ALHUMDULIILAH

Woh hasb e maamool muskuraatay howay class mein daakhil howay....

Hum log kharay howay... toh unhon ne ishaaray se baithnay ka kaha..

Apna register maiz pr rakha r poocha:-

"Kesay mizaag hain aap sub k??? "

"Kaisay dil hain?? Kesi jaan hai?? Kesay tasawraat hain?? Kesi niyatain hain??"

Unhon ne aik saath sawaalon ki bochaar ki...kaash hum samjh paatay...

"Aap q chup chup r preshaan preshaan rehtay hain??"

Sir ne aik larkay ki jaanib ishaara kiya...

Woh thora seedha howa...

"Daikhain mjy khilkhilaatay howay chahray achay lagtay hain.. khush baash r zindagi se bharpoor..."

Hayay kitnay achay thay mera matlub hai hain sir...

"Mjy kabhi daikha hai preshaan??"

Unhon ne poocha toh hum maasoom yah shaid kam aqal logon ne nafi mein sir hilla diya...

"Haan q k mein khush baash rehta hun😀... kya zaroorat preshaan honay ki bacho... Jub ALLAH hamaaray saath hai?? Hmain kya zaroorat preshan honay ki jub woh hamaaray liyay majood hai... hamaaray dilon ka haal jaanta hai...
Kya kbhi aap ko aap ki maan k hotay howay koi fikar koi taqleef hoi hai??? Maan k hotay howay koi mushkil hoi hai??? Nhi naah?? Q k hamain pta hota hai k maan majood hai toh koi tension nhi.. kitna sacha pyaar krti hai woh hum se... toh phir ALLAH k baaray mein kya khaiyaal hai aap ka??  Jo 70 maayon se bhi zaya pyaar krta hai apnay banday se.... jub bachay ko chot lagti hai toh taqleef maan ko hoti hai... roti woh hai... toh aap kesay yeh soch laitay hain k ALLAH aap ko preshaan daikh sakta hai??? 70 maanoyon ko millao toh pyaar hai Uss Khuda ka... r hum log pagal kya kehtay hain...hayay aik toh meri qismat hi kharaab hai...hayay ALLAH.... r pta nhi kya kya kehtay hain.....asal mein baat pta hai kya hai??"

Un ki awaaz randh gai...

R jis larkay ko yeh sub sunaaya gya tha yaqeenun woh sharminda ho ga... sub sach hi toh tha...
Hum choti choti taqleefon se preshan ho jaatay hain...
Chotah chotay maslaon pr yeh kehtay hain k meri toh qismat hi kharaab hai.

Bagair jaanay k hum keh kya rahay hain..

"Kya??"

Hum ne poocha..

"Hamaara imaan kamzor hai.. hamain apnay khuda pe bharosa hi nhi hai...hamain lgta hai jaisay hum akailay hain...rotay hain k ya ALLAH kya likha hai meri qismat mein?? Baat sirf sochnay ki hai k hum kahaan jaa rhay hain.... r jahaan jaa rahay hain nah bacho! Phir nikalna bohat mushkil ho ga... jub hosh aayay gi...hum gardun tuk iss daldal mein dhans chukay hon gay..."

Mein bus ronay k qareeb thi agr sir r iss tarha ka kuch boltay toh yaqeenun mene ro hi parna tha....

Hamesha ki tarha class ka maahol bht .....mjy ilfaaz nhi mill rahay uss khoob- soorat maahol ko bayaan karnay k...

"Hum kya kartay hain.?? Agr zara si koi chot lug jaayay toh kehtay hain Hayay ALLAH! Hayay ammi g! Yeh kehtay hain nah???"

Hum khaamosh rahay...

"Aap toh yes sir yah no sir bhi nhi kartay..ajeeb log ho"

Sir ne afsos se hamain daikha...

Hazarat Rabaia Basri ko jaantay ho??"

Unhon ne poocha.. toh hum phir khaamosh....

"Jaanain bhi toh kaisay??? Hamain toh bus yeh dramas movies r novels hi achay lagtay hain....kabhi un baray logon ko parha hai?? Kbhi jaana hai?? K woh kesay jee kr gayay hain??kesay zindagi guzaari hai unhon ne?? Q bhai?? Hamain un se kya... hamain toh bus Sharuk khan se hi matlub hai... seekho phir uss se hi... bano sharukh khan...ab kya kiya jaa sakta hai??"

