Chapter 19

Assalam-u-Alaikum friends! How are you all? I know you were eagerly waiting for the update. Sorry for the late update. I trying my best and Insha Allah I am planning to update twice a week. So bear with this lazy author. Plus I want to thankyou all for always encouraging and supporting me. You really don't know how much happy it made me. Thankyou! You are all beautifully amazing! Jazak Allah khair!♡♡♡

Don't forget to vote and share your thoughts upon it. I honestly love reading your comments. I read it again and again. It motivates me, encourages me to write more and more. Thankyou! Keep smiling because it's suits you! Stay happy and keep living! ♡♡♡

*********
*************

Amusement park pohach kr Ali aur uske dost, sabhi ticket counter pe jakr tickets kharidne lage. Ali, Maham ka bhi ticket lena chata tha pr isse pehle woh leta Maham ka ticket Zoya le chuki thi. Yeh keh kr ki aaj Maham ko woh treat dena chati hai.

Tickets lekr sabhi dost Amusement park mai dakhil hote hai. Maham pehli baar is shehar ka Amusement park dekh rahi thi. Maham ne is park ki tarif kafi logo ke muh se suni thi aur isi wajah se Maham buhut excited thi.

Park mai dakhil hote hi Maham dekhti hai samne ek khubsurat sa fountain laga howa hai jismai lights bhi lagi howi thi. Agae bhar kr ek bridge ata hai jisko par kr ke rasta 3 hisso mai divide hojata hai. Ek rasta riding park ki taraf jata hai, dusra water park aur tesra snow park ki taraf jata hai. Sabhi dost waha pr rukh jatae hai aur sochne lagte hai ki kis park mai pehle jaye.

"Mai abhi batado mai riding park mai har gis dakhil nahi hogi!" Zoya kehti hai jisko sun sabhi sawaliya nazaru se Zoya ko dekhte hai. Abdullah phir haste howe iske peche chupa raaz batata hai, "Zoya jhule se ek baar gir gayi thi aur tabse Zoya ko riding park se nafrat hogayi hai. Zoya kafi buri tarah se royi bhi thi aur-" "Accha bas karo! Apni taraf se batate banana," Zoya, Abdullah ki baat cut te howe kehti hai.

"Pr mai tu sach bata raha-Owch!" Abdullah keh hi raha hota hai ki Zoya uske shoes pr apni nukili sandle daba kr usku aur bolne se rukh deti hai aur yeh dekh kr sab hasne lagte hai. Zoya phir Abdullah ke saath Water park ki taraf chali jati hai.

"Tum dono kaha ja rahe ho!?" Ali, Haider aur Ayisha ko dusri taraf jate dekh sawal karta hai. "Ayisha ki zid hai ki woh pehle snow park jana chati hai tu hum dono wahi ja rahe hai." Haider kehta hai. "Thik hai phir, hum bhi chalte hai!" Ali kehta hai.

"Nahi,Nahi! Tum dono ko riding park jana tha na! Jao hum dono tuhri dair mai milte hai. Thik hai." Ayisha kehti hai aur Haider ko waha se le jati hai. Phir tuhri dair ke baad Ali ke paas message ata hai.

Sorry subha disturb krne ke liye, Have Fun and Enjoy your date~

Yahi same message Maham ke paas bhi ata hai girls ki taraf se aur dono yeh message dekh kr laal hojate hai. "Tu phir chala jaye?" Ali apna phone jabe mai rakte howe kehta hai. "Hmm...thik hai phir let's Invade all the rides!" Maham kehti hai aur Ali usku muskura kr dekhta hai. Phir dono riding park mai dakhil hojate hai.

***

Locker mai saman rakhte howe Abdullah, Zoya se sawal karta hai, "Zoyi, tumhe kya lagta hai jo humne kiya woh sahi tha. I mean tum Ali ko janti ho kahi woh naraaz na hojaye." Zoya apne rings utarti hai aur basket mai rakhte howe kehti hai, "Maine tumse kitni baar kaha mujhe Zoyi na kaha karo. Aur Ali naraz nahi khush hoga jo humne kiya."

