Chapter 21
Assalam-u-Alaikum friends! How are you all!?
I know you all probably hate me by now. After making promises, I never update on time. For that, I sincerely apologize to all of you. I am really busy nowadays and I am really trying my best. Hopefully you'll understand.
One of my cousin wants me to kill Maham. She really like Urwa and she wants me to replace the main character. What are your thoughts upon it.
Pray if you haven't yet. Prayer comes first!
Keep smiling because it's suits you. Don't forget to vote and share your thoughts upon it!♡♡♡
***
Maham, Ayisha ke saath uske room mai baithi homework kr rahi hoti hai pr Maham ke ane ki asal wajah homework nahi thi. Maham ko nahi samajh araha tha ki woh Ayisha se kis tarah baat kare. Ayisha bhi khamoshi se apna Homework kiye jarahi hoti hai ki tabhi Ayisha ki Ammi kamre mai dakhil hoti hai, juice aur kuch snacks ke saath.
"Masha Allah! Tum log dil laga kr padhte howe kitni acchi dikhti ho. Aur Maham, mujhe buhut khushi howi ki tum humare ghar ayi. Ab khana khilaye bina mai tumhe jane nahi dungi!" Ayisha ki Ammi bare hi pyaar se kehti hai, nashta rakhte howe. "Mujhe bhi aap se mil kr buhut accha laga pr Aunty mai khana nahi kha sakti, please takaluf na kijiye ka." Maham unku adab ke saath mana krte howe kehti hai.
"Ammi! Aap na ise kehne dijiye. Mai dekhti ho ki kaise yeh bina khaye jati hai yaha se!" Ayisha copy ban krte howe kehti hai. "Ayisha, please yaar zid na karo. Mai kisi aur din khalo gi na." Maham, Ayisha se kehti hai.
"Thik hai, phir tum ladkiyu baat aur kaam karo mai khane ki tayaari krti ho. Aur Ayisha jane na dena isko, samjhi!" Ayisha ki Ammi kehti hai aur waha se chali jati hai. Maham, Ayisha ko is tarah dekhti hai ki mano keh rahi ho, 'Please maan jao na' aur Ayisha sar hilati hai aur haath ko cross shape mai bana kr kehti hai, "Bilkul bhi nahi! Aur agar tumne phir zid ki na, tu samajhna humari dosti khatam!"
"Ayishaaa"
"Maham!"
"Accha thik hai. Pr mai call krlo pehle." Maham, Ayisha ki zid se har mante howe kehti hai aur phir Aunty ko call kr ke aapne dair se ghar lautne ka bata deti hai. Ayisha aur Maham phir padhayi se break le kr juice aur Snacks khate howe idhar, udhar ki batae krne lagti hai.
"Mujhe pata hai, tumhare ane ka asal maksad kya hai!" Ayisha achanak se kehti hai, Maham ko hairan krte howe. Maham, Ayisha ko dekhti hai aur phir kehti hai, "Ayisha...mujhe samajh nahi araha hai kya karo. Mai aise tum logo ladhta nahi dekh sakti!" Ayisha, Maham ki baat sun kr muskurati hai. Uske karib ja kr baithti hai aur uske dono haath thamte howe kehti hai, "Maham, tumhe kisne kaha hum log ek dusre se ladh rahe hai. Haider aur Abdullah ki baat nahi kr rahi ho mai, Zoya ko bhi shayad tumhari tarah nahi samajh araha hoga ki kya kare aur kaise baat kare. Rahi baat Haider ki, tu mujhe pehle din se pata tha ki Haider, Zoya ko pasand krta hai. Aur mujhe lagta hai, Zoya bhi Haider ko pasand krti hai. Mai ho jo dono ke beech agyi. Galti meri thi."
"Aisa bilkul nahi hai, Ayisha! Zoya, Abdullah ko pasand krti hai! Usne hum logo se khud hi tu kaha tha!"
