Chapter 22

Assalam-u-Alaikum my dear friends, followers and readers!

I know you probably hate me by now and am extremely sorry for not been able to reply back and ofcourse for not updating 'Bin Tere'. I have been very busy adjusting to new life away from home.

Yes, Alhamdullilah! I recently got married! :)

I would love if you all could keep in your sincere duas, and be a little more patient with me as I need a little more time, until I can back into writing.

Hope you'll understand and thanks for sticking with me and my story!

*****

Yeh Ek tarfa mera Pyaar,
Adhora hai Bin tere.

Chodh ke chal diye tum,
Ban ke kisi aur ke Sanam.

-Urwa

Intezar tha usku, besabri aur bechaan thi woh. Maham sari raat karwate badalti rahi, in socho mai ki najane kal kab ayega aur apne saath kya layega. Khushi, rahat ya Dukh aur tanhayi.

Raat mano pahad si ho jo kat hi na rahi thi aur bechaani Maham ko kha si jarahi thi...

Dusre din Maham jaldi uth gayi bawajud iske ki woh adhi raat se zyada jaagi howi thi. School mai bhi uska dil na lagraha tha aur bell bajate hi woh turant waha se us restaurant ki taraf chali is baat se bekhabar ki school mai kya tamasha chal raha tha.

School ki bell bajate hi Haider Ayisha ke paas se hota howa Zoya ki taraf jata hai aur bawajud is ke ki class mai abhi bhi log hai Haider Zoya se kehta hai, "Zoya, Mai thak gaya ho ye drama krte krte! Aur ab mujhse yeh nahi hoga."

Haider ki baat sun kr class mai jitne bhi the sab rukh kr inhi ko dekhne lage Ali, Ayisha aur Abdullah samait. Is se pehle Zoya samajh pati ki Haider kya keh raha hai, Haider phir Ayisha ki taraf dekhte howe Zoya se kehta hai, "Zoya mai tumhe Pasand krta ho aur mai janta ho ki tu-" Baat Haider ki puri bhi nahi howi thi ki Abdullah Haider ko muka mar de ta hai aur Haider table se takra kr neeche gir jata hai.

Abdullah phir agae bharta hai gusse mai ki tabhi Zoya beej mai ajati hai aur Abdullah ko rukhti hai yeh kehte howe, "Abdullah kya kr rahe ho tum! Tum kaise Haider ko-" Zoya ko yu Haider ko bachata dekh Abdullah ko buhut gussa aur dukh hota hai. Woh rukh zarur jata hai pr uska gussa shant na hota hai.

Abdullah tikhi muskurahat de kr Zoya se kehta hai, "Oh, mujhe mauf krna. Maine jazbaat mai aakr tumhara itna khubsurat aur yaad gar pal bigadh diya. Tum ko yu Haider ki parwah krte dekh samajh raha ho ki tum us ko kitna pasand krti ho." Yeh keh kr Abdullah waha se chala jata hai Zoya ki baat sune bina.

Zoya phir Haider ko dekhti hai jo ki zameen pr baitha apne muh se nikalta khoon poch raha tha. "Phir tumhara kya jawab hai?" Haider uth te howe Zoya se sawal krta hai.

Zoya bina kuch kahe waha se chali jati hai. Haider phir Ayisha ki taraf dekhta hai. Ayisha ke chehre pr na hi khushi thi aur na hi gum. Ayisha Haider ki taraf bhi nahi dekh rahi thi aur kuch is tarah woh apna bag le kr wa se jati hai jaise abhi kuch ho hi na ho. Ali ek taraf khara yeh sara tamasha dekh hairan tha. Ali phir Haider ki taraf jata hai aur bare hi sanjeedgi se sawal krta hai, "Kya tum wakahi Zoya ko pasand krte ho!?"

Haider muskurata hai aur Ali se kehta hai, "Ha! Warna mai yeh sab kyu krta. Mai Zoya ko buhut pasand krta ho." Yeh keh kr Haider bhi waha se chala jata hai. Ali phir idhar udhar Maham ki talash mai dekhta hai yeh soch kr ke Maham is waqt sabse zyada pareshaan hogi. Pr Maham class mai maujud hi nahi thi jab yeh sab howa.

