Chapter 10

~02.02.2020

JINDAL BHAVAN,

AJ: Achha thik hai bataiye ki aap ko kya kehna hai.(and makes her sit on his lap)

Arya: Magic hua hai aur wo bhi mere saath.

AJ: Magic? Kaise? Kisne kiya? Kya hua hai aap ko? Aap thik to hai na?

Arya: Uffoo Dadda! Mai bilkul thik hun, kuchh nahi hua hai mujhe. Itne saare sawaal ek saath. Aap bas meri baat suniye baaki sab na aap khud samajh jaayenge.

AJ: Achha thik hai to bataiye.

Arya: Aaj na har baar ki tarah mai wo game nahi khel pa rahi thi aur gir gayi.

AJ: To?

Arya: Mai phir rone lagi ye soch kar ki mujhse kuchh nahi ho pata.

AJ gets sad hearing that.

Arya: Phir mujhe ek beautiful lady mili jisne mujhe magic sikhaya.

AJ: Us ne tumhein magic sikhaya?

Arya: Haa. Unhon ne mujhse kaha ki....(and she repeats the whole incident)

AJ: Aap ne waisa kiya kya?

Arya: Haa aur aap ko pata hai us ke baad kya hua? Mai jeet gayi. Mujhse ho gaya.(and claps excitedly)

AJ: Aap ke wo favourite insaan koun hai jise aap ne yaad kiya?

Arya:(keeps her hands on her waist and sees him with a questioning face) Aap ko nahi pata ki mai ne kise yaad kiya?

AJ: Nahi.

Arya: Uffooo Dadda! Aap ko, aur kis ko yaad karungi mai.

AJ (smilingly): Aap ne mujhe yaad kiya .

Arya: Abhi to wahi bola na maine. Aur isiliye mai jeet gayi. Thankyou Dadda!(and kisses on his cheek)

AJ: Thank you kisliye?

Arya: Kyunki jab mai ne unhein Thank you bola to unhon ne kaha ki mai khud ki wajah se jeeti hun. Ab main aur aap ek hi hai to aap ko bhi Thank you.

AJ: Aap jaanti hai ki wo koun hai?

Arya: (makes a sad face) Wahi to nahi pooch saki na mai. Isse pehle ki mai unse aur baat karti wo chali gayi. Agar mai un ke baare me aur jaan leti to aap bhi un se mil lete. Ab sab miss ho gaya.

AJ: Koi baat nahi. Ham phir kabhi un se mil lenge.

Arya: Agar wo kabhi waapas nahi aayi to?

AJ: Aisi baatein nahi bolte. Aap ke Lord Krishna aap ko un se jald hi phir se milayenge. Ab khush?

Arya: Haan , bohot.

She lets a breath out holding her stomach.

AJ: Ye kya tha?

Arya: Aap ko pata hai jab se mere saath aisa hua na tab se mere pet me kuchh ajeeb sa ho raha tha, shayad isi liye ki mai ne ye baat chupa kar kisi ko nahi bataya. Aur ab jab mai ne aap ko ye baat bata di to ab sab theek hai.

AJ remembers how Guddan used to say that she feels pain in her stomach when she lies or hides something from everyone and smiles remembering that.

Arya: Kya hua Dadda? Aap smile kyun kar rahe hai?

AJ: Mujhe na meri friend ki yaad aa gayi. Wo bhi aise hi baatein karti thi.

Arya: Ab to na mujhe sach me lagta hai ki mai aur wo bilkul same hai.

AJ: Hmmm.

AK'S HOUSE,

AK and Ahaan enters the house. Ahaan goes to his room to play. Revati asks AK about Ahaan's admission.

AK: Admission ho gaya hai. Wo kal se school bhi ja sakte hai. Mai ne driver se baat bhi kar li hai.

Revati: Ye to bohot achhi baat hai Di!

AK: Revati! Agar shuru ke kuchh din tum Ahaan ko drop karne aur receive karne driver ke saath chali jaaogi? Indore naya hai na Ahaan ke liye to, wo thoda comfortable feel karega.

