ALLAH kon hai?????

"Bolain nah kon akal-mand hai????"

Sir phir buland awaaz mein bolay ...

"Sir!woh akal-mand thay..."

Hum ne kaha...

"G nhi woh akal-mand nhi thay....hum akal-mand hain.... woh toh baichaaray pagal thay.....naa koi akal thi k zamaanay ko bhi shakal dikhaani hai... nah koi dhung tha naam rakhnay ka.... hum hi akal-mand hain k woh naam rakhtay hain jo pehlay kisi ka nah ho..."

Woh afsos se bolay....

"Nhi sir... woh akal mand thay....laikin hamain toh kisi ne yeh baat aaj se pehlay nhi btaayi....."

Aik larka bola toh sub ne murr kr ussay daikhaa ...

Mjy lga k ab sir gussa zaroor hon gay....laikin woh bohat pyaar se bolay...

"Mein bataaoon ga aap ko sub kuch....aap fikar mand na hon..."

Unhon me kaha....toh mjy lga k meri talaash khatam ho gai hai....
Asal mein mjy hameesha aik aisa ustaad chaahiyay tha jo Islam k baaray mein btaayay....jo mjy seedha raasta dikhaayay...

"Acha chorain iss baat ko.... yeh btaayain k ALLAH kon hai???"

Unhon ne muskura kr poocha toh hum ne hairat se unhain daikha....

"Yeh kesa sawal hai??"

Mene socha...

"Koi ALLAH ko define karay ga??"

Unhon ne poocha....

Sub khaamosh rahay...

"Aap ko nhi pta k ALLAH kon hai??? Abhi toh aap ne kha tha k aap muslamaan hain.....yeh kesay muslamaan hain k ALLAH ka hi nhi pta??"

Unhon ne hamaaray dilon pr chot ki...

Aik larkay ne haath khara kiya....

"G btaayain k ALLAH kon hai ?"

Sir g uss ki taraf matwaja howay....

"Sir! ALLAH hamain paida karnay waala hai....woh iss dunia ka khaalik hai..."

"Aap kesay keh saktay hain k ussi ne aap ko paida kiya.??"

Unn k iss ajeeb sawal pr hamain gussa aaya tha....
Woh larka chup ho gya....

"Yes koi r btaayay k ALLAH kon hai??"

Sub khaamosh butt banay thay.....

"Kamaal hai k yeh bhi nhi pta k ALLAH kon hai..."

Unhon ne apni glasses ootaarin...

Aik larki khari hoi...

"ALLAH woh hai jis ki koi oolaad nhi ..."

Uss ne kaha toh sir hansanay lagay....

"Ab agr mein aap ko koi aisa jora laa kr dikha dun jin ki koi oolaad nhi toh ???"

Unhon ne kaha toh hum log unhain ghoornay lgay...

"Mein ne pehlay hi kaha tha k meri baatain karvi magar sachi...."

Woh shaid hamaari soortain daikh kr hamaari shaklain bhaanp gayay thay....

"aap koi aisi definition btaayain ALLAH ki.. jis ki waja se aap ka uss pr imaan hai......ALLAH kesa hai.??? Kya hamaari tarha hai?? Uss ki bhi 2 aankhain hain??? Bolain mjy jawaab chaahiyay.. meray paas dramon ki heros ki tarha aankhain parhnay ka hunar nhi hai jo aap ki shaklain daikh kr smjh jaaon k aap kya soch rahay hain...."

Woh oonchi awaaz mein bolay...

"Sir woh toh aik noor hai...."

Aik larkay ne kaha....

"Aap ko kesay pta?? Kya aap ne ussay daikha hai???"

Sir ne poocha toh mera tajasus barhnay lga....

"No sir... hum ne ussay nhi daikha..."

Woh larka bola...

"Toh phir ....phir aap q keh rahay hain k ALLAH noor hai??? Ho sakta hai k woh nah ho..."

"Woh ALLAH ne farmaaya tha nah k mein apna noor kisi pr zaahir nhi krna chahta tha iss liya MOHAMAD(PBUH) ko banaaya ..."

Usss ne daleel di...