Ali phir Car ki taraf ata hai ki shayad Maham Car mai wait kr rahi hogi pr waha bhi Maham ko na pakr Ali tuhra pareshaan aur fikr mand hota hai. Ayaan Ali ko dekh kr kehta hai, "Bhai kya soch rahe ho? Chalo ab!!" Ali, Ayaan ki baat sun kr kehta hai, "Aaj tumko itni jaldi kis baat ki ho rahi hai ki tum apni Maha ko bhul baithe."

Ayaan muskurata hai aur tang krne ke andaaz se kehta hai, "Maha ne mujhe message pr bata diya hai ki woh aaj humare saath nahi jayegi. Aur mera khayal yeh hai ki shayad aap ki wajah se. Kyu bhai aap kyu sawal kr rahe? Aapko Maha ne ibtilah nahi ki?"

Ayaan ki baat sun kr Ali apna mobile check krta hai aur Maham ka koi message na dekh kr chir sa jata hai. Turant Car mai baith kr chalana shuru kr deta hai yeh dekh Ayaan khub hasta hai.

***

Maham restaurant mai baithi ghadhi ki taraf aur darwaze ki taraf baar baar dekhi ja rahi thi. Adha ghate se zyada hogaya tha aur Urwa ka kuch pata na tha ki tabhi woh dekhti hai ki Urwa restaurant mai dakhil hoti hai aur Maham ki talash mai idhar udhar dekhti hai. Maham ko dekhte hi woh uske samne wali chair pr baith ti hai aur kehti hai, "Umeed hai tumko zyada intezar krna nahi pada hoga."

Maham Urwa ki baat sun kr muskurati hai aur kehti hai, "Nahi tum fikr na karo. Batao kya order karo tumhare liye? Kya chahiye?" "Mujhe wapis mere bhai ka pyaar chahiye." Urwa jawab mai bas itna hi kehti hai. Maham sawaliya nazru se usku dekhti ki yeh kehne ka kya matlab tu Urwa kehti hai, "Mujhe bhook nahi." Maham phir juice order kr deti hai.

"Accha, aur batao padhai kaisi jarahi hai?" Maham sawal krti hai mahaul ko halka aur baat agae badha ne keliye pr Urwa buhut hi tikhae andaaz se kehti hai, "Baatae ghumana mujhe nahi ata Maham. Aur janti ho mai tumse buhut nafarat krti ho."

Urwa phir ek lambi saas leti hai aur bag se ek box nikalti hai. Maham ko dete howe woh kehti hai, yeh bhai ne us ladki ke liye kharida tha jis se woh bepanah muhabbat krte hai pr dena sa ke us hi muhabbat ke khatir." Maham us box ko dekhti hai aur phir Urwa ko. Is se pehle woh sawal krti Urwa kehti hai, "Zarur tum soch rahi hogi ki mai yeh box tum ko kyu de rahi ho."

Urwa phir saas bharti hai mano ki woh himmat kr rahi ho aur kehti hai, "Bhai ki Muhabbat aur koi nahi aap ho! Meri wajah se bhai ne apni dosti kho di pr mai yeh hargis nahi chahti ke woh apna pehla pyaar bhi kho baithe."

Urwa ka lehza ab naram aur udaas bhara ho chuka tha. Dheri awaaz ke saath woh beete dino mai chali jati hai...

Aine ke samne khare ho kr apne aap ko sawarti banati Urwa aaj buhut khush thi. Khush is wajah se ki aaj uski birthday thi aur khushi ke saath us ke man mai ghabrahat bhi thi. Kyu ke usne faisla kiya tha ki aaj hi ke din woh apne dil mai chupa pyaar ka izhaar Ali se krde gi.

Usko yakeen tha ki Ali bhi usko pasand krta hai aur ghabrahat is baat ki, ki woh izhaar kaise karegi. Agar Ali ne usku qubool krliya phir kiya hoga. Pariwar aur bhai tu maan hi jayege Akhir woh Ali ko acchi tarah se jante hai aur bhai ka bestfriend hone ki khatir bhai ko bhi manna hi parega.

Urwa apne hi khayali baate ko soch khush aur Sharmae ja rahi thi ki tabhi uski Ammi awaaz deti hai. Urwa neeche jati hai tu dekhti hai ki uske sabhi dost mujud hote hai Ayaan samait. Ayaan ko dekh woh itiraaz krte howe kehti hai, "Aap yaha aye kis liye!?"