Revati: Di! Ye bhi koi kehne wali baat hai. Agar aap nahi bhi kehte na to bhi mai chali jaati.

AK smiles remembering the incident with Arya in the school.

Revati: Kya hua Di! Aap muskura kyun rahi hai?

AK: Aaj school me na ek bachhi se mile ham. Usi ke baare me soch rahe the.

Revati: Aisa bhi kya hua ki aap soch kar muskura rahi hai.

AK: Ye jo duniya hai na kisi ko bhi taunt kiye bina nahi rehta. Pata hai us chhoti bachhi se bhi keh rahe the ki usse nahi ho payega, wo kuchh nahi kar sakti.

Revati: To phir?

AK: Phir kya.. Ham ne usse kaha koshish karne ko aur use ye baat yaad dilaya ki usse sab ho payega.

Revati: To kya usne aap ki baat maan li?

AK: Kaise nahi maanti, uski koshish jo kaamyaab ho gayi.

Revati: Kitni khush huyi hogi na wo.

AK: Haa, bilkul usi tarah jis tarah ham hua karte the aur aaj bhi hote hai.

Revati: Aap aise mat kahiye Di! Aap se sab kuchh achhe se ho paata hai. Waise aap ko pata hai ki wo koun hai? Aap ne usse uska naam poocha?

AK: Nahi! Time hi nahi mila usse aur baat karne ka. Lekin bohot pyaari bachhi hai wo.

Revati: Koi baat nahi Di, ab to Ahaan bhi usi school me jaayega. Agar bhagwan chahe to aap phir se shayad usse mil jaaye.

AK: I hope so.

JINDAL BHAVAN,
NIGHT,

AJ goes to Guddan's room as everyday and holds one of her pictures and talks to it,
"Pata hai tumhein aaj bhi Arya bilkul tumhari jaise baatein kar rahi thi. Keh rahi thi us ke pet me kuchh kuchh ho raha hai kyunki us ne ek baat chupayi aur kisi se bhi us baare me nahi kaha. Yaad hai tumhein? Tum bhi aise hi baatein kehti thi na aur sab se pehle aa kar wo baat mujhe hi batati thi jis tarah aaj Arya ne sab se pehle wo baat mujhe batayi. Wo bhi na tumhari tarah koi bhi baat zyaada der tak chhupa nahi sakti. Aur ek baat bataun mai tumhein, wo aaj kisi se mili aur us me sab se interesting baat ye hai ki wo lady bhi na bilkul tumhare jaisi thi. Aaj Arya ro rahi thi ki wo kabhi game nahi khel paati, har baar gir jaati hai aur har baar ki tarah aaj bhi gir gayi kyunki aaj usne doobara koshish ki. Usne Arya se bilkul tumhara formula apply karne ko kaha. Tum bhi isi tarah apne Lord Krishna ko yaad kar ke apne favourite person yani apne Papa ko, Maa ko aur mujhe bhi yaad kar ke koi bhi kaam ye soch kar shuru karti thi na ki tumse sab ho payega aur shaayad aaj bhi karti hogi na. Arya na tumse milna chahti hai, tum aa jao na waapas ham sab saath rahenge. Mai sach keh raha hun agar tum ek baar Arya se milogi na tum bhi yehi kahogi ki wo bilkul tumhari tarah hai. Aise muskura kar kyun dekh rahi ho mujhe, kuchh kaho na. Ab jaldi se bol bhi do ki tum mere bina nahi reh paa rahi ho. Tum bhi mere paas aana chahti ho. Bolo na.....(he sits there for a while shedding silent tears holding her photo close to his heart).

AK'S HOUSE,
NEXT MORNING,

AK was packing Ahaan's school bag and her shooting bag somewhere lost in deep thoughts when Revati comes to her.

Revati: Kya hua Di! Kahaan khoyi hui aap? Kya soch rahi hai?

AK: Kuchh ajeeb sa feel ho raha hai hame. Hamari jo Guddan sense hai na wo hame......(as she was about to continue both look into each other's eyes and she continued knowing what she said just now).. Hamara matlab hai ki hame kuchh ajeeb sa sense ho raha hai. Samajh nahi pa rahe hai ki kuchh achha feel kar rahe hai kya phir kuchh galat ho raha hai.