"Usne kaha zarur tha pr shayad woh sach na tha. Maham, mujhe lagta ki humko yeh waqt pr chor dena chahiye. Zoya jis ko bhi pasand krti hai, aur Haider apne pyaar ko sab ke samne qubool krle tabhi sab thik ho sakta hai, aur yeh waqt hi bataye ga. Aur mai yeh har gis nahi chati ki yeh boys humari itni acchi friendship ke beech mai aye!" Ayisha kehti hai.
"Sahi keh rahi ho! Hum logo ko is waqt padhayi aur apni friendship mai tawajjah deni chahiye!" Maham haste howe kehti hai. Phir Ayisha muskurati hai aur Maham ko yakeen dilate howe kehti hai, "Fikr na karo, Maham, sab thik ho jaye ga aur Zoya se mai zarur baat karo gi!" Maham sar hilati hai hami mai aur phir dono hasi mazak ke saath wapis apne school ke kaam me lag jati hai.
***
Raat ko jab Isa ghar laut ta hai, tu apne saath Chocolate zarur le kr ata hai. Isa acchi tarah se janta tha ki Urwa ko Chocolate kitni pasand hai. Pr jab Isa, Urwa ke kamre mai jata hai tu Urwa ko waha na dekh kr tuhra pareshaan hojata hai.
Isa, apni Ammi, Abu se Urwa ke bare mai sawal krta hai tu uski Ammi jawab mai kehti hai, "Urwa hosakta hai bathroom mai ho. Abhi tu hum logo ke saath isne khana khaya hai." Isa ko yeh baat sun kr itminan hojata hai aur woh Urwa ke kamre mai uski Chocolate rakh kr apne kamre mai dakhil hota hai.
Kamre mai Urwa ko maujud dekh Isa tuhra hairan hota hai aur phir sawal krta hai, "Tum mere kamre mai kya kr rahi ho!?" Urwa kuch dair kuch na kehti hai phir jawab mai kehti hai, "Aap ka intezar kr rahi thi. Aap se kuch baat krni thi."
"Uffo! Madam ko phir koi nayi farmayish krni hai mujhse. Tabhi mere kamre mai baith kr intezar ho raha tha. Jao tumhare room mai Chocolate rakhi hai aur kuch chahiye hote tu Abbu ke paas jana mere paas tum pr zaya krne ke paise nahi hai!" Isa mazakiya andaaz se kehta hai.
"Bhai, woh koun hai aur uska kya naam hai, jisse ko aap pasand krte hai?" Urwa sawal krti hai sanjidgi se. Isa hasta hai aur baat talte howe kehta hai, "Raat ke is waqt tumko uski kyu yaad sata rahi hai? Wahi ek sawal kr ke tum thakti nahi ho!?"
"Bhai! Baat ko mat talye! Mujhe janna hai! Bataye woh koun hai!?" Urwa ek baar phir sawal krti hai. "Sar dard na karo, Urwa. Waqt ane pr mai tumko bata doga." Isa kehta hai.
"Waqt ane pr!? Jab us ladki ki shadi apke bestfriend se hojaye gi tab!?" Urwa tuhra has kr tanziya lehze se kehti hai. Isa, Urwa ko hairani se dekh raha tha. "Ji bhai, mujhe pata chal gaya hai. Jis ladki ko aap pasand krte hai, woh aur koi nahi, Ali ki fiance, Maham hai!" Urwa phir kehti hai.
Isa ab Urwa ke paas jata hai aur usku bed pr betha ta hai, phir uske paas baith kr kehta hai, "Haa, Mujhe Maham pasand thi, nahi abhi bhi pasand hai. Mujhe Maham pasand agayi thi jab meri usse pehli baar mulaqat howi thi. Mujhe tab is baat ka ilm nahi tha ki Maham ki Engagement ho chuki hai aur kisse. Pr ab jab mujhe is baat ka ilm ho chuka hai tu mai nahi chata ki mai Maham aur Ali ke beech mai aao. Maham, Ali ko pasand krti hai aur Ali bhi, Aur mera kya hai, tumhara bhai itna handsome hai ki usse Maham se zyada aur pyari ladki mil jaye gi."
