Chapter 18
Maham ke chere pr jab suraj ki kirne padhti hai tu woh Aankh malte howe uthti hai. Pr jab uski Ankh puri tarah se kholti hai aur woh dekhti hai ki paas mai laita shaks Ali hai, tu woh bina kuch soche kas ke cheekh deti hai.
Ali cheek ki awaaz sun kr uth jata hai aur dekhta hai Maham puri tarah se pagla gayi hai. Ghabrayi aur pareshaan Maham, Ali se sawal karti hai, "Humne Haram tu kuch nahi peya tha!? Aur tum yaha mere kamre mai kya kr rahe ho!?" Jisko sun Ali hasne lagta hai.
"Pehli baat, tum kis chiz ko haram bol rahi ho? Dusri, tumne mujhe khud bolaya tha aur tesri, Yeh mera kamra hai!" Ali kehta hai aur Maham uski baat sun kr yaad krne lagti hai ki raat ko khane ke baad kya, kya howa tha.
Khana samaitne ke baad, Maham dishes dhone lagti hai aur Ali dishes ko pohch kr unki jagah pr lagane lagta hai. Is tarah se dono ne apas mai kaam baath liye the ke kisi ko khale na.
Behtar ho ga yeh kahai ki Maham ko na khale, kyu ki yeh Idia Maham ka hi tha.
Ali plates ko pochte howe Maham se kehta hai, "Waise tum itne saal karti kya arahi ho? I mean padhai ke alawa mujhe shak hai tumko aur bhi kuch ata hoga." Apni insult sun Maham ka khoon khaul jata hai aur woh kehti hai, "Aap kaise keh sakte hai!? Mujhe buhut kuch ata hai aap jante nahi!"
Ali phir haste howe kehta hai, "Ha, tumko buhut kuch ata hai, jaise Omelet ko kaise jalana, mujhe kis kis tarah se tang karna, baccho jaisi zid-" "Ali!!! Ab bas bhi kare! Mai manti ho ki mai gusse mai cute dikhti ho pr iska hargis yeh matlab nahi ki aap mujhe tang kr gussa dilai!"
Maham ki yeh baat sun Ali hasne lagta hai is tarah ki mano keh raha ho, 'bari khush fehmi hai aapko.' Aur Ali ko hasta dekh Maham Ali pr Sabun ka fain phekti hai pr apsus Ali dodge kar leta hai aur Maham pr phir hasta hai aur chirate howe kehta hai ki tum itna sa fain bhi nahi phaik payi mujh pr.
Hasi, Mazak ke saath ghar ka baki sab kaam mukambal ho jata hai aur pata bhi nahi chalta. Raat ke 10 baj chuke the aur ab Ali aur Maham dono apne apne kamre mai sone chale gaye the. Maham apne kamre mai bed pr laiti idhar se udhar karwate le rahi thi.
Maham ko neend nahi arahi thi. Khayal aur dar Maham ko sone nahi de rahe the. Ghar mai koi nahi, Maham akeli thi aur najane kya kya. Apsus Aaj subha hi Maham ne haunted movie Conjuring dekhi thi . Usne suna tha ki Conjuring Movie kafi darawni hai aur Maham ko Horror Movies pasand thi. Ha yeh baad aur thi ke Maham horror Movies dekhne ke baad raat ko so nahi pati thi. Aur is waqt bhi yahi sab ho raha tha.
Maham ko har haunted scene uske kamre mai play hota nazar araha tha. Maham ke zehan mai phir ek khayal ata hai aur woh turant uth jati hai.
Apne kamre ki light on kr ke apna bag nikalti hai, jismai usku ek Mask milta hai. Maham ki best friend ne usku yeh Mask gift ki taur pr diya tha, kyu ki woh janti thi ki Maham ko prank krna kitna pasand hai. Maham woh Mask dekhti hai aur ek bari si shararati smile uske hotu pr saj jati hai.
'Mai nahi so parahi ho tu phir mai Ali ko kaise sone do!? Ab maza ayega! Hehe'
Ali gehri neend mai so raha hai bekhabar is baat se ki bhar kya chal raha hai ya yeh kahe ki Maham ke dimaag mai kya chal raha hai.
Ali ki neend tuhri kat pat ki awaaz se khulti hai, uske samne thik samne bed ke paas koi safaid chadar muh pr dale khara tha. Ali pehle tuhra ghabra jata hai pr phir uth kr uske paas jata hai aur chadar hata deta hai yeh soch kr ki yeh aur koi nahi Maham hai jo tang karne iske kamre mai ayi howi hai.
Chadar ke niche koi aur hi shaks mujud tha. Pr isse pehle woh kuch kehta usku mehsus howa ki uske peche koi khara hai. Woh mur kr dekhta hai aur Maham ka darona Mask dekh behosh ho jata hai. Maham apna Mask utar ti hai aur Ali ko dekhti hai aur phir us shaks ko jo is waqt behosh para tha.
"A-Ali y-yeh koun hai!?" Maham ghabrayi aur dari howi awaaz ke saath sawal karti hai. Ali kamre ki light on kr ke dekhta hai ki woh shaks aur koi nahi Abdullah tha.
