Chapter 41
(PLEASE PLAY THE SONG ABOVE, YOU WILL DEFINITELY FEEL CONNECTED TO THE EMOTIONS I WANTED TO PUT IN THIS SCENE)
Veer directly went to his room to take his belongings......
He entered his room and took his necessary things with him and came back to the hall.......
He first went to Binoy and touched his feet, but Binoy turned his face and closed his eyes.... a drop of tear fell directly on Veer's hand which were on his feet...... he looked up and stood straight feeling sad that his baba didn't give him blessings for the last time..... he wiped off those tears from his face and without making any eye contact, he moved towards Som and Bauk and smiled at them...... but how can they reciprocate that smile with a smile when they were crying, their hearts were crying.....
Bat: mat jaiye na Veer dada.....
Som: ruk jaiye dada.... please..... (he folded his hand in front of him) aapka chota bhai aapke saamne haath jod raha h..... ruk jaiye please.....
Bat: aap apne chote bhaiyon ki baat nahi sunenge dada......
Veer held Som's hand and put them down and closed his eyes tightly to prevent those bloody tears fall down in front of them...... he patted Som and Batuk's shoulder ....
Veer: mat roko mujhe Som Batuk.... mere yahan se jaane me hi bhalai h..... bs ek waada karo.... ki sabka ache se khayal rakhoge yahan..... vese to mujhe ye kehene ki zaroorat nahi h.... aakhir tum to iss ghar ke asli bete ho...... pr fir bhi..... tum logo se jaate jaate isse zyada kuch nahi maang skta me......
Both the brothers hugged him tightly and cried a lot.... in response he just rubbed their back......
He moved towards Anirudh who was standing there expressionless facing to the other side..... Veer stood in front of him downing his head......
Ani (not facing him): rukne ko nahi kahunga.... kyuki sabne kaha pr tum nahi maan rahe... apna waada tod rahe ho.... isliye bs itna bata do ki subah jab Bondita or Mini uthenge to unse kya kahunga???? kya jawaab dunga.....
Veer: tum samajhdaar ho..... mujhse kahin zyada.... jaanta hoon samjha doge unhe kese bhi krke.... or tumse to kehne ki bilkul zaroorat nahi h ki un dono ka dhyaan rakhna.... kyuki tumhaari to pehle hi jaan basti h unme.....
Ani: or Ishaani or Manorama se??? unka kya??
Veer (chuckled): vo khud samajh jaenge......
Veer waited there that for once Anirudh will turn and hug him, but to his disappointment, he didn't...... he wiped off his tear and looked around, but kaka was nowhere to be seen.... he sighed thinking that maybe he doesn't want to see him.....
Sampoorna was still standing there with a victorious smile on her face shamelessly thinking that finally one of those unwanted people is going out.....
Veer turned to leave and quickly picking up his bag, he went towards the main gate..... he was going to cross the threshold, but stopped with his one foot hanging outside the threshold.... when he heard a sweet voice..... "where are you going buddy??".....
A small smile came on his face, he took off his leg back and turned to see the owner of the voice.....
There Ksj was standing taking Mini his arms.... who was busy in rubbing her eyes cutely with her one hand while the other she was clutching her dada's gifted teddy which she always carries near her heart......
Veer looked at her with a smile on his face and tears in his eyes.... he moved towards them once again....... ksj put Mini down so that she can meet him...... he brought her downstairs in her half-sleep with a hope that she will stop his son from going.....
Veer kneeled down to match her height and emotionally took her in a bone-crunching hug...... and peppered her face with lots of baby kisses and cried his heart out...... Mini being a child didn't got why was he crying.... she wiped off his tears with her little palms.....
Mini: aap ro kyun rahe ho buddy??? kisne aapko daanta kya?? ya fir punish kiya??? aap batao mujhe.... me mumma se complain kr dungi..... pr aap ro mat please.....
Veer was looking at her with love and why won't he, when once there was a time when he dreamt of having a happy family with Bondita and Mini as his own daughter...... and today he has to leave them both behind forever.......
Veer: mumma ka dhyaan rakhogi na??? unhe zyada pareshaan mat krna...... unke saath rehna humesha.....
Mini: kyun aap humare saath nahi rahoge???
Veer smiled a bit and took her little palm in his hand and kept it on her own heart and said....
Veer: me kahin nahi jaa raha buddy.... me to yaha rahunga.... aapke dil me.... aap sabke dil me.....
Mini (stubbornly): nahin muhe aap mere saamne chahiye ho.....
Veer: samjho bacha..... please.... you know na I'm a doctor.... or doctors ka to kaam hota h bigde ko sahi krna.... kabhi kisi ka per bigad jaat h use theek krte h... to kabhi kisi ka haath bigad jata h.... kabhi kisi ka dil to kabhi dimaag......
