Chapter 13
Isa ground mai football kafi gusse mai khail raha tha aur is wajah se baki players ko kafi pareshaani paish arahi thi.
"Pata nahi aaj Isa ko kya hogaya hai. Bila wajah hum sab ki class le raha hai aur gussa raha hai." Un players maise ek kehta hai dusre se aur tuhra dheri awaaz mai.
Dusra player bhi haa mi bharte howe kehta hai, "Ha, pata nahi kya hogaya hai. Waise Isa aisa hai nahi. Woh baki players mai sabse accha khelta bhi hai aur sab ko sath le kar chalta hai. Subha tak tu Isa ka mood kafi accha tha, pata nahi aisa kya howa ki iska mood off hogaya."
Apas mai yu players ko baat karte dekh Isa ko aur gussa ajata hai. Isa unke paas jata hai pr uske kuch kehne se pehle woh unke apas mai chalti baat ko sun leta hai aur waha se chala jata hai.
Isa football ko kick karte, bitae howe kuch waqt pehle ki baat yaad karta hai.
Aaj mai buhut khush ho! Mujhe finally select kar liya gaya hai School ke top players mai. Aur yeh baat mai sabse pehle Maham se share karna chata ho...Phir Maham.
Maham ka naam uske zehan mai atai hi Isa ke hoto pr muskurahat ajati hai. Aur woh sar hilate howe sochta hai.
Mujhe pata nahi aaj kal kya hogaya hai jab se mai Maham se mila ho najane kyu us hi ke bare mai har waqt sochta rehta ho.
Isa yeh soch hi raha tha ki tabhi Ali achanak se Isa ke samne ajata hai aur usse takra jata hai. Isse pehle Isa gusse se Ali ko kuch kehta, Isa ki nazar Maham pr par jati hai. Maham thik Ali ke peche hi khari thi aur Ali Maham ka haath thame howe tha.
Yeh dekh najane kuch ajeeb se chubhan hoti hai Isa ke dil mai. Maham Isa ko dekh apna haath churwane ki koshish karti hai pr Ali uska haath thame rehta hai aur Isa ki Ankho mai Ankhe dal usku ghur tha hai.
"Dekh ke chala karo!" Ali kehta hai aur waha se Maham ke sath chala jata hai. Maham ek dafa mur kr Isa ko dekhti hai jo wahi khara najane kin sochu mai gum sa tha.
*******
"Ali! Yeh kya tarika tha!? Isa shayad mujhse kuch kehna chata tha aur tum sirf usku ghure chale jarahe the!" Maham gusse se Ali se kehti hai.
"Oho! Ab kuch zyada hi dosti nahi hogi tum dono mai!?" Ali tanziya andaaz mai Maham se kehta hai. "Ha, dosti buhut hai hum dono mai. School ke pehle din aap mujhe tanha chur chale gai the aur tab Isa hi tha jisne meri madad ki thi!" Maham jawab deti howe kehti hai.
Ali khamosh ho jata hai. Maham ko nahi samajh mai araha tha ki Ali gussa hai ya apni galti pr sharminda. Ya kahi usne kuch zyada hi tu nahi keh diya.
Maham baat phir shuru karti hai aur isbaar mazakiya andaaz mai kehti hai, "Accha yeh bataye Aap ko kya zarurat thi mujhko partner Chunne ki? Ab kisi ko shak nahi hoga kya?" Yeh sun kr Ali muskurata hai aur kehta hai, "Bhale hi tum padhai mai jitni bhi acchi ho tumhara zehan itna sa itna hi rahe ga." Ali aapne haath ke ishare se Maham ke zehan ka size usse batata hai. Jisko dekh Maham jalbala jati hai.
Maham Ali ka haath neche karte howe kehti hai, "Accha ji! Tu mera itna chuta sa zehan hai. Thik hai phir bataye aap ne kya soch kr mujhe chuna!?" Ali chure ho kr kehta hai, "Agar tumhara koi aur mera koi aur partner hota tu jab summer vacations mai woh hamare ghar aate aur hum dono ko sath dekhte tu raaz khul na jata!"
"Hmm..baat tu sahi hai." Sar hilate howe Maham kehti hai aur phir Ali chure hokar kehta hai, "Tu manti ho na ki mai genius ho!?" Yeh sun kr Maham jhoot mut has kr kehti hai, "Genius aur aap!? Hmm...Shayad."
"Shayad!? Accha!" Ali kehta hai mazakiya gusse ke andaaz mai. Aur phir dono hasne lagte hai.
****
Bell ke baad Ali jab apni Car ki taraf barta hai, koi Ali ko khich leta hai. Ali dekta hai ki khichne wali aur koi nahi Maham thi. Ali Maham ko dekhta hai is andaaz mai ki mano keh raha ho ki kya howa?