Ayaan muskurata hai aur gane ki dhun mai jawab deta hai, "Aap ne bolaya is liye." Urwa phir hasti hai aur kehti, "Mai itni bhi baiwakuf nahi ki tumhare saath pura gana hi gane baith jao! Yeh batao gift bhi laye ho ki khali haath is saal bhi!"

Ayaan ghur ta hai aur kehta hai, "Yaad kiye madam aap ke liye brownies koun laya tha pechle saal!?" "Woh tu Aunty ne banaye the!" Urwa tang krte howe kehti hai aur phir kuch hi der mai dono ki tu tu mai mai shuru ho jati hai.

Ladne jhakadne aur Daath khane ke baad Urwa aur uske baki sab hi dost sofe wale kamre mai party aur cake katne chale jate hai. Urwa cake cut krne se pehle dekhti hai ki uski zindagi ke do Ahem shaks mujud hi nahi the. Uske sawal krne se pehle hi Ayaan usku ibtilah krta hai, mazakiya andaaz mai kehta hai, "Mickey Mouse se zyada important Isa aur Ali bhai ke liye in ka match hai!"

Urwa yeh sun kr muh phula baith ti hai. Bina kuch soche samjhe ghar se nikal kr maidaan ki taraf jati hai jo unke ghar se kuch hi dori pr tha. Ayaan Urwa ko yu jata dekh uske peche jata hai uska saath dene ke liye.

Jaisa ki aap sab dekh sakte hai dono team ke score barabar hai. Dono hi team kafi strong hai aur ek dusre pr charahi ka ek bhi muka nahi chor rahi hai. Match apne antim paraaw mai aachuka hai aur bas dekhna yeh hai ki koun pehle score banata hai.

Arif team A ka player jiske paas is waqt ball hai tezi se goal ki taraf pohach raha, Isa team B ka player jo Arif se ball lene aur usku goal karne se rukh raha hai. Arif jo puri taraf se ghir chuka hai woh ab ball Tanveer ko paas krta hai pr yeh kya isse pehle Tanveer ball apne kabze mai krta ball Isa ki kabze mai agai!!!

Isa ab tezzi se ball ke saath goal ki taraf bhadh raha hai aur baki sab team A ke player Isa ko gher ne ki koshish mai hai ki tabhi Isa ball ko kick kr deta hai! Ball sidha Ali ke paas pohachti hai aur Ali tezzi se ball ke sath goal ki taraf bharta hai. Team A ke player ab Ali ke peche aur kuch ki der mai woh Ali ko gher lete hai. Ali phir ball Isa ko paas krta hai. Team A ke player ka dihaan ab Isa ki taraf Isa phir Ali ko ball paas krta hai. Ali tezzi se ball ke saath goal ki taraf bharta hai aur yeh Ali ne ball ko goal kr diya!!!! Is tarah se Ali aur Isa ki wajah se jeet Team B ki howi.

Ali muskurate howe Isa ko dekhta hai Isa aur dono ek dusre ko victory hug dete hai. Sabhi Team B ke player buhut khush the. Team B ke Captain khushi mai kehte hai, "Jaisa ki aap sab hi jante hai Ali aur Isa ke bina yeh Match jeetna na mumkin tha kyun ki Team A ke players shaher ki top players mai jane jati hai. Tu is jeet ke naam mai aap sabhi ko treat du-" "Ahem Ahem!" Captain ki baat beej se kat ne wala aur koi nahi Urwa thi.

"Mana ki aap sab ke liye yeh jang kafi mushkil thi aur yeh bhi mujhe dikh raha hai ki buhut hi kabilyat ke saath aap ne fateh hasil kr li. Pr mere khayal mai aap log kuch usse bhi zyada mehatpurn yani important cheez bhul baithe!" Urwa bare hi attitude ke saath apne haath kamar pr rakh kr kehti hai.

"Hmm...Isa, hum log kuch bhul rahe hai kya?" Ali bare hi sanjeedgi se Isa se sawal krta hai aur utne hi sanjeedgi se usko jawab milta hai, "Nahi, mujhe tu nahi lagta. Captain aap is bare mai kuch jante hai kya?" "Nahi, Nahi mai bhi nahi janta ki yeh muhtarma kya keh rahi hai." Captain sar hilate howe kehte hai.