"Toh aap ALLAH ko define karain....aap ko ALLAH pr iss liyay imaan hai q k woh noor hai??? Bolain.."

Sir ne poocha....

"Sir hum kesay ALLAH ko define kr saktay hain?? Woh toh paak zaat hai....uss ko koi define nhi kr sakta....hum ne toh ussay kabhi daikha bhi nhi..."

Aik r larka jazbaati howa...

"Yehi toh pooch raha hun k jub aap ne ALLAH ko daikha hi nhi toh q uss pr imaan lai aayay??? Uss ko define karain....yeh btaayain k ALLAH hota kahaan hai???"

Sir ne dil-chaspi se poocha....

Un ki pehli baat ka jawaab kisi k paas nhi tha ...

"Sir! ALLAH hr jaga hota hai...."

Aik larki ne kaha...

"Nhi....aap koi solid reason dain... k q aap ko ALLAH pr imaan hai??? Iss liyay k woh hr jaga hota hai???"

Hum sub chup ho gayay.....

Aisa lg raha tha k yeh dunia ka sub se mushkil sawal ho .....

"Iss tarha toh phir mein aap ko aik waqaaya sunaata hun..... aik dafa HAZRAT MUHAMMAD (PBUH) namaaz parh rahay thay k achaanak unhon ne apna haath buland kiya...jub aap namaz parh chuky toh Sahaba karam ne poocha k Ya MUHAMMAD(PBUH)! Aap ne apna haath mubarak q buland kiya tha???
Toh HAZOOR (PBUH) ne farmaya k ! Mein janat ki sair kr raha tha.... wahaan mjy aik darakht nazar aaya jiss pr bohat meetha phal lga howa tha... mene haath barha kr ussay torna chaaha...k aap logon k liyay lai aaoon.....laikin phor mein ne socha k agr mein woh phal(fruit) lai aaya toh saari zindagi bhi khaatay rhay toh bhi khatam nhi ho ga... r waisay bhi aap sub ne wahaan hi jaana hai toh uss waqt khaa laina..."

Sir ne saans liya....

"Yoh ab aap btaayain k HAZRAT MUHAMMAD(PBUH) bhi toh aik waqt mein 2 jaghon pr thay....toh phir aap kesay keh saktay k ALLAH pr iss liyay imaan hai q k woh hr jaga hai??? Yeh toh aik waqaya hai...meray paas aisay hazaaron waqayay hain jis mein bohat se log aik waqt mein bohat si jaghon pr thay...."

Hum sub ki boltiaan bund ho gai'n.....

"Ab btaayain k ALLAH kahaan hota hai???"

Unhon ne poocha....

"Sir! ALLAH toh naik logon k dil mein hota hai...woh hamain hr waqt daikh raha hai....."

Mein ne himat kr k kaha toh woh hans diyay....

"Iss tarha toh yeh camera bhi aap ko har waqt daikh raha hai..."

Unhon ne class mein lgay camera ki taraf ishaara kiya toh mein jaisay uthi thi waisay hi baith gai..

"Sir! ALLAH aik aihsaas hai...."

Meray aagay waali larki boli....

"Toh aap uss k wajood se hi inlaar kr rhi hain???bs woh aik aihsaas hai???"

Sir ne poocha... toh uss ne nafi mein sir hilla diya...

"Ajeeb muslamaan ho k apnay rab ka hi nhi pta k woh kya hai...?"

Sir ne afsos bhari nigaah hum pr daali.....

"ALLAH woh hai jis ne tamaam kayinaat ko banaaya....jis ne hum sub ko paida kiya....jo aik pathar k under keeray ko bhi rozi daita hai.....jis ki tareef mumkin nhi..."

Aik larka oonchi awaaz mein bola.....lgta tha k ussay sir ki baaton pr gussa aa rha hai.....

"Yeh aap ko kesay pta...aap uss k saath thay jub uss ne yeh sub kuch kiya??? Yah ASTAGFIRULLAH koi guftagoo hoi aap ki ALLAH se??"

Un ki iss baat pr hum logon ko bohat gussa aaya ...

"Karvi magar sachi baat...."

Sir ne muskura kr kaha toh hum munh kholnay se baaz aa gayay..

