▫Shaadi Ki Tyaarain▫
“Hayee itni garmi!”
Subah subah uthne ka mujhy koi shok nhi hy. Mujhy kia kisi ko bhi shok nhi hy lekin jb Fajr ki Namaz k baad bhook lgti hy na who mujh se bardasht nhi jaati.
Namaz prh kr mujhy apne lia neechy Jahannum mein jana para.
Jee kitchen mein subah, dupehar, sham or raat ko Jahannum wali feeling aati hy.
Abhi parathy ka paira bnaya hi tha k Jameel or Jahangeer kitcge mein tshreef le ai.
“Aapaa who mer-” Jahangeer bola,
“Kia khana hy jaldi btao.”
“Yeh apne konsi detective wali PHD ki hui hy? Bgair bole hi baat smjh leti ho?” Jameel hairat se bola.
“Kisi saath waale ki behn toh hun nhi or dusri baat tum dono ko bachpan se Ammi ne itna nhi pala jitna meine pala hy.”
“Dusri Ammi apko Taemoor avaein thori nhi kehta,” Jameel ne kaha.
“Who bhoothnath aesy bolta hy mujhy!? Aaj isko nashta nhi bna kr dungi mein. Rota pit ta rhy,” Meine kaha.
“Acha mere do parathy bna dein mein TV lounge mein hun bula lena,” Jahangeer ne kaha or chala gia.
“Aapaa who na baat krni thi apse…” Jameel kehny lga. “Bolo,” Meine apna paira twaave pe daal kr kaha.
“Woh kal Riza ki bachi ne meri doodh patti mein namak dal dia or phir Junaid Bhai se daant bhi prwai. Mein kia krun….” Jameel roti shakal ne kaha.
Toh ab nwaabzaade ko shikayatein yaad aa rhi hyn.
“Yeh na apni chappal utaro or phir mere sarr me maar do theek hy?” “Aapaa…mein mzzak k mood mein nhi hun,” Jameel bola.
“Mujhy nhi pta Jameel. Tumhaari takreeban har sharat mein tumhara saath dia hy lekin tumne Riza ko trip k duraan naraz kia or tumhi usko mnao gy. Mein koi madad nhi krun gi.”
“Please Aapaa…thori si madad kr dein na…mujhy nhi pta mein kysy mnaun usk-“
“Assalam o Alaikum!” Or lein jnaab yahan hoti hy Riza ki kitchen mein entry.
“Waa Alaikum Assalam.” Meine kaha.
“Kiun Jameel tumhe salam krna mna hy?” Meine Jameel se pucha.
“Hmm….Waa Alaikum Assalam.”
“Khair hy Riza? Subah subah kysy kitchen mein?” “Bhook lgi hy or kia Y/n or kia. Aik mujhse bhook bardasht nhi ki jaati or aik kisi ki fazool bakwas.”
Or mujhy poora yakeen tha k Riza yeh Jameel ko keh rhi hy jo kitchen k kony mein beth kr apple kha rha tha.
“Acha yehlo mera wala paratha tum lelo or yeh jaa kr Jahangeer ko dedo,” Mein Riza ko plate pakraate huy boli.
“Riza baad mein ai hy pehly mera nashta do Y/n Aapaa.”
“Acha ziada shorr machane ki zarurat nhi. Agla paratha tum le lena, Or uppar ja kr sb ko utha lao mein aik daffa hi nashta bnaugi sbka.”
“Acha jaata hun wysy bhi mera koi khiyaal nhi krta.” “JAMEEL NASHTA NHI BNA KR DUNGI TUMHE!”
------
“Y/n mere do parathy!” “Namra lassi le ao!” “Faiqa Aapaa mera andda ban gia?”
Jee jnaab to haj Mein, Namra or Faiqa Aapaa nashta bna rhy hyn.
Mein toh subah 6 bjy ki kitchen mein apne lia nashta bnane gait hi or ulta poory tbbar ka nashta bnana par gia mujhy.
9 bj gai hyn…teen ghante se iss Jahannum mein khara kia hua hy.
