Chapter 15
Khana table pr saj chuka tha aur Rashid Uncle ki family ke sath, khane ke liye sabhi baith gai the.
Ali Maham ki paas wali seat pr baitha howa tha aur thik Ali ke samne Urwa aur Isa baithe howe the.
Fariha Aunty Uncle Rashid aur unki family ko khana serv karte howe kehti hai, "Aaj maine khaas aap logo ke man pasand pakwaan banwaye hai tu takaluf mat kijiye aur acche se khaye ga!"
Khatija Aunty yeh bast sun kr kehti hai, "Itna sab banwane ki kya zarurat thi aap ko. Aur takaluf ki kya baat, aap fikr na kare hum sab acche se khaye ge. Akhir aapne itne pyaar se jo banwaya hai." Aur phir sabhi khana shuru kar dete hai.
Uncle Rashid khana khate howe Maham se sawal karte hai, "Accha batao beta, Padhai kaisi ja rahi hai? Tum Isa ke School mai jati ho na?" "Ji Uncle. Padhai acchi ja rahi aur ha humara school same hai pr classes alag hai." Maham dhere se jawab deti hai.
"Acchi? Maha apne school mai top karchuki hai Uncle!" Ayaan khushi se Rashid Uncle ko batata hai. "Masha Allah! Bushra ki ladki puri apni Maa ko padi hai. Shakal surat mai bhi acchi aur padhai mai bhi. Kya kehte hai usku..."
Beauty with Brain!" Kahtija Aunty ki baat puri karte howe Fariha Aunty garv se kehti hai aise ke Maham mano unki hi beti ho.
"Hmm...bada dukh howa mujhe sun kr...mai shehar se bahar tha jab mujhe pata chala is hadse ke bare mai...abhi kuch hi waqt pehle ki baat lagti hai jab hum sab saath the pr ab nahi..." Rashid Uncle kuch udaas ho kr kehte hai jisse sara mahul kuch udasi sa ban jata hai pr tabhi Fariha Aunty baat ko sambhal te howe kehti hai, "Aare abhi yeh waqt hai in sab batao ka kya!? Chaliye yeh liye uthayi yeh tu apne taste hi nahi kiya!"
"Mera paith kharab karne ka irada hai kya Fariha!? Mai itna sab nahi kha sakta ho, Mera paith bhar gaya hai." Rashid Uncle plate ko peche karte howe kehte hai. "Aise kaise abhi tu buhut kuch khana baki hai!" Fariha Aunty Rashid Uncle ki plate mai chawal barate howe kehti hai aur yeh dekh sabhi hasne lagte hai.
Idhar Maham ki taraf Muhal mai kuch dabaw sa tha. Maham ko nahi samajh araha hai tha ki woh Ab kya kare. Isa thik uske samne hi baitha howa tha aur us hi ko dekh raha tha aur Maham ki nigah neche apni plate pr jam si gai thi.
Maham ek pal upar dekhti hai aur dekhti hai ki Isa abhi bhi usi ko dekh raha hai. Phir Maham Ali ki taraf dekhti hai aur hairat karti hai ki Ali ko mano koi fark hi na padha ho.
Woh maze se apna khana khaye chala ja raha hai jaise abhi kuch howa hi na ho. Maham dhere se Ali ko pair marti hai jise Ali pehle tu ignore kar deta hai. Pr dusri dafa kas ke parne pr Ali Maham ki taraf dekhta hai kuch is andaaz mai ki mano keh raha ho 'tang na karo Maham, mujhe khane du yeh lazeez khana.'
Isse pehle Maham ek baar phir Ali ke pair marti ya kuch kehti Uncle Rashid kehne lage, "Waise yeh baat tu buhut galat hai! Tum dostu ne khud rishta teh kr liya! Agar mujhe pata hota tu mai apne Isa ke liye Waqar se Maham ka haath mang leta! Meri aur Waqar ki zyada acchi dosti thi!!" Jisko sun Ali ke niwala pas jata hai aur woh khaas ne lagta hai.
Maham sharam se laal tamatar ki tarah ho jati hai aur Isa jisko bhi yeh baat sun kr pehle sharam si ayi pr farun apne aap ko control kr ke Ali ko pani ka glass deta hai jaan kr usku tang karne ke liye. Ali usku ghur kr dekhta hai aur phir dusre glass mai pani le kr peta hai.
"Tum logo ne Engagement bhi kar di aur bulaya tak nahi! Ab hum tum logo ke liye itne parai hogai kya!?" Kahtija Aunty Shikayati andaaz se kehti hai.
