Chapter 17
Ali subha nashta kr ke Football practice pr nikal jata hai. Is baat se anjaan ke ghar pr agae kya hone wala hai. Shaam tak jab Ali wapis ata hai tu dekhta hai ki ghar pr kafi sannata chaya howa hai.
Woh har tarf dekhta hai, apni Maa aur Ayaan ki talash mai pr ghar pr woh dono hi nahi the. Na chate howe phir Ali, Maham ke kamre mai knock karta hai. Awaaz na ane pr Ali darwaza khol kr dekhta hai tu malum hota hai ki Maham bhi apne kamre mai na thi.
Ali ko kuch atpata sa lagta hai pr woh yeh baat soch kr tal deta hai ki shayad ho sakta hai Maham ko Ammi shopping pr legayi hai aur Ayaan bahar apne dostu ke sang ho.
Pr jab kafi dair ho jati hai tu Ali ko fikr hoti hai. Ali apni Ammi ke mobile pr call krta hai pr call unreachable batata hai. Phir Ali upar apne room mai chala jata hai. Waqt kaise beet jata hai usku pata hi nahi chalta aur uski aankh phone ki ring se kholti hai.
Ali jab tak phone utha ta hai call cut ho chuki thi. Ali phir check karta hai tu dekhta hai ki Maham ki paach missed call pari howi thi. Ali turant number dial kr usku call krta hai. Aur uske phone utha te hi kehta hai, "Waqt dekha hai!? Kaha ho tum!?"
Dusri taraf Maham pehle tuhri dair khamosh rehti hai phir tezz awaaz mai gusse ke saath kehti hai, "Mai pechle aadhe ghante se gate ke paas khari ho aur ghar ka darwaza lock hai!! Maine bell bhi bajayi aur call bhi kiya pr shayad aap kisi ke khuwabu mai khoye howe the, jiski wajah se aap ko kuch na sunai diya!!"
Ali ko yeh baat sun kr yaad ata hai ki usne upar apne room mai Jane se pehle gate ko lock kardiya tha. Woh bina kuch kahe phone cut karta hai aur tezzi se neche aakr darwaza kholta hai aur dekhta hai Maham wahi khari howi thi. Maham se kuch kehne ki uski himmat hi na howi.
Maham ke chere se saaf tha ki woh kafi dair se intezar kr rahi thi aur kafi gusse mai bhi thi. Maham Ali ko ek baar ghur ke dekhti hai aur gusse se andar chali jati hai. Ali Phir darwaza lock kr andar ata hai aur Maham ko akele dekh usse sawal karta hai.
"Ammi kaha hai?" "Mujhe nahi pata!" Maham Ali ko jawab dete howe kehti hai. "Kya matlab tum nahi janti? Ammi tumhare saath nahi thi aur tum kaha gayi thi!?" Ali phir sawal karta hai.
Maham glass mai pani nikalte howe kehti, "Aunty kaha hai yeh mai nahi janti, Jane se pehle Maine Aunty se ijazat le li thi aur rahi baat mai kaha gayi thi, Woh mai aapko batana zaruri nahi samajhti!" Maham pani Pete howe kehti hai.
Ali ko yeh baat sun kr gussa ata hai. Pr woh kuch na kehta hai. Akhir dono mai naraazgi jo chal rahi thi. Ali phir apni Ammi ko call karne ki koshish krta hai pr call na lagti hai. Maham kisi kaam se kitchen mai jati hai aur waha table pr rakhe kagas ko padh kr hairan reh jati hai.
Maham woh kagas ke tukre ko le kr sofe wale kamre mai ati hai jaha Ali baitha T.V pr Match dekh raha tha. Maham bina kuch kahe Ali ko woh parcha dekhati hai. Ali usse woh parcha le kr parta hai jis pr Aunty Fariha ne likha howa tha,
Dear beta Maham aur mera nalayak beta Ali,
Mai, Ayaan aur tumhare Abu, kuch dino ke liye tumhari Nani ki taraf jo dusre shehar mai rehti hai waha ja rahe hai. Tumhari Nani ki tabiyat kuch nasaaz hai. Ghar aur Maham ka acchi tarah se dhiyaan rakhna. Fikr na karna aur Fikr nahi karwana. Hum log jald wapis ajaye ge, Insha Allah. Aur Maham ko tang ya pareshaan bilkul na karna.
P.S Enjoy!~
Tumhari dil se jawaan, Maa♡♡
"Y-Yeh Ammi kaise kr sakti hai!!" Ali ko yakeen nahi araha tha ki abhi usne jo padha woh sach hai ki nahi. Ali phir apne sar pr haath phair ta hai aur ghar se bahar chala jata hai.
