Restless
"sir ye rahe pichle saal ke October ke saare call records, Badi mushkil se mile hai" , Said Freddy Handing over the papers to ACP
Daya and Abhijeet pepped into the paper.
Abhijeet: Ek kaam karte hai ...in sabhi number ko trace karte hai aur vaha jaa kar dekhte hai
ACP : Haa aur saath mein Shreya ko bhi unn jagha par le Jana padega , Jagha ki pehechan keliye
Daya: lekin sir...Shreya abhi uss Halat mein nahi hai...abhi kal he toh hum Mumbai wapas aaye hai...vo thaki huee hai aur upar se uski davaiya hoti aur...aur uski second Personality...
Abhijeet: par diya tak jald se jald pohochne Keliye hume unn tak pohochna hoga jisne Shreya ko kidnap kiya tha aur uske liye Shreya ko itna toh sehena hoga
Daya huffed and looked around
Daya: ye Shreya hai kaha?
Pankaj: sir...vo salunkhe sahab ke saath hai...unhe tang kar rahi hai
All looked at him in confusion
ACP: Salunkhe ko tang kar rahi hai ? Matalab?
Purvi : vo sir... actually...Shreya apni second personality mein hai aur subha se usne Salunkhe sir ka bacchon ki tarh sawal puch puch kar dimag kharab kar rakha h .
Kavin: Sir...aisi halat mein kaise le jayenge Shreya ko?
Sachin: par kuch na kuch toh karna he hoga na...
Daya was about to say something when his phone rang .
He picked up the call
Daya: hello
-----------------------
Daya : hello?
-----------------------------
Abhijeet: kya hua Daya ? Phone cut hua kya?
Daya : nahi yaar koi hai dusri taraf par kuch bol nahi Raha hai
Ishita: sir network issue hoga...ap speaker pe kar lijiye
Daya nodded and kept his phone on Speaker and as soon as he did so a loud cry of a baby came from other side
Everyone's eyes went
Daya: A...kon hai ? Kya kar rahe ho meri beti ke saath
Abhijeet sir signalled Purvi to trace the number
ACP: dekho tum jo bhi ho... Khud ko kanun ke hawale kar ke hume Bacchi ka pata bata do...varna tumhe sakt se sakt saza hogi
A loud laughter of man yelled from the other side and the call ended
Daya: Hello...hello !
Daya punched his hand on the wall
Daya: s..sir Diya
All looked at Daya
Daya: m..mai aur Shreya Diya ko kho nahi sakte sir...m..mai nahi kho sakta Diya ko
ACP sir kept his hand on Daya's shoulder
ACP: sambhalo Daya...Tum Kamzor nahi pad sakte... Shreya aur Diya dono keliye tumhe khud ko mazboot rakhna hoga
Daya: Sir ye confirm nahi hua ki Diya meri he beti hai par Ek baap wale jazbaaton ne mere andar panapna shuru kar diya hai... Mujhe Kabhi kisi chiz ka dar nahi tha sir par aaj mujhe Diya ki khone ka dar hai
Abhijeet held Daya's Hand
Abhijeet: kuch nahi hoga Diya ko ...tu chinta mat kar aur ek kaam kar thoda der Shreya ke paas jaa...Shayad usse dekh ke Teri Dagmagti himmat wapast mazboot ho jaye
Daya agreed and left
Dushyant: Sir Daya sir ki aankhon mein itna Dar kabhi nahi dekha
Abhijeet: Vo Shayad isiliye Dushyant ki kahi na kahi Daya ke dil mein ye umeed jaag chuki hai ki shayad ab usse khudka parivar milega...vaise toh hum sab uska parivar hai par ...
ACP: par apna baacha... Kisi bhi insan keliye sabse badi khushi hota hai
ACP sir said remembering Nakul
Divya : Sir hum kisi bhi halat mein Daya sir ki umeed tutne nahi de sakte
Sachin: sir ab hum Sam, Dam, Dand ,Bhed ...kuch bhi kar ke Diya ko bachana he hoga
Abhijeet: Sahi kaha Sachin... Daya ko Diya nahi mili toh Daya tut jayega aur Daya ko mai tutne nahi duga
Purvi: Sir call trace ho gaya...
All exchanged glance..
ACP: Chalo
__________________________________
Here Daya Reached near Shreya who was quitely observing Salunkhe sir experimenting while having a lolipop in her mouth
Shreya: uncle ye bulbule kyu nikal rahe hai
Firstly Salunkhe was irritated by the word uncle
but on the second front he was overwhelmed by the innocent side of Shreya
Daya smiled
He entered
Daya: vo kya hai na Shreya... Salunkhe uncle ko na khana banane ka bohot shok hai
Salunkhe sir Glared at Daya
Salunkhe: Daya ab tum shuru mat ho jana
Shreya: ap lolipop khaoge?
Daya: mujhe Lolipop nahi pasand
Shreya: Gande ho ap
Daya : mai Ganda hu? Kyu?
Shreya: Lolipop toh meri Diya Gudiya ka bhi favourite hoga sirf apko he nahi pasand
Daya's expressions changed into a serious one again
Tarika and Dr.Salunkhe noticed that
Tarika: Shreya ye lo mera phone isme na bohot amazing games hai tum vaha ja ke khelo
Shreya: (exciting) games!!!
She took the phone and went to other corner of Lab
Dr.Salunkhe : kya baat hai Daya?
Daya told everything to them
Tarika: tum chinta mat karo Daya....Diya hume jald he mil jayegi
Daya: Jald he mil Jani chahiye
He looked at Shreya
Daya : hum Shreya ki second Personality ko uski original personality pe iss tarah havi hone nahi de sakte
The door of the lab opened and Pankaj Rushed inside
Pankaj: Sir..vo ... number trace hogaya hai
Daya looked at Shreya and then immediately rushed out and the team left tracing the location
__________________________________
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top