chapter 38
A huge hall decorated beautifully with flowers & fairy lights. A happy hustle bustle is there.
.... Areee bhaiya vo phool bhi to dhang se lgao... Aakhir sabko pta bhi to chle ki mere bhai ki shaadi hai.
As she turns she collides with a strong arms & rose petals falls everywhere.
........ Meri behan ki hone vali nanad ji jra aaram se itni hadbadi ki kya baat hai
Vaise kayamat lg rhi ho aaj... Kyaa chahti ho ki iss ghayal aashiq ki jaan nikalne ki
..... Kch bhi mt kho abhi jra apni kamar kas kr rkho ladke valo ki khatirdaari mein bilkul kami nhi honi chahiye smjhe sharatio... Baratio ki aav bhagat ekdm first class hona chahiye....
Voice: ooyeeee... Purvi madam jra apni aashiq ke bahon se bahar aaye aur yha kaam dekhe... Kavin sir aaj to purvi ko chor dijiye...
Kavin: kyaa yrr pankaj .... Kbhi to thodi si privacy de diya kro..
Daya: areee bhai.... Privacy vali jagah bhi to honi chahiye....
Purvi blushes & ran from there.
Kavin: kya sir aap bhi..... Mai dekh kr aata hu baaki arrangements..
Lo kv ho gya nau do gyarha...
Few girls were surrounding a girl who is getting ready in heavy yellow suit.
One of them was tying her hairs also we see a cute baby who was wearing matching dress of the bride....
Purvi: aur kitna time lgega... (She said entering)
Baby hearing the voice ran to her
Purvi: aaja mera cutuu.... Aapko pta hai aap kitne lucky ho... Aap mumma papa ki shaadi mein shamil hoge... Hum aaj bhoy sara dance krege... Acha acha khana khayege.... H naaa isha
Baby giggles.....
Girl: haa haa.. Saara dhyan apni bhatiji pe hi de lo.. Bhul jaa apni dost ko..
Purvi: isha baby... Dekha aapne aapki mumma jealous ho rhi hai..
Isha: mumma..... Jeous (jealous) nhii
Bua isha partyyy.....
Everyone laughs
Ishu: bua ki chamchi... Puruu bhai kha hai..?
Purvi: aa rha hoga... Chl tu jldi se ready ho mai kv ko keh deti hu ki tu usse bula rhi...
Shreya: dushyant sir..?
Purvi: unko bhi mai dekh leti hu.... Jldi se ishu ko ready krke niche lekr aao...
Isha ko mai le jaati hu... Vihaan ke sath khelegi ye...
Ishu: thik hai..
Purvi left from there
Scene shift to a room where three people were seen.
.... Pagal ho gye ho dono mai nhi sambhal paauga yha... Shaadi ka ghar hai aur tm hi dono gayab rhoge to mai sabko kya boluga
.... Ab tk tune itna kch sambhal liya mera sach itne din tk chupa kr rkh liya abhi bhi sambhal lena bhai.. Aur hum dono kaunsa abhi ke abhi jaa rhe hum tbhi jayege jab rasmein ho jaayegi.....
.... Hume lgta hai ki tmhi ye kaam kr skte ho param kavin yrr tmhi smjhao naa hmare liye bhot imp h balavgarh jaana aaj..!
(Balavgarh here is an imaginary place not that ballavgarh)
Kavin: utni der se mai puriya thode tal rha hu.. Tbse mai isse smjhane ki hi to koshish kr rha hu.... Yrr pari kha se laati ho aise aise khyaal
Purvi: sorry.... Par mai kya kru.. Iss ghanchakkar ke dimag mein baat ghusti hi nhi hai......
Param: ek min ek min..... Har jagah mujhe hi fasao aur mujhe hi ghanchakkar bhi bolo nhi ye thik hai..
Kavin: bhai jab pta h tujhe kitni importance hai teri to maan jaa naa bhai...
Param: Tu hi bta.... Kya bolu mai sabse ki balavgarh gye ho tm dono... Kya smjhau mai sabko....
Purvi: param i know tm ye kaam bhot ache se kr loge buss khud par believe rkho aur hmara phone to on rhega hi... Agar koi prblm hogi to call krna.. Hum baat kr lenge
Kavin: aur agar matter naa suljhe to keh dena hmne koi surprise plan kiya h ussi mein busy h.. Ab chlega
Param: koshish kruga mai...