Mini (innocently) : iss baar kya bigda h buddy???
Veer: haalaat...... iss baar haalaat bigad gaye h.... isliye mujhe unhe theek krne ke liye jaana hoga.....
He immediately got up from there and took blessings from kaka who was standing just beside them with teary eyes...... though he didn't kept his hand on his head but he blessed him in his heart......
Veer turned to leave again but that little gripped his finger from back.... he looked back....
Mini: mat jaao na buddy!!!!
Veer removed her hand keeping stone on his heart and once again ignored her pleading and directly went out of the house.... all looked at his disappearing figure feeling helpless.......
As soon as he left the home, Binoy went to Sampoorna and clutched her hair tightly, she winced in pain......
Bin (angrily): ab shaanti mil gayi tumhe??? aaj ye parivaar gam ke samandar me dooba khada h..... sirf or sirf tumhaari wajah se.... tumhaari ghatiya soch ki wajah se...... uss bechare ke yahan se jaana pada.... bina kisi galti ke usne saza bhugit h..... sirf or sirf tumhaari wajah se.....
Sam: aah chodiya mujhe.... dard ho raha h.....
Bin: utna dard nahi ho raha jitna hume ho raha h....
Sam: aap ek paraye ladke ke liye apni patni ke saath esa ......
Bin (interruptingly shouted): paraya nahi... beta tha vo mera...... samjhi.....
Ksj: arrey use kya dosh de rahe ho Binoy.... galti to tumhaari h saari....
Binoy left her hair and confusingly looked at his da....
Ksj: ese kya dekh rahe ho hume??? sahi keh rahe h..... agar ye kadam usi din utha liya hota jis din iski sachayi pata chali thi tumhe.... to aaj ye sab hota hi nahi.... humaare ghar me musibate aani hi usi din se shuru hui thi jiss din apne bete bahu ko ghar chodne se rokne ki bajaya tumne apni nayi patni ka saath diya.... use apni patni mana.... use iss ghar ki bahu hone ka adhikaar diya..... agar uss din Anirudh or Bondita ko uss gaanv ki choti si jhopdi me rehne jaane se rok lete or ise iss ghar se usi din nikaal fenkte to aaj ye din dekhne hi nahi padte..., aaj humaari bahu ki jo bhi haalat h... uski sabse badi zimmedar to ye aurat h..... agar aaj iss ghar ne apna ek beta khoya h to uski zimmedar ye aurat h..... lekin sharm naam ki ek lakeer nahin h iske chehre pr....... ab bhi behes kr rahi h ....... jabse iss ghar me kadam rakha h... iss ghar me sab galat hi hua h....
Bin: sahi keh rahe h da aap.... galti nahi paap hua h mujhse jo iss jesi aurat ko mauka diya.... arrey jisne apni Maa samaan pishi ko zinda hi maar diya.... jisne apni choti si behen ko nuksaan pohonchaane me koi kasar nahi chodi... usse or kya hi umeed ki jaa sakti h..... par aap chinta mat kijiye.... agar galti mujhse hui h ... to use sudharunga bhi me hi.... jo kaam saalon pehle kr dena chahiye tha... pr nahi kiya.... use aaj zaroor karunga......
He grabbed her hand harshly and pulled her towards the main door....
Sam (struggling to get out of his grip): arrey kya kar rahe h aap.... chodiya mujhe..... dekhiye me maafi maangti hoon.... pr muhe iss ghar se na nikaaliye..... me aapke aage haath jodti hoon... aapke aage per padti hoon.... sun lijiye meri baat.....
Anirudh roared from behind who just came back to the hall after tugging Mini back on her bed.....
Ani: haath jodo.... per pakdo..... vo sab karo Sampoorna jo jisse mere kaleje ko thandak pade..... mene dekha nahi... pr jaanata hoon.... meri Mishti bhi esi hi tumhaare saamne haath jodkar tumse chup hone ko keh rahi hogi pr tumne uski ek nahi suni hogi..... tumne uss pr ghatiya ilzaam lagaye.... or bebas ho kar tumhaare saamne gidgidati rahi hogi..... apni pavitrata pramanit karne ki usne kayi baar koshish ki hogi.... pr tumne nahi suni..... use takleef hoti arhi... uske man pr, uske dimaag pr asar padta raha..... pr tumhe to uski esi haalat dekhne me maze aa rahe honge.... tumhaara or tumhaari vo gaanv ki aurton ka manoranjan ho raha hoga...... to ab tum chillao... gidgidao.... haath jodo.... per pakdo.... ab ye mera manoranjan h..,.. vese to me aurton ki bohot izzat krta hoon..... hadd se zyada.... tumhaari bhi ki thi..... tumhe marne se bacha kr yahan apne saath iss haveli me laya tha.... apne bhai jese dost ko diya aakhiri vaada poora krna tha... usse waada kiya tha ki uski Sampoorna ka ache se khayal rakhunga.... use sangeet sikhne me madad karunga.... uska bhavishya Bondita ki tarah ujjawal banauga.... pr ab ehsaas ho raha h..... ki jis Sampoorna ke liye usne mujhse ye vachan liye the... use to hum uss din bacha hi nahi paaye..... vo to usi din apne pati ki chita ke saath bhasm ho gayi.... or aaj jo ye Sampoorna humaare saamne khadi h.... ye vo aurat h jise pyaar nahi paisa chahiye...... sirf pesa... naam... rutba..... jise ghar ki bahu nahi... ghar ki maalkin banna h......