"Asi koi baat nahi hai Khatija! Hum log tu buhut dhom dham se function karne wale the pr Ali aur Maham ki zid thi ki Engagement saadgi se hi ho. Aur phir hum log baccho ki zid agae kr bhi kya sakte the. Pr Shadi mai hum in ki ek na sunai gai. Aur tum dekhna buhut dhom se kare ge!" Fariha Aunti kehti hai.
"Ha khub phir maza ayega! Aare Urwa tum kuch kha kyu nahi rahi ho!?" Khatija Aunty ka dihaan baate karte howe Urwa ki taraf jata hai jis ki plate khali thi aur phir fikr se apni beti se kehti hai.
"Nahi Ammi bas mera dil nahi cha raha hai." Urwa kehti hai.
"Tabiyat tu thik hai beta tumhari? Tum itni chup chup bhi ho. Pehle tu tum khamosh ek pal na rehti thi. Kya baat hai?" Fariha Aunty fikr se kehti hai. Ab sab hi ka dihaan Urwa ki taraf hi tha.
"Fikr na kare Aunty mai thik ho. Bas sir mai dard si ho rahi thi." Urwa kehti hai. "Ayaan jao Urwa ko medicine de do. Mere room mai hogi." Fariha Aunty kehti hai.
"Ji Ammi!" Ayaan kehta hai aur phir Urwa ke saath apni Ammi ke room mai chala jata hai.
Sabhi khana kha chuke the aur Sofe wale kamre mai baithe baate kr rahe the. Maham table se gande bartan kitchen mai le jakr rakh rahi thi aur table saaf kar rahi thi ki tabhi Ali haath dhone waha se guzar ta hai. Maham Ali ka haath pakar usku kitchen ke Andar lati hai.
"Ali tum ko kuch andaza bhi hai hum kis mushkil mai hai! Aur tum maze se kha pe rahe ho jaise kuch howa hi na ho!" Ali Maham ko dekhta hai phir usku baithne ko kehta hai. Maham ke baith Jane ke baad Ali Maham ko ek glass pani de ta hai aur pene ko kehta hai. Pani pe ne ke baad woh Maham se kehta hai, "Relax! Ab kaisa feel kar rahi ho?"
"Ali! Relax!? Uff! Koi baat nahi ab mujhe samajh mai agaya hai! Tum-Tumhara dimaag shock ki wajah se kam karna bandh hogaya hai. Hai na!" Maham khare ho kr kehti hai. Ali Maham ko is tarah pareshaan dekh kr hasne lagta hai. "Wow! Tum pure gai!" Maham comment karti hai.
Ali phir Maham ke kandhe par haath rakh usku phir se bethaal te howe kehta hai, "Tum fikr na karo. Isa kisi se kuch nahi kahe ga!" Maham Ali ko khamoshi se du minute tak dekhti rehti hai phir kehti hai, "Thik hai! Pr-" Isse pehle Maham apni baat puri karti ke tabhi Kitchen mai Isa ajata hai. Ali mur kr Isa ko dekhta hai. Dono ek dusre ko ghur te hai aur phir Ali kitchen se chala jata hai.
"Isa woh Actually-" "Maham! It's ok. Tum ko kuch kehne ki zarurat nahi. Mujhe ab pata hai, yeh sab kuch buhut jaldi howa aur tumhara mujhse yeh baat ya sabhi se yeh baat chupana tumhari majburi thi. Mai tumse naraaz nahi aur Ali...Ali tum ko khush rak sake ga." Maham ek baar phir khamosh si ho jati hai.
Yeh dono ek dusre se itni nafrat karte hai pr yakeen ek dusre pr bhaiyu jaisa karta hai. Aisi dosti...
"Thankyou Isa!" Maham muskura kr kehti hai. "Hmm..woh tu thik hai pr ab agar tumne mujhse kuch chupaya tu phir mai yeh dosti khatm kar doga!" Isa mazakiya andaaz se kehta hai. Aur dono hasne lagte hai.
Phir dono sofe wale room mai chale jate hai jaha sabhi baithe howe the. "Isa! Ab chalna nahi hai aur Urwa kaha hai?" Kahtija Aunty Isa se kehti hai ki tabhi Fariha Aunty bhi kehti hai, "Urwa ko tu maine Ayaan saath medicine lene apne room mai bheja tha aur Ali bhi nahi dikh raha hai."
"Mai dekhti ho Aunty." Maham kehti aur Isa bhi Maham ke saath Urwa ko dekhne chala jata hai. Room ke andar jate hi Maham waha ja mahul dekh kr hairan reh jati hai.
