Chapter 9

Aniruddh sat beside him and said to himself: jaanta hu ki tumhaari iss halat ka zimmedar ma hi hu.... fir chahe vo Bondita ko pyaar banna ho ya use uski shaadi ka sach chupaane ki kasam dena.... mujhe nahi pta tha ki mere alawa bhi koi meri Bondita se itna pyaar kr skta h... kaash me tumhare liye kuch kr pata...tumhara Bondita ke prati lagaav dekh kr esa laga jese meri Bondita ko yaha meri kami kabhi mehsoos nahi hui hogi... or iske liye me tumhara shukra guzaar rahunga,tum mujhse kuch bhi maang lo, me tumhe khushi khushi de dunga..... pr dost maaf krna... meri Bondita zindagi h meri..... use nahi de sakta me.... yaha tum uske pyaar ke liye ro rahe ho or vaha vo tumhaari dosti ke liye ro rahi h.... jo kuch bhi hua, use badal to nahi sakta... pr sab normal krne ki koshish zaroor karunga.... bs tum ek baar khade ho jao, mujhse baat kr lo..... "

Saying this he left the room and was searching for the kitchen... after a lot of struggle, he found it and went inside, he made some lemon water for him and took a glass of normal water and lemon water and again went to his room... he sat beside him and sprinkled some water on his face, due to which his eyes flickered and he gained his conscious back slowly, his vision was not clear but he noticed a man was sitting beside him, when his vision got clear he noticed Aniruddh and tried to get up, Ani helped him to sit properly...

Veer (in faint voice): aap yaha kya kr rahe h??? or me yaha kese aaya???

Ani: tumse milne aaya tha... or tumhe is kamre tak bhi me hi le kar aaya hu.... tum zyada stress mat lo or ye lo (passing him the lemon water) ye nimbu paani pe lo, saara nasha utar jaega tumhaara....

Veer saw him with a confused look as he was expecting a burst out from him but he was all calm and was helping him, he took tha glass and finished it in one go....

Ani: kisi anjaan ke haath se kuch bhi khana pina theek nahi... tumne bina kisi dar ke mere haath ka nimbu paani pee liya.... kya ho agar mene isme kuch mila diya ho to...

Veer smiled sarcasticalliy and sad: toh kya??? mar jaata... achcha hota... vese bhi jeene ki ichcha rahi nahi ab mujhme...

Ani: esi baatein nahi kiya krte h Veer... janta hu me tumhaari haalat is waqt.... tumhari manosthiti samajh skta hu..... pr koi bhi karan itna bada nahi hota ki apni jaan de di jaye... kabhi bhi ye mat bhoolna ki tumhari zindagi sirf tumhari nahi h... usse kayi or logon ki zindgiyan bhi judi h.... tumhaare ma, baba ,ghar wale, dost...

Veer: koi nahi h mera is duniya me.....

Ani: or Bondita???

Veer looked at him being shocked, but retreated himself and said: Bondita ka mujhse kya lena dena.... me uski kyu fikar karu??

Ani: kyuki pyaar jo krte ho usse...

Veer: n..na.. nahi.... es..esi baat nahi h..... koi pyaar vyaar nahi krta me usse...

Ani: pyaar to tum krte ho usse, ye to me tumhe aaj apne ghar me dekhte hi samajh gaya tha... or yaha aake jo dekha, uske baad confirm ho gaya... to mujhse jhoot bolne ki zaroorat nahi h...

Veer: kya dekha aapne??

Ani: kya lagta h tumhe... kya dekha hoga mene????

Veer understood that Ani caught him red handed so he said: dekhiye sir..

Ani : Sir nahi Aniruddh bula sakte ho....formal hone ki zaroorat nahi h.... mere chote bhai jese ho tum..

Veer nodded and continued: Aniruddh sbse pehle to I'm sorry, jesa bhi mene aapke saath aapke ghar pe behave kiya... vo haath uthaya....

