Part 6

Scene starts in Karan's room,
Karan and Preeta were lying down on the bed. However, sleep was far away from their eyes.
Preeta: Karan.....
Karan: Haan bolo.....
Preeta: Main soch rahi thi ki humein Rajveer ke liye kuch karna chahiye.
Karan: Karna toh main bhi chahta hoon par kya?
Preeta: Mujhe na aisa lagta hain ki humein Rajveer ki shaadi karwani chahiye kisi se.
Karan: Karwani toh chahiye lekin......mujhe nahi lagta ki vo maanega.
Preeta: Yeh toh mujhe bhi pata hain ki vo nahi maanega lekin.....humein kuch aisa karna hoga jisse use iss baat ka ehsaas ho jaaye ki use bhi kisi ki zaroorat hain apni life mein. Jiss par vo rely kar sake.
Karan: I know lekin.....kya kar sakte hain hum?
Preeta: Kuch socho na......itne bade flirtly ho kar koi idea nahi hain tumhare paas?
Karan: Wahi toh....kya? Main flirty? Sharam nahi aati apne pati ko flirty bolte hue?
Preeta: Sach bolne mein kabhi nahi sharmana chahiye.
Karan: Yeh koi sach nahi bol rahi ho tum. Jhooth hain yeh baat ki main flirty hoon.
Preeta: Jii nahi.....
Karan: Jii haan....
Preeta: Tum firse mujhse ladne lag gaye? Yaha par baat Rajveer ki ho rahi hain na?
Karan: Main? Main ladd raha hoon? Tum ladd rahi ho mujhse madam.
Preeta: Jii nahi.....
Karan: Jii haan....
Preeta: Arrey chodo yaar....Rajveer par focus karte hain.
Karan: Haan....par kare toh kya kare?
Preeta: Idea!
Karan: Kya?
Preeta: Use blind date par bheje?
Karan: Great! Mujhe pata tha tumhare andar dimaag hain bas tum use nahi karti.
Preeta(glaring): Kyaa??
Karan(fearful): Nn...nahi....nahi kuch nahi...main keh raha tha ki.....
Preeta(glaring): Kya keh rahe the?
Karan(fearful): Gggg....good night Preeta.
Saying this Karan lied down on the bed pulling his blanket on. Preeta silently giggled seeing this and lied down as well.

Scene shifts to Rajveer's house,
Divya was not feeling sleepy but was still lying on the couch.
Divya(in mind): Dopahar ko sone ka yahi nateeja hota hain hamesha. Neend hi nahi aati hain raat ko. Jab tujhe pata hain Divya toh kyun soyi? Ek number ki gadhi hain.
Just then the clock struck 3:00 a.m.
Divya's eyes widened and she pulled on her blanket...covering herself.
Divya(in mind): Baba jii....raat ko 3 baje bhooton ka active time hota hain. Please kuch aisa karo ki mujhe neend aa jaaye....please.
Just then Divya's stomach started growling.
Divya(in mind): Bhookh bhi abhi lagni thi? Agar kuch khaya nahi toh mera pet dard hona shuru ho jaaega.
Divya peeped towards the ceiling of the dark room.
Divya(in mind): Raat ko 3 baje kitna darawna lagta hain yaar yeh kamra. Aur vo Rajveer toh shayad so raha hain. Arrey haan....main bhool kaise gayi ki main khadooson ke sardaron ke saath rehti hoon? Usko jaa kar bolti hoon....ki mujhe bhookh lagi hain.
Divya was sitting up when.....
Divya(in mind): Par agar usne mujh par gussa kiya toh? Arrey chodo....main darti thodi hoon uss khadoos se?
Divya sat up and came down from the bed. She shook the figure lying on the couch slowly.
Divya(whispering): Rajveerrrrr!!
Divya again shook the figure but he didn't wake up.
Divya(in mind): Lagta hain badi gehri neend mein hain. Ek kaam karti hoon....main hi kitchen mein jaa kar dekhti hoon ki kuch khaane ke liye hain ya nahi.
Saying this Divya tip toed and came out from the room. She as silently as possible closed the door. She came to the kitchen and started finding for some food in darkness when suddenly she bumped into someone. A loud scream escaped her lips only to hear the person's mixed scream with hers reaching her ears.

Divya: Chorr! Chorr! Rajveer....chorr!
"Shhh!!"placed the person his finger on Divya's lip.
The person(in a low voice): Chilla mat bewakoof....sab so rahe hain aas pados mein.
The person turned on the lights. He was none other than Rajveer.
Divya: AHHHH!!!!!
Rajveer(placing his hand on Divya's mouth): Ab kyun chilla rahi hain? Ab toh pata bhi chal gaya ki main chor nahi hoon.
Divya signalled Rajveer to remove his hand. Rajveer did it.
Divya: Tt....tu agar yaha par hain....tt...toh waha room mein kaun soya hain?
Rajveer(sighing): Kya lagta hain tujhe?
Divya(trembling): Bbhhhh....bhooot toh....
Rajveer(sighing): Pillows the waha par....koi bhoot nahi.
Divya sighed in relief.
Divya: Toh yeh pehle nahi bata sakta tha?
Rajveer: Maine socha tu so rahi hogi toh maine nahi bataya. Waise tu kar kya rahi hain yaha itni raat ko?
Divya: Vo.....(looking at her stomach)....inn chuhon ko shaant karne ka koi raasta chahiye tha.
Rajveer: Hein?
Divya: Arrey mujhe bhookh lagi hain. Par tu yaha itni raat ko......
Rajveer: Mujhe bhi bhookh lagi hain.....noodles bana raha tha. Khaayegi?
Divya(with a wide smile): Haan.....