***
Isha ki namaz padh kr jab woh ghar mai dhakil hota hai, tu dhowe ki wajah se usku khasi ana shuru ho jati hai. Ali ghabra jata hai ki kahi ghar mai Aag tu nahi lag gayi. Ali ki zehan mai pehla naam 'Maham' ata hai. Woh thik tu hai!?
Ali tezzi se upar wale kamre mai jata hai pr kamre mai koi na tha. Phir Ali kitchen ki taraf jata hai jaha se dhuwa araha tha.
Ali dikhta hai ki Maham sahi salamat hai pr jo chiz woh tayar karne ki koshish kar rahi hai uski khair nahi. "Yeh kya kr rahi ho tum!?"
Ali ki awaaz sun kr Maham palati hai aur kehti hai, "M-Maine socha kyu na Omelet hi tal lo. Fatima baji bhi nahi hai aur raat ko khane mai bhi kuch nahi."
"Tum Omelet tal nahi rahi ho pr usku jala rahi ho!" Ali Omelet ko dekh us pr apsus karte howe kehta hai. Maham apne bachaw mai kehti hai, "Omelet jalta na, mai apki baat sunne lagi thi is wajah se!"
"Hmm...sahi keh rahi ho. Mujhe acchi tarah se dikh raha hai." Ali kehta hai. Phir Ali kitchen ka fan on krta hai aur jalte howe Omelet ka rescue karta hai, gas off kar ke. Phir Us Omelet ko apsus se dekhta hai aur kehta hai, "Bichara Omelet. Isko pata nahi tha ki yeh kis Mahan shaks ke haathu barbaad ho jaiga."
"Excuse me!! Aap aise apsus jata rahe hai jaise khud buhut bare chef ho! Hmph! Aapko tu sirf Ball ko idhar se udhar kick hi karna ata hai!" Maham kehti hai.
"Accha tu tum mujhe challenge kr rahi ho!? Tum meri skills ko nahi janti, tu mujhe underestimate tu na hi karo tu tumhare liye behtar hoga!" Ali kehta hai. "Underestimate? I dare you!!" Maham kehti hai.
"Pachtaw gi mujhe is tarah challenge kr ke!" Ali confidence ke sath kehta hai. "Woh tu waqt hi batai ga. Aur jaiye aap bhi kya yaad kare ge mai aapko cooking book bhi use karne ki ijazat deti ho!" Maham kehti hai.
"Accha ji! Tu phir agar maine lazeez khana tayaar kar diya tu aapko meri har baat manni pare gi aur har woh kaam karna pare ga jo mai kahu!" Ali kehta hai. Ab Maham, Ali ko yu confidence dekh tuhra ghabra si jati hai, pr zahir nahi karti.
Maham ek lambi saas bhar kr kehti hai, "Thik hai aur agar aap nahi accha khana paka paye tu aap mujhe Urwa se related hr baat bataye ge!" "Maine tumse pehle bhi kaha tha ki Aisi koi baat nahi hai jiske liye tum itna fikr maand ho! Aur tumko kis liye jaana hai?" Ali kehta hai.
"Mujhe janna hai! Bhale hi jitni bhi mamuli woh baat kyu na ho! Mujhe janna hai kyu ki mai..." Maham ki zubaan slip kr jati hai kehte, kehte.
"Hahaha! Kyu ki tum? Tum kya? Hahaha! Ab keh bhi do!" Ali khub hasta hai Maham ki yeh baat sun kr aur Maham sharam se laal tamatar ki tarah hochuki thi.
"Hahah! Kya howa khamosh kyu ho gayi? Misses Maham!" Aur yeh baat sun kr Maham aur laal ho jati hai. Ali ko khub maza araha hota hai Maham ko tang karne mai aur uska reaction dekhne mai.
"Accha, ab bas bhi kare mujhe tang karna! Warna kitchen ki safai bhi aap ko hi karni pade gi! Aur mai aap se baat karna bandh kardo gi!" Maham apni sharam chupate howe Ali se kehti hai aur Ali yeh baat sun kr aur hasta hai, phir kehta hai, "Baat tu tum mujhse pehle bhi nahi kar rahi thi."
"Ufff! Aliii!" Maham pair patak te howe kehti hai. "Accha, thik hai! Ab nahi hasta! Khush!?" Ali haste howe kehta hai aur Maham usku jhut mut gusse se dekhti hai.
