Revelation (1)

Hello  angels
Hru all?
Well..this is a very disturbing and a very difficult update..it still has another part which i m trying to complete..
The update also contains some mature words..mature language.. mature scenes..which wud b continued in the next update as well..
I donot intend to disgrade any profession. Whatever i have showed is fictional and myt b some what logical too. I have no idea.. so plz..do not take it seriously

################

Vis: Angel..ye tum kya bol rahi ho? Plz..let the lawyer handle it.

Mrs. Murthy: Pari..plzzz..

Nandini turns her head towards her mother only to find her shaking her head in a no, with tears rolling down her eyes. Nandini looks at her in a helpless way..n as if drinking her presence..she stays lost in looking at her parents..but turns back when Aliza calls out her name.

D: Nandini..ye tum kya bol rahi ho?

Gathering her courage back..she answers..

Nan: me wahi bol rahi hu jo aap sun rahi hai. Me ye case nahi ladna chahti.

P: thats it your honor. I dont think isse zyada hume kuch kehne ki zarurat hai. Aur defence sahiba kya saboot paish ker rahi hai? Ye..ye chand photographs? Arre lawyer sahiba..ye aise get up me tayyar hoke aur aise strict expression deke to koi b apna roop badal sakta hai. Isme konsi badi baat hai.

D: koi badi baat nahi hai. Agar me sirf in pictures k adhaarit apni baat sabit karu to koi badi baat nahi hai. Lekin mere paas anginit gawah hai jo mere kahe huwe har baat ko sach saabit ker sakte hai. Mere paas is waqt isi adalat me wo log b maujood hai jo purani Nandini ko jaante hai..jaise k uske maa baap..aur Abhimanyu Kapoor.. aur wo log bhi maujood hai jo is nayi Nandini ko jaante hai..jaise k uske college k dost..waha k principal yaha tak k waha ki trustee. Chaahe to me har ek ko katghare me bulaa sakti hu.

P: i dont understand Defence sahiba..aapke saboot Nandini ko begunah saabit kerne k liye kam aur uske badle huwe nature ko saabit kerne k liye zyada lag rahe hai. Kya aap bataayengi humara asli maqsad is case ko ladne ka kya hai? I m confused your honor. Defence lawyer ne abhi tak aisa koi b saboot paish nahi kiya jisse ye sabit ho k Nandini ka Harshad Mehra ka khoon kerna jaaiz tha. Aise to humara poora samay barbaad horaha hai you honor. Maan jaayiye Defence sahiba..aapke history me ye aapka pehla haara huwa case hoga.

J: Ms. Shahaay..kya aapke paas mulzim ki begunaahi saabit kerne k liye koi pukta saboot hai? Agar hai to use aap adaalat me paish kare..aur agar nahi to adaalat aapke is guzarish ko khaarij kerti hai.

D: your honor please..please aisa mat kariye. Me is case ko sirf jeetne k liye nahi lad rahi..me lad rahi hu to ek begunah k liye. Your honor me jaanti hu k koi to aisi baat hai..koi to aisa raaz hai jo Nandini is adaalat se chupa rahi hai. Me sirf wo maahol..wo situation ko adaalat k saamne paish kerna chahti hu jin haalaato se us din Nandini guzri thi.

P: aur ye aap kis bunyaad pe keh rahi hai k un haalaato ko saamne laaker aap is qatl ko jaaiz sabit ker sakti hai.

D: kersakti hu prosecutor saab. Agar aap mujhe bolne ka mauka de to. Your honor, aapke saamne Nandini ki medical report aur police report dono rakhi huwi hai. In reports k hisaab se, jab police waha pohchi tab Nandini already behosh thi, aur waha Nandini aur Harshad k alawa aur koi nahi tha. Lekin ek aisi baat hai jo shaayad abhi tak humne nazar andaaz kerdi thi. Wo ye k jab Nandini ko waha mauqae wardaat pe paaya gaya, tab wo..

P: tab wo behosh thi..khoon me latpat thi. Iske aage boliye defence sahiba..baar baar repeat kerne se koi naya point saamne nahi aayega.

D: Nandini k right shoulder pe peeche se waar kiya gaya tha..ryt Prosecutor saab?

P: bilkul right.

D: ab aap mujhe bataayiye..agar ek zakhmi insan ko hum peeche se maare, to kya wo is haal me hosakta hai k wo apni peet pe diye huwe chot pe patti kersake?

