Rohit and Armaan gets angry

In evening,

Rohit and armaan returned home, they were going to their room when they saw manisha with some shopping bags.

rohit - itni saari shopping chachi sa koi khaas occasion hai kya..?

manisha - tum dono bohot lucky ho ki tum logo ko abhira aur ruhi jaisi patni mili hai, thank you so much.

they were surprised.

armaan - aap hume kyu thank you bol rahi hai chachi sa...

manisha - thank you toh bolna hi padega na, abhira aur ruhi ne apne invitations mujhe aur manu ko diye hai taaki manu khush ho jaaye, jitna thanks bolu kam hai...mana kiya tha maine lekin phir unn logo ki zidd ke saamne haar gayi.

they were shocked and looked at each other, she left from there.

rohit - yeh ladki bhi na, kuch batati hi nahi hai karne se pehle...

armaan - waise toh naakhun tut jaaye toh call karke batayegi aur aaj bataya hi nahi...

they went to their rooms but they were not in the room, they checked everywhere but they was not there in house.

armaan - yeh dono hai kaha...

rohit - main call karta hu...

armaan - rukk dekh aa rahe hai dono...

they saw them coming from outside laughing and giggling which was shocking for them, they didn't expected it.

armaan - yeh dono aaj hume heart attack de kar maanegi...

rohit - haa...

abhira - kya hua aap log aise statue bann kar kyu khade ho, statue over...

rohit - kuch baat karni hai tum logo se aao zara...

abhira - kaha...

they held their hands and took them outside in the garden.

ruhi - kya hua...

armaan - aap logo ne apne invitations chachu sa aur chachi sa ko de diye kyu...

rohit - abhira tum jaanti ho na ki yeh tumhare liye, tumhare career ke liye kitna zaruri hai, samjhaya tha na maine tumhe phir bhi...

abhira - aap log please gussa mat kijiye ek baar humari baat toh sunn lijiye...

rohit - bolo...

ruhi - chachu sa bohot upset the, hum nahi dekh paaye, unhe dekh kar chachi sa bhi upset thi, sab jaa rahe the, yaha tak ki papa ko bhi invitation mila tha maa ke saath aane ka, mera kya hai main toh lawyer bhi nahi hu, aur na hi mujhe business parties pasand hai.

abhira - rohit main samajhti hu yeh gathering mere liye zaruri hai, lekin tum samjho na, maine abhi abhi firm join kiya hai, mujhe invitation aaya lekin chachu sa jo saalo se kaam kar rahe hai unhe nahi mila, kaisa laga hoga unhe, mere career ko aage badhane ke liye puri zindagi padi hai mere pass, samjho na, humne jo kiya unki khushi ke liye kiya...

they sighed.

rohit - tum logo ko idea bhi hai hum kyu mana kar rahe the....

abhira - koi aur baat hai kya...

rohit - abhira main emotions samajhta hu tumahre lekin baat yaha humari ho rahi hai na, at least ek baar humse pucha toh hota...iss party mein hum tum dono ko sirf isiliye nahi lekar jaana chahte the ki zaruri tha, balki isiliye lekar jaana chahte the ki hume kuch time akele mein waqt mil sake...bohot kuch hua hai itne mahino mein, usse ek chota break chahte the...party se jaldi nikal ne ke baad aap logo ko dinner par le jaane ka plan kiya tha humne....

they looked at each other.

ruhi - lekin aap logo ne hume kuch nahi bataya...

armaan - surprise naam ki chiz suni hai kabhi, nahi...

they looked down...

armaan - ab aise sarr neeche karne se kya hoga, jo karna tha woh toh kar liya...na ghar ke rahe na ghat ke...

abhira - idea, jaise hi aap logo ki party khatam ho jaaye, hume address message kar dena hum directly wahi pohoch jayenge jaha aap logo ne humare liye dinner plan kiya hai...

ruhi - haa yeh sahi hai...

rohit - kya sahi hai, kuch sahi nahi hai...pura mood off kar diya...

they left from there...

abhira - hey kanha ji accha karna gaye the aur yeh kya ho gaya...

ruhi - ab kanha ji complain baad mein karna pehle yeh socho karna kya hai, woh invitations wapas toh laa nahi sakte...

abhira - karna kya hai wahi karte hai jisme patniyan gold medalist hoti hai..

ruhi - kya..?

abhira - thoda emotional drama, thoda romance, bass maan jayenge...

ruhi - are you sure..?

abhira - hundred percent chalo ab..

she nodded.

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top