hamaaray naam
Unhon ne class mein qadam rakha....toh poori class ne unhain salam kiya....woh muskuraayay...
"Kesay hain aap sub??"
Aik oonchi awaaz goonji....aaj un ka hamaari islamiat ki class mein pehla din tha....hum bs chemistry k students thay....
Koi un k mizaaj se waaqif nah tha...
Unhon ne aik nazar class ki setting ko daikha.....aik taraf boys ki row thi r doosri taraf bhi....jabkay mid mein girls thin...
Unhon ne itni oonchi awaaz mein poocha tha k kya haal hai....laikin kisi ne jawaab nhi dia tha....
Mein 2nd row mein baithi unhain observe kr rhi thi....woh pakay molvi lgtay thay.....mjy aik khushi si hoi....
"Aap log zinda ho??"
Waisay hi oonchi se awaaz mein unhon ne poocha toh hamain kuch sharmindagi honay lgi...
"Sir! Theek hain..."
Sub ne yuk-zubaan ho kr kha toh woh phir muskura diyay....
Aaj pehli class thi...sub teachers ne hum se introduction lia tha r apna bhi dia tha ...
Laikin un sir ki jis baat ne mjy mutaasir kiya tha woh un ka jumla tha...
"Nah mein apna taaruf daita hun..nah kisi se uss ka taaruf laita hun....agr aap ko mera naam nhi pta toh kuch dinon baad pta chal jaayay ga...r phir poori zindagi kabhi nhi bhoolay ga....aap ko pta chalay ga k koi parha kr gya tha..."
Un k iss jumlay ne mjy hairaan bhi kiya r khush bhi.....un k chehray pr aik muskurahat thi....
"Chalain haazri lga laitay hain ..."
Woh register kholnay lgay.....
"Roll no 1... tahira paveen...."
Woh saath saath roll no bol rhay thay r saath saath naam....
Meri class fellow ka jub name aaya toh unhon ne ussay khara kiya.....
"Kya name hai g aap ka??"
Halaankai woh parh chukay thay....phir bhi poocha...
"Dua shahid... "
Woh booli thi....
"Iss ka kya matlub howa...."
Woh phir se muskurayay ....aik paakeeza muskurahat....
"Sir! Dua toh dua hoti hai....iss ka matlub pukaar hota hai...."
Woh aisay boli jaisay ussay sir ki akal pr shak howa ho k itnay baray sir....r dua k matlub nhi pta....
"Naam aisay hi nhi rakh daitay...issm-e-musamma rakhna chahiyay....."
Un ki iss baat pr hum sub ne aik doosray ko daikha.....
"Ab yeh kya hota hai??"
Dua ne gandi se shakal bnaayi.....
Woh meray saath baithi thi....
Mein hansi......
"Dua apnay parents se poochna ja k k mera issm-e-musama q nhi rakha??"
Mein ne kha toh woh hansh di....
"Nhi samjh i ho gi aap ko .....zaahir hai aayay bhi toh kesay?? Hamaaray zehnon mein ab r itna kuch fit ho gya hai k Islam k baaray mein jaanna kbhi zaroori hi nhi smjha..."
Unhon ne afsos se kha...
Mjy herat hoi.... jo image mein ne sir ka bnaaya howa tha woh bilkul waisay hi thay....
"Abhi bhi nhi i smjh??"
Unhon ne hamaari shaklon ko daikha....
"Aaa jaayay gi dheeray dheeray....abhi kuch din meray saath guzaaarain phir daikhna kya kya samjh aata hai.."
Unhon ne muskura kr kaha....
Mjy un k confidence ne bohat mutaasir kiya.....
"Mein btaata hun...."
Woh register chor kr board k paas aayay...
"Issm-e-musama woh hota haijo kisi solid cheez ka ho..... koi ahsaas na ho....jaisay dua toh koi solid cheez nhi hai..."
"Ab aap chemistry waala solid na samjh laina..... mera matlub hai jo pehlay kisi shaksiyat ka ho ....kisi naik banday ka..."
Unhon ne hamaari soortain daikhin....jin mein hairat hi hairat thi....
"Meri baatain bari karvi lagain gi aap logon ko....laikin un mein itni sachai ho gi k aap ko aaina dikha dai gi..."
Unhon ne kaha.... hum sab un ki taraf matwaja thay...mjy woh mutasir pe mutaasir kr rahay thay... apnay ilfaaz se r apni muskurahat se...r apnay sakht lehjay se....
"Aaj kl hamaara maiyaar hi badal gya hai....hum log kuch r hi sochtay hain...."
Unhon ne baat aagay barhai.....
"Q k hum log bohat aqal-mand jo hain..."
Woh tanzia bolay....mjy kuch samjh nhi i thi...
"Pehlay zamaanay k log MUHAMMAD naam bohat rakhtay thay.....baap ka naam bhi MUHAMMAD, baitay ka bhi MUHAMMAD phir pootay ka bhi MUHAMMAD.....woh toh pagal thay nah??? "
"Bolo.. mein chala jaaoon ga...agr bolo gay nhi toh..."