P: how is it possible Defence sahiba?

D: y not? Insan apne haath ko peeche lejaa ke uski chot pe patti kersakta hai na.

P: arre..kaisi baate ker rahi hai aap? 2 points.. first..Insan zakhmi hai..khud uthne k kaabil nahi..second..uske peet pe..yaani..badan k pichle hisse pe chot lagi hai..jaha ache khase healthy insaan k haath mushkil se jaate hai..waha ek zakhmi insan kaise pohoch sakta hai?

D: point to b noted my lord. Abhi abhi khud prosecutor saab ne kaha k ek zakhmi insan apni peet pe ya apne badan k pichle hisse pe lagi huwi chot pe khud patti nahi ker sakta.
(Turning towards prosecutor) to phir..Nandini k right shoulder pe..patti kisne ki?

J: aap kehna kya chahti hai?

D: your honor, police reports k hisaab se, jab police mauqae wardaat pe pohchi tab Nandini behosh thi..lekin uske right shoulder pe lage huwe chot pe patti bandi huwi thi. Your honor, medical reports k hisaab se Nandini ka right shoulder janam se hee kamzor raha hai. Uske upar se usi haath pe use..peeche se maara gaya. Aise me ye kaise mumkin hai k Nandini khud apni behoshi k haalat me uthke..kahi se kapda dhoond k..apne us chot pe patti kare?? Iska 3 hee matlab ho sakta hai your honor. 1..ya to Harshad khud apni maut se waapis aaker Nandini k chot pe patti baand k wapis mar gaya..jo k na mumkin hai. 2..yaa phir..Nandini aur Harshad k alawa waha koi teesra shaks maujood tha jisne Nandini ko wo patti baandi.

P: aur teesra?

D: shayad koi bhoot ya jinn ya farishte ne aake Nandini ko wo patti baandi...jispe b aap bharosa kerte hai (shrugging her shoulders).

P: what rubbish.

D: exactly my point. Logically soche to saaf samaj me aata hai k us wardaat pe Nandini aur Harshad k alawa koi aur bhi maujood tha. To bataao Nandini..koun maujood tha waha tumhare alawa?

Nan: mene kaha na..me waha akeli thi.

D: to phir tumhari chot pe patti kisne baandi?
Jawab do Nandini..kisne baandi wo patti?

D: doctors k hisaab se..sabse gehri chot tumhare shoulder pe hee lagi thi. Bohot blood loss huwa tumhe. Aur agar tumhare us chot pe patti nai baandi hoti..to tum coma me bhi jaa sakti thi. Iska matlab wo patti baandne waala kahi na kahi tumhari khair chahta tha. Koun tha wo Nandini?

Nan: mene kaha na..koi nahi tha.

D (raising her volume): jhoot bol rahi ho tum Nandini..tum waha akeli nahi thi..tumhare alawa koi aur b tha jo waha maujood tha. Koun tha wo Nandini?

Nan (raising her volume too): mene kaha na..me akeli thi waha.

D: koun hai wo Nandini? Kahi usi ne to ye khoon nahi kiya? Aur tum use bachaane ki koshish ker rahi ho?

Nan: Harshad ka khoon mene kiya hai..apne inhi haatho se. Kitni baar yehi baat bolu.

D: jab tak tum sach nahi bataa deti.

Nan: me sach bol rahi hu.

D: tum jhoot bol rahi ho Nandini. Tumhare alawa koi aur bhi tha waha aur me ye baat saabit ker chuki hu.

Nan: mujhe koi farak nahi padhta kya sabit kiya aapne aur kya nahi. Me waha akeli thi aur yehi sach hai.

"Jhoot hai ye"

A familiar voice from the door of the courtroom made everyone present there turn their heads towards the source of voice. A mixed reaction of shock, bewilderment, confusion and relief could b seen on everyone's faces. Confused Aliza goes to Abhi n shakes him to bring him out of his shock.

Ali: Abhi koun hai ye?

Ab (shocked): Thomson!!

Cabir stood up from his seat in a haze n whispered: Navya?!

Slowly, each member of fab5 stood up in a lost gaze. Never had they imagined to see Navya there. They had tried to reach out for Navya when the entire Nandini's chaos started. But yet again, they couldnt reach upto her.

