tum mujhe jante nhi

kuchh din se zindagī mujhe pahchāntī nahīñ
yuuñ dekhtī hai jaise mujhe jāntī nahīñ

vo be-vafā jo raah meñ Takrā gayā kahīñ
kah dūñgī maiñ bhī saaf ki pahchāntī nahīñ

samjhāyā bār-hā ki bacho pyār-vyār se
lekin koī sahelī kahā māntī nahīñ

maiñ ne tujhe muaaf kiyā jā kahīñ bhī jā
maiñ buz-diloñ pe apnī kamāñ tāntī nahīñ

'anjum' pe hañs rahā hai to hañstā rahe jahāñ
maiñ be-vaqūfiyoñ kā burā māntī nahīñ  by Anjum Rahera

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top