Maham dhere se Ali se kehti hai, "Shshh...Aapko kabab mai haddi banne ka shauk hai kya?" Ali ko smajh nahi ata hai tu woh pochta hai, "kya matlab?"
"Aapko dekh nahi raha ki Ayaan waha kisi ladki se baat kar raha hai!?" Maham dhere se Ali se kehti hai. "Woh koi ladki nahi Micky hai!" Ali mu banata howe Maham ko batata hai. "Micky?" Maham sawal karti hai.
"Micky, Isa ki chuti behan hai. Aur uska naam Urwa hai." Ali batata hai. "Isa ki chuti behan bhi hai!? Aur tum isko kaise jante ho?" Maham phir sawal karti hai.
"Sar mai dard na paida karo aur chalo yaha se!" Ali Maham ke sawalu se pareshaan ho kr kehta hai. "Nahi hum yaha se kahi nahi jarahe jab tak aap batao ge nahi ki aap Isa ki behan ko kaise jante hai!" Maham zid karte kehti hai.
Isse pehle Ali kuch kehta piche se awaaz ati hai. "Arai Maham aur Ali tum dono abhi tak gai nahi aur kuch baat kar rahe ho kya?" Awaaz sun kr Maham aur Ali mur kr dekhte hai. Samne Zoya khari thi.
"Z-Zoya tum abhi tak ke gai nahi? Aur woh hum dono na project ke bare mai discuss kar rahe the." Maham baat banate howe kehti hai.
"Waise mujhe kya pure class ko buhut hairat howi ke Ali ne tumko apni Partner chose kiya. Tum dono ki dosti kab howi? Isse pehle tu maine tum dono ko sath kabhi nahi dekha tha." Zoya kehti hai.
"Umm...accha tum usko choro yeh batao tum itni dair kya kr rahi thi school mai!?" Maham baat sambhal te howe kehti. "Accha yaad dilaya Maham. Jaldi chalo mujhe tumhari madad chahiye!" Zoya kehti hai.
"Kaisi madad?" Maham sawal karti hai. "Mujhe meri file nahi mil rahi please meri madad karo usku dhundne mai." Zoya binti karte howe kehti hai. Maham ek baar Ali ko mur kar dekhti hai phir woh Zoya ke sath school ke andar chali jati hai.
Kafi dair baad aur buhut dhundne pr Zoya ko apni file miljati hai. "Thankyou soo much Maham! Tumhari wajah se mai file jaldi dhund payi. Thankyou!" Zoya khushi se kehti hai. Dono gale lagti hai aur phir Maham kehti hai, "Thik hai phir summer vacations ke baad milte hai." Aur yeh keh sun kr Zoya aur Maham apne raste chal deti hai.
Zoya ke Jane ke baad Maham school se yeh sochte howe bahar ati hai. Ali tu ab tak wapis ghar bhi ja chuke hogai. Akhir do ghante hogai hai. Aur mai ab wapis akele kaise jaugi. Natu mere paas cellphone hai ki mai call karlo Ali ko aur nahi uska phone number...
Yeh soch hi rahi thi ki Maham ki nazar School ke gate ke paas take lagai Ali par parti. Maham ki ankhe hairat se bari ho jati hai aur uske hotu pr muskurahat saj si jati hai.
Maham ko is baat pr bari hi hairat aur khushi hoti hai ki Ali ne usku tanha nahi chura aur woh pechle do ghante se Maham ke intezar mai ruka raha.
Maham Ali ke paas jati hai aur Ali se kehti hai, "Aap Ayaan ke saath wapis nahi gai? Kya aap mera intezar kar rahe the itni dair se? Ali bhana banate howe kehta hai, "Intezar mai kyu karo ga tumhara. Bus mai kawab mai haddi nahi banna chata tha tu mai rukh gaya."
"Ali~ aap akele bhi ja sakte the. Yaha aise school gate ke paas rukh kr intezar karna nahi tu aur kya mai samjho?" Maham jan buch kr Ali ko chirate howe kehti hai aur Ali chir kr kehta hai, "Aaj kal Bhalai ka zamana hi nahi." Yeh sun kr Maham hasne lagti hai.
"Accha Waise Ali aapne kuch socha hum log wapis ghar kaise jaige?" Maham pochti hai. "Hmm...woh sab baad mai pehle mujhe bhuk lagi hai. School ke paas ek restaurant hai waha kuch kha liya jai phir ghar hum log taxi se chale gai." Ali kehta hai.
Maham bhi razi ho jati hai kyunki usku bhi bhuk kafi lagi thi. Dono restaurant mai ja kr acche se khate, petai hai aur phir waha se nikal kr bus stand pr ate hai.