Standing at the door of the courtroom, wearing a full sleeved simple baby pink colored salwar suit, with the dupatta draped on her front, stood Navya, looking paler and thinner than before. N just beside her stood a man in his ending 40's, tall with broad shoulders, and a well maintained body. As soon as Nandini saw them, a tear drop rolled down her eye. After a very long time, a genuine smile found its way on Nandini's face. On seeing her one could easily say that this is the relief that one feels on sitting under a shadow after walking under the scorching sun for a long time. But soon that relief was changed into anxiety and that smile replaced by a frown, when she found Navya moving towards them with a determined look on her face.

Nan (anxious): Navya..tum yaha kya kar rahi ho? Kyu aayi ho tum yaha? Chali jaao waapis.

Nandini's anxious state wasnt missed by anyone sitting there. They were getting confused on seeing her anxiety. But Navya ddnt stop.

Nan: Navya plzz.. tumhe meri kasam. Waapis chali jaao. Plz..just go back.

Nandini's all pleads were falling on deaf ears. Navya was still walking in same determined way towards the witness box.
Finally stepping into the witness box..Navya looks into Nandini's eyes n says..

Nav: hum yaha se kahi nahi jaayenge. Jab tak hum tumhara asli chehra is dunya k saamne na le aaye. Aakhir dunya ko b to pata chale k tum jhoot bol rahi ho aur sach nahi.

Nan (helplessly): Navya..plzz

P: ek minute ek minute. Ye ho kya raha hai? Aur aap koun hai mohtarma?

Nav: humara naam Navya Naveli hai. Hum Nandini k saath Space college me padhte the.

P: oh acha acha. To aap hai Navya. Nandini ki dost..hai na?

Nav: ji.

D: your honor, m sure Navya k paas is case se related koi jaankari zaroor hogi. Isliye me ijazat chahti hu k me Navya se chand sawal kar saku.

P: jaldi kya hai Defence sahiba..let me do the honors first..plz.

Aliza thinks for a while n shrugs her shoulders, gesturing him to continue.

P: thank u Defence sahiba. Haan to Navya ji..kya keh rahi thi aap? K aap Nandini ka asli chehra dunya k saamne laayengi? Zara details me bataayengi.

Nav: Nandini ne kaha k us din wo waha us jagah pe akeli thi..ye jhoot hai. Wo waha akeli nahi thi.

P: akeli nahi thi? To koun tha uske saath?

Nav (looking at Nandini): Hum..

People gasp at this information.

Nan: Navya plz..plz dont.

P: aap? Aap waha kya kar rahi thi? Aapke dosto k bayaan k mutaabik, aap to pichle 3 maheeno se patna me hai kyunki aap ke pita ki tabiyat kharaab thi.

Nav (in a slightly low tone):  hum kabhi Patna gaye hee nahi.

P: to phir aap itne samay se kaha thi?

Nav: hum..humara apharan huwa tha.

Everyone sitting there were shocked with Navya's revelation.

P: apharan? U mean to say..kidnapping?

Nav: ji. Hume kidnap kiya gaya tha.

P: aur aapko kidnap kiyaa kisne?

Nav (releasing a small breath ): Harshad Mehra ne.

Shock was what one could see on everyone's face. It seemed like every statement of Navya had some earth shaking shocks hidden in it.

P(raising his eyebrows): Harshad ne?

Nav: ji

P: aur ye kab huwa?

Nav: 3 maheene pehle.

P: matlab aapke kehne ka matlab jab aapke dosto ko ye khabar mili k aap Patna gai hai darasal me us din aapka apharan huwa tha. Yehi kehna chahti hai aap?

Nav: ji.

P: matlab..jis din Harshad ne college join kiya unhi dino aapka apharan huwa.

Nav: uske agle din.

P: ahaa.. acha ye bataayiye..kya aap Harshad ko pehle se jaanti thi?

Nav: nahi

P: to aapki koi khandaani dushmani hogi usse?

Nav: nahi

P: jab aap Harshad ko pehle se nahi jaanti aur aapki koi khandani dushmani b nahi thi to phir Harshad ne aapko kidnap kyu kiya.

Nav (raising her gaze to look at Nandini): Nandini tak pohochne k liye.

P: Nandini tak pohoch ne....ek minute ek minute..i m getting confused now. Zara mere saath thoda repeat karengi. Harshad ne jis din aapka college join kiya uske agle din hee aapka usne kidnap kiya..aapke kehne k mutaabik. Aur aapko kidnap kerne ka maqsad Nandini tak pohochna tha. M i right?

