CID in Hyderabad
Next Day
Our Team was in Hyderabad moving towards the Homely Colony
Ishita: sir ye rahi vo Homely Colony
Abhijeet: par boss kya hume vo Siddharth yaha milega?
ACP: kya pata dekhte hai...vo nahi milega toh kuch na kuch toh zarur milega
Daya: sir ek baar ye Siddharth mere haath lag jaye...phir uska vo haal karuga ki khudki shakal bhi kabhi ayne mein dekh nahi payega
ACP: Daya!! Hosh mein reh kar , shant dimag se hume ye case solve karna hai...mat bhulo ki jab tak diya humare haatho mein sahi salamat nahi aati tab tak hum koi bhi kadam aisa nahi utha sakte ... jis se vo log Diya ko kuch kar de
Daya: aise kaise karenge sir... Diya ko agar ek kharoch bhi aiee toh mai uss kidnapper Zinda nahi choduga
ACP: Daya phir tum vahi baat kar rahe ho... Emotionally case se jude hai iska matlab ye nahi ki tum dimag se kam Lena band kar do
Daya : sorry sir...par Shreya ki iss halat ka zimmedar vo Siddharth hai... Itni Nidar aur Ja-Baaz ladki kya haalat kar di hai usne ...ap he bataiye Kaise control Karu sir mai?
ACP: sab samajhta hu mai Daya... Siddharth par hume bhi ghussa aa raha hai... Par har chiz ghusse se handle nahi ki jati...samjhe?
Daya: Yes Sir
Pankaj: sir ye raha Building ka watchman...iss se puchte hai
Sachin : Are suno bhai ye Siddharth Gadodiya kis flat mein rehata hai?
Watchman: Sir 407 no. Par vo toh abhi abhi chale gaye
Purvi: Chale gaye? Kaha? Kaha chale gaye?
Watchman: pata nahi...ek lal gadi aiee aur vo usme baith kar chale gaye
ACP : lal Gadi? Accha kon tha uss gadi mein? Dekha tumne?
Watchman: usme ek ladki baithi thi sahab ...ussi ke saath vo nikal gaye
Daya: kya ye ladki aksar aati thi Siddharth se milne?
Watchman: nahi sahab... Siddharth kabhi bhi kisi ek ladki ke saath nahi rehta
Kavin: ek ladki ke saath nahi rehta matalab?
Watchman: sahab bohot si ladkiya Milne aati hai unse...kabhi kabhi toh adhi raat ko bhi ...ek number ka aiyash kisam ka admi hai Sahab... isiliye unki biwi unhe chhod kar chali gaiee
All exchanged glance
Abhijeet: kab? Kab chhod ke gaiee?
Watchman: 6 mahine ho gaye sahab unko gaye toh...vaise accha hai Jaan Chuti Shreya mem sahab ki uss admi se
Daya: J..jaan chuti matalab?
Watchman: sir ye admi Shreya mem sahab ke saath bohot beraham tha...roz raat ko sharab pee ke ata tha...isi karan dono mein bohot jagde bhi hote the aur kaiee baar toh usen Shreya mem sahab pe haath bhi uthaya aur toh aur sahab vo Shreya mem sahab ko ghar mein band bhi rakhta tha
Daya fisted his palm
ACP : ye baat tumhe kaise pata?
Watchman: kyu ki ek do baar Shreya mem sahab ne yaha se bhagne ki koshish bhi ki thi...par nakam rahi... Aur jab jab vo yaha se bhagne ki koshish karti thi tab tab vo kamina usse bohot maarta tha ...
Daya closed his eyes
Abhijeet: kya Shreya ne kabhi bhi apne liye ladne ki koshish nahi ki?
Watchman: nahi sahab... kabhi nahi ...vo toh humsesha dari dari si reheti thi ...
Dushyant: ye log kab se reh rahe hai yaha ?
Watchman: 2 saal ho gaye ... Suruvat mein toh sab theekh tha ... Par jab se vo log Manali se laute hai tab se unki ladaiya shuru ho gaiee
Daya: Manali? Vo log Manali kyu gaye the ?
Watchman: ghoomne gaye the sahab
Abhijeet: sir ye Siddharth Shreya ko Manali Ghoomne le gaya aur vaha kuch aisa hua jo Shreya aur Siddhart ke beech tanav ka karan bana
ACP: aur ye Shreya Siddhart se dar dar ke rehene lagi
Ishita: ye Siddharth Shreya ko kab le gaya tha?
Watchman: sir Dedh saal pehele
Daya: aur diya hai 1 saal ki ...aur Shreya 6 mahine pehle yaha se bhagi
Watchman: sahab ye diya kon hai?
ACP : Shreya ki beti hai...tumhe nahi pata?
Watchman: Sahab hume toh ye bhi nahi pata hai ki Shreya didi ki koi beti hai...
Kavin: ek min... matalab ye Siddharth kabhi bhi Diya ko yaha nai laya ?
Watchman: nahi ...vo dono he yaha rehete the
ACP : ek min...ye Shreya aur Siddharth laute kab the Manali se ?
Watchman: bohot lambi chutti thi sahab 11 mahine baad laute vo yaha ... Yaha rehene aye...ek mahina rahe aur phir 11 mahine ki chutti pe chale gaye aur vaha se aaye ki 6 mahine tak toh Roz yaha Mahabharat hoti rahi Sir ... Sumitra chachi jo Unke samne wale flat mein reheti thi unhone ek din dekha ki Siddharth ghar pe nahi hai unhone secretary ki madat se Siddharth ka flat khulvaya aur Shreya mem sahab ko iss janvar ke changul se Azad karaya...vo janwar hai ye baat toh tab pata chali jab...flat kholne par mem sahab bediyon mein mili ... Secretary sahab ne police ko khabar ki aur police unhe riha kar ke lekar gaiee
Daya: Ye Siddharth kab aya ga kuch bata sakte ho?
Watchman : uss insan ke jane ane ka time fix thodi hota hai ... Iss building ke malik ka dost hai vo Siddharth isiliye koi isse bhaga bhi nahi sakta
ACP: iss Secretary ko bulao niche yaha Siddharth ke flat ki extra chabi ke saath
Watchman: jee sahab
Abhijeet: sir ye case jitna dikhta hai utna hai nahi
ACP : haa Abhijeet...ye case bohot se raazo se bhara hua hai
Daya: sir jis hisab se watchman Bata Raha hai vo sun ke toh mujhe Diya ki aur bhi chinta hone lagi hai...najane iss darninde ne Diya ko kis haal mein rakha hoga
ACP: Haa Daya...hume jald se jald Diya ka pata lagana hoga
Then Mr.Agrawal the secretary of the the Colony came and all moved towards Siddharth's flat
__________________________________
Precap: Search in Siddharth's flat
__________________________________
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top