Ani: Don't need to be sorry for that... infact mujhe achcha laga ye dekh kr ki agar meri Bondita yaha kisi musibat me hoti, to koi tha jo use protect kr skta tha.... so don't worry about that, tumhaari galti nahi thi, it was just a reflax action.... jis angle se tumne dekha us angle se sabko ye hi lagat ki me Bondita ke saath zabardasti kr raha taha isliye tumne use mujhse bachaya... that's all.... vese ab bata raha hu..... me uske saath zabardasti hi kr raha tha...

Veer looked at him with shocked expressions, seeing which Ani chuckled and continued: use zabardasti bedroom tak le jaa raha tha... kyuki vo subah se bohot zyada stressed thi, pr fir bhi use ghar ke kaam krne the, isliye use zabardasti utha kr araam krne ko keh raha tha...

Veer: oh!!! or mene pta nahi kya kya soch liya.... vese aapse baat krke pta chal raha h ki Bondita kyu aapse itna pyaar krti h... (and said under his breath) aur mujhse kyu nahi...

But this was audible enough for Aniruddh to listen, but instead of getting angry he smiled and kept his hands on Veer's hands and said: voh mujhse itna pyaar kyu krti h ye toh shayad me bhi nahi jaanta, tum kese janoge??? use itne dukh diye h na mene zindagi me ki agar kisi or ko deta to shayad vo mujhse nafrat krne lagti... pr Bondita to mujhse pyaar kr baithi...

Veer was confused and asked: matlab??? aapko dekh kr lagta to nahi ki aap kisi ko dukh bhi de skte h... kyuki jo isne apni patni ke aashiq ki bhi mada kr skta h vo kisi ko chot nahi pohoncha skta...

Aniruddh smiled at him and took out his purse and showed it to Veer and asked: jaante ho ye kon h???

Veer: ha shayad Bondita ki bohot choti ki photo h...

Ani: sahi pehchana...ye Bondita ki tab ki tasveer h jab vo mahaz 8 saal ki thi or meri zindagi me aayi thi...

Veer: matlab aap dono ek doosre ko bachpan se jaante ho???

Ani: nahi... mere bachpan se nahi uske bachpan se jaanta hu me use...

Veer: me kuch samjha nahi...

Ani: Bondita 8 saal ki thi jab uski shaadi mujhse hui thi, ek 22 saal ke ladke se...

Veer was shocked to hear him and said: you mean child marriage???

Ani: ha Child marriage... or isi liye mene hi use ye kasam de kar London bheja tha ki vo kisi se ye na kahe ki vo shadi shuda h... taaki koi use bechari abla na smjhe, ye na kahe ki vo bal vivaah jesi kupratha ka shikaar h... me nahi chahta tha ki humara ateet uske bhavishya ko kharaab kr de ... or isi ke chalte usne kisi ko is baat ki bhanak tak nahi lagne di ki vo married h... tumhe or Ishaani ko bhi nahi... yaha tak ki Mini ko bhi nahi bataya ki baaki bachcho ki tarah uske paas bhi baba h......

Veer: agar aapko uske future ki itni hi chinta thi to use esi kupratha ka shikaar banaya hi kyu???

Ani: jaanta tha ki tum mujhse ye sawaal zaroor poochoge... tumhaari h tarah mujhe bhi samaaj ki ye kuprathaye khatakti h... jisse ladne ke liye me humesha taiyaar rehta hu... or isi ladaai ko or badi krne ke liye mene Bondita ko Barrister Babu Bondita banaya h.... usse vivah krna meri majboori thi... agar us din me usse vivah nahi krta to shayad aaj vo tumhaare saamne to kya, is duniya ..... (he took a deep sigh to say such thing about his Bondita) iss duniya me hi nahi hoti....

Veer: mujhe kuch samjah nahi aa raha h..... esi kya majboori thi jisne aapko aap hi ke usulon ke khilaaf jaane pr majboor kr diya.... or duniya me nahi hoti matlab....

Ani: sati kr dete us 8 saal ki masoom si bachchi ko... agar me usse vivah na krta...

Veer was again shocked and gave a questioning look to Ani and said: Sati!!!!!! you mean use maar dete????