"Hmm...Kyu na pehle shopping kr ne chale?" Ali fridge mai dekhta hai jis mai kuch juice ke aur pani ke bottle ke alawa aur kuch na tha. Fridge ban kr Ali Maham se kehta hai.
"Thik hai! Chale!" Maham khushi se kehti hai. Akhir shopping karna kis ladki ko na pasand ho sakta hai.
***
Shopping mall mai basket pakde Maham Ali ke saath vegetables dekh rahi thi. Ali ek, ek vegetable utha kr unki quality check karte basket mai daal raha tha. Ki tabhi Ali ko tamatar dikhta hai.
Ali tamatar ko utha kr muskura kr dekhta hai aur phir Maham ko dekhata hai, yeh kehte howe, "Yeh dekho isko tamatar kehte hai, As we all known as Tomato! Aur jiski shakal, mere saath khari Maham naam ki ladki se buhut milti hai. Mujhe tu shak hai kahi yeh Maham ki judwa tu nahi!" Ali Maham ko tang karte howe kehta hai aur hasta hai.
"Accha! Tu aapke liye mai is tamatar ki tarah choti aur gol si ho!!" Maham apni kamar mai haath rakh gusse se kehti hai.
"Nahi, tum galat samajh rahi ho. Iska shape tumhari tarah nahi bas iska color tumhari tarah hai. Jab tum gusse mai hoti ho ya jab tum blush karti ho, bilkul is tamatar ki tarah lagti ho!" Ali haste howe kehta hai jisko sun Maham ek baar phir laal hojati hai, tamatar ki tarah.
Maham, Ali se tamatar le kr basket mai dal deti hai aur kehti hai, "Ab tamatar ko ghur na bandh kare aur shopping kare!" "Ji ju hukum aapka!" Ali jawab mai tuhra jhukte howe kehta hai.
Tuhra agae bharte hai tu dono ko packed mai acchi quality ka meat dikhta hai. Dono ek dusre ko dekhte hai, phir Maham kehti hai, "Dikhne mai tu kitna accha Meat hai pr kharidne se pehle mai aap se pochti ho, paka bhi paye ge ya nahi!?"
"Meri kabilyat pr shak hai tumko!?" Ali sawal karta hai, jawab mai Maham kehti hai, "50-50 hai. Yakeen aap ke cooking skill pr." Ali usku ankhe choti kr dekhta hai. "Accha thik hai, 100% yakeen hai. Ab khush! Ab tu please le le na!" Maham kehti hai.
"Hmm...ab thik hai!" Ali meat ka packed basket mai dalte howe kehta hai, jisko dekh Maham khush ho jati hai.
"Finally shopping complete! Ab Ice-cream ki bari!!" Maham kehti hai. Jisko sun Ali kehta hai, "Ji nahi! Khane se pehle, koi aur chez khane ki ijazat nahi!
"Ali! Ab kanjosi na kare! Ek hi tu Ice-cream khane ko keh rahi ho! Maham kehti hai. "Maine kaha na, nahi tu nahi! Ali kehta hai. Phir Maham apni ankhe khub bari bari kar ke kehti hai, "Please Ali! Please!~" Ali yeh dekh kr kehta hai, "Drame bazi ban karo! Mai nahi mano ga!"
"Tch!" Maham karti hai jab dekhti hai ki Ali kisi taur pr razi hi nahi ho raha. "Tumne mujhe Tch Kara!" Ali kehta hai. "Tu galti aapki! Man nahi sakte meri itni choti si khuwaish puri nahi kar sakte!" Maham baccho ki tarah muh phula kr kehti hai.
"Tumse koi nahi jeet sakta! Dramaqueen!" Ali akhir mai har mante howe kehta hai aur Maham Ali ko bari si Victory Smile dikhati hai.
Ice-cream shop ke paas ja kr Ali do Ice-cream order karta hai. Ek Vanilla with chocolate or ek vanilla with Strawberry. Aur phir Vanilla with strawberry Ice-cream Maham ko deta hai jo paas mai waiting chair pr baithi howi thi.
"Hmm...Good job, Mr. Ali! Aapko mera favorite flavor ab acchi tarah se pata chal gaya. Ab hum Maham ki dusri favorite chiz khaya kare ge jab tak aap ko woh bhi acchi tarah se yaad na ho jaye!" Maham Ice-cream lete howe garv se kehti hai.
"Seriously!?" Ali kehta sar hilate howe. Maham ka kuch nahi ho sakta. Aur jab woh baccha banne pr aye tu uska mukabla koi baccha bhi nahi kar sakta!
"Waise aap hamesha Chocolate with Vanilla kyu lete hai. Ek minute mujhe pata hai. Kyu ki aap Black and white zamane ki tarha hai!" Maham, Ali ko tang karte howe kehti hai.