Kafi koshish krne pr jab taxi na milti hai tu dono bus mai safar karna behtar samjhte hai.
Bus pr Ali ko window wali seat pr baithe dekh Maham Ali se kehti hai, "Aap meri seat pr ajao please, mujhe window wali seat pr baithna hai." "Nahi tum jaha baithi ho wahi baithi raho." Ali kehta hai. "Arai kaise zalim aur badmijas hai aap! Mai itne acche se request kar rahi ho aur tabhi!" Maham Shikayati andaaz mai Ali se kehti hai.
"Badmijas aur Zalim!? Accha tu aap mere bare mai yeh khayal rakhti hai. Ab tu mai bilkul bhi nahi hatu ga!" Ali Maham ko tang kartehowe kehta hai. "Ali ab aap bachu jaisi zid na kare aur hatai!! Maham kehti hai.
"Bacchu jaisi zid mai kar raha ho ya tum!?" Ali haste howe kehta hai jis ko sun Maham muh phula kr baith jati hai. Aur yeh dekh kr Ali ko aur bhi zyada maza aur hasi ati hai. Akhir mai Ali har mante andaaz mai kehta, "Accha thik hai, baith jao window wali seat pr. Mujhe kya pata tha ki tum Ayaan se buhut zyada chuti aur ziddi bacchi ho."
"Mai bacchi nahi!" Maham kehti hai tu Ali has kr kehta hai, "Tu tum yeh baat manti ho ki tum buhut ziddi ho." Is baar Maham kuch na kehti hai aur dono seat change kar lete hai. Ali baithe baithe bitae howe kal ke yaad mai kho sa jata hai.
Do mahine, Do mahine hogai the Maham ko uske aur uski family ke saath. In Do mahinu mai kitna kuch badal gaya. Shuru mai usse Maham zyada pasand na thi. Pr dhere dhere usne Maham ko jana. Aur ab usko Maham ki addat si hogai thi. Maham kaise Ayaan ke saath mil kr naye naye tarike nikalti usku tang karne ke liye, kaise ab uski Ammi ki Shikayate dur hogai Maham ke ane se. Uski Ammi ghar pr akele reh jati. Unke dono ladke apne dostu mai magan aur unke shuhar kam pr. Unse baat karne ko aur unki tanhai dur karne ko koi na tha pr Maham ke ane ke baad sab kuch badal sa gaya tha. Aur kahi na kahi woh yeh janta tha ki usse Maham ab kafi acchi lagne lagi thi.
Sochte howe waqt ka pata hi nachala Ali ko aur najane kaise Ali so gaya. Bus driver aur Maham ki awaaz se Ali ki ankh kholti hai tu usku pata chalta hai ki unka stop tu peche hi reh gaya aur woh buhut dur agai hai. Bus driver ko unke paise de kr Ali aur Maham bus se utar jate hai.
"Ali ab hum ghar kaise jaige wapis. Aap ke paas paise bhi khatam hogai hai?" Maham fikr se Ali se kehti hai. "Fikr na karo mai kuch karta ho." Ali kehta hai.
"Aap kaise so gai bus pr. Aapne tu pehli baar safar kiya tha tab bhi!?" Maham hairani se kehti hai. "Tum bhi tu so gai thi aur mujhe nahi pata kaise!" Ali kehta hai aur tuhri dair mai phir dono larna shuru hojate hai.
"Maham tum yaha kya kr rahi ho!?" Kisi ki Awaaz un dono ko rukhti hai aur woh dekhte hai ki woh awaaz aur kisi ki nahi Isa ki thi. Isa Car pr baithe dono ko larta dekh raha tha.
"Thank God!! Isa tum hamari madad karo ge please. Kya tum humdono ko drop kardo gai?" Maham Isa se kehti jisko sun Ali farun Isa ke sath baithne se inkaar kr deta hai. "Mai iske saath hargis nahi jaoga. Tumko jana hai tu jao!" Yeh keh kr Ali agai bharne lagta hai aur Maham uska haath pakar usku rukhti hai.
"Ali itni bhi zid aur ladai acchi nahi. Isa razi hai tu tumko kya pareshaani hai. Ab chalo bhi mai buhut thak gai ho!" Maham kehti hai.
"Maham ke liye mai tum jaise logo ki bhi madad karne ke liye tayaar ho. Pr sirf Maham ke liye!" Isa aur chirate howe Ali ki taraf dekh kr kehta hai. "Mai nahi jao ga!! Iska attitude dekha tumne!" Ali gusse se kehta hai.
"Ufff...attitude tu tumhara bhi kuch kam nahi. Ali ab bus bhi karo aur chalo!" Maham kehti hai. Maham ki kafi zid karne ke baad Ali razi hojata hai aur dono Isa ki car mai baith jate hai. Car mai baith te hi Isa Ali ko jalane wali muskurahat se jalata aur tang karta hai pr Ali khamosh rehta hai.