Ali ek taraf Ayaan aur Urwa ek taraf khare howe the. Urwa Ro rahi thi aur Ayaan Urwa ko sambhal raha tha. Pr Ali gusse mai khara howa tha. Urwa ko rota dekh Isa tezzi se Andar jata hai aur Ali ka collar pakarta hai aur gusse mai kehta hai, "Kyu ro rahi hai meri behan! Ali batao! Kya kiya hai tumne!?"
Ali Isa ko dhakka dete howe gusse se kehta hai, "Tumhari behan hai na! Tu pochu isse kyu aur kis wajah se ro rahi hai yeh!" "Ali!!! Mai-" "Mai kya!? Huh!?" Isa ki baat cut te howe Ali kehta hai.
"Yeh sab yaha kya ho raha hai?" Maham ki awaaz dono ko hosh mai lati hai jo ki gusse mai bhul chuke the ki Maham waha khari howi hai. Ali Maham ko dekhta hai phir kamre se bahar chala jata hai. Isse pehle Maham kuch aur kehti waha baki sab ajate hai.
"Urwa! Kya howa beta tum ro kyu rahi ho!?" Fariha Aunty Urwa ko rota dekh kehti hai. Kahtija Aunty bhi pochti hai. "Nahi Ammi kuch nahi howa. Bas dard ho raha hai. Ghar chaliye." Urwa dhere se apni Ammi se kehti hai apne aansu saaf karte howe. "Mickey ko maine dawa bhi di pr Aunty behtar hoga aap isko doctor wah le jai." Ayaan kehta hai jis ko sun Urwa Ayaan ki taraf dekhti hai pr phir nazar pehr leti hai.
"Mujhe nahi pata tha dard itna bhar jaiga. Chalo phir hum abhi hi chalte hai." Khatija Aunty fikr se kehti hai. "Na-Nahi Ammi araam karo gi thik hojai ga. Bas abhi ghar chale." Urwa apni Ammi se kehti hai.
"Thik hai beta, phir ghar hi chalo. Accha mazarat chate hai hum. Yu is tarah jarahe hai. Abhi tu Maham se kuch baat bhi nahi ki humne. Phir kabhi ayege." Khatija Aunty kehti hai. "Ha, thik hai. Phone pr Urwa ki tabiyat ke bare mai zarur bata dena, warna mera sara dhinaan laga rahe ga." Fariha Aunty fikr se kehti hai. "Allah hafiz!" Uncle Rashid ki family salam kr chali jati hai.
Us raat Maham ki Ali se koi baat na hoti hai. Dusre din Maham jab Ali ko free dekhti hai tu sawal karti hai, "Bataye, kyu ro rahi thi Urwa kal raat aur aap kyu gusse mai the!?" "Aisi koi baat nahi hai Maham!" Ali kehta hai.
"Aisi koi baat nahi hai tu bata kyu nahi dete!?" Mahsm phir zid karti hai. "Maham sar mai dard na paida karo! Maina kaha na koi aisi baat nahi hai! Pareshaan mat ho!" "Ali! Agar aap nahi bataye ge phir mai bhi aap se baat nahi karogi! Maham gusse se kehti hai pr Ali tab bhi kuch na kehta hai.
Maham naraaz ho kr apne kamre mai chali jati hai. Tarah tarah ke khayal janam le rahe the aur Maham ko rona bhi araha tha. 'Urwa aur Ali ka kya taluk hai? Kyu us raat Urwa ro rahi thi aur Ali kyu nahi bata rahe!?'
Do teen din beeth jate hai. Aur ab pure pariwar ko malum chal chuka tha ki kisi na kisi baat pr Ali aur Maham ka jhakra howa hai. Dono na ek dusre se baat karte na ek dusre ko dekhte. Fariha Ajnty is baat ko le kr pareshaan thi.
"Ammi aap pareshaan na ho! Ali bhai aur Maha tu zyada tar large rehte hai aur phir thik bhi ho jate hai. Fikr na kare aap!" Ayaan samjhte howe kehta hai. "Mujhe nahi lagta yeh mazakiya ladai hai. Yeh wakahi mai naraaz hai ek dusre se. Pr ab aisa mai kya karo ki..." Fariha Aunty kehte howe sochne lagti hai.
"Ammi maine kaha na aap pareshaan na-" Ayaan ki baat cut te howe Fariha Aunty muskurati hai, aur kehti, "Mujhe pata hai ab kya kr na hai!"
***
Assalam-u-Alaikum friends!
Sorry for the late and short update!
Like it? Hate it?
What are your thoughts upon this chapter!?
Why Urwa was crying?
Thankyou for your love and support!
Keep smiling because it's suits you!♡♡♡
*********
**********
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top