Woh mjy bilkul thakay haaray lagay... jisam se nhi dil se.. jaisay unhain bohat afsos howa ho hamaaray jawab nah dainay pe...

"Mera dil karta hai k mein kuch kr dun aisa k aap k paas sara ilm aa jayay... magar aisa mumkin nhi hai...
Acha choro inn baaton ko yeh toh kaafi lambi behas hai...."

Kitni afsos ki baat hai k hum apnay deen ko bhi nhi jaanatay thay...

Mjy lga jaisay mene apni zindagi k 18 saal waisay hi guzaar diyay.... jaisay zaya kr diyay....
Hamain bachpun se hi yeh bola jaata hai k tum ne doctor banna hai...
R hum sub uss dhor mein shaamil apni zindagi ka saamaan krnay chal partay hain....qasoor kis ka hai??

Laikin mein bohat khush thi.... khush qismat thi k dair se hi sahi magar aisa ustaad toh milla jiss ka maqsad sirf course parhaana nhi tha... jiss ka maqsad ilm daina tha...
Sirf mein nhi hum sub bohat khush thai... poori class...yahaan tuk k hamaaray seniors hamain kehtay thay k aap log lucky ho jo yeh waalay sir millay...

Baishak thoray arsay k liyay sahi....

"Hazarat Rabia Basri ka btaata hun... pichlay zamaanay mein aik aaqa hota tha r uss k bohat se gulaam hotay thay.. jin ko khaana paani aaqa ki taraf se milta tha... pta ho ga k uss zamaanay mein gulaam khareeday jaatay thay.... jaisay aaj kul Bakra Eid pe aap log bakra check kr k laitay ho nah k kahin langra lula nah ho.. aisay hi pichlay zamaanay mein gulaam kharidai jaatay thay...r aaj kul hamain kitni azaadi hai... r hum log... wah wah kya baat hai hamaari.....imaan chutki k baraabar bhi nhi..."

Woh bolay toh dil kiya k doob maro...

"Acha toh woh Rabia Basri pta kya karti thin?? Poora din apnay aaqa ki dil-o-jaan se khidmat karti thin... poora din haman tun gosh rehti thin....r raat ko... khaadmaayoon kaa aik alag kamra sa hota tha jahaan woh raat ko soti thin...laikin Rabia Basri raat ko namaz parhti thin... r poori raat sajday mein rehti thin.... roti thin... k meray bus mein hota toh poora din bhi teray aagay jhuki rehti.... SUBHAN ALLAH..."

Unhain sunaatay howay lutf aaya tha r hamain suntay howay...

"Aik raat aaqa ka wahaan se guzar howa toh us ne daikha k bati (light) jali hoi hai toh woh kamray ki taraf gaya...
R Rabia Basri sajday mein thin... r sajda kr rahin thi... woh poori raat sajday mein rahin r SUBHAN RABI YAL ALLAH kehti rahin... yahaan tuk k subha ho gai... woh ronay lagin k YA ALLAH!  Toh ne itni choti raat q banayi k mein dil bhar k ibaadat bhi nah kr sakoon... itni choti raat q banayi k dil khol k tera shukar bhi nah ada kar sakoon...r pta hai woh sardiyoon ki lambi raatain thin..."

Sir ne nam hoti aankhon ne hamain daikha....
Mjy khud pr control krna mushkil ho gya toh sir mazeed neechay kr liya...

"R jub aaqa ne yeh sub apni aankhon se daikha toh kehnay lga k Rabia toh jaa.. mene tujhay aaj se azaad kiya... ab toh din mein bhi wohi kr jo raat ko karti hai...ab toh din mein bhi ALLAH ki ibaadat kr...k yeh kaam zaida fazeelat waala hai..."

"Itna khoob soorat deen.... itna khoob sorat mazhab.. r hum log.... ahahah... kitnay bai-waqoof hain hum...woh Rabia Basri k sajda tha jis k liyay poori raat bhi kum thi... r aaj aik hamaara sajda hota hai.. "

Woh chup ho gayay... shaid unhain hamain itna zaida sharminda karna acha nah lga...

"Woh gulaam thin phir bhi Allah ka shukar ada karti thin r hum jo khulay maahol mein apni pasand ki nawaabon waali zindagiaan guzaar rahay hain r phir bhi kya kehtay hain?? Hayay Allah.. meri toh qismat hi kharaab hai..."

