
Anamika ki baat sun Girish ji hakke banne reh gaye, sar maano chakra sa gaya laga pair ke neeche se jameen khisak gayi ho.
''Ye kaisi shart hui bhala? Main tum logon ki saari baat maan raha hoon iska ye Matlab nahi tum kuch bhi bolo. Shadi ke mamle mei main koi compromise nahi karunga, shadi mere hisab se hi hogi!!!" Kuch unche swar mei dridhta se Girish ji bole.
''Dad!! Mera decision final hai!! Agar aapko ye shadi karni hai toh court marriage hi hoga warna main kissi keemat pe ye shadi nahi kar rahi. Aur burai hi kya hai court marriage mei? See Dad, Aapne kaha shadi jar lo toh main ready ho gayi na toh Aapko bhi meri ye baat manni hogi warna main shadi nahi karungi!!!" Anamika ne bhi spasth roop se keh diya.
''Ye Kya bakwash hai?? Ana!! Itne paise ka lya faida jo agar main apni betiyon ki shadi bhi dhoom dham se na kar pau toh? Shadi toh dhoom dham se poore reeti riwaj ke saath hi hogi!!" Girish ji ne bhi zid ki.
Anamika ne gehri sans bhari,''Dad, paise hai iska ye matlab nahi udate firre. Agar aapne zid ki toh main shadi nahi karungi!!" Anamika ne jab aisi baat jeh di toh Girish ji chup reh gaye, akhir bole bhi kya? Shadi na hone ka risk wo nahi le sakte par court marriage? Wo apne rishtedaaro ko kya jawab denge? Par shadi na hui wo jyada badi baat hai, chahe court marriage hi shadi ho jaaye wo bhi bahut badi baat hogi unke liye.
Aadhe mann se unhone Anamika ki baat ke liye haami bhar di par mann mei thann liya ki reception toh wo shandar denge aur ye baat ladkiyon ko biba bataye hi karenge nahi toh kya pata iss mei bhi koi badha paida kar de dono.
''Aur ye shadi aaj hi hogi!!" Anamika ke muh se jab ye nikla toh Girish ji ke pairo ke niche se maano jameen hi khisak gayi ho.
''Aaj hi!!" Bulbul aur Girish ji dono Anamika ko phati aankho se dekh rahe the, dono hi samajh nahi paa rahe the akhir ye ladki chahti kya hai?
Anamika ne dono ko ek najar bhar dekha aur haan mei sir hilate hue boli,''haan, aaj hi!! Aab shadi honi hi hai toh aaj hi kyun nahi!? Waise bhi Dad aap hi kehte ho na kal kare se aaj kar aaj kare so aab!! Toh kar lete hai aaj hi, aapko bhi tasali ho jaayegi!" Anamika ne bari saralta se apni baat kahin par Bulbul ko ye baat itni bhi saral na lagi jis saralta se uski behen boli, in fact usse ko dal mei kuch kala sa laga aur ye kala pan unki bhalai ke liye hi hoga itna toh wo samajh gayi issliye usne bhi iss baat ka samarthan kiya.
''Arey paagal ho gayi ho kya tum dono?? Aaj ke aaj shadi kaise ho sakti hai? Court mei bhi kuch witness toh chahiye na sign karne ke liye wo kahan se layenge itni short notice mei? Aur pehle registration karna padta hai tab hoti hai court marriage aise hi nahi ki tumhara mann hua aur kar liya.'' Girish ji ne betiyon ko dant lagai.
''Meine sab kar liya hai Dad!! Aapko bas uss do chokro ko batana gai aur bulana hai. Baki rahi witness ki baat toh Di ki witness main hoon aur neri witness Di rahenge, problem solved!! Aab aap decide kijiye kya Karna hai kyunki shadi yaa toh aaj hi hogi ya fir dubara main toh haan nahi kar rahi shadi ke liye. So, think about it and be quick kyunki humne 1 bahe tak court bhi pahuch na hai!!!" Anamika ne jab ye kaha toh Girish ji ne jhat se ghadi ki aur dekha, das toh baj chuke hai Matlab Unke pass sirf teen ghante hai sab karne ko.
Haan wo aisi shafi nahi chahte par shadi na ho uss se acha toh kaise bhi shadi ho Ye hai na. Phone utha ke Girish apne room mei bhage, Sukra hai kal ladko ka number le liya tha.