"Pr bhai...aap, aap Maham ko pasand krte hai, tu apne pyaar ke liye ladhye! Apne pyaar ko hasil krne ki koshish kijiye!" Urwa kehti hai. Isa muskurata hai aur Urwa ke sar pr haath pehrthe howe kehta hai, "Mai woh jung nahi ladhna chata, jaha mujhe akhiri mai har mile. Mujhe pata hai ki har meri hogi. Mere paas abhi jo kuch hai, mai usko, is jung mai nahi khona chata ho."
Urwa, Isa ki yeh baat sun kr khamosh ho jati hai aur agae kuch na kehti hai. Urwa ko apne bhai ki baat sun kr dukh hota hai. Aur apni woh galti ka ehsas.
'Bhai ne meri wajah se apni dosti kho di, pr mai nahi chati ki bhai ka pyaar bhi unse chin jaye.'
***
Dusre din school mai Ayisha zyada tar apna waqt Maham ke saath guzarti hai. Ayisha koshish mai thi ki Zoya se woh baat kr sake pr jab Ayisha Zoya ki taraf badhti hai samne Abdullah ajata hai. Abdullah, Ayisha se School work ke sil sile mai baat krta hai aur kuch hasi mazak bhi krta hai. Maham bhi dono ke saath khari has rahi thi.
Ali, Haider ke saath khara inhi logo ko dekh raha tha. Ali tuhri uchi awaaz mai Haider se kehta hai, "Ayisha aur Abdullah kitne acche lag rahe hai saath mai, hai na!?" Haider, Ali ki baat sun kr khamosh rehna behtar samjhta hai pr Zoya ko bardash na hota hai. Zoya khari hoti hai aur Abdullah ke paas ja kr uski copy chin kr apne bag mai rakh leti hai.
Abdullah yeh dekh tuhra hairan hota hai aur Zoya se apni copy wapis mangta hai, "Yeh kya harkat hai, Zoya? Meri copy mujhe wapis do!"
'Zoya? Kal tak ke mai tumhare liye Zoyi howa krti thi pr ab mai sirf Zoya ho. Tum badal gaye Abdullah.' Zoya man me sochti hai.
Zoya khamoshi se uski kitaab wapis kr ke Claas se bahar chali jati hai. Abdullah apni kitab ko dekhte howe kuch sochta hai phir wapis Ayisha se usmai likhe sawalu ka jawab pochne lagta hai. Maham yeh dekh sar hilati hai afsos mai aur Zoya ke peche jati hai.
Zoya ka haath pakar usku corridor mai rukhte howe sawal krti hai, "Zoya! Kaha jarahi ho?" Zoya, Maham ko mur kr dekhti hai aur phir jawab deti hai, "Suicide krne!"
"Mazak bandh karo Zoya! Mujhe fikr hai." Maham kehti hai. Zoya hasti hai aur kehti hai, "Fikr? Jisko honi chahiye woh Ayisha ke saath hasi mazak kr raha hai."
"Zoya, Aisa kuch nahi hai. Abdullah sirf School work ke sil sile mai Ayisha se madad mang raha hai aur tum usse naraaz ho is wajah se woh tumhare paas nahi aya." Maham samjhate howe kehti hai. Zoya apna haath Maham ke haathu se chorati hai aur kehti hai, "Mai naraaz ho, woh janta hai tab bhi mujhe mana ne nahi aya! Mai janti ho, Abdullah ke dil mai mere liye koi feelings kabhi thi hi nahi aur Abdullah, Ayisha ko pasand krta hai! Yeh mai kya sabhi dekh rahe hai." Yeh keh kr Zoya waha se chali jati hai.
Maham class mai wapis ati hai aur apne desk pr head down kr leti hai. Ali yeh dekh kr fikr mand hota hai aur Maham ke paas jata hai. Maham se sawal krta hai, "Tum thik tu hona?" Maham uthti hai aur Ali ko waha dekh muskurati hai, phir Ali se fikr ke saath kehti hai, "Ali, mere sar mai dard ho raha hai. Mujhe nahi samajh mai araha hai ki in ki misunderstanding mai kaise clear karo. Mujhe nahi accha lag raha hai apne dostu ko yuh ladhta dekh kr."
Ali, Maham ki baat sun kr muskurata hai aur kehta hai, "Maham, tum fikr na karo. Mai sab thik kr doga. Mujh pr yakeen karo aur mujhe kuch waqt do. Thik hai?" Maham muskurati hai aur ha mai sar hilati hai. Maham ko Ali ki baat sun kr sukoon hojata hai aur usse yakeen tha ki Ali kuch na kuch zarur aisa karege ki sab thik ho jaye ga.
***
School ki choti hone ke baad sab apne, apne ghar laut gaye the siwaye Ayisha ke. Ayisha ki classroom saaf krne ki duty thi. Ayisha blackboard duster se saaf kr rahi thi ki tabhi Classroom mai najane kaha se Haider ajata hai aur Ayisha se duster le kr khud saaf krne lagta hai. Ayisha usku nazar andaaz krti hai aur kapra lekr desk pochne lagti hai. Haider phir uske kaam ke beech ajata hai. Ayisha ko ab gussa ane lagta hai tu woh bina kuch kahe bag utha kr Jane lagti hai pr Haider rasta rukh leta hai aur Sawal kr ta hai, "Tum mujhe kyoun avoid kr rahi ho!?"
Ayisha kuch nahi kehti hai aur waha se nikalne ki koshish krti hai pr Haider uske samne aakr khara hojata hai aur kehta hai, "Mujhe mere sawal ka jawab do tabhi mai tumhe yaha se Jane doga! Mujhe tum kyu avoid kr rahi ho? Maine kya kiya hai?" Ayisha, Haider ki zid ke agae har mante howe kehti hai, "Mai agar tumhare sawal ka jawab de do, tu tum mujhe ayinda kabhi dubara is tarah se rukhne ya pareshaan krne ki jurrat tu nahi karoge, mujhse wada karo!"
Ayisha ke lehze ki talkhi, Haider ko sochne pr majbur kr deti hai, ki kyu Ayisha is kadr naraaz hai, akhir kya wajah hai, Ayisha ke is rawaiye ke peche? Haider phir sar ha mai hilata hai aur Ayisha ko bolne ka muka deta hai.
Ayisha ek lambi saas leti hai aur kehti hai, "Humare class mai aur hamari zindagi mai jo kuch bhi ho raha hai is ke Zimedar tum ho. Tumhari wajah se Zoya aur mere beech baat cheet bandh hogayi hai aur Abdullah bhi kafi pareshaan hai. Tum agar Zoya se pyaar krt-" "Phir Abdullah! Tum mujhe batao ke tumhe apne se zyada Abdullah ki fikr kyoun hai!? Kya taluk hai tumhara aur Abdullah ka!? Aur Zoya aur mai!? Seriously Ayisha mai tumhe samajhdaar samjhta tha pr-uff!" Haider, Ayisha ki baat beech se cut te howe gusse se kehta hai aur apni baat pure kiye bina hi waha se gusse se chala jata hai. Ayisha wahi khari reh jati hai.
***
Sham ko Maham apne room mai baithi Homework kr rahi hoti hai ki tabhi Maham ka Phone ring kr ta hai. Maham apna phone check krti hai aur dekhti hai ki call kisi unknown number se araha hota hai. Maham call recieve krti hai,
"Hello?" Maham sawaliya andaaz se kehti hai.
"Maham?" Dusri taraf se awaaz ati hai.
"Ji, Maham hi baat kr rahi hai. Aap koun?"
"Maham, mai Urwa baat kr rahi ho. Isa ki choti behan. Mujhe tumse Ali ke silsile mai kuch baat krni hai. Agar tum janna chati ho ki us din mai kyu ro rahi thi aur kyu Isa bhai aur Ali ek dusre se baat nahi krte, tu kal thik shaam ke 5:00 baje school ke paas wali cafe mai milna. Mujhe tumhara intezar rahe ga." Urwa yeh keh kr phone cut kr deti hai. Maham ko gehri soch, fikr aur bekarari mai dal kr.
***
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top