Purvi: good... Abhi sab chlo... Niche sab dhundh rhe honge
Param: tm dono chlo aata hu mai.
Kavin: kya hua.... Aunty ka phone aaya tha kya phir se..?
Param: chor naa yr...
Kavin: pagal h Tu... Festival mein to kmse km apni family se mil le..
Param: kaunsi family jisse maine bachpan se aaj tk sirf aur sirf paiso ka lalach krte dekha hai.... Vo family jiske pyaar ke liye mai tarasta tha... Aree nhi chaiye aise family.. Aur tu kyu baar baar ye sab kehta h.. Itni hi prblm h mere yha rehne se to chla jata hu mai
Purvi: param... Shut up
Chlo bahar smjhe koi tmhe paraya nhi keh rhaa ye mood thik kro aur niche aao...
Param: ek min..
Purvi: kyaa....
Param: tm dono ki safety ka kyaa. . . Mai akele nhi jaane dunga
Purvi: param aaj maha saptami hai.. Maa durga ke nayan aaj khulte hai.... Har jagah unki jay hoti h aise mein mera vishwas h maa durga kch bhi galat nhi hone dengi... Maiya ke saamne koi bhi buri shakti naa aaj tk tiki hai naa aage tikegi.. Isiliye don't worry.... Hmm ab chle ho gyi discussion ki aur kch baaki hai
Param: ho gyi...
Trio leaves the room where a black fume also exits through window.
Ishita & Dushyant both was sitting two different places .
Soon haldi 's function starts....
Everyone turns by turns applies haldi to dushyant
Kavin: bhai...... Jra ek min ke liye ankhein band krna..?
Dushyant: dekh kv agar koi kurafat dimag mein chl rhi h naa to dekh lena mai choruga nhi....
Kv: kr naa yrr... Kitna bolta h Tu din bhar bak bak bak krte rehna hai.... Param vo black patti lana...
Param: ye le...
Kv tied that blind fold on dushyant 's eyes & whistle... Pankaj & param was holding two buckets of haldi with water & both pour it on dushyant
Dushyant: kavin...... Mai choruga nhi tujhe...
Kavin: chorne ke liye pakadna bhi to pdega naa.. Aur mai tere hath nhi aane vala kabootar....
He take the haldi 's bowl by which haldi is applied to dushyant... Basically it is jhuthi haldi which is first applied to groom then to bride.
Kavin: purvi.... Haldi lekr aaya hu mai
Purvi: kaand kiya h naa kya kiya..?
Shreya: dushyant sir ko haldi se nehla diya.. Aur vo inhe dhundh rhe hai..
Kavin: katori pakdo...
He immediately placed the bowl in purvi's hand & took a small portion & applied it on ishita 's face
Kavin: ab mai chlta hu...
Ishita: kya bhai.. Aap bhi
Kavin: Aree teri aankhon mein aasu kyu h... Tu mere hi ghar aa rhi hai.... Abhi na mai pehle iss kabootar se bach jaau uske baad tujhse baat kruga...
Saying this he left from there.
Purvi also applied haldi to ishu & do the nazar utarne vala step...
Purvi: Tu naa hmesha aise hi muskurati reh aur khush reh.... Mai naa aati hu..
Ishu: ab Tu kha chli..?
Purvi: aati hu mai bhi kavin ka kaand samet kr aati hu...Thik hai....
Ishu: hmm
Saying this she also left from there.
We see a secret room where discussion is going on
Kv: le bhai.. Tera kaam aasan kr diya maine... Ab Tu yha sambhal lega..?
Param: thik hai.. Apna khayaal rkhna tm dono lekin wk chiz yaad rkhna agar mujhe kch nhi galat lga to mai yha sabko bta dunga ki tm dono balavgarh gye ho..
Purvi: uski jarurat nhi pdegi.....
Param opens a drawer & take out two chips
Param: isse dono apne kapdo par lga lo... Taaki mai tm ki location track kr sku....
Both placed it on their clothes.
Kv: pakka koi gadbad mt krna yrr...
Param hugs him
Param: all the best
Purvi: jyada tension mt lena.. Kch nhi hoga hume
Param: all the best... Khyaal rkhna dono
Aao...
