~~~DEAR DIARY •1~~~

~~~~~~~~~~~Dear Diary~~~~~~~~~~~~
Aaj phir a gaya tere pass Aaj phir tujhse baat karna ka maan kiya.kitna khudkarz hoon na na main jab dard hota hai tab tere pass aapna dukhda rone ata hoon aur jab dard khatam tab main tujhe bhul jata hoon .Aisa nahi hai ki khayal main tu nahi ata tha jahan main tu tha har pal par apne khushi main dekh nahi paya tujhe.
Main bhi auro ki tarah hoon jaise log apna dukh mujhe suna jate hai aur mera sune nahi ate main apna dukh tujhe  sunaa jata hoon aur terse milne bhi nahi ata hoon.Dear diary tune har pal mera dukh suna lakin mujhe rishta nibhane na aya .Log khate hai ki rishto main dukh aur sukh dono bate jate hai par maine sirf dukh bata sukh batane hi nahi aya kabhi.
Aaj phir ek baar khudgarz bana main tere pass apna dukh batane aya hoon
Puchane aya hoon ki Aaj  haar gaya main.Ab tu puchega aisa sawal achanak jahan main kyu aya . kyuki aaj khayal aya ki main logo se umeed karta gaya ki woh mujhe samjhe par khud unhe samjh na paya .
Unse umeed kar kabhi unke umeedo pe khada na ho paya .kaise insaan hoon main jin logo ne mujhse umeed lagayi maine unhe hi chot pahuchai .Kyu unse umeed karta raha par kudh apne andar na jhaka .itna pyar mila mujhe apno se par main unhe badle main sirf ilzaam dita aya.
Aaj jab kisi apne ne mujhe pe ilzam lagaya toh samjh aya ki apno par ilzaam lagane ka matlab kya hota hai.
Jisse zindagi bar cheeda woh insaan mujhe pyar de gaya par Main use chod dusre main pyar dhoonta gaya.

***********************************

Ham insaan aise hi hote hai jo apna hota hai use hum for granted lete hai.par jo hame sirf dukh deta hai use hum pyaar aur izaat dete hai.Hum durso ko izaat deke unki nazro main mahan bante hai par apno izaat  na deke bhagwan ki nazar mai  gir jate hai.Hamre maa baap jo hume apne jaans se zayaada pyar dete hai unhe hum Sirf dukh dete hai.Apne pariwar ki hum nahi ho pata par dusro ke ho jata hain.
Agar Hum hume janab dena wale ke na hoye toh kisi ke na hoye .

***********************************
Aaj wakt ka khel kuch aisa hai mere zindagi main mere halat ek ped ki toote dhani jaisa hai.

Par ab bas ab bari apni galtiyon ko sudharne ke wakt aa gaya  hai.Wakt aa  chuka hai toote rishto ke dhago  ko phir se pirone ka.
Apno ke dil ko phir se jeetne ka .Aur tumhara sath kabhi na chodne ka.
Ab wakt a gaya hai apno ka hone ka .

...Tumhara raj.
                 
                ~~~~~~~dear diary~~~~~~~

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top