Ani: ha..... then he told him the whole story of how she was forced to marry a 80 year old man and how he saved her from those vultures disguised as humans, how they got married.... and how he filled his dreams in her eyes....

Veer was shocked would be an understatement this time and said: Aniruddh mujhe sach me nahi pta ki iss samay mujhe kese react krna chahiye... ab me samjha ki kyu Bondita ne kaha ki aap bhagwaan ho uske.... aap sach me insaanon ke bhes me bhagwaan ho... koi kisi anjaan ladki ke liye itna bada balidaan nahi deta... aapne to apna poora jeevan hi Bondita ko de diya... ek esi ladki jise aap jaante bhi nahi the....

(Note: I made some changes in my story regarding the polygamy track and child marriage abolition track shown in the show)

Ani: esi baat nahi h Veer.... bhagwaan se galtiyan nahi hoti... or jitni galtiyan mene ki h na...jitne dukh mene Bondita ko diye h.... shayad hi kisi ne kis ko diye honge.... manta hu ki Bondita ko bachpan se ek maa ki tarah paala h mene, baap ki tarah uska saaya ban ke uski raksha ki h, dost ki tarah uske sukh dukh baate h, shikshak ki tarah uska marg darshan bhi kiya h, pr jo rishta mera h uske saath h, vo to kabhi nibha hi nahi paaya... ek pati ka rishta.... Bondita ko mene kabhi apni patni nahi mana... esa nahi h ki mujhe usse lagaav nahi tha... pr jesa pyaar samaj mujhse chata tha Bondita k liye... vo me kabhi nahi dena chahta tha use... or deta bhi kese.... ek 8 saal ki bachchi ko pati ka pyaar nahi dikha skta tha... jab uski mahavari shuru hi to parivaar or samaaj Bondita se bachche ki umeed krne lage... arrey unhe kese samjhata ki ek 12 saal ki bachchi kisi ko janm kese de sakti h... samaaj ka dabaav badhne laga tha uspe bhi or mujhpe bhi... uski to kishoravastha shuru hui thi... isliye usme mansik badlaav aane lage the... vo bhi mujhse vesa hi pati ka pyaar expect kr rahi thi jesa baaki sab patniyon ko milta h.... or ye baat mujhe khatakne lagi thi... bohot koshish ki use samjhaane ki lekin asafal raha.... samaaj se.. pariwar se to lad leta... pr Bondita se kese ladta...samaaj uske dimaag me na jaane kesi kesi baate bhar arah tha...jisse vo apne raaste se bhatak rahi thi... humara sapna bhool rahi thi... barrister babu ban ke samaaj ko badalne ki bajay ghar ki sulakshini bahu or adarshvaadi patni banna uski priority ban gayi thi..... hud to tab ho agyi jab usne pati ka pyaar or patni ka darja paane ke liye apni jaan tak daav pr laga di... us din me apni Bondita ko khote khote bacha tha.... jab mujhe koi or raasta nahi dikha tab mene vo faisla liya jo shayad mujhe nahi lena chahiye tha.... (he took a deep sigh )

Veer: kaisa faisla???

Ani: doosra vivah.... mene doosra vivah kr liya... (looked down in guilt)

Veer widened his eyes as he couldn't digest that how can he do second marriage.....

Veer: kya??? matlab aapne Bondita ki jagah kisi or ko de di???

Ani(immediately said): nahi... kabhi nahi... meri zindagi me... mere dil me.... Bondita ki jagah na kisi ne li thi or na hi koi le skta h..... mene socha agar doosra vivah krke Bondita ko dukh pohonchaunga to voh mujhse nafrat krne lagegi.... or mujhse pati patni ke rishte ki umeed chod degi.... or isi ke chalte mene jaan boojh ke uss 12 saal ki bachchi ko itna tadpaya ki uska dil channi ho gaya.... halaki jab jab mene use chot pohonchayi h tab tab dard mujhe bhi mehsoos hua h... or ho bhi kyu na... Bondita "mere jeene ki wajah h"... jis ladki pr ek kharoch bhi mein bardasht nahi kr sakta... use me khud dard de raha tha... itna dard jo usse bardasht hi na ho.... or jab vo itna dard seh seh ke depression me chali gayi, usne apni jaan dene ki koshish ki tab mujhe meri galti ka ehsaas hua.... ye ehsaas hua ki galt Bondita nahi galat to me tha... jo uski manosthiti ko samajh hi nahi paaya.... vo bechari pehle hi samaaj or parivaar ke pressure se guzar rahi thi or mene use or dard de diya.... mene apni galti to sudhar li or meri Bondita dil ki itni saaf h ki usne meri paristhiti ko samjha or mujhe maaf bhi kr diya...lekin uss galti ke chalte ek aur galti kr baitha.....