(This was the last stroke when Revati starts laughing).

AK: Tumhe ye sab mazaak lag raha hai. Hame kuchh bolna hi nahi chahiye tha.

Revati: I am sorry Di! Koi mazaak nahi hai mai jaanti hun lekin mujhe hasi aa gayi to mai kya karun. Aap jis tarah se ye sab baatein kar rahi thi aap ko pata bhi hai ye sunne me kaisa lag raha hai. Aisa lag raha hai ki kisi ko naya naya pyaar ka ehsaas hua hai aur wo ise samajh nahi paa raha hai. Kuchh achha lag raha hai kuchh bura lag raha hai... A confused soul.

AK: Shut up! Tumhe achhe se pata hai ki mujhe pyaar vyaar ki baatein bilkul pasand nahi. Aur waise bhi mujhe khud nahi pata ki mai ye sab tumhe kyun bata rahi hun. Mujhe Ahaan ko school le jaana hai warna late ho jaayega. Tum use lene driver ke saath chale jaana, mera shoot rahega mai nahi jaa paungi.

Revati: Di! Ab na aap kaam ki baat suniye. Aap ko ye sab isliye feel ho raha hai kyunki aaj aapka Indore me pehla shoot hai. Isiliye aap shayad thodi nervous hai. Aur kuchh nahi hai, aap tension mat lijiye, everything will be fine. Ok!

AK: Ok! Fine!

AK was dressed in simple clothes covering her face with a scarf and her eyes with shades. She was dressed up so as no one can recognize her as AK and she can calmly drop Ahaan to school and go to her set. She and Ahaan gets into the car and she asks the driver to make way to the school.

JINDAL BHAVAN,

AJ: Arya! Aap school ke liye ready hai?

Arya: Ha Dadda! I am ready.

AJ: Thik hai mai aapko drop kar dunga.

Durga: AJ rehne dijiye. Ham me se koi Arya ko drop kar dega.

AJ: Koi baat nahi Durga bahu. Mai drop kar dunga.

Arya: Haa Mumma. Mai Dadda ke saath school jaungi.

Durga: Thik hai!

Arya goes to the mandir and prays to Lord Krishna,
" Lord Krishna! Aap to mere best friend hai na aur partner bhi to aap please mujhe us beautiful lady se phir se mila dijiye. Wo bohot achhi hai, mujhe unse phir se milna hai aur Dadda ko bhi unse milana hai. Please please please.....aap meri help kariye aur mujhe phir se un se mila dijiye please".

Dadi: Tu ne to subah hi puja kar li thi phir kyun gayi Kaanha ke paas?

Arya: Dadi! Wo na aap ke Kaanha honge mere to best friend hai. Aaj na maine unse ek special wali wish maangi hai wo bhi secret wali aur wo mai kisiko nahi batane wali aap ko bhi nahi. Mai sirf Dadda ko bataungi.

Dadi: Haan, haa tu to apne Dadda ko hi sab batayegi. Tere liye tere doosre Kaanha hai wo. Ab jaldi jaa warna school ke liye late ho jaaogi.

She takes blessings from Dadi and Durga and leaves with AJ.

IN AJ'S CAR,

AJ: Ab batao bhi kounsi wish maangi hai.

Arya: Yehi ki aaj mai unse phir se milun aur aap ko bhi unse mila dun.

AJ: Achha, to ye hai aap ki secret wish.

Arya: Haa, Lord Krishna please poori kar lijiye meri ye wish.

AJ: Itni baar bolne ki zaroorat nahi hai unhon ne ek baar me hi aapki baat sun li hogi.

Arya: Haa, to thik hai na phir se sun lenge.

AJ: Wo sach me itni achhi hai kya jo aap unse phir se milna chahti hai.

Arya: Haa, hai wo achhi sab se achhi. Aap ko achhi nahi lagi kya wo?

AJ: Ab aapko pasand hai hi to mai kya kahun.

Arya: Ek baar na aap ko bhi unse mila dungi tab aap ko bhi wo bohot achhi lagegi. Sab se achhi.