Trio secretly reached the back door param opens it & they found a jeep there
Both get settled & moves toward their destination balavgarh
Time lapse
They crossed balavgarh 0 km sign board
Atmosphere gets heavier with every passing second both stopped in front of big mansion which is dark & creepy
Both steps down
Kv holds purvi 's hand
Kv: chle...
Purvi: hmm...
As purvi forwards her step she hold her head & closes her eyes....
Kv: purvi...
Sweat band start forming on purvi 's face
Purvi: vo.... vo aurat..... Vo do log...... Khoon..... Vo aurat... Uske hath mein chaaku h
She falls on her knees....
Purvi: ek chota bachaa... Jisse vo le jaa rha hai...
Kv: purvi.... Hosh mein aao ankhein kholo....
Purvi: vo kala saya... Vo le jaa rha h uss bache ko....
Kavin: purvi.... (He takes her in his Embrace)
She opens her eyes with jerk
She was feeling an unbearable pain unknown to her which is making her more terrified
Purvi: kv.. Mujhe nhi jana kch bhi... Hum ghar vapas chlte hai.. Mujhe kch sahi nhi lg rhaa...
Kv: kya hua btao...
Purvi: kch to h jo galat ho rhaa ya hoga... Plz chlo yha se.... Mera sar ghum rha h.... Mujhe kch sahi nhi lg rhaa...
Kv: shhh.... Meri purvi kbse itni jldi haar manne lgi... Chlo tmne hi kha tha naa ki aaj maa durga ka din h... Aaj kch anisht nhi hoga buss ab maa hi hmari raksha kregi.. Chlo
He comforted her & make her stand she holds kv 's hand with trembling hands & steps inside the mansion
A cold breeze follow them
Purvi: kv... Ye laal dhaabe...
Kv wore his white gloves & tries to smell it & found it to be blood
Kv: khoon h....
Purvi: par kiska.... Hua kya h yha
Kv: pta nhi....
Both reached a big hall where a photo frame was hanging
Kv: purvi ye tasveer..... Isme saare chehere hai par ye do chehre ye isme se kisi kaat diya hai....
Purvi: yha sayad koi function tha.. Ye dekh rhe ho decorative......
Suddenly a laugh fills the hall
Kv: jo koi bhi hai saamne aao.....
...... Mera naa to koi roop hai naa hi koi rang buss aawaz h meri
Purvi: vo aurat tmhi ho naa jisne iss pariwar ke saare logo ko khtm kiya hai...
....... Haa hu mai whi lekin tm dono aaj bhi apne sach se anjan ho.... Maine sirf iss pariwar ko nhi blki tm dono ko bhi khtm kiya hai... Yaad kro kitni be rehmi se maara tha maine tm dono ko
Tear drop fell from purvi 's eyes.. She doesn't know why...
Purvi: tmhe sab pta h naa to ye bhi bta do ki kya hai hmara sach
...... Himmat rkhte ho dono sach sunne ka
Kv: haa rkhte hai..... Par tmhe pta h mujhe kya lgta h tmhare andar himmat nhi h varna aise chup kr baat nhi kr rhi hoti saamne aati
..... Mujhe lalkar glti kr di h tm dono ne...
A wind blew there ... A stormy air
Kv hugs purvi
Kv 's heart was pounding too fast
Purvi: buss itna hi tha.... Aree saamne aao h hum dono tmhare samne...
A bright ray emerges which re shaped into a sword.
Purvi: kv....
She sides him & come in front of him & the sword directly hits her in abdomen area she collapses due to the wound
Kv: purvi.....
But to his surprise the wound was not bleeding but the sword disappears....
..... Tmhe kya lga ki mai tmhe itni aasan maut dungi... Kbhi nhii.... Ye jo khanjar h naa ye buss dheere dheere maut ke kareeb le jaayegi... Vaise ye baat to sahi hai jo pichle janm se iss janm tk h.. Tmhari kismat mein ek aisi ladki hai jo tmhara bura kbhi nhi hone degi...tmhari har taklif ko apni taklif mein tabdil kr degi
Kv: tm chahti kyaa ho.....