Nav: ji.

P: acha ye bataayiye, kya Harshad aapke aur Nandini ki dosti k baare me jaanta tha?

Nav: ji wo...

P: wo kya Navya ji. Kya Harshad k saamne aapke aur Nandini ka rishta aaya tha?

Nav: Nandini us din behosh hogai aur..

P: Navya ji ye mera sawal nahi tha. Mera sawal ye hai k kya Harshad k saamne aap dono ka rishta aaya tha? Haan ya na?

Nav: nahi

P: point to be noted my lord. Pehli baat..Harshad k college join kerne k agle din hee Navya ka kidnap hota hai..according to her statement..aur wo kidnapping Harshad kerta hai..Nandini tak pohochne k liye..wo Harshad jise ye tak nahi maaloom tha k Navya aur Nandini dost hai. Jise Navya ko dekhe huwe poora ek din b nahi huwa. Dusri baat, agar waakiye me Harshad ko Nandini tak pohoch na tha aur uska Navya se koi lena dena nahi tha..to usne Nandini ko hee kidnap kyu nahi kiya? Kyu itna time waste kiya usne? . In baato k baad ab Aap hee batayiye your honor, Harshad kaise Navya ki kidnapping ker sakta tha?

Nav (raising her tone a bit): Harshad ne hee humara kidnap kiya tha. Aur usne hume shayad isliye chuna kyunki hum hee the jo baakiyo se alag hogaye the aur akele the.

P: aahaa. Chalo theek hai. Bataayiye..shuru se shuru kijiye apni kahani.

Nan(worried): Navya plz..mat karo aisa. Plz just go back

Nav (taking a small breath): jis din Nandini behosh huwi, us din hum sab..

P: aap sab matlab?

Nav: hum saare dost, Malhotra mansion me ruk gaye. Agle din subah hum Nandini k ghar k liye akele nikal gaye. Hum Nandini k saath uske ghar me rehte the aur hume waha se kuch kapde aur ek assignment laana tha. Wo sab leke humne ek cab order kiya, aur neeche utarke hum wait ker rahe the. Itne me..building k peeche se hume kuch awaaaz aane lagi..hum jab building k peeche gaye to waha koi nahi tha. Phir achanak se..humare peeche se koi aaya aur usne humare mooh pe ek rumaal rakha..hume kuch sungaya aur hum behosh hogaye. Aur phir jab hume hosh aaya tab humne khudko ek kursi se bandha huwa paaya aur Harshad humare saamne tha.

P: aur Harshad ne aapko rakha kaha tha?

Nav: usi hut me jaha ye sab huwa.

P: phir..phir kya huwa?

Nav: 8 din tak hum wahi the. Aur phir..26 march ko..Nandini waha pohchi.

P: ok..so Nandini waha pohchi. Kya Harshad b us waqt waha tha?

Nav: haan

P: acha. Matlab phir waha Nandini aur Harshad k beech behes huwi..behes badte badte hatapaai me badal gayi. Harshad ne Nandini ko maara lekin Nandini ne Harshad ko maar dala. Sahi?

Nav: lekin Harshad ne ..

P: haan ya na Navya ji

Nav: un dono k beech ladai huwi. Harshad ne pehle Nandini ko thappad maara. Aur phir usne..

P: acha ye bataayiye..Harshad aakhir Nandini se chahta kya tha?

Nav: hu..hume nahi pata.

P: theek hai. Acha ye bataayiye Navya ji..ye jo 8 din aap Harshad k qaid me thi..kya un dino Harshad ne..aapke saath..kuch kerne ki koshish ki?

Nan (helplessly): Navya..

Nav: n..nahi

P: acha ye bataayiye..Nandini aur Harshad k beech..kis wajah se ladaai shuru huwi?

Nav (stammering): wo..wo..

Nan: Navya plzz..bas karo. Kya kar rahi ho tum?

P: wo kya Navya ji? Ghar se bahaana soch ke nahi aayi thi kya?

Nav (looking into his eyes): hum koi bahaane nahi sunaa rahe hai. Sach bataa rahe hai.

P (raising his volume a bit): to bataayiye phir..bataayiye k Nandini aur Harshad k beech kis wajah se jhagda huwa? Aur aakhir Nandini ne Harshad ko maara kyu?