Yahan Bulbul ne Anamika se uske plan ke baare mei pucha toh wo muska di aur boli ki bas wo dekhti jaaye Kaise aab sab unke ishare pe hoga aur kharch bhi bach jaayega unka. Behen ki itni baat sun Bulbul bhi nichant ho gayi, chalo aab shadi ka ladoo bhi kha lenge aur swad bhi bikher liya jaayega.
....
Vineet aur Viren bade aaram se meethe meethe sapne mei khoye hue soye pade hai. Kamra tahash nahash hua pada hai, kal mall se kharedee kapde bistar pe pade hai, dono usse aise daboch ke sooye hai maano koi unhe chura le jaayega.
Dono apni shadi ke meethe sapne dekh rahe hai aur uss se bhi jyada shadi ke badh jo paisa milne wala hai uske sapne dekh rahe hai. Tabhi Vineet ka phone bajne laga par dono ko koi hosh nahi. Jaane kitni baar Phone baja, aur akhir mei Viren ki nind tooti toh usne phone uthaya.
''Kaun hai bey!!" Nind mei hi Viren ne jab ye kaha toh dusri aur ka jawab sun ke uski aankh phat gayi aur wo jhat se baith gaya, Usne Vineet ko bhi uthaya.
''Sone de Viru yaar, kitna acha sapna dekh raha hoon main!!" Vineet ne dusri aur mudte hue bola toh Viren ne usse bataya ki Girish ka phone aaya hai jo sun ke uski bhi aankh phat gayi.
''Iss buddhe ka Phone kyun aa gaya itni subha??" Dheemi swar mei Vineet ns Viren se pucha jo ki Girish ji ki baat kuch jyada hi dhyan se sun raha hai. Uske chehre ke bhao har dusre pal badal se rahe hai jis wajah se Vineet kuch samajh nahi paa raha ki akhir hua kta hai. Kuch waqt badh Viren ne Phone rakh ke ek gehri sans bhari.
''Abey kya hua?? Unn chudailo ne fir shadi se inkaar kar diya kya??" Vineet ne Viren ke chehre ke bhai padhte hue pucha.
''Nahi!! Wo dono aaj hi shadi karna chahti hai! Wo bhi court marriage!! Buddha bola ek baje tak court aa jao!" Viren ne Vineet se bataya jo sun ke kuch pal ke liye Vineet ko kuch samajh nahi aaya kyunki ladkiyan kal tak shadi se bachne ki koshish kar rahi thi aur aaj achanak Shadi ko utavli hai, kyun?? Mann mei ye vichar baar baar aaya fir laga shayad unki khubsurti aur style pe ladkiyan fida ho gayi ho issliye tezi kar rahi hai, akhir itna handsome ladka koi thodi jaane dega.
Dono ke mann mei ek hi se vichar chal rahe the, dono ne ek duje ko dekha aur shaitani muskan muska diye. Jhat se bistar se kud gaye aur taiyaar hone lage, aab toh seedhe uss mahal mei hi nahaya jaayega!! Poore kapde kamre mei bikher diye aur akhir pehna wo jo kal Girish ji ne unhe kharid ke diya tha. Aab sasur ke diye kapde shadi mei na pehne toh kab pehne?
Dono bann thann ke taiyaar ho gaye, phir ek nazaar ghadi pe ghumai toh pata chala saadhe gyara ho chuke hai. Dono ne jhat se bhage, ameer banne ko kuch hi waqt reh chala hai aur uss mei wo koi deri nahi karna chahte. Dono ghar se jaane lage toh Rastogi ji, jo ki nasta kar rahe the unhone dono ko rok liya.
''Lo tok diya buddhe ne, kuch subh karne jao uss se pehle ye kala kauwa kau kau kar hi deta hai!!" Apne gusse ko prakat karte hue Viren bola, Vineet ne bhi uski baat se sehmati dikhai.
''Kahan chali laundo ki sawari? Wo bhi itna bann thann ke?'' Rastogi ji ne sawal kiya.
''Ameer banne jaa rahe hai, yun piche se toka na karo har dum. Khud kuch acha karte nahi hum karne jaa rahe hai toh panauti laga rahe ho, chai peeyo chai!!" Jhunjhala ke Vineet bola aur dono ghar se nikal gaye, Rastogi ji ne bhi dhyan na diya akhir de ke kare bhi kya? Dono sudharne toh wale nahi fir faida kya hai kuch bolne ka?
Ek gehri sans bhar, Rastogi ji apne chai mei leen ho gaye.
......
To be continued....
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top