...... Mujhe lgta hai ki tmhe abhi ye saari baaton ko sochne se behtar apni begum ki khariyat hone ki koshish krni chaiye...
Saying all this the voice disappears..
Kv: purvi.....
Purvi: kavin.... (She hold his arm & tries to sit but she faints)
Kv: purvi plz.... Aisa mt kro plz himat rkho aur aakhein kholo...
The same mysterious man appears there from somewhere
... Kya hua janab aaj firse mulakat ho gyi hmari
Kv: tm kaun ho...
.... Aree aap to behad hi khudgarz insaan hai hmne aapki aur aapki begum ki jaan bchayi aur aap hume pehchane se inkar kr rhe hai....
Kv: mere pas iss bakwas ke liye wakt nhi hai.... Maine tmse tmhari pehchaan puchi hai...
..... Rehaan Khan naam h mera aur abhi hum guzarish krte h ki aap hmare sath chle... Ye jo bhi tilasmi jaadu ke asar h uske kaat ko dhundhne...
Kv didn't want to belive him but in the race of mind & heart his heart won & he followed him with purvi in his arms.
Rehaan: aap piche baithe hum gaadi chalate h.. Kyuki iss jaadu ke asar se unhe bhot taklif ho skti h....
Kv do as rehaan said.
Purvi 's body starts getting colder & colder.
Kv: tmhe itna sab kch kaise pta aur purvi ka sharir thanda hote jaa rha h...
Rehaan: bhai jaan... Hume nhi pta hoga to kya aapko pta hoga.. Bhot arse se dekha h hmne ye sab.. Aur rhi baat bhabhi jaan ke sharir ka thanda hona ek khatarnaak baat h... Koshish kre ki inhe hosh aa jaaye...
Kv: kaise...
Rehaan: aage ek tilasmi jharna behta h.. Wha se kai jaaduo ka kaat nischit hai aap wha ka pani inhe pila kr dekhe... Lijiye hum phoch bhi gye...
It was a beautiful fountain in forest...rehaan takes the bottle from jeep & come after few mins with water in it.
Rehaan: lijiye...
Kv makes purvi drink the water
Her body shows some movements.... She opens her eyes a lil bit... She turns her head & make sure about her environment.
Kv: purvi.... Thik ho tm
Purvi: hmm.. Ye hum..?
Kv: thank god tm thik ho... Mai kitna dar gya tha ( he hugs her)
But when he hugs him he found her crying
Kv: kya hua... Tm ro kyu rhi ho
Purvi: kv..... Vo sab
Kv: purvi jo hua usse bhul jaao.... Ab ghar chle sab wait kr rhe honge....
Purvi: kv... Mujhe sab kch janna hai
Kv: baad mein abhi tmhari tabiyat thik nhi hai....
Purvi: kv mujh se nhi jhela jaa rha ye sab...
Kv: purvi mujhe pta h... Mere liye bhi ye sab aasan nhi h... Par hume wakt dena hoga inn cheezo ko..
Abhi ghar chlo tmhe aaram ki jarurat h...
Purvi: kv mai thik hu..... Achaa ye btao vo jo khanjar tha uske lagne par khoon tk nhi nikla vo kya tha..
Kv: koi jaadu kiya tha usne... Vo to rehaan ki vajah se mai tmhe hosh mein la paaya...
Purvi: rehaan kaun...
Kv: tmhare saamne to hai..
When they look in front of them no one was there
Kv: rehaan....
Abhi tk to yhi tha vo....
Purvi: kaun...
Kavin: aree whi jo uss din beach par tha..
Purvi: din mein sapne dekh rhe ho kyaa..
A huge group of bats flew over them..
Purvi tightly hugs kv...
Kv: tmhe cockroach se dar lgta hai... Injection se dar lgta hai bat se bhi dar lgta h kyaa..?
Purvi: haa lgta h... Ab itne saare bats ek sath jhund bna kr ghumege to kya dar bhi naa lge....
She feels a sharp pain in her abdominal area & found blood oozing out of it....
Heyy guyss... Here is a new chapter of Daastaan -e- Ishq 2
I hope u all liked this chapter
Don't forget to vote comment share & follow for more.
What do you think about kavi 's fate.?
Aur ye mystery kya h... Soch kr comment below...!
Byee... Meet u all in next part.
~tanya sinha
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top