"Kya matlab?" Abdullah sawal karta hai. "Tum nahi samjhu ge" Zoya, Abdullah se gusse se keh kr locker ban krti hai aur swimming pool ki taraf chali jati hai. 'Yeh mujhse humesha choti choti batu pr khafa kyu ho jati hai? Zarur mujhse Zoyi nafrat krti hai.' Abdullah wahi khara sochta hai.

'Ufff kitna accha hota agar tum in sab mamle mai samjhdar hote. Tumhe meri feelings ke bare mai andaza hota ki mai...' Zoya man hi man mai sochti hai.

Zoya water slide mai charne jati hai, Abdullah yeh dekh uske peche ata hai aur usku rukhta hai. "Ab kya howa!?" Zoya gusse se kehti hai, Abdullah uska haath thame kehta hai, "Tumhe tu jhulu se dar lagta tha na aur yeh bhi slide hai madam."

"Abdullah yeh water slide hai. Mujhe pani mai girne se dar nahi lagta, zameen pr gir kr chot lagne se dar lagta hai. Ab mera haath chore." Zoya apna haath chorate howe kehti aur Slide mai baith jati hai. "Uff, yeh ladki." Abdullah phir apni bari ka intezar krta hai aur slide pr baith jata hai.

***

Haider aur Ayisha Snow skating ke tayari kr rahe the. Snow skating Ayisha ne kabhi nahi ki thi aur is wajah se woh nervous ke saath excited bhi buhut thi.

Ayisha apne shoes ke laces bahand nahi pa rahi thi heavy suit ki wajah se, yeh dekh kr Haider Ayisha ko chair pr baithne ko kehta hai aur jab Ayisha baith jati hai tu Haider neche baith kr Ayisha ke shoe laces bahand ta hai. Ayisha, Haider ka yeh side pehli baar dekh rahi thi. Haider hamesha padhai ya Zoya se competition krne mai itna busy rehta tha ki kabhi Ayisha ki taraf dekhta hi nahi tha.

Ayisha apni puri koshish krti thi ki woh padhai mai zoya jaisi ho jaye ya kabhi Haider se baat karne ka muka mile. Ek waqt aisa bhi aya tha jab Ayisha ne Haider ke bare mai care krna chor di thi pr is waqt Haider ko is tarah care krte dekh Ayisha ko buhut accha lagta hai.

"All done! Chalo phir chala jaye?" Haider khare ho kr Ayisha ko apna haath bhara kr deta hai aur kehta hai. Ayisha haa mai sar hilati hai aur uska haath thamte howe khari hoti hai. Ayisha ne pehli baar skating shoes pehne the tu apna balance nahi bana parahi thi aur larkhara rahi thi pr Haider ki support se usne balance banane mai kamyaab rahi. Phir dono skating krne ke liye snow mountain pr charte hai.

"Haider mai wapis ja rahi ho. Meri himmat nahi. Kya hoga agar maine apna balance kho diya aur gir gayi!?" Ayisha kehti hai. Ayisha ko nervous dekh Haider usse mazak karta hai aur phir usse ek baar khud skate kr ke dikhata hai. Iske baad Haider ab Ayisha se try krne ko kehta hai.

Ayisha himmat kr ke tuhra agae bharti phir peche hat ti aur phir agae bharti. Yeh dekh Haider uske paas jata hai aur usse kehta hai, "Ek lambi saas lo!" Ayisha phir ek lambi saas leti hai. "Mai tumhare saath rahoga aur tumko girne nahi doga. Tumhe mujh pr yakeen hai na!?" Haider tasalli dilate howe kehta hai aur jab Ayisha haa mai sar hilati hai tu Haider muskurata hai aur phir Ayisha ko push kr deta hai.

Ayisha hairan thi. Woh tezzi se neche ki yur skate krte ja rahi thi aur dar se woh cheekh bhi rahi thi pr in sab mai Ayisha ko maza araha tha pr tabhi uska balance bigar jata hai aur woh larkhara jati hai. Yeh dekh Haider tezzi se skate karte Ayisha ki taraf ata hai aur usku girne se baja leta hai. Pr pehli baar itne karib Ayisha ko dekh kr Haider ka balance bigar jata hai aur dono girte howe neche ki yur ajate hai. Baraf aur mote kapru ki wajah se chot nahi ati aur dono ek dusre ko dekh hasne lagte hai.