Nan (helplessly): Navya plz...mat ghaseeto apne aap ko in sab me. Ye ek daldal hai..ek aise keechad ka daldal jiske daag zindagi bhar nahi dhulenge. Stop it please.

P (raising his volume): bataayiye Navya ji..aakhir aisi kya baat hogayi k Nandini aur Harshad k beech hatapaayi hogai. Kyu maar daala Nandini ne Harshad ko? Hai koi jawab aapke paas? Ya phir aap apne ghar se story ko ache se frame nahi ker paai?

D: objection...

Aliza was interrupted by Navya's statement which not only made her stop but even shocked everyone present there.

Nav (in a raised volume with tears in her eyes): kyunki Harshad ne humari izzat lootne ki koshish ki..

Nan: Navya..!!

Nandini keeps looking at Navya and a sob escapes her mouth. Tears were rolling down her eyes.

P: what? Come again please. I think i ddnt hear u right.

Nav (gaining confidence): u heard me right. Harshad Mehra tried to rape me.

What followed Navya's confession was a brief silence.

P: u mean to say..Harshad ne aapko kidnap kiya..aapko apne paas 8 din bandi banaay rakha aur un 8 dino me he never tried to rape u..lekin phir jis din Nandini waha pohchi usi din he attempted rape u. M i right?

Nav (looking at him): yes..

P: agar Harshad ko aapka rape kerna hee tha to usne un 8 dino me kyu nahi kiya?

Nav: hume nahi pata.

P: chaliye ye bataayiye, jab harshad ne aapko kidnap kiya tab aapne pehna kya tha?

Nav (confused): ji?

P: kapde?? Jaise shorts ya tshirt ya phir koi middi dress wagaira wagaira..pehna kya tha aapne jab aapka kidnap huwa aur jab Harshad ne aap pe attempt to rape kiya?

Nan( furious): ye kaise sawal ker rahe hai aap usse?

Nav (confidently): ek seedha saadha salwar suit.

P: hmmm..us salwar suit ki fitting tight thi ya loose?

Nan: will u plz stop it.

D: objection my lord..aise sawal kerke prosecutor sahab Navya k character pe ungli utha rahe hai jiska unhe koi haq nahi hai.

J: objection sustained. Mr. Shergill, aap sirf wo sawal kare jo is case se mutallik ho.

P: yes your honor.
Haan to navya ji..aapke according Harshad ne 26 March ko aapka rape kerne ki koshish ki. Kya aap bataayengi k ye koshish usne kaise ki? Nai mera matlab hai k aapne abhi thodi der pehle bola k Harshad ne aapko kursi se baand k rakha tha. To kya unhu ne aapko kursi se khola ya phir wahi pe aapki izzat lootne ki koshish ki?

Nandini was all the time looking at Navya with tears in her eyes. N when Navya looked upto her, Nandini slowly shook her head in a no. But it seemed Navya had come determined today. She wasn't going to pay any heed to any of Nandini's requests.

Nav (hesistatingly): wo..usne hume.. b..bed pe..rakha aur...aur phir..b..bed se baandha.

P: to Harshad ne aapko bed se baandha? Kaise baandha? Position kya thi aapki bed pe?

Nan (yelling): what kind of ridiculous question is this? Aise ghatiya sawal aap Navya se nahi ker sakte.

P(raising his volume): to kya chahti hai aap? Kya karu me? Aapki preeye mitr yaha mere muwakkil..jo ke ab is dunya me b nahi hai..all thanks to u..uspe do do sangeen jurm ka ilzam lagaa rahi hai. (Raising his one finger) Kidnapping (raising his another finger) aur rape. Wo bichara to ab is dunya me nahi hai jo apne paksh me kuch keh sake..isliye jo chahe uspe ilzam lagaay jaa rahe hai. Lekin uska wakeel hone k naate..mera farz hai k me uspe in lage ilzamo ko jhootha sabit karu.

Nan: that doesnt mean aap kisi ladki ko aise sabke saamne zaleel kare. If u have any questions..ask me. Navya se aise sawal nahi karenge aap.

P: waah judge saab..kya yaarana hai. Rape kisi ek ka hota hai aur bayaan koi aur ker raha hai.

Nan(furious): rape nahi huwa hai uska..she wasnt raped!! Stop using that word again n again.

J: order order! Ms. Shahaay aap apne muwakkil ko zara shant karaay.

D: I m sorry your honor. Nandini plz..plz shant hojaao.

Nan: ask him to stop.

