COMING BACK
{PLEASE IGNORE THE SPELLING AND THE GRAMMAR MISTAKES}
*_*_*_*_*_*_*
Next morning,
Anubhav woke up and got ready to go to headquarters. He came down and saw his mother serving breakfast. He smiled and back hugged her.
AS: Suprabhat maa.
MAA: Suprabhat bete. Chal nasta karle. Aaj humne teri pasand ka nasta banaya hain.
AS: Kya baat hain maa, aaj kal bada prem aa raha hain hum par. Hamne dyan diya hain ki jab se humne aapko woh aapka chayachitra upahaar mein diya hain tab se aap hum par kuch jyada hi prem ki varsha kar rahi hain. Kal se aapne hume ek baar bhi aapka pasandida shabd 'nalayak' kah ke sambhodit nahi kiya. Agar aap hume yeh na kahe toh hum roz aapke liye ek naya upahaar laya karenge.
MAA: Beta sahi kahte the hum, tujhe izzat pachti hi nahi hain. Tujhe kuch kahe toh dikkat, na kahe toh dikkat. Tu humare liye hamesha nalayak hi rahega. Aur waise bhi tujhe sabke saamne nalayak kahne mein jitna maza aata hain, utna akele mein kahne se nahi aata.
He stared at her with a grumpy face while she laughed. They had their breakfast while taking and complaining about each other's bad habits. After finishing breakfast, Anubhav was ready to go to the headquarters. He said to Maa,
AS: Achcha Maa..., ab hum chalte hain. Shandhyakal ko jaldi aane ka prayatna karenge. Aap davayi khalijiyega. Aur jyada kaam mat karna. Thik hain?
MAA: Achcha baba thik hain. Ek minute ruk...
She handover the two boxes to him. She said,
MAA: Yeh laddu ek dibba Haseena ko aur dusra Karisham ko de dena.
AS: Maa... Hum...
He tried to deny. But Maa strictly ordered him.
MAA: Koi bahana nahi chalega, Anu. Kya dikkat hain tujhe isme. Waise bhi toh tu beech beech mein Haseena se milne jaata hi hain naa...
Anubhav quickly said,
AS: Maa, hum usne milne nahi jaate. Hum DSP hain. Hume kaam ke kaaran Mahila Police thana jaana padta hain.
MAA: Woh jo bhi ho, tu jaata toh hain naa... Toh yeh laddu ke dibbe dekar aa. Bas.
Anubhav sighed having no other option.
AS: Thik hain maa. Ab hum chalte hain. Apna Dhyan rakna.
She hummed and he left giving a small smile to her.
------
Here in M.P.T., everyone doing their original work, BAKAITI. Then MS entered and sighed after looking at them. She said loudly,
MS: Jai Hind.
Everyone got alerted and saluted her back.
ALL: Jai Hind, Maddam sir.
MS: Aap log kabhi yeh sab timepass chodkar kaam bhi kar liya kijiye. Hum apne cabin mein hain koi kaam hain toh bula lijiyega.
EVERYONE: Ji Maddam sir.
------
Everyone was working silently when Karishma's phone rang. She smiled widely which was noticed by Pushpa ji. Karishma stood up and went to a corner, followed by Pushpa ji. She received the call and said,
KS: Ka baat hain Patidev aaj kaise humari yaad aa gayi?
PATIDEV: ................
KS: Ka baat kar rahe aap? Aap kal hi aa rahe hain, Lucknow. Yeh toh bahut achchhi baat hain. Aapko pata hain hum aapko bahut miss kar rahe the. Poore 4 mahine se aap ghar nahi aaye.
PATIDEV: ................
KS: (blushing a little) Ka aap bhi...! Aisi baat nahi hain. Woh toh bas Maddam sir ne hume force kiya woh saari pahanane ke liye. Isliye humne pehan liya. Aur humari Santu ka toh aapko pata hi hain. Saari kya pehan li, bas photo khinchna shuru hi kar di. Ek do photo hume achchhi lagi toh aapko send kar di.
PATIDEV: ...............?
KS: Haan... Haan... Woh humare saath wali humari Maddam sir hi hain.
PATIDEV: .........
KS: Thik hain hum amma ko bata denge ki aap kal aa rahe hain aur aapne Blue Moon hotel mein choti si party rakhi hain, sirf aap, aapke manager, hamari puri team, Anu bhaiyya aur chachiji ko lekar aayenge.
PATIDEV: ...................
KS: Aa... haan... I love you too.