Veer: fir kya kr diya aapne???

Ani: child marriage ke khilaaf court me petition file kr diya...

Veer: ye galti kese hui... ye to achi baat h na...

Ani: doosro ke liye achchi baat thi lekin humaare liye nahi... Bondita jis dard se guzar rahi thi... me nahi chahta tha ki koi or ladki usi dard se guzre isliye mene esa kiya tha.... lekin in sab ke chalte ye to bhool hi gaya ki isse to mera or Bondita ka rishta bhi khatam ho jaega.. or esa hua bhi... sab kuch theek chal raha tha, dekhte hi dekhte 3 saal beet gaye, Bondita bhi recover ho gayi thi...fir se logo se hasne bolne lagi thi... ghulne milne lagi thi... pehle waali Bondita waapas aa hi rahi thi lekin achanak se brahmo samaaj ke logon ne bataya ki jo arzi mene court me daali thi use British Govt. ki manzoori mil gayi h... lekin samaj ke saamne ek udaharan rakhne ke liye mujhe or Bondita ko apna rishta todana padega.... or humara to sapna hi ye hi tha ki hum samaaj ki soch badal sake isliye meri or Bondita ki marzi se humara rishta avaidh ghoshit kr diya gaya... jisse gaanv waale bhadak gaye... or Bondita ko jaan se maarne ki thaan li... isliye me use vaha se bhaga kr siliguri le gaya... lekin gaanv waalon ka gussa itna bhad gaya ki unhone Bondita ke naam pr 25000 ka inaam rakh diya... ab me Bondita ko kahi bhi le jaata pr phir bhi vo surakshit nahi rehti... jahan jaati log uske peeche pade the... uske khoon ke pyaase ban baithe the... isliye majbooran mujhe samaaj ke saamne fir jhukna pada or Bondita se fir se shaadi krni padi... or shaadi hote hi uspr fir se koi sankat na aa jaye isliye maine use yaha London bhej diya jaha vo bina kisi adchan ke padhayi kr sake, humaara sapna poora kr ske, barrister babu ban sake... or jis samaaj se bach ke vo khud yahan aa gayi.. usi samaaj ke saamne khadi ho kr baaki ladkiyon ke liye awaaz utha sake... unki prerna ban sake.... or isi liye mujhe aaj bhi afsos hota h ki har baar mere fitoor ke karan meri Bondita ko suffer krna pada h .... mere har ek galat kadam ki saza Bondita ko jhelni padi h... (he started crying remebring all his deeds)

Veer also had tears in his eyes listening their struggles and said: mana ki aapne galtiyan ki thi... or shayad aapko maaf na kiya jaata... lekin fir bhi aapka maksad galat nahi tha... isi liye Bondita ne bhi aapko maaf kr diya... or ab me jaan gaya hu ki kyu Bondita aapse itna pyaar krti h... pr ek sawaal ab bhi mere man me h...

Ani: kya???

Veer: ki aap ne ye sab mujhe kyu bataya... me to Bondita se pyaar krta hu, iske liye aapko mujhe daantna chahiye tha or yaha aap mujhe apna past bata rahe h....