or kya kaha tha tumne... meri Bondita iss ghar me peso ke liye h??? NAHIIIII..... bilkul bhi nahi..... arrey vo to vo iss ghar ki vo neev h jis par ye ghar majbooti se khada h....
or kya kaha tha tumne??? uski pavitrata pr sawaal uthae the na...... to uski pavitrata mein tumhaare saamne pramanit krne ki zaroorat nahi samajhta.... jo khud itni giri hui ho... vo kya kisi ki pavitrata ka anumaan lagaegi..... pr haa itna zaroor kahunga ki meri Bondita itni pavitra h ki use sirf pyaar se haath lagane se bure se bure paapiyon ke paap dhul jaaye.....
haan... or tumne meri bachi ko paap kaha tha..... haina??? to kaan khol ke sun lo Sampoorna...... paap vo nahi.... paap to tum ho.... tum vo paap ho jisne iss haste khelte ghar ko dushit kr diya h..... vo bachi meri h.... mujhe meri jaan se bhi zyada pyaari h.... or meri Bondita bhi.... unke liye ek galat shabd bardaash nahi karunga me....
or haan..... tumne Veer pr bhi ilzaam lagaye naa.... vo to me kabhi mar ke bhi nahi bhool skta..... uske or Bondita ke rishte pr sawaal uthaae...... or sach kahu to unke iss pavitra rishte ko... unki iss pavitra dosti ko bhi me tumhaare saamne pramanit nahi krna chahta...... tumhaari wajah se use apna hi ghar chodna pada.... tumhaari vajah se use apno ko chodna padna.... or tumhe kya lagta h ki usne kaha ki vo jaa raha h... or mene use roka nahi.... haan.... nahi roka use mene..... kyunki jaanat tha uss wakt vo kis paristhiti se guzar raha h... lekin iska ye matlab bilkul bhi nahi h ki me mere bhai ko itni raat me.... akele thand me thithurne ke liye chod dunga.... use to me ghar wapas le aaunga...... abhi le aunga..... pr tumhe nahi chodunga..... tumhe me kabhi maaf nahi karunga Sampoorna.....
tumne meri patni ko chot pohonchayi.....meri beti ke liye ghatiya shabdon prayog kiya.... mere bhai ko tumhaari wajah se ghar chodd kr akele thand me jaana pada...... or poore parivaar ko jo chot pohonchi h, jo takleef unhe hui h... vo alag.....
shukar manao Sampoorna ki bhagwaan ne tumhe aadmi nahi aurat banaya...... vrna abhi tak tumhaari arthi uth chuki hoti.....
Som Batuk......
Somtuk: jii dada!!!
Ani: abhi k abhi gaadi nikaalo.... ro Veer ko dhoond kr wapas lao..... jab to vo ghar lautega... tab tak iska patta saaf ho gaya hoga iss ghar se..... sabki pareshaani ki jad hi samampt ho jaegi..... tum log jao... or dekho use.... raat ka samay h... koi gaadi bhi nahi milegi use.... pero se chal kr zyada door nahi gaya hoga.....
Som: jii dada... hum abhi jaa kr... Veer dada ko wapas le kr aate h....
Ksj: ha ha chalo.... hum bhi chalte h... na jaane kaha thand me bhatak raha hoga humara bacha.....
Bat: nahi kaka aap rehne dijiye... hum le aaenge unhe...
Ksj: arrey tum chalo..... or hume bhi le kr chalo.... hume koi behes nahi krni.... tumse nahi manega vo.... hum baat karenge usse.... apne kaka ki baat nahi taalega.... na jaane humaari bhi jeebh akad gayi thi jo use rokne ke liye ek shabd nahi foota humaare muh se.... kehna bohot kuch chahte the pr zubaan khulne ka naam hi hi nahi le rahi thi..... pr ab nahi.... ab chalo ... or iss toote parivaar ko fir se poora karo.....
Som and Batuk nodded and the trio left for finding Veer.....
Here, Binoy again grabbed Sampoorna's hair and pushed her to the ground.....