“Mera paratha laa do!!” “MEIN NE APKA SARR PHAAR DENA HY SABR NAAM KI BHI AIK CHEEZ HOT HY!”
Sb ko nashta de da kr aakhir mein apna nashta kia.
Apna naashta lekr gai baahir toh sb khana kha kr uth gai thy bs Riza or Qandeel Api ki bethy huy thy.
“Allah maaf kitna bura haal kia hua hy apna,” Qandeel Api bolein.
“Mein koi kitchen mein khari ho kr dance toh kr nhi rhi thi. Poore tabbar ka nashta bna rhi thi. Riza please kitchen se meri lassi laa do gi?”
“Yunh gai or yunh ai!” Riza boli or kitchen mein lassi lene chali gai. “Acha Zoya kahan hy?” Meine pucha. “Woh or Maryam Taemoor k saath bazar gai huy hyn.”
----
-Zoya P.O.V-
Lahore k bazar waqi bht bary hyn. Itni ronak or chehal pehal. Lekin Peshawar jysa mazza kahein nhi. Bas apni apni baat thy. Jo jis shehar mein rehta hy, usko wahein ki chezain psaand hoti hyn.
Meine bazar bilkul nhi jana tha. Yeh Maryam ki bachi mujhy le ai.
“Kia kia lena hy tumne?” Meine Maryam se pucha. “Mujhy college k lia aik do kitabein chaiyein thein or uniform ka dupatta jall gia tha mera. Who bhi lena tha,” Maryam kehny lgi.
“Hain? Dupatta kysy jall gia?” Meine hairat se pucha.
“Jahangeer k bachy ko dia tha istari krne. Kamine ne jala kr itna wadda roshan daan bna dia. Ullu ka pattha!”
“Wysy bht larte ho tum dono.”
“Mujhy koi shok nhi hy uss choochy k munh lgny ka. Khud hi bak bak shuru kr deta hy,” Maryam ne kaha.
“Kon bak bak shuru krta hy?”
“Aap na taang na ghusaira krein hmaari baton k beech,” Maryam Taemoor ko kehny lgi. “Meri taang mere paas hy Allhamdulillah!”
“Acha ab tum dono na larai shuru kr dena bazar mein,” Mein tangg aa kr boli.
“Acha mein puch rha tha k peechy dukaan pr samosy bn rhy hyn. Khaane hyn kisi ne?” Taemoor ne pucha.
“Hayeee mera bara dill rha thaaaa. Plz mein khaun gi samosy!” Mein jazbaati ho kr boli.
“Acha chalo phir samosy kha lete hyn phir dupatta le lein gy,” Maryam bhi maan gai.
“Uncle teen bare samosy de dein,” Maryam boli.
“Shopper mein daal dun?”Samosy waale ne pucha.
“Nhi mein USB lai hun, aik folder bna kr us mein paste kr dein. Ya toh mere Abbu k bank account mein transfer kr dein.”
Aye lo! Samosy waale ki achi waali bissti ho gai.
“Tumne zaroor uski bissti krni thi Maryam?”
Mein ne Maryam se pucha. “Toh yaar zahir si baat hy. Shopper mein daal kr nhi dega toh kia garam garam haath mein pakra dega?”
“Acha chalo tum apna dupatta lo phir gahr chalte hyn.”
(end of pov)
----
“Ab kia ho gia Ammi?” Junaid Bhai ne pucha.
“Who meri chachi ki call thi. Shikwa kr rhi thein k hmne unk tum dono ki shaadi k baare mein nhi btaya.”
“Ammi pehli baat meri or Jannat ki shaadi nhi hui abhi tk mera mtlb honi hy abhi. Dusri baat! Shaadi hmaari, zinadagi hmaari, future hmaara. Yeh rishty daaron ko kia masla parr jata hy?” Junaid Bhai ne kahan.
“Lekin phir bhi beta..”