She cut the call and turned to go but she saw Pushpa ji smiling. She said fumbling,
KS: Woh... Ab...
PJ: Humne sab sun liya hain. Shuruwat se lekar ant tak. (Sharmane wala epic action) issshhh. Hum aur humare lalla ke pappa hi aise hi baatein karte the. Hum abhi sabhi ko invite karte hain. Waise aap dono ko dekhkar hume hamari prem kahani yaad aa gayi. Isshh..(ek aur baar epic action.)
KS: Kamal hain. Do minute private mein batiyane nahi dete hain aap aur hamesha chhote lalla ki demad karti rehti hain.
Pushpa ji tried to speak something but Karishma stopped,
KS: Haan chaliye chaliye. Bahut kaam hain.
-------
Pushpa ji came near Santosh, Cheetah, and Billu. She said with excitement.
PS: Suno, tum sab. Hume tum sabko ek bahut badi khushkhabri sunani hain.
SS: (with overloaded innocence) Haww... Pushpe, khushkhabri! Woh bhi iss umar mein? Very bad Pushpa ji, Maine toh socha tha ki aap nawab sahab se sirf mazak karte hain, lekin aap toh sach much unse pyar karti thi. Hame bataya kyun nahi Pushpa ji? Hum aapki shadi kara dete unse, aise bina shadi ki achcha lagta hain kya khushkhabri dena? Karishma madam aur apne lalla ke baare mein toh sochti. Chalo unka bhi nahi toh lalla ke pappa ka toh khayal rakhti aap!
CC: Uff.. ye double triple chaubal panchbal maasoomiyat, Santu ji. Kya karengi aap itni maasoomiyat lekar aap, aap ek din isse hamari dil, jigar, jaan le lenge.( Blushing)
Pushpa ji gave an angry look while Karishma Slapped Cheetah very hard to which Billu laughed and he too got a fresh slap on his face by her. She said angrily,
KS: Amaa bhakk! Ka chal raha hain yeh? Nahi, chal ka raha hain yeh sab? Cheete, yeh tumhe maasoomiyat lag rahi hain. Iss Santu ki deemag ki wiring hili hui hain.
Santu made a cute baby face and Karishma said to her,
KS: Aur Santu tum bolne se pahle kuch toh soch bhi liya karo. Sirf ek hi baat ko khushkhabri nahi kahte. Puri baat sune bina kisi bhi baat ka matlab kuch bhi mat nikalo.
SS: Sorry madam.
PJ: Aur nahi toh kya. Hum yeh kah rahe the ki humare lalla kal Lucknow aa raha hain poore char mahine baad. Aap log bhi kabhi usse mile nahi ho. Woh bhi aapse milna chahta hain. Iss liye kal usne ek chhoti si party rakhi hain Blue Moon hotel mein. Toh hum tum sabko yeh bata rahe the.
SS: Ohhh... Toh aap aise aa rahi thi.
KS: Haan...
BILLU: Waise menu mein kya kya rakha hain?
PJ: Sab mil jaayega abhi chup raho tum.
BILLU: Maaaaa..
PJ: Hmmmm.
Karishma got a call from headquarters. After cutting the call she said to Pushpa ji,
KS: Pushpa ji, hume kisi kaam se headquarters jaana pad raha hain. Aap ek kaam kijiye, aap Maddam sir ko kal ke program ke baare mein bata dijiyega.
Pushpa ji nodded and she left.
------
In the headquarters,
AS: Toh aap samajh gayi iss case ke baare mein?
Anubhav asked her after explaining about a case which she replied,
KS: Ji, bhaiyya...
AS: Sir...
KS: (irritatingly) Ji SIRRRRR!
He smiled a little looking at her. Then, she asked while mocking him,
KS: Sir ji, kya hum kuch kshan ke liye apne bhrata-shree se vartalaap kar sakte hain.
He smiled and answered,
AS: Waise iss samay vartalaap karna toh nahi chahiye kyun ki yeh kaam ka samay hain. Parantu agar aapse baat nahi ki toh aapka bhaukal dekhna padega. Iss liye chaliye aapse vartalaap kar hi lete hain.
KS: Ji dhanyawaad aapka. Haan toh hum yeh keh rahe the ki...
She said about Neil's plan and the dinner program the next day. She requested him to come with Chachi ji which he agreed wholeheartedly.
(Confuse mat hoyiye. Pehle lalla ka naam Pushpak tha. Par ab badal kar Neil rakh diya hain.)