***
Abdullah ki Ankh jab khulti hai tu woh dekhta hai ki woh Ali ki bed pr laita hai. Abdullah uth kr baith jata hai aur dekhta hai samne Ali baitha us hi ke uthne ka intezar kr raha tha.
"Tu batao itni raat ko mere ghar mai tum kyu aur kaise dakhil howe!?" Ali sawal krta hai. "Ayisha ne mujhe bataya tha ki ghar pr tum akele ho aur tumhari family shehar se bahar gayi howi hai, tu Maine soch tum Akele dar rahe hoge tu agaya mai..." Abdullah kehta hai.
"Woh sab tu thik hai pr tum ghar mai dakhil kaise howe!?" Ali phir sawal karta hai. Abdullah kholi howi window ki taraf dekhta hai aur ishara karta hai, is tarah se. Ali sun kr sar hilata hai apsus mai ki is ka kuch nahi hosakta.
"Waise w-woh koun tha!!? Abdullah ko yaad ata hai ki behosh woh kisi ko dekh kr howa tha aur phir Ali se sawal karta hai.
Ali baat ko tal te howe, has kr kehta hai, "Kis ki baat kr rahe ho tum. Tum tu mujhe darane aye the khud hi kisi ko dekh dar kr behosh hogaye."
"Nahi Maine wakahi kisi ko dekha tha!!" Abdullah phir kehta hai pr Ali uski baat tal koi aur baat kr na shuru kr deta hai. "Waise tum ab jao bhi! Mujhe sona bhi hai!" Ali kehta hai. "Kaise dost ho tum. Mai tumhare liye sirf tumhare liye pipe se char kr aya aur tum mujhe bhaga rahe ho!" Abdullah drama karte howe kehta hai.
"Accha bas! Drama krna bandh karo aur batao video game khele!? Ali kehta hai aur Abdullah turant tayar hojata hai. Dono dost video games khelne mai itna magan hogai ki Ali bhul hi gaya Maham dusre kamre mai Abdullah ke Jane ka intezar kr rahi hai.
Maham ko buhut gussa araha tha. Kaha se yeh Abdullah aa tapka. Sara maza hi kharab kr diya. Mujhe dekhna tha Ali darte howe kaisa lagta hai. Pr Abdullah ko behosh hota dekh bhi bara maza aya tha. Pr itni dair hogayi yeh Ali kya kr raha hai!?
Maham apna mobile utha ti hai aur Ali ko message krti hai.
Maham:- Kya kr rahe ho!?
Tuhri dair hojati hai pr koi reply nahi. Maham phir message krti hai is baar sirf gusse wale emojis hi send krti hai.
Phir tuhri dair hojati hai aur koi reply nahi. Maham call kr deti hai. Is baar dusri bell pr phone utha liya jata hai.
Maham kuch bolne se pehle intezar kr ti hai, pr dusri taraf se koi awaaz nahi arahi thi. Phir Maham kehti hai, "Hello? Ali?"
Dusri taraf se koi jawab nahi ata bas hasne ki awaaz ati hai. Maham ko gussa ajata hai aur isse pehle woh gusse mai kuch kehti dusri taraf se dur se Ali ki awaaz ati hai, "Abdullah!! Maire phone lake do or tum kis se baat kr rahe ho!?"
Yeh sunte hi Maham phone cut deti hai. "Ohhhh shoot!!!! Garbar hogayi!!!"
Abdullah tuhri dair aur rukhta hai phir wapis chala jata hai. Ali ghar ka main door bandh kr ke jab upar ata hai tu dekhta hai Maham zene pr kafi pareshaan khari us hi ka intezar kr rahi thi.
Ali, Maham ke paas jata hai aur uski pareshaani ki wajah pochta hai. "Ali, buhut bari garbar ho gayi. Maine tumko message kiya tha tuhri dair pehle aur koi jawab na milne pr Maine tumhare mobile pr call kr di. Abdullah ne ohone uthaya tha. Ab pata nahi woh kya soch raha hoga." Maham puri baat batati hai tu Ali muskurate howe kehta hai, "Itni si baat pr itna pareshaan. Fikr na karo tum usne mujhse is bare mai sawal kiya tha tu Maine keh diya hum dono project ki bare mai baat karte rehte hai aur isi liye tumne call ki thi."
Yeh baat sun kr Maham sukoon ki Saas leti hai phir Ali ke saath uske kamre mai chali jati hai. Maham Ali se sawal karti hai ki Abdullah kyu aur kaise aya aur Ali usku puri baat bata hai. Phir samne para video game dekh Maham muskurati hai aur Ali samajh jata hai.
Ali, Maham se kehta hai, "Yeh tum jaise bacchu ka game nahi. Tum nahi khel pao gi tu apne chote se Brain se yeh khayal nikal hi do tum!" Pr Maham aise kaha man ne walu mai si thi. Akhiri mai dono ke bich kafi match hote hai aur Ali zyadatar jit ta hai. Tang aakar Maham, Ali ke baki saman dekhne lagti hai, usmai Maham ko woh ek picture milti hai. Jismai Ali, Isa, Urwa aur Ayaan khare howe the.