Ali, Maham ki baat sun kr Uski Ice-cream mangata hai, Maham sorry kr apni Ice-cream peche kr leti hai. Phir Ali se kehti hai, "Mai kafi dair se pakri ho basket ab aapki bari! Uff! Is shopping me tu mujhe thaka hi diya!" Maham drama karti hai.
"Mai Pehli aur Akhiri baar tumhare saath shopping karne aya ho! Ayinda mai kabhi nahi aaoga!" Ali kehta hai mazakiya andaaz mai jisko sun Maham hasne lagti hai.
Samne jati ek Aunty rukh kr Ali aur Maham ko dekh kr kehti hai, "Kitna cute couple hai, Masha Allah se!" Jisko sun Ali aur Maham laal ho jate hai.
Phir Ali bags counter pr le jata hai. Aur Maham wahi tuhri dur pr baithi apni Ice-cream kha rahi hoti hai ki tabhi Mall mai Ayisha apni family ke saath dhakil hoti hai.
Ayisha Ali ko counter pr khare dekh kr uske paas jati hai aur usse sawal karti hai, "Ali! Tum yaha kaise? Aunty ke saath aye ho!?" Ali, Ayesha ok dekh ghabra sa jata hai aur Ayisha ko dusri taraf le jata hai jis se Ayisha, Maham ko na dekh sake.
"Ali! Tum mujhe kaha le ja rahe ho!?" Ayisha sawal karti hai tu Ali bahana banata hai, "Us taraf kafi bhir thi aur waha khare batae karna galat baat hoti is wajah se."
"Hmm..sahi baat hai. Accha yeh batao tum akele shopping kar rahe the ya Aunty bhi saath ayi howi hai!?" Ayisha sawal karti hai. "Nahi, Ammi aur baki sab Nani wah chale gai hai, unki tabiyat kuch kharab thi. Mai rukh gaya tha..." Ali batata hai.
"Accha, tu phir shopping?" Ayisha bags dekh phir sawal karti hai. "Woh...Ammi ne kaha tha yeh sab lane ko." Ali bhana banata hai. "Tum ne kuch khaya? Ya nahi!?" Ayisha fikr se kehti hai.
"Nahi mai kha chuka ho bas Ammi ne kaha tha kuch saman la kr rakhne ko wahi sab le raha tha.." Ali kehta hai. "Accha. Thik hai.' Ayesha kehti hai.
Idhar Ali ko Ayisha ke saath batae kr Maham dekh leti hai. Maham sochti hai, 'Yeh Ayisha yaha kya kr rahi hai! Uff agar isne hum dono ko dekh liya tu garbar ho jaigi!' Phir Maham jaldi se uthi hai aur Accessories ki shop mai chali jati hai.
Waha Maham idhar udhar jhut mut clips aur bracelets dekhne lagti hai ke shopkeeper ko shak na ho ki woh bas time pas kr rahi hai. Dekhte howe Maham ko ek bracelet kafi pasand ata hai. Stars aur hearts ki decoration ke sath silver color ka bracelet kafi unique aur stylish lag raha tha.
Maham usku apne haathu mai pehan kr dekhti hai, uske haathu pr aur bhi zyada accha lag raha tha pr jab Maham price pochti hai tu uska dil udaas ho jata hai. Bracelet kafi mehnga tha.
Maham bracelet ko utar kr rakhne hi jarahi thi ki peche se ayi awaaz usku dara deti hai. Maham mur kr dekhti hai, waha aur koi nahi Isa khara howa tha.
Isa, Maham ke haathu pr bracelet dekhta hai aur muskurata, kehta hai, "Yeh bracelet tumhare haathu pr behad khubsurat lag raha hai." Jisko sun Maham laal si ho jati hai. "Tamatar! Tumhara yahi rukhne ka irada hai!?"
Ali, Maham ke paas jata hai aur usse kehta hai. Ali tuhra gusse mai bhi tha aur Maham ki wajah se nahi. Uska mood kisi aur ko dekh kharab ho chuka tha.
"Ooh! Tu tum Iske saath shopping pr ayi ho? Sambhal kr koi tum dono ko saath na dekh le!" Isa tanz karte howe Ali ki taraf dekhte howe kehta hai. Maham mahul ko garam hota dekh jaldi se bracelet utarti hai aur Ali se kehti hai, "Ayisha?"