Rajveer handed Divya a bowl full of noodles.

Divya sat down in the hall and started eating them. Rajveer came with another bowl as well.
In heavy silence they both were eating their noodles when Divya spoke.
Divya: Rajveer.....pata hain aaj na main ek bohot hi...matlab bohot hi buri ladki se mili thi.
Rajveer: Buri ladki matlab?
Divya: Ek toh vo madam wrong side se car chala kar aa rahi thi. Upar se jab ek cute se puppy ko takkar maari tab bina uske ilaj ke paise diye bhaag rahi thi.
Rajveer: Toh tu ne kya kiya?
Divya(proudly): Sabke saamne uss ladki ko itni baatein sunai.....itni baatein sunai ki usko apne kiye hue saare bure karam yaad aa gaye honge.
Rajveer: Par....I guess uss ladki ne jaan mooch kar nahi kiya hoga yeh sab.
Divya: Maan liya ki usne jaan mooch kar nahi kiya lekin usko apni galati maan ni chahiye thi na?
Rajveer: Sab apni galati nahi maante...shayad hum hi unse expect karne lag jaate hain.
Divya(serious): Palki se expect karke tu ne koi galati nahi ki Rajveer. I can guarantee.
Rajveer: Nahi...main....
Divya kept the noodle bowl aside and sat down infront of Rajveer holding his hand.
Divya: Tu ne koi galati nahi ki thi. Tera pyaar saccha tha aur tu ne apna harr ek farz hamesha nibhaya hain Rajveer. Duniya waale kya sochte hain isse koi farak nahi parna chahiye tujhe. Mujhe pata hain ki dard hota hain.....bohot zyada dard hota hain lekin.....wakt ke saath sab theek ho jaaega.
Rajveer(teary eyed): I know Divya ki ek din sab theek ho jaaega lekin......pata nahi kyun aisa lagta hain ki Palki mujhe chod kar gayi usmein bhi meri hi galati thi.
Divya(cupping Rajveer's face)(teary eyed): Tu ne kabhi bhi Palki ko force nahi kiya ki vo bhi tujhe pyaar kare. Tu na kabhi uss par zabardasti haq nahi jataya aur na hi kabhi tu ne use yeh sab hone ke baad blame kiya toh tu kaise galat ho sakta hain? Rajveer.....tera pyaar saccha tha....aur tu ne bina expectations ke pyaar kiya hain. Aisa bohot kam log kar paate hain. Tu sabse alag hain Rajveer aur ismein toh uss Palki ka loss hain.....ki usne tujhe kho diya.
Rajveer didn't said anything as tears flew down his cheeks.
Divya(teasing): Waise.....filhaal tu toh single hain.....toh......
Rajveer: Toh what?
Divya: Toh....(blinking one eye)....mera toh full chance hain.
Rajveer chuckled hearing this.
Divya(wiping Rajveer's tears): Haan....bas aise hi hasta reh......bohot pyaara lagta hain. Aur....ladkiyaan teri isi smile par ho sakta hain fidaa ho jaaye.
Rajveer giggled hearing this.
Rajveer: Pagal hain tu.....
Divya: Vo toh main hoon.....I am proud of my pagalpan kyunki life mein thoda bohot pagalpann is really neccessary.
Rajveer smiled slightly.
Rajveer: Thank you Divya......mujhe samajhne ki kosish karne ke liye.
Divya: Hmm..(taking the noodles bowl) sirf thank you se kaam nahi chalega. Mujhe promise karna parega.....(feeding Rajveer a spoon) ki tu mujhe yeh noodles bana kar zaroor khilayega.
Rajveer: Done.....
Divya: Promise?
Rajveer(feeding Divya): Promise meri Maa.
Divya and Rajveer both giggled hearing this. They both fed each other while sharing some more gossips and finished the noodles.

Next morning,
Scene starts in the office,
Rajveer was giving an presentation infront of the foreign clients when suddenly Palki barged into the room. Her anger filled red eyes were evident that something unjustified was going to happen with Rajveer.

Karan: Palki tum.....
Before Karan could even complete the sentence....Palki ran to Rajveer and slapped him hardest, printing her finger prints on his cheeks.

Everyone in the room stood up, their eyes widening in shock.

Scene End.
Why did Palki slap Rajveer? Guess in the comments😁Let's see who gets it correct.

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top