"Sir aap kesi baatain kr rhay hain?? ALLAH toh ALLAH hai.."

Woh larka haar maantay howay bola....

"Agr koi gair muslim aa kr aap se yeh sawaal karay toh aap yeh jawaab dain gay k ALLAH toh ALLAH hai?? Koi reason nhi dain gay k aap ko ALLAH pr hi q yaqeen hai?? Aap un ki tarha buton ki pooja q nhi kartay??"

Sir ki baat meray dil pr lagi thi....

"Waqai.... hum kya kahain gay???"

Mein soch kr reh gai....

"Mjy nhi lgta k aap muslamaan ho???"

Sir ne nateeja nikaala....

"Jub aap ko ALLAH ka hi nhi pta k woh kya hai?? Toh phir khud ko muslamaan q kehtay ho???"

Woh hum sub se mukhaatib thay....

"Sir! Mein btaayoon??"

Aik larkay ne haath khara kiya...

"G g bataayain....".

Sir ne kha... hum sun uss ki taraf matwaja ho gayay....

"ALLAH k baaray mein hum kuch nhi jaantay..... q k hum ne nah hi ussay daikha hai r nah hi ussay mehsoos kiya hai....yeh jo hum kehtay hain k ALLAH hamaara khaaliq hai .... wagaira wagaira....yeh iss liyay kehtay hain q k hamain HAZOOR (PBUH) ne yeh btaaya hai...."

Uss larkay ki baat pr sir k chehray pr gehri muskurahat aa gai....

"Shukar hai k kisi ne toh sahi jawaab dia...itna asaan jawaab bhi nhi bta paayay aap log....intaha hai...."

Sir ne sub ko daikha.

"Bhai hamain kya pta k ALLAH kesa hai?? Hum ne ussay nhi daikha howa....agr hamaaray NABI (PBUH) yeh kehtay k ALLAH aik nhi 2 hain toh hum maan laitay....hamain ALLAH  pr iss liyay yaqeen hai ...iss liyay imaan hai qk HAZOOR (PBUH) ne aisa kaha. .....agr woh kehtay k ALLAH nhi hai toh hum bhi yehi kehtay k haan ALLAH nhi hai....hamaara imaan asal mein HAZOOR (PBUH) pr hai...... kuch samjh i???"

Unhon ne poocha.... 
Meri khushi ki intaha hi nhi thi... itna acha ustaad!!!!! Khuda ki naimat!!!

" yes sir..."

Sub hi pur josh ho gayay thay....

"Ab pta chala k ALLAH kon hai???"

Unhon ne poocha. ....

"Yes sir..."

Sub ne buland awaaz mein kaha....

"Yeh toh baad ki baatain hain nah rati ratai k ALLAH bainayaaz hai.... uss ka koi shareek nhi.....woh kisi ki olaad nhi....yeh sub toh hamain HAZOOR (PBUH) ne btaayin hain....agr woh iss ki jaga kuch r btaatay toh hum uss pr bhi yaqeen kr laitay...."

Sir waapis register ki taraf barhay....

"Ab bhoolay ga toh nhi k ALLAH kon hai???"

"No sir...."

"Ab bhoolay ga toh nhi k aap ka ALLAH pr q imaan hai??"

"No sir...."

"Ab bhoolay ga toh nhi k aap muslamaan ho???"

"No sir ...."

Sub mein aik energy si aa gayi thi....

"Haazri toh mukamal hoi nhi....chalain phir kabhi kr lain gay....abhi kuch din hi lgaani paray gi...phir zaroorat nhi rahay gi...."

"Q sir??"

Hum ne poocha...

"Woh bhi bta dun ga....abhi aap meri baaton pr gor karain.....yeh gor karnay k kaabil hain....ALLAH HAFIZ .... "

Woh muskuraatay howay chalay gayay....

R hum sub bohat dair tuk unn ki baaton k sehar se nikal hi nhi paayay thay....

Baishak hum khush-naseeb thay....jo hamain un jaisay ustaad millay....mera dil khushi se jhoom raha tha....

        ---------------------------

TO BE CONTINUED. .....

PLZ READ MY STORY AND VOTE.....

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top

Tags: #story