'Muhtarma' alfaz sun Urwa ka tan badan jal sa jata hai aur woh gusse se sawal krti hai, "Muhtarma aap kis ko keh rahe ho!? Yeh haseen lady aap ko kis angle se Muhtarma lag rahi hai!?" Yeh baat sunte hi waha maujud sab hi log hasne lagte hai. Urwa yeh dekh sharam se pani pani ho jati hai aur isse pehle woh rona shuru krti peeche se Ayaan aakr balloon phurta hai aur Ayaan ke saath sabhi hi Urwa ko wish kr te hai, "Happy Birthday Muhtarma Urwa sahiba!"

Yeh sab dekh Urwa hairan khari thi ki tabhi Ali uske paas jata hai, usku birthday cap pehna kr bare hi pyaar se kehta hai, "Happy Birthday Micky! Tum aisa soch bhi kaise sakti ho ki hum log itni pyari muhtarma ki birthday bhul sakte hai." Urwa yeh sun kr sharma si jati hai phir Ali ko gusse se dekh kr kehti hai, "Muhtarma koun!?"

"Meri pyari behan tum aur koun!?" Isa, Urwa ko chirate howe kehta hai. Aur sab ek baar phir hasne lagte hai.

Shaam hone ko thi aur ab sab hi log apne apne ghar ki taraf lout rahe the. Urwa lout te sa me gol-gappe khane ko kehti hai. Pehle tu Isa mana krta hai pr birthday blackmail se kaam banjata hai. Isa, Ali, Ayaan aur Urwa mai ab gol-gappe competition shuru hojata hai. 2, 4, 6, 12, 16 aur 20 mai pohachte, pohachte baki sab hi dher hojate hai siwai Urwa ke aur is tarah birthday queen,champion ka kitab bhi hasil kr ne mai kamyaab ho jati hai.

Zyada gol-gappe khane ki wajah se Isa ko turant waha se ghar ki aur race krna pr jata hai. Ayaan, Isa ki halat dekh hasta hai aur Urwa ko dekhta hai, pr Urwa has nahi rahi thi. Urwa bechain thi. Nervous thi woh. Ayaan ko apni taraf dekhta dekh Urwa himmat krti hai aur Ayaan ki taraf bharti hai. Ayaan ek pal tham sa jata hai. Urwa ko yu itna nervous Ayaan ne kabhi nahi dekha hota hai aur usku yu apni taraf bharta dekh Ayaan ka dil bhi dhuk-dhuk krne lagta hai.

Kahi na kahi Ayaan janta tha ki woh jo soch raha hai woh hakiqat mai kabhi tabdeel na hosake ga. Woh jiske liye uska dil yu shur kr raha hai uski awaaz woh kabhi na sun sakegi kyu woh khud hi kisi aur ki dhun mai madhush thi.

Urwa, Ayaan ke paas ati hai aur hichkichate howe kehti hai, "Umm woh Ayaan mai keh rahi thi ki mujhe bhai ki fikr ho rahi hai woh umm kyu na tum bhai ko dekh lo kaha hai umm woh bhakte howe gai the na tu umm kahi woh gir-" Ayaan jan gaya tha ki Urwa kya kehna cha rahi thi isi liye Urwa ki bat pure hone se pehle hi woh ek bari si smile Urwa ko deta hai aur kehta hai, "Best of luck chuhiya!" Yeh keh kr Ayaan waha se chala jata hai dono ko akela chor kr.

Ayaan, ghar pohach kr Isa ki halat dekh phir hasna shuru kr deta hai aur kehta hai, "Koun yakeen karega ki abhi tum shaher ke top 4 team mai se ek se match jeet kr arahe ho! Halat tu dekho apni! Haha" yeh sun kr sofe mai paas para cushion woh Ayaan ke muh pr marta hai pr Ayaan cushion ko catch kr ke aur bhi hasta hai.

Baate aur hasi mazak mai waqt pata na chalta hai aur jald hi khane ka waqt ho jata hai. Kitchen se Urwa ki Ammi, Urwa ko awaaz lagati hai pr kuch der ho Jane pr Urwa nahi ati hai tu woh usku dekhne sofe wale kamre mai ati hai.