Tuhri dair baad Isa sawal karta hai, "Waise school chute howe kafi dair hogai tum dono sath kya kar rahe ho?" Yeh sun kr Ali aur Maham ek dusre ko dekhte hai. Isse pehle Maham baat sambhalti Ali kehta hai, "Hum log date pr the aur tumne akar maza kharab kardiya!"
Yeh suntai hi Isa se kuch car dis balance ho jati hai. Pr farun Isa car pr aur apne upar control kr leta hai. Idhar Maham sharam se tamatar ki tarah laal hogai aur farun baat ko sambhal te howe kehti hai, "Ali! Isa aisa kuch nahi hai. Ali ki car Ayaan le gaya kisi masle se aur mere Uncle ko kuch kaam tha is wajah se woh mujhe lene na aasake. Tu hum dono ne yeh faisla kiya ki bus se ek sath hi chalte hai kyunki Ladkiyu ko akele travel nahi karna chahiye."
Ali Peche mur kr Maham ko is andaaz se dekhta hai ki mano keh raha ho 'mujhe nahi pata tha ki tumne Jhoot ki bhi degree hasil kiyi howi hai. Great job!' Aur Isa sirf 'Ok' kehta hai.
Phir tuhri dair baad Isa Maham se sawal karta hai, "Waise tumhara ghar kis road pr hai?" Jisko sun Maham Ali ki taraf fikr se dekhti hai. Maham ki jagah pr Ali jawab deta hai. Maham ka ghar meri ghar ki taraf hai. Tum wahi pr chordo." Isa dono ko ek baar dekta hai kuch shak ki nazar se phir razi ho jata hai.
Ghar ane ke baad Maham aur Ali dono Car se utar jate hai. Ali mazikya andaaz se Isa se kehta hai, "Ab jao tumhara koi kaam nahi, shoo." Jisko sun Isa chir jata hai aur Maham Ali ko sar hilate howe dekhti hai aur kehti hai, "Wakahi mai Ali aap kisi 5 saal ke bache se kam nahi hai. Baccho ki tarah larte hai aur Isa tum bhi!"
"Ismai mera kya kusur Ali hi shoo kr raha hai!" Isa kehta hai aur sab hasne lagte hai. Maham Isa ko akhiri dafa thankyou karti hai aur phir Isa chala jata hai. Aur Maham aur Ali ghar ke andar dakhil hote hai.
Ghar ke andar ate hi Maham aur Ali dekhte hai ki pura ghar unke intezar mai hall mai hi baithe tha. Aur Fariha Aunty Maham ko dekhte hi usku gale se laga leti hai.
"Beta tum thik tu ho? Kaha chali gai thi? Hum log kitna pareshaan hogai the. Aur Ali! Yeh kya tarika ha!? Ek phone nahi kar sakte the kaha the!?" Fariha Aunty fikr se Maham se kehti hai aur gusse se Ali se baat karti hai.
"Ammi! Aapka beta mai ho ke bhi ya nahi!? Aur mere phone ki battery chali gai thi." Ali kehta hai. Maham haste howe kehti hai, "Pata hai Aunty zindagi mai pehli baar aapke bete ne bus mai safar kiya aur usmai so gaya. Isa ne drop kiya akhir mai humko."
Yeh sun kr Ali kehta hai, "Excuse me Madam! Aap bhi tu so gai thi aur woh bhi awaaz ke saath!" Aur yeh dekh kr sab hasne lagte hai. Fariha Aunty kehti hai, "Tum log wapis agai aur thik ho mere liye yeh buhut hai aur ayinda agar ghumna hotu dress change kar ke aur ghar pr bata kr ghumna ok!"
"Ammi! Hum log ghum nahi rahe the yakeen karye!" Ali kehta aur Fariha Aunty haste howe kehti hai, "Accha thik hai ab jao aur fresh ho jao. Badbo arahi tumhare paas se." Yeh sun kr Ali chir kr upar chala jata hai aur sab hasne lagte hai.
Pr Maham ke dil mai ek ajeeb si bechaini aur chubhan si thi. 'Yeh Isa ki behan ko Ali kaise janta hai aur Micky keh kr kyu bulata hai? Kya hai rishta Urwa aur Ali ka? Tarah tarah ke khayal aur sawal uth rahe the Maham ke man mai jiske jawab usko talash karne the.
*************
*************
Assalam-u-Alaikum friends!
So how was the chapter so far? Do you like it? Hate it?
What do you think about our 'Micky' or Urwa.
What relationship does she have with Ali?
Kindly vote and do share you thoughts in comments section below!
Keep smiling because it's suits you!♡♡♡
***********
***********
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top