Un ki iss dhamki pr mein muskura di...
"Abhi smjh hi nhi i ho gi...."
Unhon ne andaaza lagaaya..
"Hum logon ka nazria hota hai k woh naam rakhain jo pehlay kisi ka naa ho yah jo pehlay kisi ne na suna ho....hum log akal mand jo thehray...."
"Aakhrat mein qaiyaamat k roz jub hisaab ho ga..."
Unhon ne baat shuruh ki.... unhain halqi si khaansi aa gai....
"Aap musalaman ho nah??? Aakharat k din pr aitbaar toh hai nah??? Yah aap bhi woh hindu logon ki tarha 7 janamon pr yaqeen rakhtay ho k iss janam mein nhi toh aglay janam mein mil lain gay.....hain kuch bolo munh se.... musalmaan ho nah????"
Woh oonchi awaaz mein pooch rahay thay......
"Musalmaan hain..."
Halqi si awaaz i... hamaara confidence level hi bohat low tha......
"Apnay musalmaan honay pr koi sharmindagi hai kya???"
Unhon ne poocha....
"No sir..."
Aik larkay ne kaha.... hum toh samjh hi nhi paa rahay thay k sir kehna kya chahtay hain....
"Toh phir agar sharmindagi nhi hai toh itna dar dar k q bola k musalmaan hain.....itna ooncha bolo k pooray clg mein awaaz jaayay...."
Un k samjhaanay k undaaz pr mein khul k muskurai thi...woh mjy bohat achay lgay thay .... mjy bohat kuch seekhnay ko mill sakta tha...
"Musalaam hain..."
Sub cheenkhay thay.....
"Kon musalmaan hain??"
Sir ne tokkaa..
"Hum Musalmaan hain..."
Hum sub ne bukand awaaz mein kaha....
"Acha toh kalma parho.....LAILLA HA ....."
Unhon ne khud bhi saath saath parhna shuruh kiya.....
Hum bhi buland awaaz mein parhnay lgay.....
"Aakharat pr imaan hai????"
Unhon ne poocha....
"Yes sir...."
Sub bolay....
"Tooh sunain phir..... kayamat k roz... jub sub log Allah k hazoor paish hon gay.... toh Allah sub se pehlay MUHAMMAD (PBUH) ka naam lai ga.... toh iss dunia k jitnay bhi logon ka naam MUHAMMAD ho ga... woh bhi saath uth jaayain gay.....toh ALLAH farmaayay ga k Ay MUHAMMAD (PBUH) mein ne toh sirf aap ka naam liya tph yeh sub kon hain???.
Toh hamaaray Nabi (PBUH) farmaayain gay.... k Ya ALLAH! yeh woh log hain jinhon ne meray naam pr apna naam rakha.... mein in ko liyay bagair janaat mein daakhik na hun ga...."
Mein ne yeh khoob-surat baat pehli baar suni thi....
"Subhan Allah... hamaaray NABI(PBUH) ki zaat... Jin ka naam aap (PBUH) pr ho ga woh baaqi tamaam Nabiyon se bhi pehlay jaayain gay janat mein.....issiiyay toh Sahabi farmaatay thay k Ya Allah! Baishak tum ne hamain Nabi banaaya r hum pr kitaabain naazil kin.....laikin kya hi acha hota k hum Hazoor (PBUH) k umatti hotay......"
Yeh kehtay kehtay sir ki awaaz bhara gai thi....
"Kya kaha tha unhon ne k kya hi acha hota k hum Hazoor (PBUH) k umatti hotay.... Subhan Allah!"
Woh bolay toh poori class mein aik shahista se hawa chali....
"R aap ko pta hai k uss din koi kapron mein nhi ho ga.... us din kisi ka koi parda nhi ho ga.... na baap baitay ka ho ga r na maan baitai ki.....woh toh aisa din ho ga jis din maan bhi apni olaad se munh chupa k guzray gi k kahin mjh se meri naikiaan na maang lai....uss din jub Hazarat Fatima .. aayain gi'n toh Allah bolay ga k insaano! Apni nazrain jhuka lo .... Fatima i hain.... woh sharmo haya ka paikar.... Hazrat Fatima i hain...logo...apni nazrain jhuka lo....Fatima ko koi nah daikhay.... "
Sir ki aankhain bheeg si gayi'n...
"R hum logon ko koi haya hi nhi... chorain yeh toh aik alag baat hai...."
Woh dukhi ho chukay thay... unhon ne apni glasses utaar kr aankhain ragri'n.....
"Phir btaayain kon akal-mund tha...woh jo nasal dhar nasal aik hi naam Mohamad rakhtay thay.... yah hum jo yeh sochtay hain k aisa naam ho jo kisi ne suna na ho.??"
To be continued. ......
Plz vote my story.....
This is real story....
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top