Urwa ko ghar pr na pa kr uski Ammi pareshaan si hojati hai aur Isa se uske bare mai pochti hai. Ayaan bhi paas mai betha howa tha aur Urwa abhi tak ghar na ayi jan kr usku fikr si hoti hai. Ayaan turant Ali ok call kr ta hai pr jab Ali recieve nahi krta tu woh aur bhi zyada pareshaan ho jata hai.

Idhar Isa bhi Urwa ki friends ko call kr Urwa ke bare mai pochta hai pr kisi ko bhi Urwa ka pata na hota hai. Ayaan phir ghar pr call krta hai. Fariha phone uthati hai, Ayaan ke pareshaan lehze se unku fikr hojati hai aur sawal krti hai, Ayaan Urwa ke bare mai sari baat batata hai aur saath hi Ali ke bare pochta hai, ki kya uska bhai ghar pohcha aur agar ha tu usku bolade.

Fariha, Ali ko awaaz deti hai aur Ali se Ayaan ki baat hoti hai. "Kya!? Urwa abhi tak ghar nahi ayi!? Pr mujhe tu aye howe adha ghanta horaha hai!" Yeh sun kr Ayaan phone cut kr deta hai. Isa Ayaan ki phone pr howi sari baat sun leta hai aur Ali ke ghar ki taraf bharta hai. Idhar Ali bhi ghar se nikal kr Isa ki ghar ki taraf araha hota hai Urwa ki fikr mai.

Isa, Ali ko dekhte hi uska collar pakad gusse mai kehta hai, "Kaha hai meri behan!? Kya kiya tumne uske saath!? Kya kaha!? Ali mai bataraha ho agar Urwa ko kuch howa tu mai tumhe kabhi nahi mauf karoga!!" Isa ka gussa aur lehza dekh Ali bhi gusse mai ajata hai woh pehle Isa ke haatho se apna collar churwata hai aur phir kehta hai, "Mujhse pehle tum apni behan se pochna ki kya kha aur kiya! Mujhe tumhari behan mai koi interest nahi pr mere khayal mai usku hai."

Ali ki baat sun kr Isa aur bhi Aag bagula ho jata hai aur usku muka mar deta hai. "Tumhari himmat kaisi howi meri behan ke bare mai aisa kehne ki!!" Isse pehle Ali palat kr kuch kehta ya marta, beej mai Ayaan ajata hai. "Bhai abhi yeh waqt nahi apas mai ladhne ka! Abhi humko mil kr Urwa ki talash krni chahiye phir kyu aap us hi se pohlena hakiqat kya hai!"

Ayaan ki baat Isa aur Ali dono ko samajh mai ajati hai aur teeno Urwa ko dhundne alag alag rastu pr nikal jate hai.

Urwa akele raste pr chali jarahi thi. Ankho mai uske tote khuwabu ki kirche gadh si rahi thi aur moti jaise aansu uske chere ko nam kr rahe the...

Ali usku nahi pasand krta hai. Usne tu hamesha usku choti behan mana. Ali ko jab usne hichkichate aur himmat krte apne dil ki baat kahi tabhi Ali ne usku choti behan ki tarike sar pr haath rak kr bare hi pyaar se mana kr diya. Ali beshak pehle hairan howa yah jaan kr ki Urwa usku pasand krti hai pr phir bhi usne koshish ki Urwa ko bura na lage. Pr uska yu sar pr haath rakhna aur pyaar se mana krna Irwa ko bilkul na pasand aya. Urwa ke dil mai ek hi baat chal rahi thi ki uske itni himmat krne ke bawajud aur yeh janne ke baad bhi ki Urwa usku pasand krti hai, Ali ne Urwa ko choti behan ke tarike mana kiya. Yeh baat Urwa ko bilkul na pasand ayi.

Urwa inhi khayaalu aur socho mai dobi, tote dil ke saath bekhayali mai chali ja rahi thi ki tabhi samne se ata truck ko dekh Urwa wahi jam jati hai. Truck tezzi se Urwa ki taraf bhar raha tha aur Urwa wahi jammi khari thi. Isse pehle truck Urwa ko takar deta Urwa ko pehche se koi dhakka de kr usku bacha leta hai aur Urwa zameen pr ja girti hai. Urwa jab peche palat kr dekhti hai tu dang reh jati hai.