Maham woh picture dekhi rahi hoti hai ki Ali usse yeh picture le leta hai aur Maham picture wapis dene ko mangti hai pr Ali picture dene ke bajai Maham ko ek box deta hai. Jismai aur bhi buhut sare pictures the. Ali, Isa, Urwa aur Ayaan ke.
Ali beete howe kal ke acchi yaadu ka zikr karta hai Maham se. Ki kaise Ayaan humesha Urwa ko rula deta tha, Aur kaise Ali aur Isa ko pura din lag jata tha dono ki ladai ko sul jhane mai. Ali bata hai ki Isa ko football ka shok Ali ki wajah se howa aur dono ne yeh promise kiya tha ki ek din woh dono apna dream pura zarur kare ge aur National team mai selecte ho kr rahe ge.
Batao mai waqt kaise beta pata hi nahi chala aur dono hasi, mazak aur batae karte so gai.
Maham jab khayaalu se bahar ayi tu dekha ki Ali kamre mai nahi tha. Maham fresh ho kr neche ayi ki kitchen mai nashta tayaar kr ne ki koshish hi karlai air koshish karye ke is baar Omelet na jaale. Pr kitchen mai dhakil hote hi Maham ki mulaqat acchi laziz khushbu se hoti aur Maham dekhti hai ki Ali pehle si hi waha khara Nashta tayar kr raha hai.
Maham muskurati hai aur Ali se kehti hai, "Tum buhut acchi Wife banoge! Insha Allah!" Aur Ali usku ghur kr dekhta hai aur kehta hai, "Accha! Pr yeh nashta tu mai sirf apne liye bana raha ho!" "Ali!! Accha please sorry na!" Maham kehti hai yeh soch kr ki woh jala howa Omelet tu nahi kha sakti aur Ali hasne lagta hai. Tabhi Door bell bajti hai.
"Mai dekh kr ati ho! Zarur Aunty ya Fatima baji hogi!" Maham kehti hai aur door kholne chali jati hai.
Door kholte hi Maham unku dekti hi shock reh jati hai.
Ali ki Andar se awaaz ati hai, "Maham!? Koun hai!?" Pr jab Maham koi jawab na deti hai tu Ali gas ban kr ke Main door pe jata hai aur samne khare log ko dekh hairan reh jata hai.
Samne Ali aur Maham ke sab dost khare howe the aur woh bhi Kafi shock mai the Maham aur Ali ko saath dekh kr.
Dono taraf se tuhri dair tak koi kuch nahi bolta hai phir dhere se Maham kehti hai, "Suprise!" Aur hasne lagti hai.
Maham ko hasta dekh baki sab hi hasne lagte hai pr mahul halka nahi hota hai.
Ali sabko andar bolata aur betha ta hai. Sabhi ke man mai ek hi sawal tha ki Maham Ali ke Ghar mai kya kr rahi hai.
"Tu, Maham tum itni subha, yaha kaise?" Abdullah sawal karta hai tuhra muskurate howe. Maham ko kal raat howe hadse yaad ajate hai aur woh Ali ko dekhti hai aur phir Abdullah ko dekh jawab deti hai.
"Ali ki project partner ke sath sath mai Ali ki...neighbor bhi ho! Aur jab meri Aunty ko pata chala ki Ali ki mom ghar pr nahi hai, unhone mujhe nashte ke saath bhej diya." Is baat pr sabhi ne yakeen kr liya aur Ali, Maham ko muskura kr dekhta tha na Jane kya soch kr.
Zoya kehti hai, "Accha howa Maham, tum hum logo ko yahi mil gayi, warna hum log tumhare ghar hi ane wale the. Bas Ali ko lene yaha aye the." Maham, Zoya ki baat sun Ali ko dekhti hai aur phir Zoya se kehti hai, "Mere Ghar? Kyu?"
"Kya matlab kyu!? Hum sab friends hai aur hum tumhare ghar nahi asakte kya!?" Ayisha kehti hai. "Nahi, aisi koi baat nahi, mujhe sun kr tuhri hairani howi. Tumne mujhse is bare mai pehle koi baat hi nahi ki." Maham baat banate howe kehti hai.
Ayisha samjhne ke andaaz mai sar hilati hai aur kehti hai, "Oh accha, thik hai." Aur phir bari si smile ke saath Zoya apne bag se tickets nikalti hai, Maham aur Ali ko dekhti hai aur kehti hai, "Hum logo ke ane ka asal wajah yeh hai! Amusement park ki tickets!!"
***
Assalam-u-Alaikum friends!
Like it? Hate it?
Don't forget to vote and share your thoughts upon it! I honestly loveee reading your comments and am looking forward to it.
Thankyou so much for your support on this story! Jazak Allah khairan! It makes me incredibly happy that you are enjoying this story. Really Thankyou so much!!
Keep smiling because it's suits you!♡♡♡
**********
********
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top