Navya was all the time looking at Nandini with tears in her eyes. Fisting her palms to gain courage, she speaks up..

Nav: Harshad ne humare haath aur pair bed k...4 kono se baand diye the.

P: phir..aage kya huwa?

Nan (helpless n in a restless tone): Navyaa..plzzz..dont.

Navya looks into Nandini's eyes n as if getting courage..she goes on..

Nav:;phir..usne..hu..humare...k..kapde phade.

P: kaise phade? Yu aise..aapke chhaati se aise pakad ke (showing by actions in air) aise phada.ya phir neeche se?.aur pehle kya phada? Aapke mutabik aapne salwar suit pehna tha. To pehle usne aapki salwar phadi ya phir aapka kurta?

Nan(holding the railing of the witness box): stop stop plzzz..

Navya fists her palms more tightly..

Nav: usne..sc..scissors se.. pehle.. hum.. humara ku..kurta kaatna..shuru kiya..neeche se.

P: ahaa..to matlab usne aapka kurta neeche se shuru kerte huwe upar tak scissors se kaata.

Navya nods her head while looking down n her head straight.

P: phir? Phir kya phada usne?

Nav: phir..isse pehle..wo..wo humari..sa..salwar kaat ta..Nandini ne..use rok liya. Lekin..

P: ahaa..me sab samaj gaya. Aapka kehne ka matlab ye hai k jaise filmo me dikhaaya jaata hai..k villain ne heroine ko kidnap kiya..aur uska rape kerne ki koshish kerta hai..aur jaise hee wo uske kapde phadne lagta hai tabhi waha hero ki entry hoti hai. Hero aur villain k beech jhagda hota hai aur hero villain ko maar daalta hai. Hai na?

Nav (looking at him in disbelief ): hum koi filmi kahani nahi sunaa rahe hai.

P: nai me aapki kahaani ko filmi nahi bataa raha hu. Me bas jaldi jaldi aapki baat adalat k saamne paish kerne ki koshish ker raha hu. Isi sunwaai me faisla chahiye na..isiliye. haan to..aisa hee huwa tha na? Farak ye k aapke is story me hero ki jaga Nandini pohoch gayi.

Nav (looking at Nandini with pride): agar hero wo hai jo ladki ki izzat bachata hai..to haan..Nandini hee humari zindagi ki hero hai.

Nandini looks at her with tears rolling down..she bites her lower lip to stop the sob that was threatening to come out.

P::aapne bataaya nahi Navya ji. Kya harshad ne aapki salwar kaati ya nahi?

Navya shuts her eyes

Nav: haan

P: phir? Phir kya kiya?

Nav: hu..hume nahi pata.

P (wriggling his brows): nahi pata? Navya ji yaha koi mazaak nahi chal raha..naahi koi story sunne hum ikhatta huwe hai jaha aap apni aadhi adhuri story sunaa k hume aise hawa me chod de.

Nav(crying n yelling): hum koi kahani nahi sunaa rahe. Jab Harshad ne humari salwar kaati hum shock me chale gaye. Hume laga ab hume koi bachaa nahi paayga. Uske baad humare saath kya huwa hume nahi pata. Sirf itna pata hai k humne kisi ko humare upar girte huwe mehsoos kiya.

P: iska matlab aapko ye b nahi pata k aapka rape huwa b ya nahi. Aur agar huwa b to wo Harshad ne kiya b ya nahi. Jaise k aapne kaha k aapne sirf kisi ko girte huwe mehsoos kiya..use dekha nahi. To hosakta hai Harshad ki jaga kisi aur ne aapki us haalat ka faaida uthaane ki koshish ki ho.

Nan (yelling furiously): wo me thi jo Navya pe giri thi.

P: aap? Aapne Navya k saath...

Nan (interrupting him n yelling): just shut up! Apni gandi soch apne paas rakhiye. Me Navya k haath kholne ki koshish ker rahi thi. Tabhi Harshad ne dobara mujhpe peeche se waar kiya..aur us waje se me Navya k upar gir gayi. Harshad ne Navya k saath phir kuch nahi kiya. Mene use Navya ka rape kerne nahi diya. (Looking at Navya who had a relief on her face knowing it was Nandini whom she felt above her n was now shedding tears of relief. Nandini looks at her n as if convincing her) kuch nahi huwa Navya k saath. Kuch b nahi. Aur me kabhi hone b nahi dungi.

Looking at prosecutor..