Truck apni raftar dhemi na krne mai nakamyab raha tha aur woh shaks jisne Urwa ko bahane keliye uski jagah pr akr usku dhakka diya tha woh ab zameen pr besud para tha.

Urwa zameen pr pare shaks ka nikalta khoon dekh kap kapa kati hai. Aansu tezzi se beh rahe the. Yah nahi hona chahiye tha. Meri jagah kyu!?

Itni der mai Isa aur Ali dono Urwa ko talashte waha pohach jate hai. Isa Urwa ko zameen kr baitha dekh aur truck dekh Urwa ki taraf bhakta hai. "Urwa! Shukr khuda ka ki tum theek ho. Chot tu nahi ayi? Kya howa tum kuch bol kyu nahi rahi ho!?" Isa fikr aur darte howe pochta hai. Urwa kuch ma bolti hai sirf rote howe ishare se zameen pr pare shaks ki taraf ishara krti hai. Isa palat kr dekhta hai aur dekh hairan reh jata hai.

Zameen pr para shaks aur koi nahi Ali ka chota bhai Ayaan tha. Khoon tezzi beh raha tha aur Ali Ayaan ko apni gudi mai liya usse ankhe khul ne ko baar baar keh raha tha. Ali ke ankho se aansu baje jarahe the aur baar baar woh Ayaan se keh raha tha, "Bhai mere bhai ankhe kholo tum mujhe kyu tang kr rahe ho. Ayaan mujhe mauf kardo please ankhe kholo."

Hospital mai Ali bechain operation room ko dekhe jaraha tha. Na usse baitha ja raha tha na khara howa jaraha tha. Saath betaya bachpan ki yaade uski ankho ke samne arahai thi. Fariha aur Ahmad bhi buhut pareshaan the. Urwa aur uska pura pariwar bhi waha maujud tha.

Urwa apne aap ko kusurwar tehrati aur roti chali jati. Ali uske paas jata hai aur kehta hai, "Fikr na karo, Ayaan theek hojaye ga aur is mai tumhari koi galti nahi." Urwa bajaye chup hone ke aur bhi zyada rone lagati hai. Isa kuch na bolta hai pr abhi bhi woh Ali ko galat samajh raha tha.

Karib 2 ghate baad doctor bahar ate hai aur kehte hai, "Operation Successful raha! Congratulations!" Yeh sun kr Fariha aur Ahmad sukoon ki saas lete hai aur Ali ke bhi jaan mai jaan ati hai pr phir doctor kehte hai, "Operation tu Successful raha pr mujhe mauf kariye yeh kehte howe mujhe buhut dukh hai ki ab aapka beta koi bhi athletic sports mai bhag nahi le sakta. Mai yeh nahi keh raha ki woh nahi chal sakta pr yeh keh raha ho ki zyada duar bhag nahi sakta. I am sorry." Doctor ki.baat khatm hote hi ajeeb sannata hojata hai.

Fariha phir rona shuru kr deti hai aur Ahmad unku sambhal ne ki koshish krte hai. Ali apni Ammi, Abu ko himmat dilata hai aur dono ko Ayaan se milne ke liye le jata hai. Ayaan ab hosh mai aachuka tha. Fariha Ayaan ko dekhte hi rone lagti hai. "Aare Ammi aap roye tu na. Dekhiye accha khasa zinda banda aapke samne leta hain aur aap aise ro rahi ho jaise ki murd-" "AYAAN!" Isse pehle Ayaan apna mazak pura krta Ahmad usku daath kr chup krwade te hai.

"Abu jaaan! Aaj tu kam sa kam na daathe. Kuch is mazlum ka khayal hi krle!" Ayaan mazak phir krta hai sabko hasne ke liye le tabhi Ali usku us hi jagah marta hai jis jagah ghaw tha aur woh chikh pr ta hai. "Mazlum!? Hero banne chala tha." Ali kehta hai aur Ayaan hasne lagta hai phir usku yaad ata hai aur turant Urwa ki khair pochta hai, "Urwa kaha hai? Theek tu hai woh? Chot tu nahi ayi use?"

Yeh sun aur dekh kr Sabhi muskurate hai aur Ahmad kehte hai, "Ahem! Pehle apne aap ki khair mana lo phir fikr krna kisi aur ki!" Apne abba ki baat sun kr Ayaan ko ehsaas hota hai ki woh kuch zyada hi bol betha aur sharam se laal hone lagta hai. Apne bete ko yu kisi ladki ki fikr karte dekh Fariha bhi hasne lagti hai.

Dusre din Urwa aur uska pariwar Hospila Ayaan se milne ata hai. Urwa, Ali se ankhe chura rahi thi. Ali ko nazar andaaz kr rahi thi aur koshish kr rahi thi ke Ali ka samna na ho. Isa aur Ali mai abhi bhi kafi khatas thi jo waqt ke saath kadhwi hoti chali gayi...

Urwa room ke andar ati hai Ayaan Urwa ko dekh muskurata hai aur mazak krta hai, "Aur batao ab kis truck ke neeche ane ka irada hai ya waha bhi mujhe hi marwaogi?" Ayaan ki baat sun kr uske ankho mai aansu ane lagte hai aur woh rona shuru kr deti hai.

"Aare Aare sorry yaar Maine is liye tuhri kah tha ki rona shuru krdo. Aur phir chuhiya roti howi aur bhi kharab lagti ho." Ayaan ki baat sun kr woh gusse mai marti hai aur phir Ayaan muh bana kr kehta hai, "Koi yaha mujhe patient ki tarah kyu nahi treat krta sab se khali daath ya mar kha raha ho!"

Urwa hasne lagti hai aur kehti hai, "Isliye kyu ki phir kabhi yeh jhinga hero banne ki koshish na kare!"
"Jhinga!? Seriously Chuhiya yeh naam diya tumne apne hero ko?" Aur is tarah dono hasne lagte hai.

Kuch dino baad Isa Urwa se pochta ha ki kya howa tha tu Urwa sirf yeh kehti hai, "Bhai, Galti meri thi...mai choti thi tu baiwakuf ban gayi..."

Urwa ke band alfaaz mai kahi baat Isa ulta matlab samajh leta hai aur samjhta hai ki Ali ne uski pyari behan ke dil ke saath khela hai.

Maham hairan thi yeh baat jan kr. Maham nahi samajh pa rahi thi ki woh kya kahe pr isse pehle woh kuch kehti, Urwa phir kehna shuru krti hai, "Ab mujhe samajh mai aya ki us din Ali ne mujhe kyu nahi qubool kiya. Kyun ki woh tu khud ki apne aur tumhare parents ke kiye howe wade ki janjeer mai jagdha (bandha) howa tha. Woh shayad aaj bhi mujhe pasand krta hai jis tarike se mai usku."

Urwa ki baat sun kr Maham khamosh thi agae Urwa ne kya kaha aur kab gayi Maham ko kuch na pata chala. Maham ki ankho mai bhare pani jo na bhe rahe the na suk rahe the. Maham ko uska dil totta sunayi de raha tha. Sabhi yaade saath bitayi howi jhooti lagrahi thi. Maham ko ehsaas horaha tha ki aaj ek baar phir woh is bhari duniya mai tanha si hogayi hai.

***

Ali jabse wapis aya tha Maham ka hi intezar kr raha tha.

'Itni dair hogayi abhi tak Maham Ghar nahi ayi. Kaha hai? Aisa kya kaam tha jo yeh itni jaldi chali gayi. Call bhi kr ke dekh chuka ho.'

Tabhi ghar ka gate kholta hai aur Ali tezzi se gate ki taraf jata hai Ayaan ko dekh mayus hojata hai aur muh latak leta hai. Ayaan apne bhai ko is tarah dekh chirate hai, "Kya howa bhai? Bhabhi ka intezar ho raha hai?" Ayaan ki baat sun Ali laal hota hai aur kehta hai, "B-Bhabhi koun!? Kuch zyada hi tumko maza nahi araha hai?"

"Mujhe pata hai Maha kaha ha-" "Kaha!?" Ayaan ki baat puri bhi na howi thi ki Ali poch baith ta hai aur Ayaan khob mazak banata hai ki woh mazak kr raha tha aur inki bechani tu dekho, hahah.