After that, she was ready to go when he stopped her. She asked why. He took his bag and gave the two boxes of Laddu's to her. He said,
AS: Maa ne aapke liye aur Haseena ji ke liye Laddu bheje hain. Aap unhe bhi de dijiyega.
Karishma looked at him emotionally and asked,
KS: Iska matlab ki Chachimaa ko kuch nahi pata aapke aur Maddam sir ke baare mein.
He took a deep breath and said,
AS: Abhi tak toh nahi. Parantu hum shigra hi Maa ko iss baare mein sab kuch satya bata denge. Hume bhi unhe hehe jhuthi aashaayein dena achchha nahi lagta.
They both remained silent for some time. Then, Karishma said,
KS: Jaisa aapko thik lage, bhaiyya. Philhaal hum chalte hain, sir. Jai Hind!
AS: Jai Hind!
------
In Haseena's cabin,
She was doing something work on her computer when Karishma asked her,
KS: Maddam sir, kya hum andar aa sakte hain?
Haseena looked at her and replied with a smile,
HM: Arey Karishma Singh, aayiye naa...
Karishma Singh entered the cabin and said,
KS: Maddam sir, woh hume ek baat karni thi.
HM: Haan woh kalke plan ke baar mein naa... Pushpa ji ne hume already bata diya hain. Hum aur Ammi time se aa jaayenge. Don't worry.
KS: Ji Dhanywad, Maddam sir. Par hume ek aur baat karni thi.
HM: Ji kahiye. Aur yeh aapke haath mein kis cheez ka dibba hain?
KS: Maddam sir, yeh laddu hain. Chachi maa ne aapke liye bheje hain. Woh kya hain naa hum abhi headquarters gaye the. Aur aate aate Chachimaa se milkar aaye. Unhe personally invite karna tha naa kalke dinner ke liye. Toh unhone aapke liye bheja hain.
Karishma smartly lied as she didn't want to make Haseena or Anubhav uncomfortable. Haseena became a little sad. Karishma put the box on the table and said,
KS: Maddam sir, hum jaante hain ki yeh stithi thodi si ajeeb aur asahaj hain. Parantu Chachi toh ek maa hain naa! Unki khushi ke liye le lijiye. Bahut pyaar se yeh laddu bheje hain aapke liye unhone.
HM: Ji...
After a few seconds of silence, Haseena asked her,
HR: Karishma Singh, waise toh hume aapke baare mein sab pata hain. Par kamal ki baat yeh ki aaj tak hume aapke patidev ka naam hi nahi pata.
KS: Neil... Neil Singh hain unka naam, Maddam sir.
Karishma replied with a smile while Haseena was lost in something. Karishma left the cabin after saluting her.
--------
Haseena's eyes were a little wet. She was badly missing someone. She looked at her bracelet and said to herself.
MS: Kanha hain aap, Rockstar? Zindagi ki har chote bade sukh-dukh mein aap saath the, hamesha hume khush rakhne ki koshish mein rahte the. Jab kabhi hamara mood kharab hota toh gaana gaa kar hume hasa dete. Yanha tak ki hamare periods mein hamare mood swings ko samajhkar, use jhelkar, hamare liye chocolate aur hot water bag dete aur iske wajah se kabhi hume embarrassed feel bhi nahi hone diya aapne. Ab toh hame aapki sabse jyada jaroorat hain. Sirf ek baar toh mil lo humse. Na jaane duniya ke kis kone mein chhupkar baitho ho aap! Aapki chidiya intazaar kar rahi hain aapka.
---------
In a dark office cabin, a person was holding a photo of our Haseena and talking to that photo.
PERSON: Aa raha haim hum Chidiya aapse milne. Hame yaad hain ki hamari shaadi se kuch din pahle humari aakhri mulakat hui thi. Bahut Miss karte hain hum aapko. Lekin ab aur nahi. Ab hum aapko bahut bada surprise denge. Itne saalon baad hum milenge, kitni khush hongi aap! Ab bas kal ka intezar hain phir aap aur hum khub masti karenge. Hamari Amma aur Patni ji se milkar ek dum dhakka lagega aapko. Phir toh milna julna laga hi rahega. Bas yeh pata lagana hain ki aapki sahadi hui hain ya nahi. Agar hui hain toh aapke pati ka bada khatarnaak interview lenge. Agar nahi hui toh hum khud aapke liye aise ladke ko chunenge ki woh aapko har tarike se khush rakhe. Chalo abhi aapko denewale surprise ki tayaari bhi karni hain aur ammi se milkar bhi aana hain. Kal milenge aapse ekdum alag tarike se! Be ready my, Chidiya!
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top