AJ (in his mind): Meri zindagi me bas ek hi hai jo mujhe sab se achhi hai lagti aur wo hai meri Guddan.

AJ: Achha thik hai.

Arya: Aap ko un se milane ke liye pehle mujhe unse milna hoga. Kaash me aaj phir se unse mil sakun.

With these thoughts they reach the school.

SCHOOL,

AK and Ahaan reach the school. She takes him to the entrance and hand overs Ahaan to his class teacher. She wishes him best for his first day of school and was on her way to return to her car.

Arya comes out of the car, bids AJ and was making her way towards the entrance when she trips on a stone and was about to fall when someone holds her. She closes her eyes in fear. When she feels that she is alright she slowly opens her eyes and sees that someone has held her. She sees a lady covering her face with her scarf and her glasses on. She wanted to see her face. At that moment, the scarf's knot loosens as she was tightly clutching it. The wind blows and the scarf makes it's way to float in the air. She saw the lady's face and excitedly hugs her.

Arya: Aap?

AK: Aap thik to hai na? Aap ko chhot to nahi lagi.

Arya: Kaise chot lagti. Aap ne mujhe bacha liya.

AK(in her mind):  Hame yahaan se jaldi jana hoga, hamara scarf bhi ud gaya aur hamare saath bodyguards bhi nahi hai.

Arya: Thank you. Aap ne mujhe bacha liya, warna mujhe chot lag jaati.

AK: It's Ok! You need not to be thankful.

AK (in her mind): Kaise nikle yahaan se kuchh samajh nahi aa raha hai.

AK spots a handkerchief in Arya's hand.

AK: Kya aap mujhe apni handkerchief de sakti hai?

Arya: Sure!

AK was about to leave when Arya holds her hand.

Arya: Kahan ja rahi hai aap? Mujhe aap se baat karni hai. Thodi der rukiye na.

AK: Dekhiye princess, hame abhi jana hoga agar kisi ne hame yahan aise dekh liya na to bohot badi problem ho jayegi. Ham aap se next time pakka milenge, baat bhi karenge aur aap ki kerchief bhi waapas kar denge. Pakka and Thank you for your help. Bye!

AK leaves from there somehow managing to cover her face with the kerchief. AK 's scarf floats in the air and lands on a man's face who was standing at the school's gate speaking to someone on his phone. Just then AK collides with him and without looking back says sorry and rushes to the car. The man removes the scarf from his face and was trying to search for the lady who just collided with him. He was searching for her all around but he couldn't find her. He sits in his car and drives away.

AK'S CAR,

AK was speaking to herself,
" 6 saalon se aap se door hai lekin aap ke paas hone ka ehsaas aaj bhi hota hai hame. Aaj subah se shayad isi ehsaas se lad rahe the ham. Ladte ladte ye bhool gaye ki ham haar maan kar thak jaayenge lekin is ehsaas se kabhi jeet nahi sakte. Wahi ehsaas jo abhi hamne mehsoos kiya. Aap ke paas hone ka, aap ka hame chune ka ehsaas hua hai hame".

AJ'S RESTAURANT,

AJ speaks to himself,
" 6 saal ho gaye hai tum se door reh kar lekin tumhare paas hone ka ehsaas sirf aaj hua hai mujhe. Is scarf me mujhe tumhari khushboo mehsoos hui hai, us dhakke me mujhe tumhare chune ka ehsaas hua hai. Kisi ajnabee ke chune ka ehsaas nahi ho sakta hai wo, kyunki in 6 saalon me aisa pehli baar mehsoos kiya hai maine aur tumhare liye mere ehsaas kabhi galat nahi ho sakte. Isse aaj ek baat to saabit ho gayi ki kuchh dinon se jo mujhe tumhe apne paas hone ka ehsaas ho raha tha na wo galat nahi tha, isse ye saabit hua hai ki tum ho, mere aas paas hi ho aur aaj mai Waada karta hun tumse aur khud se bhi ki mai tumse mil kar hi dam lunga. Tumhare bin ab na lenge ek bhi dam".

============================

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top