"Woh chali gayi. Mere khayal se ab hum mai bhi chalna chahiye." Ali kehta hai aur phir Maham ko le kr bahar chala jata hai. Car ke paas ane pr Ali, Maham ko Car ki keys deta hai aur kehta hai, "Tum baitho mai ata ho. Aur ha Car chalane ki kabilyat na dikhana!"
"Ali ab chale jai isse pehle mai tamatar aap ko maru!" Maham kehti aur Ali haste howe Mall mai phir chala jata hai. Das minute baad bhar ata hai aur kuch ajeeb se mood ke saath. Pr Car pr kuch na kehta hai.
Ghar wapis ane ke baad Maham sara saman sofe pr rakh khub bhi baith jati hai. "Ufff! Thak gai mai!" Ali saman uthate howe kehta hai, "Koun thak gaya? Ab chalo kitchen mai meri help kar wao!"
"Ali! Mai nahi, mai buhut thak gayi ho!" Maham kehti hai thaki howi awaaz saath. "Accha thik hai, hai upar so jao mai sirf apne liye khana tayaar kr leta ho!" Ali muskura kr kehta hai.
"Ali! Khauf ata hai, is tarah muskuraya na karo. Aur mai bilkul thik ho! Thaki nahi! Chalo phir chale kitchen mai!" Maham khari ho kr kehti hai.
Kitchen mai ja kr Ali khana dekhne lagta hai aur Maham vegetables cut ne lagti hai. "Yeh kis tarah cut rahi ho? Aur chote piece karo iske." Ali kehta hai.
Maham haathu se pasena poch kr, Ali ko Chori dikhate howe kehti hai "Kaho tu mai aapke pieces na kardo!" "Ahem! Tumne kuch kaha?" Ali usku muskura kr dekhta hai. "Nahi tu, aapne kuch suna?" Maham muskura kr jawab deti hai.
Ali ishara kr ta hai 'phir kaam karo' aur Maham muh bana kr kaam karna shuru kar deti hai. Khana bas tayaar tha tabhi Maham ko khayaal ata hai aur woh Ali ke paas jati hai aur kehti hai, "Mai aap se kuch kaho?"
Ali, Maham ko dekhta hai aur sar hilata hai is andaaz mai mano keh raha ho 'Haa, kaho'. Maham kehti hai ki nahi pehle paas ayiye. Ali paas jata hai. Maham aur paas bolati hai, Ali phir tuhra aur paas jata hai. Phir Maham khari ho jati hai aur uske kaan mai kehti hai dhere se, "Hum...Roti tu lana hi bhul gaye. My sweet Wife." Yeh keh kr Maham kas ke hasne lagti hai aur Ali bechara.
Ali ko khub gussa bhi ata hai. Pr woh kuch na kehta hai aur bahar roti lene chala jata hai. Maham ko bari hairat hoti hai. Ali ko gussa na aya usne itni bari baat kehdi.
Ali wapis ata hai aur khana laga ta hai. Dono khane pr baith jate hai, "Ali, meri plate kaha hai?" Maham sawal karti hai. Ali kehta hai, "Jitna mujhe yaad hai aap mujhse naraaz thi..."
"Maine kaha na, Maine aapko mauf kiya, aap bhi kya yaad karege." Maham kehti hai. "Accha! Aur bet? Bhul gayi kya uske bare mai?" Ali kehta hai aur ab Maham tuhra ghabrati hai. Phir kehti hai, "Thik hai, agar accha bana hoga tab aur sirf ek din ke liye mai mano gi aap ki baat Maine keh diya!!" Maham kehti hai.
"Aare tum tu abhi se dar gayi. Chalo thik hai phir ek hi din sahi, tum bhi kya yaad karo gi!" Ali muskurate howe kehta hai aur phir usku uski plate de deta hai.
Pehle hi niwale mai yeh sabit hojata hai ki Ali jeet chuka hai. Khana kafi accha aur lazeez pakka tha. "Good Job, wife! Mai impress hogayi! Maham khate howe kehti hai.
"Hmm...impress tu ab tum mujhe karo gi!" Ali muskurate howe kehta hai aur Maham samjh jati hai ki usne yeh keh kr galat kiya. Ab Ali Aaj se le kr kal tak uske saath kya karega aur kya, kya krwaye ga.
***
Assalam-u-Alaikum! Lovely Humans!
How was the Chapter!?
Who is your favorite character and why!?
Who do you ship?
And Who is the most Annoying Character you think?
Stay Happy and keep trying your best!♡♡♡
Live a Wonderful Life!♡♡♡
Oops, I almost forgotten to say that, Don't forget to vote and share your thought upon it!
I don't think it's necessary for me to say this but well keep it as a reminder Lol!
**********
*************
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top