“Ammi ap ziada mt socha krein. Inka kaam hy baatein bnana. Har cheez mein nuks nikal dete hyn. Ink chakkar mein pare rhy na puri zindagi aisi hi bethy rhyn gy,” Junaid Bhai Ammi ko kehny lgy.
“Acha Junaid beta meri baat suno?”
Ammi bolien. “Jee Ammi?” “Tum jaldi se Jannat ko workshop se pick kro or usk saath apni shaadi ki thori bht shopping kr ao.”
“Jee theek hy mein bhi bs Yonus k saath jaa rha hun phir isko ghar chorr kr Jannat ko lekr chala jaunga. JAMEEL! O JAMEEL!”
“Jee Bhai?” Jameel bola. “Chaabi do apni motorcycle ki.”
“Woh Taemoor or Jahangeer lekr gai huy hyn. Ap Najam Bhai ki lelo,” Jameel ne kaha. “Acha jao mein dekh leta hun. Tumne suit wgaira decide kr liyay hyn?”
“Haan bs wohi kr rha tha sb k saath uppar beth kr.”
“Chalo jb ho jaein toh bta dena or sbse kaho k unka bhi ho jai toh mujhy bta dein,” Junaid Bhai ne kaha.
“Chalein theek hy,” Jameel bola or upar bhag gia.
“Oye Najam teri motorcycle lekr jaa rha hun!”
----
“Hm sb Mayun waale din white kurta or saath mein contrast wali waistcoast pehn lein gy,” Musa ne mashwara dia.
“Acha who toh theek hy lekin white mein contrast konsa pehny gy?” Huzaifa Bhai ne pucha.
“White pr toh kuxh bhi chal jata, lekin ziada chamkeeli bharkeeli waistcoat nhi honi chahiyay,” Najam Bhai boly.
“Toh phir hm ki aik jysi hogi?” Hasaan Bhai puchny lgy.
“Hm toh keh rhy hyn k same krlo, tum logo ne different krna hy toh btado,” Shehzad Bhai ne kaha.
“Nhi theek hy, jb sb aik jysa pehn rhy hyn toh phir kia. Wysy hum kitny total larky hyn?” Hassan Bhai ne pucha.
“Hm 6….or ap 3 toh total 9 hyn hum,” Jahangeer ne kaha. “Ach toh teen teen ka aik group bna skty hyn. Teen aik design ki waistcoasts, kia khiyaal hy?” Jameel ne mashwara dia.
“Hmm…Jameel Bhai theek keh rhy hyn. White hmara kurta shalwar ho jaein gi or teen ka aik group bn jai ga. Mehandi pr bhi yehi teen teen waistcoat wala kr lein gy,” Taemoor bola.
“Or Barat or Walima pr?” Jahangeer bola.
“Barat pr mein soch rha hun k sb aik jysa suit pehny gy. Dark blue kurta shalwaar or brown black mein waistcoat…meine design nikala hy. Dikhaun ga tum sbko abhi,” Najam Bhai ne kaha.
“Acha or Walima pr?” Huzaifa Bhai ne pucha.
“Two piece or kia?” Jameel ne kaha. “Acha toh two piece sbka same hy?” “Haan same krlo acha rhy ga.”
“Orr joote?”
“Yaar hmne konsa larkiyon ki trhaan har aik function ki jooti leni hy. Jo Mayun pe pehny gy wohi Mehandi or Barat pe bhi pehn lein gy. Kisi ne konsa itna dekhna hy,” Yonus Bhai ne kaha.
“Haan theek hy bs! Hmaari tyaari ho gai poori. Bs apne apne noorani boothy chamkaane hyn. Khas torr pe tum chamka lena apni shakal Jahangeer,” Taemor bola.
“Oo! Munh mera acha khasa theek hy. Ap logon ki aankhein khraab hyn,” Jahangeer chirr kr kehny lga.
“Hm toh jysy andhy hyn na!?” Jameel cheekh kr bola.
“Shayed Bhai ap waqai kisi cheez mein andhy hyn….zara sochiyay ga,” Taemoor ne kaha or uh kr chala gia.