***

Rides ki taraf dekh kr Maham sochu mai gum thi ki kis pr woh pehle baithe ki tabhi roller coaster dekh Maham ki zehan mai ek nayi shararat soji.

Maham muskurati hai aur Ali se kehti hai, "Chale hum log Roller coaster pr pehle baithe!! Aur us pr baithne se pehle mai chati ho ki aap yeh clip dekhe." Maham apne phone mai final destination 3 movie ki Roller coaster wala scene lagati hai.

Final destination ek slasher aur thriller movie hai. Aur is mai roller coaster buhut buri tarah se crash hote dekhaya gaya hai. Ali woh clip dekh kr tuhra dar jata hai pr apne chehre pr zahir nahi hone deta hai aur phir Maham Roller coaster ki taraf ishara kr ke kehti hai ki ab chale aur ride kare.

"Tumne jan kr mujhe woh clip dikhayi thi na, ki tum mujhe tang kr sako pr afsos aisa kuch nahi howa. Mai yeh flim kafi baar dekh chuka ho. Tu chalo khushi khushi ride krne chale." Ali muskura kr kehta hai aur Maham, Ali ki muskurahat dekh samajh jati hai ki Ali ke zehan mai kuch aur hi chal raha hai.

Roller coaster ride krne ke baad ab Ali kehta hai, "Ab tum meri pasand ki jagah pr jao gi. Haunted House!" Ali muskura kr kehta hai aur Maham jisko bhootu se kafi dar lagta hai Haunted house ka naam sun kr ghabra jati aur sochti hai.

'Maine Ali ko woh clip dekha kr apni khud khushi ka intezam kr liya.'

Haunted house ke bahar Maham Ali se mana krti hai aur kehti hai, "Ali, Mujhe haunted house nahi jana. Pehle koi dusri ride pr baith jaye last mai hum log haunted house chale gaye. Please?" Ali yeh baat sun kr muskurata hai aur kehta hai, "Dar lag raha hai? Maham ko Haunted house jane mai?"

"N-Nahi bilkul bhi Nahi. Chale Maham kisi se nahi darti!" Maham ana mai aakr keh tu deti hai pr jana woh bilkul nahi chati thi. Aur yeh Ali acchi tarah se janta tha. "Hmm...sahi keh rahi ho. Maham kisi se bhi nahi darti kyu ki Maham ka kaam dusru ku darana hai. Hai na!?" Ali mazakiya andaaz se Maham se kehta hai aur usku Haunted house ke andar le jata hai.

Haunter House mai dakhil hoti hai khaufnak awaaze aur andhera cha jata hai. Idhar udhar latke murda, aur kabre. Maham ki tu bolti bandh ho gayi thi. Maham kas ke Ali ka haath tham leti hai aur ankhe kas ke bandh kr leti hai. Ali ko yeh dekh bara maza ata hai. Ali darawni awaaz mai Maham se kehta hai, "Maham kya howa? Dar lag raha hai? Maham tu kisi se nahi darti tu kya howa? Hahahahah!"

Ali ki darawni awaaz sun kr Maham Ali ka haath chor deti hai aur haath mai pakre bag se Ali ko marna shuru kr deti hai. Maham apni ankhe kas ke bandh kari howi thi tu samne ate murde aur bhootu ke kapru mai kalakaru ko bhi khub pithti hai. Kab Haunted house paar kr leti hai pata nahi chalta. Guards ki awaaz sun kr Maham ankhe dubara khulti hai aur dekhti hai woh haunted house ke bahar khari howi hai aur Ali uske thik peche.

Ali ku muskura kr Maham dekhti hai aur kehti hai, "Kitni jaldi par hogaya Haunted house pata hi nahi chala. Mujhe khub maza aya."  Ali sar hilate howe kehta hai, "Ek baat mai acchi tarah se jan gaya ki kabhi dubara tumko Haunted  house nahi lauga. Tumhe tu maza aya pr bechare woh log, unke liye saza se kam nahi tha."