Nan: aur kuch poochna hai aapko? Aur kuch jaan na hai??

P: haan puchna hai. Lekin Navya ji se.

Nan: dont u dare ask her such ridiculous questions again.

P: your honor..dekhiye..dekhiye kaise battameezi se mujhse baat ki jaa rahi hai.

D: to kya chahte hai aap? Aapne jo abhi abhi apni soch sabke saamne rakhi..uske baad aapki aarti utaari jaay? Your honor..prosecutor sahab ne Navya k sach ko..is bhari adalat me ek filmy story bataake..apne hee conclusions draw kerke..meri muwakkil aur unki dost Navya k character pe ungli uthaai hai..jo ke saraa sar galat hai.

J::Mr. Shergill..adalat aapse aakhiri baar sirf case k mutallik sawal jawab kerne ka aadesh deti hai.

P: m sorry your honor. Me ab is rape k related koi sawal nahi karunga. Lekin kuch aur sawal meri zehen me hai jo me Navya ji se kerna chahunga.

J: ijazat hai

P: haan to Navya ji..aap itne time tak kaha thi? Aapki dost pichle 6 hafto se salaakho k peeche hai..tab to aap unse milne nahi aai. Aur aayi hai to seedhe aaj..jab unki case ki sunwai hai.

Nav: hum..Panchgani me the. Waha humara ilaaj horaha tha. Us hadse k baad hum shock me the..isliye hume ilaaj ki zarurat thi.

P: koi saboot hai aapke paas..is baat ka?

Nav: ji haan..ye..humare medical reports.

P (taking the file from her n checking it): maan na padhega..poori tayyari k saath aayi hai aap. Acha dusra sawal. Aap Nandini ko kabse jaanti hai?

Nav: 8 9 maheeno se.

P: 8 9 maheeno se. Matlab aapki aur Nandini ki dosti utni gehri nahi hogi.

Nav: jee nahi. Humari aur Nandini ki dosti bohot gehri hai. Jaan de sakte hai hum ek dusre k liye.

P (raising his eyebrows in amusement): itni gehri?

Nav(confidently): ji haan..itni gehri.

P:;Nandini ne aapki khatir ek khoon kiya..kya aap b aisa kuch kersakti hai?

Nav: haan

P: kya aap..Nandini k khatir..jhoot bol sakti hai?

Nav (confused ): ji?

P: mene pucha k kya aapki aur Nandini ki dosti itni gehri hai k uski jaan bachaane k liye aap jhooth bol sakti hai?

Nav: lekin hum jhoot nahi bol..

P(raising his volume): ye mere sawal ka jawab nahi huwa Navya ji. Mera sawal ye hai k kya Nandini ki jaan bachaane k khatir aap bhari adaalat me jhoot bolsakti hai ya nahi?

Nav: lekin..

P: haan ya na Navya ji?

D: objection your honor..

P: jawab dijiye Navya ji. Haan ya na

Nav: haan

P (banging his hand on the railing of witness box): yes.. point to b noted my lord. Abhi abhi Navya ne apne poore hosh o awaaz me ye qabool kiya k wo apni dost apni mitr ki jaan bachaane k liye bhari adaalat me jhoot bol sakti hai. Your honor..Harshad to ab is dunya me nahi hai. Isliye inhu ne socha k jo chaahe uspe ilzam lagaya jaay..wo to palat k kuch bol nahi sakta. Isliye unhe ne soch samaj k ye itna bada drama yaha khada kiya.

D: objection my lord. Prosecutor sahab ye baat bhool rahe hai k Navya ek ladki hai. Aur koi b ladki apni izzat ko leke itna bada jhoot itne saare logo k saamne kabhi nahi bolegi..phir chaahe uski dost kitni hee azeez kyu na ho.

P: to aap bataayiye wakeel sahiba..hai aapke paas koi saboot jo Navya k is statement ko sabit kersake? Kya saboot hai aapke paas siway navya k statement k? Aur Navya to Nandini ki sabse khaas dost hai. Wo kyu jhoot nahi bolsakti apni dost ko bachaane k liye? Not to forget..Nandini koi aam ladki nahi..uska family background kya hai ye hum dono jaante hai. Bataayiye..hai koi saboot?

Nav(in a raised tone): saboot hai. Hai saboot..ek aisa saboot jo aap to kya..dunya ki koi b adalat jhukla nahi sakti..

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top

Tags: