kismat konnection
Happy reading...
Agar ganto mein gina jaaye to main jaane kabse priya ke ghar ke unsofe mein bhethi hui thi..samne wale building mein kuch log lighting se building ko saaja rahe the..raat hote hi ye rang bhi rangin lighto se pure building ko apne rang mein bhar leti..aaj dewali ka phone bar bar aaraha tha..subha se unka call ignore kar rahi thi par abh itni himat bhi nahi thi ki..waise maa se jhut bolna itna muskil nahi hain, phele jab bimar hoti thi to maa ka kadha sink pe baha ke piliya kehdeti thi..
Dosto se ladai hoti to tabiyat karba hain aur jab shopping karti thi to sirf jhut ka hi sahara tha kyu ki cheezo ki asli kimat jaane par maa aise behave karti thi jaise garam garam tava haath se pakad liya ho..
Maa:Baapre itne mein to pure ghar walo ke kapde aajyenge..itni mehangi saadi phene ki umar haun kya meri shreyu..
Maa ko apne liye kharidi gaya har cheez mehangi lagti..
Shreya:Itni mehangi nahi hain maa 80% discount hain tabhi to lerahi huna..
Note count karte hui main badi safai se jhut bolti rahi aur maa yakin karleti thi..
Mere jhut pe to maa yakin karleti thi par meri udas awaaz ko jaldhi pakad leti thi..tabhi phir maa ka call aaya maine isbaar maa ka call leliya aur maa boli..
Maa:Kaha gayab hai tu...waise main puch rahi thi ki dhanlakshmi ki murti milgayi na tujhe maine pichle mahine hi bhejwa dithi..
Mere phone uth te hi maa ne udhar idhar ki baato ke bajaye sidha kaam ki baat puchi..
Maa papa hamesha diwali pe saath mein dhanlakshmi ki puja karte the..papa ganhe ke paato se lakshmi ki puja aur sthapna karte the..paa un paato ko sajate aur maa mantra padte hui laal dhage ko uss pe bandh thi..pati aur patni dono ko milke puja karni hoti thi...
Maa ne saaf kehdiya tha ki isbar mujhe aur daya ko milkar isbaar ye puja karni hain..
Maa:daya se kehna ki sham ko jaldi ghar aajye in tyharo pe hi to riste badte hain..inse bhagogi to rista kaise nibhega..
Shaadi ke baad hum phele saal ki diwali pe main aur daya alag alag desho mein the dusri mein alag alag shero mein aur iss saal ek shere mein hote hui bhi alag alag the..
Shreya:Maa main apni frnd ke ghar hu ghar jaake aapko call karti hu..
Maine phir maa se jhut boldiya..khud se jhut bolte bolte abh iski adat hogayi thi..zyada der unse baate karti to shayad wo meri awaaz ke peche ki udasi ko phechan jaati aur mujhe unhe batana padta ki unki beti aur damad shayad abh kabhi saath mein diwali nahi mananege..
ke nursing home jaate samay mere maan mein ghar chodne ka khayal bhi nahi tha..waha se laut te samay bhi maine ghar jaane ka raasta liya tha par maan ghar jaane se inkar kar raha tha..apne society ke thik phele main green signal ka wait kar rahi thi,signal green hua lekin main left yani ghar ko jaane ke bajaye rt liya...
Abh mere pass koi ghar nahi tha..main mumbai ki sadko pe bhatak rahi thi..kai ghante idhar udhar bhatakne ke baad main kuch samay baad priya ke ghar thi..
Priya ka ghar khali tha..utna hi khali jitna mera dil aur mera maan tha..priya ke pati ka transfer 2 mahine phele hui tha paris aur priya bhi job se resign karke chali gaayi thi..
Shreya:Resign karne se phele soch to le..
Maine usse samjhane ki koshish ki thi..
Priya:Ismein sochna kya hain..jab mumbai shif hui the to vikram ne chodi thi na job,abh oppuchunity badi hain waise bhi paris bohut achi jagha hain mazza aayega..
Priya ke chere pe bas khushi hi thi..
Shreya:Haa par,tera promotion vikram maan jayega..tune 2 saalo se is promotion ke liye kitna kuch kiya hain..raat din mehnat ki..
Priya:Family se bada hain kya promotion..?
Priya ne mere kandhe pe haath rakjte hui kaha..
Priya:Maine apne position ke liye tera naam recomended kiya hain abh sab tujhe ko shambhal na hain..
Jaane se phele priya ne office ki zimedariyo ke saath saath apne ghar ki keys bhi mujhe dediye taki kabhi kabhi main apni maid se us ghar ki saaf safai karwa saku..
Kash priya ki tarha main apna faisla lepati pati aur vikram jaise daya mujhe samjh pate ki career ke liye family ko ignore kiya nahi jaata.
Maine subha se kuch khaya nahi tha..bhuk to nahi thi par is halat mein kuch khana zaruri subha nikalte samay apne saath tiffin mein khichdi bandhi thi wahi nikal ke khane lagi thi..phele mujhe baasi khaye nahi jaata tha abh basi kya taaja kya kuch pharak nahi padta hain..
Maa bhi kabhi khana nahi bacha ti thi..agar bach jaaye to watchmen uncle gangu bai ko dedeti thi..mujhe aisa bacha khana dena pasand nahi tha par wo maa ke liye maa unke liye kaha paraye the..kabhi watchmen uncle bolte bhabhi kai din hogaye aapke haath ka pulav nahi kahya..to gangu bai bolti madamji wo paneer ki sabji bohut swadisht bani thi..bas ye kehne ki der thi maa suru hojati thi wo banane..bas yahi maa ki aadato se hamara parivaar bhar ke logo se juda tha..
Maine bhi socha tha main aise hi apne parivar ko bhand ke rakhungi main bhi apne fanily ko imp dungi aur khushiya batungi par daya ke liye khushiyo ki paribhasa hi lag thi unhe ye sab ki kaha padi thi..
Main kitchen mein kuch banane jaati to mujhe wo tokdete..
Daya:Ye tum kya hamesha kitchen mein khana banane mein lagjaati ho..are fridge hota kisliye hain khana store karne ke liye na..
Shreya:Are baba jab banane walo ko problem nahi hain to aap kya pareshani hain..
Main haste hui kehti..aur khana banane mein lag jaati..aur wo kehte
Daya:Wo isliye kyu ki main nahi chata ki tum apna aadha waqt kitchen mein khana banane mein lagado..u have a bright brain usse sahi jagaja istamal karo..
Unne hamesha yaahi chinta rehti ki ache college se mba karne ke baad main kitchen mein ked na hojao jaise meri ya unhki maa jaisi main khud ko ked karke na rakhulu..
Wo mujhe azaad karna chata tha aur main hi thi jo ked hone ke liye maari jarahi thi..
Hamari saadi ko tab do hi week hui the..maine apne ghar ko apna na suru hi kiya tha..bohut alag the hum dono mujhe choti choti cheezo mein khushi milti aur daya to choti cheeze note tak nahi karte the..phir pata nahi newspaper ke bich pade hui ek envelop ko unhone kaise dekhliya..
Daya:Ye to haaro university se hain..
Shaadi se phele dosto ke saath maine bhi london ke ek university ka form bhara tha aur bhar ke bhul bhi gaayi thi..aj wahi se final interview ke liye call aaya tha..envelop ghar pe aaya tha aur papa ne ussi envelop ko yaha ke address pe bhej diya tha..
Daya:Main janta tha u have a bright brain..tumhe pata nahi abh tumhara career kaise fly karne wala hain..haro university waha aise waise ka admission nahi hota..
Daya mere documents file mein lagate hui bole to main thodi confused thodi ghabrahti hui boli..
Shreya:Haa par abhi main jaa nahi rahi aur abhi to hamari shaadi hui hain aur agle hafte diwali bhi to hain..
Daya:Have u lost it..tumhara admission haro mein hua hain aur tum diwali miss hone ko liye bhethi ho..aur shaadi abhi hui to kya hua zindegi bhar to hame saath hi rehna hain na yaar..
Daya ne is andaj mein kaha ki kya batau..mujhe bikul acha nahi laga main daya ko 1 saal tak akele chod ke dur nahi jaana chati thi..
Diwali miss hojana saath puja na karpana mere liye choti baat nahi thi..itni choti si baat main daya se kehnahi paayi aur shayad agar bolbhi deti towo samajh nahi paate..
Mujhe yaad hain ek baar papa meerut mein atak gaaye the..unhe shaam ko hi aajana tha par bus kharab hogayi thi..hum sab subha se hi sari tayariyo mein laage hui the..subh muhart 7:30 baje ka tha aur papa abh tak puche nahi the..
Shreya:Humlog kar lete hain na puja agar shubh muhrat nikal gaaye to puja ka kya faida..
Maa:Tere papa saath nahi hain to muharat shub kaise hosakta hain shreyu..ye tyhur aise nahi bana hain jab jab pati patni milke koi kaam saath karte hain to unka rista utna ghera banta hain..matlabh puja karne se nahi balki saath puja karne se hain..
Main london nahi jaana chati thi par main daya ki baat se maana kar ke unki khushi cheena nahi chati thi
Nextday meri flight thi..main nervous thi aur rone ko thi aur maine daya ko dekhte hui kaha..
Shreya:Main waha akele kaise rahungi..
Daya:Ismein kya issue hain..
Wo documents ko dekhte hui bole tabhi unhone dekha ki mujhe aay so invitation letter bag mein hain aur wo lete hui bole..
Daya:Ofho ofho shreya seat allotaion aur invitation letter hangbag mein rakhna hain imigation mein zarurath padegina..
Bag se nikal ke wo letter unhone mere haath mein rakha tab wo mere chere ko dekh aur mere kandhe pe apne haath rakhte hui bole..
Daya:Tum itni nervous kyu horahi ho..i knw u can manage aur ek saal ki to baat hain dekhna ye waqt aise bit jaayega..its just another city..
Sahi the daya..main manage karlungi..manage hi to kar rahi thi daya se unke tariko se unke sapno se..unke bhagti zindegi ke saath par abh main manage karte karte thak gaayi hu..
"Ek saal..." ye pahad jaise 365 days bitane ke baad main wapas aarahi thi..phichle ek mahine main khud ko kaise shambhale hain ye main ya daya jante the..
Shreya:Daya 28 ko aarahi hu..diwali ke din..hamari pheli diwali hogi saath mein ufh i m so excited abh kab aayegi ye 28..
Jisdin meri wapas aane ki tarik decide hui aur jab mujhe pata chala ki 28 ko diwali hain main bacho ke jaise khush horahi thi..
Daya aaj kuch nahi bolrahe the bas laptop screen pe mujhe dekhe jaa rahe the aur muskura rahe the..thodisi der baad bole..
Daya:Waiting for u shreya..come soon..
Unki awaaz thodi low thi aur aakhe naam..shyad issi ko khushi ke aashu kehte hain..inteezar maine hi thode kiya tha usdin laga ki daya ke liye bhi ye saal itna hi lamba tha..hamari shaadi bhale hi arrange thi kismat konection se hui thi par ismein pyaar bhi to tha.
Mumbai puchne mein abhi kuchi waqt tha..main ye hisab laga rahi thi ki ghar jaane ke baad fruits laane mein rangoli banane mein..diya jalane mein prasad banane mein kitna time lagega..
Shaadi ke baad meri aur daya ki ye pheli diwali thi main koi kaami nahi rakhna chati thi..
Flight mein bhete samay daya se baat hui thi..thik 2 baaje wo mujhe lene aane walethe..mumbai puchte hi maine jaise hi mobile on kiya to daya ka msg aagaya samne..main muskurai aur padha..
Welcome home shreya my love..i m so sorry ek zaruri metting ke liye banglore jaana padraha hain..i will be back in 2 days.. love u.. :*
Daya ka naam dekh ke jo muskan mere chere pe aayi thi wo gayab hogayi...jo sapne jo socha wo sab tuth gaaya tha..saath hi jo farewell placement fare main chodke diwali manane daya ke saath aayi thi par daya ke liye insab se zyada zaruri metting thi..
Main puri raat bed pe aise hi leti roshni thi par mere pass sirf sawal the..maine daya ko na mere puchne ki khabar di nahi unka phone uthaya..kya daya ke zindegi mein meri koi jaha thi ya nahi..
Daya 2 din baad nahi balki agle hi din aagye the..main naraz thi aur wo sharminda..agle 3/4 din wo maafi mangte rahe aur main dheere dheere sab bhulne laagi thi..
Kaam aur office unki phele poirity the ye main samjh gaayi thi par kabhi kabhi unka zarurath se zyada practicle hona bura lagta tha..
Mujhe kabhi kabhi gussa aata tha ki ye zindegi hain ya business deal..
Daya:30 mein shaadi 32 mein carreer banglow car aur plz haa 35 ke phele hum bache ke baare mein sochenge bhi nahi haa..
Saadi ke phele hi unhone mujhe sab bata diya tha..
Daya:Yelo ye task bhi pura hogaya..
Is saal jab daya ne hamare ghar ki keys mujhe thamaye to main unhe dekhti rah gaayi..mere liye ghar koi plan ya task nahi tha aur main ye pal ko dil se jeena chati thi..
Shreya:Daya main soch rahi thi ki main 20/25 din ki chuti lelu..dekhona yaha saare rang kaise phike hain agar drawing room ko purple aur red colour se paint kare to kaise rahega..ye wardrob change karna hai naaya furniture lena hain..main apne ghar ko apne hisab se design karna chati hu..
Maine kaha to daya apne office ki files mein dekhte hui bole..
Daya:Dekholo agar chutiya 2/3 mahine postpone karlo to acha hoga aprasil month hain agar abhi chutti logi to promotion pe asar padega ghar ka kya hain wo kaha jaraha hain phir bhi dekhlo jaise tumhe thik lage..
Daya ne kaha to mujhe itna gussa aaya ki daya se kehdu ki haa ghar..
Haa ghar kahi nahi jaayega par jo kora ghar saajne ki khushi hain wo kya jaane..main dur jaake bheth gaayi to wo bole..
Daya:Abh tum emotional horahi ho..tumhare liye bolatha maine..
Haa emotinal thi main..main insaan hu dil hain mujhe mein aur insaan emotional hote hain..mera ghar mere liye promotion se kahi zyada tha..par gusse se maine chuti nahi li aur daya ne bhi kuch nahi kaha..
Usbar mera promotion hogaya par mere ghar mein abh tak koi rang nahi tha aur wo phika tha..
Naajane kaise the daya kaam se na wo thak the na hi ubhte the..hamari shaadi ko do saal hone aaye the par abh tak hum kahi ghumne nahi gaaye the..aisa nahi tha ki plan nahi bana tha par har baar koi na koi plan aajata aur hamari chuti pe wahi fullstop lag jaata tha..
Daya:Thankgod shreya tum typical wifes jaise in cheezo ko issue nahi banati..tabhi main kaam pe itna concemtrate kar pata hu..
Kabhi kehne ki koshish karti to daya ki baate mujhe rok deti thi..ye shaadi ke baad hamari 3 diwali thi phichle do saal to majburi thi our iss saal main saari tayari akele hi kar rahi thi..sach bolu to mera maan bhi uth gaaya tha insabse is baar to rangoli banane ke liye maine rang bhi nahi liye the..
Daya ko na in sabmein intrst tha aur na hi waqt..aaj kal wo bohut zyada hi busy rehte the..unhe bade promotion milne ki baat chalrahi thi aur ek mahine mein singapur tranfer ki baat chal rahi thi..wo raat ko der se laut rahe the..aur dinner bhi karke aate the..
Daya:Main abhi thode din busy rahunga plz manage karlena then we will go for a vacation for sure..
Wo mujhe phele hi bolchuke the..isliye maine unhe aaj diwali ke din bhi office jaane se nahi roka tha..aur na meri tabiyat kharab hone wali baat batai..
Meri do din se tabiyat kharab lag rahi thi par aaj subha stomach mein hui hulchal se main ghabra gaayi..nahi ghabrai nahi main bora gaayi..khushi ya kya feeling se bhari thi..meri halat se bekharbar daya dressing table ke samne ready horahe the..
Shreya:Daya i think..i mean i guess i m pregent..
Main ghabrate hui daya ko boldiya..daya turant mujhe dekhe aur bole..
Daya:Kya,?achanak kaise..
Unke chere pe khushi se zyada chukne ke expression the..
Shreya:Nahi paaka nahi pata par mujhe laga..par pergnet hui to..
Maine pucha..daya ne apne files lete hui bole..
Daya:To dekhlinge phele tum test to karalo..aur tension maat lo chalo main jaata hu..
Wo mere mathe pe kiss karke chalegaaye..
Duphar mein main ke clinic mein bhethi thi tab dr aayi aur muskurate hui bole..
Dr:Congrates shreya tum maa bane wali ho..aabh tumhe calcium aur vitamin ki zarurath hain tum bohut kamzor ho tumhe apna dhayan rakhna..
Maine dr ki baat beech mein kate hui kaha..
Shreya:Thankyou dr..
Main waha se nika gaayi..mere samne daya ka chera aaraha tha..
Main phichle 4 ghanto se priya ke ghar pe thi..suraj dhalne laga tha aur aas paas ke gharo ke log diye jalana suru kar chuke the..
Lekin main yaha se nahi jaana chati thi..pata nahi kyu par agar aaj main daya ke samne aagyi to main apne riste ko bacha nahi paati..meri life ke wo hasin lambhe wo shaadi ke baad 2 saal mere ghar ko ghar banane ke aaraman daya ke ambition ke samne khuchal gaaye the..wo duad rahe the aur saath hi mujhe apne saath kich rahe the par abh kya..main abh unke saath is bache ko leke dudh nahi sakti thi..
Kya pata agar daya ne isbar bhi kehde ki bache ke kya hai wo to badmein bhi hosakta hain..aur is baar main ye baat shen nahi kar paati..kash koi ye bharosa de pata ki daya aisa nahi kahenge..
Daya:Bas do saal dedo mujhe ..bas is baar ye promotion milgaye mujhe phir do saal baad sab set hojayega phir hum bache ke baar mein bhi soch sakte hain..
Phichle hafte hi daya ne kaha tha aur badmein mujhse bhi pucha tha ki mera kya plan hain..
Shreya:Bacha koi plan nahi hota daya aur is baare mein main akele nahi soch sakti..
Meri awaaz mein taklif thi isliye daya ne bhi careful aur hurtless jawab diya tha..aur aaj ye hua..
Bachpan mein chutiyo mein diwali mein maa sare purani cheeze gaade dhup mein daldeti thi taki unhe thodi dhup miljaaye..
Daya aur mera rista bhi aise hi jang laga baan gaaya tha jise dhup dikhna zaruri tha..
Maine apna phone on karliya..mere liye daya ka decision ghar jaane se phele jaana zaruri tha..
Main daya ko call kar rahi thi tabhi unka call agay..
Daya:Shreya kaha ho yaar..dhupher se dhud raha hu tumhe kaha ho..theek hona..
Mare hello ke jawab mein daya ne ghabrahat aur gusse ki awaaz mein unhone mujhese baat ki..
Shreya:Main priya ke ghar pe hu..kuch kaam tha to yaha aagyi thi phone swith off hogaya to bata nahi paayi..
Main khud ke gusse dard aur dhuk ko kabu karte hui boli to wo bole..
Daya:Main araha hu 10 min mein.. wahi ruko..
10 min mein hi daya waha agyae the maine apne dil ko shambhal te hui darwaza khola to wo mujhe sir se pau tak dekha aur dekhte hi rahe..unhone apne haath mere khande pe rakh diye aur puche..
Daya:"Tell me its true.."
Daya ne aise pucha jaise koi exam ke result aane wale hain..
Shreya:Hmm...
Maine kaha aur sir jhuka liya..wo haste hui aur excitment mein mujhe gaale lagte hui bole..
Daya:R u seroious..main papa i mean hum mummy papa bane wale hain..
Daya ke chere se aakho se khushi jhalak rahi thi..
Shreya:Aap sach mein khush hain main janti hu ki abhi aap is bache ke kiye tayar nahi hain..
Daya ne apni ungli mere hoto pe rakhke adhe mein hi rok diya aur bole..
Daya:Bache plan nahi hote shreya...
Main chuk ke unhe dekhti rahi.
Daya:Haa maine socha tha ki do saal baad bache ke baremin sochte hain par abh bohut hua na..abh to khulke jine ke din hain aur aane wale mehman ke liye to uske mummy papa ne sab kuch jodh hi liya hain hain na..?
Daya ne mere jaise bole aur haspade..aur phir mere gaale lag gaaye..main has padi aur" iss bar dil se"...nahi itna jang nahi laga tha hamre risto ko baas thodi dhup kaam padrahi thi par is naanhe mehman ke aane ki aahat ne sab thik kardiya..roshan hogayi thi hamari zindegi..main aur daya ghar ki aaur chal pade ye hamari pheli diwali thi saath mein jab ghar puchi to dekha daya ne sabkuch tayar kardiya tha dhanlaxmi ki murti..rangoli..diye jaalane baaki the aur puja ki tayari sab ho chuki thi..
Daya:Maine sab karliya hain hope sab thik kiya hain..wo mummyji ko call karke unse puch ke kiya hain to agar koi galti ho to sorry aur ha plz prasad bana dogi wo mujhe nahi aata..par dhyan se..haa
Main muskurayi aur prasad banaliya humne saath sari pujaki diye jalaye..main diye mein tel dal rahi thi aur daya unmein roshni bhar rahe the..bhale hi 2 saal bad par akhir diwali mere ghar aahi gaayi thi..
Aaj sach mein diwali ki raat thi...
Daya:Abh tum apna pura dhayan rakhogi tunhe ghar ko jaise sajana hain sajao hamare bache ka kamra ko..hamare kamre ko tumhe kya khana hain..kaha jaana hain..jo chaiye bas ek chutki bajate hui mujhe bolna aur wo hojayega...abh hamesha wahi hoga jo tum cahati ho..samjhi my love..
Main muskurake te hui daya ke gaale lag gaayi..aur boli..
Shreya:I love u daya...
Daya:I love u too shreya..i love u both...
Bas abh pyaar hi pyaar tha hamare beech sirf pyaar..hamesha socha tha ki kismat konnection wo hota hain jo do logo ko jodti hai aur aaj samjhi kismat konnection wo hain jo do dilo ko jodti hain..
Daya aur mere dil to jud chuke the bas us mein jodne ka ehsaas is naane ke aane ki ahat ne kardi..
Main aaj mangaayi ki kismat koneection hamesha apki bhaali ke liye hi hota hain..
Mera aur daya ka rista bhi kismat konnected tha..
" aur hamari kismat connected hohi gayi tha.."
So how was it guys hope u liked it..kismat konnection..sorry for my mistakes if any plz do review n thanks to all guests reviews and my ff frnds
Dareins rocks... ;) :)
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top