"Kya matlab aapka!?" Maham gusse se sawal krti hai aur Ali jawab mai bas itna hi kehta hai ki kuch nahi.

***

Kafi rides pr baithne ke baad aur kafi maza krne ke baad Ali ke paas Abdullah ka call ata hai aur Maham ke paas Ayisha ka. Sabhi dost canteen mai milne behtar samjhte hai.

Ali aur Maham canteen mai sab se pehle pohachte hai ki kyu canteen riding park mai hi maujud thi. Uske baad Abdullah aur Zoya ate hai aur akhiri mai Haider aur Ayisha. Menu Maham ko decide krne ko kaha jata hai tu Maham noodles, burger aur cold drings order karti hai. Boys ku order lene bhej diya jata hai.

"Tu bataye madam kya chal raha aap aur Ali ke beech. Aur inkaar na krna hum sab ku shak tu pehle hogaya tha pr aaj apko uske ghar pr dekh shak yakeen mai badal gaya hai. Tu chalo batao! Tum Ali ko pasand krti ho na!?" Zoya sawal krte howe kehti hai. Maham ne kabhi is bare mai socha hi nahi tha pr Zoya ke muh se yeh sun kr Maham laal ho jati hai.

"M-Mai nahi janti kis bare mai baat kar rahe ho tum log." Maham tuhra blush krte howe kehti hai. "Bas beta ab kuch kehne ki zarurat nahi. Tumhari shakal sab bata rahi hai!" Zoya haste howe kehti hai aur Ayisha bhi Zoya ke saath hasne aur chirane lagti hai Maham ko. "Yeh galat baat hai! Meri khichai kyu chal rahi hai yaha pr! Chalo ab tum dono bhi batado." Maham kehti hai aur Zoya muh bana kr kehti hai, "Kya batao yaar, jisko mai pasand krti ho woh samjhta hai mai usse nafrat krti ho."

"Koun?" Maham kehti hai aur Ayisha ab tuhra udas ho jati hai. "Abdullah!" Zoya us shaks ka naam batati hai. "KYA!!?" Maham aur Ayisha cheek kr hairani se kehti hai. Jiski wajah se canteen mai baithe baki sab hi log inki taraf dekhne lagte hai. "Dhere baat karo. Aur ha Abdullah!" Zoya kehti hai.

"Ek minute tu tumhare matlab tum Haider ko pasand nahi krti!?" Maham sawal karti hai jisko sun Zoya hasne lagti hai. "Haider aur Mai!? Seriously kaise soch liya tum logo ne aisa?" "Tum dono hamesha larte rehte the 1st position ane ke liye tu mujhe laga..." Maham kehti hai. "Aisa kuch bhi nahi hai jaise tumne socha- ek minute kahi Abdullah yeh tu nahi sochta hai ki mai Haider ko pasand krti ho!?" Is baar Zoya kas ke kehti hai aur ek baar phir canteen mai baithe sabhi log ab un teen dostu ko dekh rahe the.

"Tuhra dhere baat karo aur Waise bhi boys ane hi wale hoge." Maham kehti hai. Ayisha jo pehle udas thi ab muskura rahi hoti hai. Dhere awaaz mai woh Maham aur Zoya se kehti hai, "Mujhe Haider pasand hai." Aur yeh baat sun kr Zoya aur Maham pehle hairani se dekhti hai pr phir muskura kr teeno gale lag jati hai.

"Mujhe lag raha hai, hum log pehle se zyada kareeb hogaye hai." Ayisha khushi se kehti hai. "Paglo, hogaye nahi hum log pehle se zyada kareeb hai." Zoya kehti hai aur teeno phir hasne lagti hai. "Bara pyaar ubhar raha hai yaha. Kya baat hai!?" Abdullah kuch ajeeb tarah se kehta hai jisko sun teeno ladkiya muh banati hai aur phir hasne lagti hai.