Bin: tumhaare andar itni bhi sharam nahi h ki itna sunne ke baad to apne aap iss ghar se nikal jaaun..... ya tumhe abhi tak bhi apni galti ka ehsaas hua hi nahi h...
Sampoorna held Binoy's leg and cried...
Sam: esa mat kahiye na..... ujhe meri galti ka ehsaas ho gaya h... aap mujhe iss ghar se mat nikaaliye.....
Binoy looked at Anirudh and he again roared: mujhe ye aurat ek pal bhi yaha bardaash nahi baba.... ya to ise yaha se jane ko kahiye nahi to me chala jaata hu....
Bin: esi galti fir nahi dohraunga Anirudh..... agar iss ghar se koi jaega to vo ye h.....
Sampoorna instantly got up and went Anirudh and begged in front of him....
Sam: esa mat kaho Anirudh..... tum jo kahoge... me karungi.... par mujhe yaha se jaane ko mat kaho...
Ani (shouted): chikho.... chillao.....gidgidao Sampoorna.... mujhe bohot sukoon mil raha h.....mere dil ko thandak mil rahi h.....
He took a drop of tear from her cheek and showed it her....
Ani: ye dekh rahi ho.... ye aansu nahi.... mere badle ki pyaas bhujaane ke liye amrit h..... meri Bondita ki aankho se bhi ese hi aansu bahe the jab tumne apni ghatiya zubaan se jo apshabd uske liye prayog kiye.... uski aag itni jaldi shaant nahi hogi..... me chata to tumhe police ke hawaale kr skta tha.... pr fir socha police ke saunp diya tumhe... to vo to tumhaare liye bohot hi asaan saza hogi... usse acha jin sabke liye... jis naam ke liye... jis rutbe ke liye.... jis pese ke liye tumne ye sab kiya h na.... tumse agar vo sab cheen liya jaaye... to shayad usse badi saza tumhaare or kuch nahi hogi....
Sam (cried): Anirudh mujhe maaf krdo... dekho tum...
Ani: baba ise jaldi se jaldi yaha se bhej dijiye.... Veer ke lautne se or Bondita ke uthne se pehle mujhe ye ghar se bahar chahiye..... kal subah Roy Chaudhriyon ki nayi shuruat hogi.... bina kisi Sampoorna ke..... ek achi shuruat.....
Bin: sahi kaha tumne Anirudh..... or Sampoorna tumhe to sharm aani chahiye ki uss ladke ne apne baare me itni ghatiya baatein kehne ke baad bhi tumse ek shabd nahi kaha... khud hi yahan se chala gaya.... or jaate jaate bhi use sirf iss ghar ki or apni dost ki hi fikra thi..... jaate jaate bhi usne ek hi cheez maangi.... iss ghar ka or Bondita ka khayal rakha jaaye.... Bondita ke charitra pr koi or ungli na uthae isliye usne ye ghar hi chod diya.....ise kehte h pyaar... parivaar.... apnapan
Ani: rehne dijiye baba... ise samjh nahi aaega..... jo apni behen ki hi sagi na ho saki... vo humaari kya sagi hogi.... pyaar parivaar ise samajh aata to kab ka samjh gayi hoti.... ab ise or samjhaane ki zaroorat nahi h..... ise abhi ke abhi yaha se nikaliye..... me nahi chahta ki Bondita ya Mini mera ye roop dekhe.... vo ye dekhe ki mene ek aurat ke saath esa bartaav kiya h..... unhe acha nahi lagega..... pr me unke liye iss jesi aurat se to kya bhagwaan se bhi ladne ko taiyaar hoon!!!
Despite of listening her pleadings, Binoy dragged her and threw her out of the house and warned her not to ever come back in their lives and especially to stay away from Bondita..... Because they knew that those tears were fake....her apologies were fake.... They were just a way to melt their heart to let her stay here in the RC Mansion as a zamindaar bahu.....
So tell me did you liked this Anirudh??? Do you think that Bondita, Veer and Mini got justice!!!! Do you think they will be ab le to bring Veer back??? Do you think the Binoy and Anirudh's behaviour for Sampoorna was right??? I want your opinions.... So please comment down surely!!!
***NOTE: And yes, many of you may complaint that Anirudh's behaviour towards a woman should not be shown like this!!! So let me clear this that I'm not showing Anirudh as a great social reformer in my story... This is story is not at all based on any social work ... It is purely a love story!!! So don't expect any kind of "desh badalne ke kaam" in my story!!!!****
uffff!!!!! So here is the remaining part of the previous chapter!!! As I said that I wasn't able to complete it because of my work... but as I was free in the evening... so I managed to write the remaining part too....
Please comment your views on the chapter and surely vote.....
Bye bye...
lots of love💖💖💖
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top