Or udhar Jameel issi gumaan mein betha rha k Taemoor kia smjha kr gia hy usse.
----
Larkon ki hmein pta tha k tyaari ho ga hy, uno ne decide kr lia hy k kia kis din pehnna hy or hm larkiyon ne abhi tk kuxh nhi kia.
Tmaam foji jwaanon ne toh apni apni list Junaid Bhai ko Whatsapp kr di hogi.
Or hm wysi ki wysi susti ki malkaein.
“Yaar chalo ab kuxh decide hi krlo,” Qandeel Api ne kaha. “Acha yeh wali Ertugul ki episode dekhny dein,” Laraib boli.
“Yeh agar hm issi Ertugul k chakkar mein lgy rhy na toh shaadi ki koi khak tyaari nhi hogi,” Faiqa Aapaa bolein.
Yeh Laraib or Maryam ko aj kal Ertugul Ghazi ka bara jannoon swaar hua wa hy. Dono kid ono koi 4th season pr hyn.
Allah Maaf kia Ramzaan se dekh rhi hyn.
“Yaar bs jao baad mein bhi dekh skty ho ap log yeh apna drama,” Zoya ne kaha.
“Please aik or episode……” Namra ne kaha.
“Mein tumhara laptop khirki se bahir phaink dena hy. Shrafat se yahan ao!” Meine kaha.
“Aik toh bht daruni ho tm Y/n,” Riza kehny lgi. “Jee bs Allah ka fazl o karam hy,” Meine hanss kr kaha.
“Acha ap apni apni chonch band kro or baat suno sb.”
“Jee jee arz krein,” Zoya boli.
“Acha sb se pehli cheez, Mayun ki tyaari.
Mayun mein hm yellow pehn leingy kiun k wohi acha lgta hy or neechy bilkil khara trouser. Dupatta hm yellow ya kisi ir clr ka krlein gy Theek hy?”
“Or usk neechy heel? K koi style waali chappal?” Maryam ne pucha.
“Heel mein soch rhi thi k Mehandi pr pehny gy. Kia khiyaal hy?” Laraib ne kaha. “Haan chalo theek hy.”
“Or Mehandi pr?” Riza ne pucha. “Us pe aj kal latest skirt or long grock design chal rha who pehne gy. Kia khiyaal hy?” Qandeel Api ne kaha.
“Us pr jo blouse nhi hoty….um…..Faiqa Aapaa apko design dikhaya tha…wysa bnaien gy,’ Namra boli. “Haan theek hy!”
“Or usk neechy heels?” Zoya ne pucha. “Haan haan heels.”
“Acha or….barat pr?”
“Barat pr hm woh….jo aj kal bazar mein lehanga type frocks ai hui hyn…woh done krlein? Kia khiyaal hy?” Faiqa Aapaa ne abki daffa idea diya.
“Acha or heels kia Mehandi waali pehn lein?” Laraib puchny lgi.
“Hayyee tobah Laraib Api gareeb mustakeen nhi hyn hm. Junaid Bhai k khaate mein saari shopping hy hmari. Rajj kr lootein gy Junaid Bhai ko abki baar,” Maryam boli.
“Baat toh akalmando waali ki hy…” Zoya ne kaha.
“Or Walime pr?” Meine pucha. “Saari!” Namra boli.
“Naaiii mujhy saari psand nhi hy!!” Qandeel Api bolein.
“Yaar hmne konsa chote chote blouse pheny hyn or aadhi assteeny rkhni hyn? Zaahir si baat hy cover waali pehny gy.”
“Koi aik pic dikhao yaar mujhy……tasalli nhi aa rhi,” Qandeel Api ne kaha. “Acha yaar lao mein dikhati hun,” Riza ne kaha or apna phone nikal kr Chiffon ki saari ka design dikhaya.
“Hm….theek hy.”
“Acha isk neechy bhi pencil heel ho jai gi. Or…bas?” Meine pucha. “Jewelry pehny ka khair se iraada hy k nahi apka?” Zoya ne kaha.
