part9: yagh
dayan ke kai sare sambandh the gaon mein. Dayan ne in sambandho ka istemaal karke aisa chakrawiyi bichaya, jise sare gaon ke logo ko sonam pe shak hone laga aur sonam aur Bablu ko gaon se nikal diya gaya. Unhe dar tha ki agar wo gaon walo ko bata dete ki laxmi dayan hai. Toh laxmi unhe mar sakti thi. Isliye Gaon se chal jana hi unhe behtar vikalp laga. Ab unhe bas badhe pandit ke waps aane ka intezar tha.
Pehle Dayan ki shaktiyo ko kam karna jaruri tha. Kyuki jitni takat abhi laxmi ke pas thi. Woh kuch dino mein hi kisiko mar dene ke liye kafi tha.
Kuch dino bad, Bablu aur sonam ko shyam ki patni ki maut ka samachar milta hai. Aur is antim sanskar mein unhe bhi bulaya gaya tha. Bablu aur sonam ab gaon pohch chuke the. Yagh ke sare chizo ke sath, badhe pandit bhi ab wapas aa chuke the. Ghar ke sare log Nandi ke liye rawana ho rahe the. Isi samay ka fayda utha kar. bablu, sonam, pandit aur badhe pandit ne Bablu ke purane ghar mein yagh suru kar diya tha.
Shyam ki patni ke Antim sanskar ka din -
(Present day)
Mein dadi ke ghar se nikal chuki thi. Aur bahut dhodhne ke wajhe se meri sanse fulne lagi thi. Dimag mein ek hi udeshya tha. Ghar jaldi se jaldi pohchne ka...
Kafi dhur dhodhne ke bad ab mein ghar pohch chuki thi. Maine ghar ke har ek kamre ko dekha ,par ghar par koi nahi tha. Aaj antim sanskar ka din tha toh ho sakta tha ki ghar ke sare log savghar mein ho, islie mein dhodhte hue savghar pohchi aur mene kuch aisa dekha jisse mere ruh kap gaye....
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
By clicking the star icon below, you can vote in this chapter. So please do vote!
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top