Alichir jata hai aur kamre mai wapis chala jata hai. Shaam ko jab woh neeche ata hai tu Maham ko sofe pr baitha dekh sawal krne ka hi raha hota hai ki Maham palat ti hai aur Ali ko dekh kr khud sawal kr baith ti hai.

"Ali, kya mai tumse ek baat pocho? Kya tum sach sach jawab doge bina mazak banaye, bina chupaye, bina jhoot bole?"

Ali, Maham ko yuh itni sanjeedi se sawal krta dekh tuhri fikr krta hai aur kehta hai, "Theek hai pr batao tu sahi kya baat hai!?" Maham lambi saas leti hai aur phir sawal krti hai,

"Tum kisi se pyaar krte ho aur agar ha tu kya yeh wahi ladki hai jiski tasweer dekh us din tum muskura rahe the?"

Ali sun kr muskurata hai aur sochta hai, 'Mai ek pal fikr mai agaya tha ki kya baat hai pr yeh...'

Ali muskurata hai aur jawab deta hai, "Maham tum sahi keh rahi ho, mai kisi ko pasand krta ho aur ha yeh wahi ladki hai jiski tasweer dekh mai us din muskura raha tha. Woh buhut hi khubsurat hai aur apne aapko buhut hushiyaar samjhti hai pr hai nahi. Baat baat pr ladhti hai aur tangkrna uska shouk hai."

Ali ko is tarah kisi aur ladki ki batae krte dekh Maham ka dil aur dhob jata hai. Chor tu hohi chuka tha ab iski kirche bhi bhae gayi thi. Maham ki ankhe bhar ati hai aur phir kehti hai, "Ek akhri sawal, agar tumhe muka mile tu kya tum apni sari zindagi uske saath bitana pasand karoge?"

Ali, Maham ka sawal sun kr tuhra hairat krta hai, Maham itni khuli mijaaz kabhi nahi thi ki istarah ke sawal kare pr koi wajah tu hogi. Kuch dair ther kr Ali jawab dena behtar samajh ta hai.

"Puri Zindagi buhut bara commitment hai, Maham. Pr agar mujhe muka mila aur woh ladki mere saath khush hai aur mere saath apne zindagi ke safar mai chalna chahti hai tu mai zara bhi ladhkadhau ga nahi. Khushi khushi mai uska haath thamu ga. Uske saath har din ek naya aur masti bhara hoga kyu jaha tak mai usku janta ho woh drama queen se kam nahi aur mai ye-" Ali ki baat puri bhi na howi thi ki Maham waha se chali jati hai.

Ali, Maham ka yeh bartaw dekh hairat krta hai aur sochta hai, 'Yeh kya sharma ke bhagi hai ya apne hi aap se jal kr?' Phir Ali apna phone nikal ta hai aur woh picture nikalta hai jo usne chuke ek din khichi thi jab Maham apni sapno ki duniya mai khoyi howi thi.

Picture dekh kr Ali muskurata hai aur sochta hai, 'Maham ko yeh tu pata hai ki mai picture dekh muskura raha tha pr kya woh yeh janti hai ki picture mai aur koi nahi woh khud hi hai.'

***

Is ke kuch din tak Maham, Ali se na koi baat krti aur Ali ko dekh waha se chali jaya krti. Ali in socho mai khush tha ki Maham kuch zyada hi sharm se pani hai jo woh iske samne bhi nahi arahi. Pr Ali ko kya khabar thi ki jin khush fehmin mai woh jee raha hai uski hakiqat jald uske samne ane wali hai.

Dusre din Ali jab Match khel kr wapis ata hai tu ghar mai kuch ajeeb sa sannata pata hai. Kuch ajeeb si khamoshi jo ajeeb anhoni ki dastak de rahi thi.

Sofe wale kamre mai jata hai tu dekhta hai ki pura pariwar waha maujud tha siwaye Maham ke. Phir Ali ki nazar table pr rakhe ek letter pr parti hai jiske upar Maham ki Engagement ring rakhi howi thi.

***

So Was this Chapter worth the wait or is it so..so!?

Do share your thoughts in comments section below and don't forget to vote!

Keep smiling because it's suits you!♡♡♡

***

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top