“Hayyeee jewelry ka mein bhul gai thi,” Meine kaha. “Shukkar krein meine yaad krwa dia.” “Jee bari nwaazish apki Zoya jaani.”
“Churiyan pehani hyn kisi ne?” Riza ne pucha. “Kiun k mein soch rhi thi k Mayun pr churiyan pehn lein or baaqi din bracelet wgaira..kiun k simple bhi rehty hyn or acha bhi lgta hy.”
“Mein bilkul agree krti hun Riza k saath!” Mein boli. “Chalo yeh bhi done ho gia. Or haath pr jo mehandi lgwaani hy kb lgwaein gy?” Maryam ne pucha.
“Yeh na…jis din dholki hogi na uss din lgwa lein gy…subah mehmaano ke aane se pehly jaan kr na Dharampura se lgwai aien gy,” Riza kehny lgi.
“Hmaari tyaari ho gai saari?” Laraib ne pucha. “Haan meine note kr lia hy sb kuxh,” Meine kaha.
“Hmm theek hy acha toh…..parlour ki booking kb krwaani hy?” Faiqa Aapaa ne kaha.
“Um…abhi yeh list mein Junaid Bhai ko send krdun phir dekhte hyn k agar Shehzad Bhai neechy hyn to unk saath chalte hyn.”
---
-Qandeel POV-
“Chalo bs jao kitna Ertugul dekho gi tum dono!?” Meine tangg a kr kaha.
“Itny mazzy ki episode chal rhi hy…apko kia pta?” Namra boli. “Aajein ap bhi dekh lein hmaare saath beth kr,” Laraib ne kaha.
“Nhi tum dono dekho meine nhi dekhna,” Meine kaha or apna mobile nikaal kr shaadi k dresses dekhny lg gai.
“Qandeel Api!” “Haan kia hy Faiqa?” Meine kaha.
“Woh aa jaein hm zara jaa rhy hyn.” “Kahan?” “Aik toh bht swaal puchti hyn ap! Aa jein bs.” Yeh keh kr Faiqa chali gai.
“Tum dono ne chalna hy?”Meine Laraib or Namra se pucha. “Nhi ap chali jao…” Laraib boli.
“Tum dono ki Ertugul se jaan toh choote pehly.”
Chadar uthai or neechy chali gai. “Toh btao kon kon jaa rha hy?” Meine pucha. “Ap, Mein, Riza, Jameel or Shehzad Bhai,” Y/n ne kaha.
“Aik gari mein aa jaein gy!?” Meine hairangi se pucha.
“Kitny ko lg hyn hm? Paanch hi toh hyn,” Riza ne kaha. “Chalo time na waste kro or chalo baahir,” Y/n ne kaha or hm sb aik kr k gaari mein bethy.
“Drive mein kr- OYE JAMEEL UTAR NEECHY!” Shehzad cheekhny lgy.
“Nahi mein drive krun ga Bhai!” Jameel bhi cheekh kr bola.
“MEIN CHALAUN GA!” “Nai mein betha tha pehly toh mein chalaun ga!”
“Haan larlo marlo yahan sb pehly AUSYI WADRAU (stop it now)!!!” Mera gusse se para palat gia tha ab.
“Allah maaf! Yeh toh dusri Y/n Aapaa niklein,” Jameel bola.
“Mein nhi jaa rhi, inki laraiyan nhi mukk rhein. Tum dono chali jao,” Meine kaha.
“Nahi yaar please chalein na Api…” Y/n kehny lgi.
Or phir Allah Allah kr ky Shehzad or Jameel ki lrai khtam hui. Lekin dheet ka maar Jameel, ussi ne driving seat ne kabza jmma kr rkha hua tha.
Aik do parlours dekhy or phir wahan pr Jannat Aapaa k saath saath apni sb ki or Mummani jaan ki bhi booking krwa di.
Shukkar hm sb ki munaasib paison mein booking ho gai thi.
“Ice Cream khaani hy kisi ne?” Jameel ne pucha.