Ani: tumhe kyu daantunga me bhala... pyaar krna galat nahi h... or vese bhi tumhe thodi pata tha ki Bondita mujhse pyaar krti h... pr ha jo faisla tum lene jaa arhe the..vo galat tha... mene tumhe ye sab isliye bataya ki tum ye samjho ki chahe zindagi me kuch bhi ho jaaye... aas nahi haarni chahiye... Bondita ne bhi bohot mushkilein sahi h apne jeevan me... lekin usne kabhi haar nahi maani ,har mushkil ka datt ke saamna kiya h.... mana usne beech me jeene ki aas chod di thi... pr use esa krne pe mene majboor kiya tha... pr tumhare saath esa kuch nahi h... Veer tum bohot samajhdaar ladke ho... isliye is baat ko samjh lo ki tumhara Bondita ke prati pyaar galat nahi h... lekin uske badle Bondita se bhi usi pyaar ki umeed krne galat h... ye baat tum bhi ache se jaante ho ki Bondita tumhe kabhi vo pyaar nahi degi... lekin tum use iss cheez ki saza nahi de sakte...

Veer: mene kya saza di use... or mene Bondita se pyaar ki umeed chod di h... isiliye to usse door jaa raha hu.. humesha ke liye..

Ani: yahi to galti kr rahe ho tum... usne tumhe pyaar nahi diya isliye tum usse uski dosti cheen rahe ho... usne tumhe ghar pr jo bhi kaha, gusse me kaha, lekin jaise hi tum vaha se aaye, vo khud ko sambhal hi nahi paayi... kyuki use laga ki usse uska sabse acha dost chin gaya h, pta h jab me yaha aaya tha tab usne bataya mujhe ki tum or Ishaani uski zindagi ka ahem hissa ban chuke ho.... or ese me tum use humesha humesha ke liye chod ke jaane ki baat kr rahe ho... ye saza nahi to kya h bolo???

Veer understood what he wanted to convey and he face palmed himself and said: oh god!!!! ye me kya karne jaa raha tha... me pyaar ke chakkar me dosti kese bhool gaya?? Thanks to god jo unhone aapko mere paas bheja, mujhe sahi raasta dikhaane ke liye... Thanks a lot...

he tughtly hugs Aniruddh and Ani too responds to his hug and said : to bolo... doge meri mishti ko uska dost wapas??

Veer gives a confused look and asked: mishti???

Ani laughs at him and said: Bondita... duniya ke liye Bondita h mere liye meri Mishti h...

Veer smiles seeing his selfless love for her and said; or mere liye meri choco pie....

Ani: choco pie... hmm... cute name...

they both laughs together..

Ani; chalo ab ghar chalo... or Bondita se mil lo... na jaane ro ro kar kya haal bana liya hoga usne... or vo tumhaari tedhi dost Ishaani, vo toh mujhse seedhe muh baat bhi nahi kr rahi h, subah mere muh pe challenge de kr gayi thi ki me sab kuch theek nahi kr paunga...

Veer giggled at him and said: chaliye chaliye.. vo to h hi esi... me samjha dunga use.... chaliye aap....

he got up from the bed to leave but Ani hold his hands in order to stop him and said: ese hi jaenge aap???

Veer looked down to himself and realised that he was looking like a ghost due to the ruckus he created in that dark room... and said: ohh sorry sorry... aap do minute me rukiye me paanch minute me fresh ho kr aata hu...

Ani laughed at him and said: ok, come soon....

saying this Veer left to freshen up... while Ani was sitting there itself waiting for him... after some time they both left for Anidita's bunglow...


Hey yaa guys!!! whats up?? Hope you are liking my story... and see I didn't break your trust... aapne kaha tha ki Anidita ko seperate mat karo... so see.... I didn't separated them..... or ab to aap ko clear ho hi gaya hoga ki last promo me vo breakdown Aniruddh ka nahi Veer ka tha🤭🤭🤭 I know promo dekh kr aap logo ko mini heart attack aaya hoga.... so sorry for that😂😂😂

Now I wanna know guys ki aap log Anidita ko London me thoda or dekhna chahte ho ya me unhe India bhej doo jaldi se jaldi???? jaldi comments me batao because me usi ke basis pe next chapter likhungi...

So bye bye... take care and keep showering your love through votes and comments...❤❤❤

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top