Khane peene ke baad ab shaam ho chuki thi aur ek ride jis pr shaam mai baithne ka alag hi maza tha. Ferris Wheel. Sabhi dost ab Ferris Wheel pr charne ki tayari kr rahe the. Zoya ke lakh mana krne ke bawajud usku zabardasti bethaya gaya us ride pr. Ek box mai sirf do log hi baith sakte the. Ek mai Ali aur Maham, Dusre mai Zoya aur Abdullah aur Tesre mai Haider aur Ayisha baith gaye.

Ferris Wheel ko start howe paach minute beeth gaye the. Maham dono haathu se supporters ko kas ke pakre howe thi aur uske samne Ali baithe usku is tarah dekh has raha tha. "Kya howa Maham? Dar lag raha hai?" Ali mazakiya andaaz se sawal karta hai.

"T-Tuhra sa. Mujhe uchayi se dar lagta hai." Maham kehti hai. "Pehle batati tu koi aur ride pr baith jate." Ali ab tuhra fikr se kehta hai. "Mera khuwab tha, Ferris Wheel pr baithna. Maine movies mai dekha hai ki buhut accha lagta hai." Maham muskurate howe batati hai. "Accha! Kahi woh Final destination movie tu nahi thi!?" Ali phir mazak krta hai.

"Ali please is waqt tu yeh baat na kahe. Ya Allah! Ab tu mujhe bure bure khayal arahe hai." Maham ki baat sun Ali hasne lagta hai. Ali, Maham se haath agae krne ko kehta. Maham safa inkaar kr deti hai. "Ab ko kya lagata hai mai is halat mai ho ki supporter chor kr aap ko mai haath de do apna." Maham kas ke supporters ko thame kehti hai.

Ali usku muskura kr dekhta hai phir apna haath aage krta hai. Maham phir dhere se ek supporter ko chor apna haath deti hai. Ali phir Maham se Ankhe bandh krne ko kehta hai jis ko sun Maham pehle Ali ko shak ki nazar se dekhti hai mazak mai phir Ankhe bandh kr leti hai.

Maham jab Ankhe khulti hai tu dekhti hai ki Ali usku buhut hi khubsurat bracelet pehna raha hai. Yeh bracelet us mall wale bracelet se kafi accha, mehnga aur nazuk sa tha. Bracelet ko dekhne ke baad Maham Ali ki taraf dekhti hai. Ali usku muskura kr dekhta hai aur phir kehta hai, "Happy Birthday Maham!"

Maham ka muh hairani se khul jata hai. Us ek pal mano Waqt tham sa gaya ho. Maham buhut khush hoti hai itna ki uski Ankhe bhar ati hai. Dhere se Maham phir Ali se kehti hai, "Aap ko yaad tha. Thankyou." Ali muskurata hai aur phir batata hai ki sirf usku hi nahi yeh Amusement park ka plan khaas kr Maham ke liye Zoya aur baki sab dostu ne mil kr plane kiya tha.

Yeh sun kr Maham aur bhi zyada khush ho jati hai. Aur yeh yaade sada ke liye uske dil mai ghar kr jati hai.

***

Amusement park se lautne ke baad Ali baki sabhi dostu ko unke ghar drop krne ke baad Maham ke saath wapis ghar ata hai. Ghar mai dakhil hote hi Maham dekhti hai ki Ghar mai kafi Andhera chaya howa tha. Maham lights on krti hai aur dekhti hai ki Fariha Aunty aur baki pura pariwar waha maujud tha. Beech mai chocolate cake aur pura ghar saja howa tha. Sabhi Birthday Wish krte hai aur Fariha Aunty Maham ko gale lagati hai. Yeh kehte howe, "Beta Maine tumhe buhut miss kiya. Happy birthday sweetheart." Aur Maham muskurate howe kehti hai, "Maine aapko aapse zyada miss kiya. Thankyou Aunty!"

Peche se Ayaan sab pr spray dalte howe birthday wish kr raha hota hai aur Ali ko bhi yeh sab dekh bada maza araha hota hai. Is tarah Maham ke naye ghar mai pehla janam din yaad gar ban jata hai.

***********
***************

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top