“Chaman ki khilao gy toh khaein gy,” Meine kaha. “Bs…puchty saath hi bari bari farmaishein shuru ho jaati hyn,” Jameel bola.
“Toh kia ab khaien bhi na? Puch lia hy toh khilao bhi ab,” Riza ne kaha.
“Y/n toh Walls ki choc bar khai gi. Haina?” Shehzad boly.
“Shehzad Bhai mein ghar jaa kr Abu ko bta dungi. Apki dhulai kr dein gy!” Y/n gusse se boli.
“Chalo kisi se toh darta hy Shehzad,” Mein hanss kr boli.
“Baap baap hota hy Qandeel chaahy who kisi ka bhi ho. Har bety ko apne baap se maar parti hy,” Shehzad ne kaha. “Jysy iss piddu Jameel ko dekh lo! Roz Abbu se dant khata hy or Y/n se iski aleda hoti hy.”
“Jahangeer or Taemoor ki bhi roz hi hoti hy. Sirf mera naam daalne ki zaroorat nhi hy!”
“Acha apna loud speaker band kro,. Kaan nhi khraab krne meine apne” Riza kehny lgi.
“Lekin baat wahein pr aajati hy…jitney marzi zaleel ho jaein…dheetpany ki aik misaal hyn,” Y/n ne kaha or sbki hansi choot gai.
Chaman jaa kr sb ne apni apni ice cream order krwai.
Itefaq se mera or Shehzad dono ka aik jysa flavor tha (vanilla). Or Jameel or Riza ka chocolate or Y/n ka Mango.
“Y/n apni thori si mujhy de do,” Shehzad ne kaha.
“Nadeedy! Apni kaha kr sakoon nhi aya?” Y/n ne kaha. “Bhai hi hun tumhara…dedo na!”
“Meri le lein ap,” Meine kaha Shehzad se. “N..nhi tum apni kha lo….mein..nhi bs theek hy.” “Chalein jysy marzi apki.”
Ice Cream kha kr hm thakky mandy ghar chale gai.
(end of pov)
----
-Riza POV-
Jameel ky paison se ice cream kha kr bara mazza aya.
Mein bht thak gai thi or uppar kamry mein chali gai. Jaa kr dekhti hun k Laraib or Namra abhi tk apna Ertugul lga kr bethi hui thein.
“Bss kr jao bibiyon. Aankhein khraab ho jaein gi,” Meine kaha.
“Api bs yeh last episode or phir bs…” Namra ne kaha.
“Yeh pichy 8 ganton se tumhara aik episode khtam ni ho rha.”
“Acha paka isk baad band kr dein gy Riza,” Laraib ne kaha. “Hmm…acha meine apna phone charging krne ko kaha tha. Kia charging?” Meine Laraib se pucha.
“Haan saath kamry mein lga hua hy.” “Thank you Laraib jaani.”
Yeh keh kr saath kamry mein gait oh phone 100% charge ho gia tha. Hayeee khushiii!
Phir phone pe notification tone baji.
“Sorry Riza”
“Please mujh se baat kro.”
-
-
-
-
-
-
-
-
-
-
Jameel.
----
(3093 words)
Allah jeee......I really enjoyed writing this chapter. And sorry for a cliffhanger for you all.
Its possibly a really really long chapter. I hope so bhr saare comments kro gy ap sb.
Mere liyay votes itny matter nhi krte jitny comments krte hyn. Cuz ap sb k funny, mazzedar, pyaar bhare comments dekh kr bht mzza ata hy.
Haayeee haath duba de mere koi?Bari dard ho rhi hy😩😩😩
Lol itni buri buri nhi hun😝
I...I just love you all......idk aik dum se kehny ko dil kr rha hy but still....bht pyaar krti hun ap sb se.
Im really bad at expressing my love for u all.....but stilll....mera chota sa I LOVE U ap sbk lia😘😘
#loveu
Bbye!
Mein bht thak gai hun...subah skool jana hy.
Mulawat hoti hy agly chapter mein
----
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top