Aik r waqaya suno! Rabia Basri kahin jaa rahi thin... toh aik orat nazar i jis ne sir pr pati baandhi hoi thi... dupata baandh k gira lagai hoi thi .... aap ki bhi amiyaan krti hon gi k sir mein dard hai toh dupata baandh liya... krti hain??"

Sir ne poocha..

"Yes sir..."

Hum ne jawab diya...

"Haan toh Rabia Basri ne poocha k yeh q baandhi hoi hai?? Toh uss ne jawab diya k sir mein taqleef hai..."

"Toh pta hai kya kha Hazrat Rabia ne??"

Sir ne poocha..

"No sir....".

Hum logon ko kya pta...

"Unhon ne kha k iss pati ko utaar dai...jub ALKAH ne tujgay khushi di toh uss waqt tu ne khushi ki pati baandhi?? Nhi naah?? Toh phir ab tujhay taqleef ki pati baandhnay ka bhi koi haq nhi hai.."

Kitna meetha.. sacha Islam hai....

"Hazrat Ibrahim bin balkhi aik baadsha thay...woh bohat azeem baadsha thay...un ko Allah se qareeb honay ka bohat shok tha.....pta hai nah k baadshaahon ka mehal r rehan sehan kesa hota?? Aap ko kya pta k baadshah kesay rehtay thay.. aap ne toh bus yeh Sharif Family hi daikhi hai..."

Mera dil chaha k sir se kahoon k sir Razia Sultan daikha howa hai...my one and only.... mjy bht pasand hai baadshah logon ki saari baatain...un ka rehan sehan... un ka khud ko hum hum keh k bulaana... r shahid yehi waja thi k mein apnay urdu k final exam mein khud ko 'mein' ki jaga 'hum' likh k i thi...

"Toh sunain... woh apnay kamray mein aaraam karnay gaayay toh jub laitay toh unhain chat pe kisi k chalnay ki awaaz i...unhon ne gussay se khaadam ko bulaaya k daikho hamaaray aaraam mein kon khalal paida kr raha hai?? "

"Khaadum thori dair baad waapis aaya r kha k koi bhi nhi hai...
Baasha phir se lait gayay... iss baar pgir awaaz i toh aap khud hi ooper tashreef lai gaayay....ooper jaa kr kya daikha k aik bazurg wahaan chakar lga raha tha...."

Sir ne saans liya....

"Jub Hazarat Ibrahim ne poocha k yahaan kya kr raha hai?? Toh uss bazurg ne kha k mera oonth gum ho gya hai woh talaash kr raha hun...toh Hazarat Ibrahim ne hairaangi se ussay daikha r kha k tu pagal hai jo oonth ko chat pe talaash kr raha hai...."

"Toh uss buzurg ne kha k tu pagal hai jo Rub ko aram de bistar per talaash kar raha hai?? R yeh keh kr buzurg gayib ho gya....ab yeh baat Hazarat Ibrahim ko dil pr lgi... woh thay bhi samjhdaar... unhon ne aoni saltanat chori r door jangal mein chalay gaayay..."

"Aap ko pta hai k 2 bandon ko neend nhi aati...aik woh jis ka koi mehboob ho joh dunia mein kisi ko chahta ho toh ussay neend nhi aati... baichaara poori raat apnay mehboob k ail reply ka intazaar karta rehta hai k kub online ho r jawaab millay , kitnay pagal hain naah hum apnay dost ka apnay mehboob ka itna intazar krtay hain r uss ALLAH k baaray mein sochtay hi nhi jo hamesha se online baitha hai jiss ne hur msg ka repmy krna hai...kitnay pagal hain afsos.... r doosra woh jo ALLAH ka aashiq ho ussay bhi neend nhi aati k kahin ibaaqat mein koi kami naah reh jaayay... uss ka sonay ka dil hi nhi karta... agr mein aap ko namaz ka matlub samjha dun toh aap ne bhi jayay-namaz se phir uthna koi nhi hai... magar masla kya hai?? Yeh ALLAH se mohabat thori mushkil lgti hai...hai bohat aasaan magar hamain mushkil lgti hai.. r jiss din tumhain ALLAH se mohabat ho gai naah yss din se tumhain dunia se koi garz nhi rahay ga...yehi howa Hazrat Ibrahim k saath.. woh jangal mein chalay gaayay...."

Sir rukay...

"Bohat arsa guzarnay k baad un k wazeer ne unhain daikhar pehchaan liya... uss waqt woh apna joota theek kr rahay thay... toh wazeer ne kha k Baadshah salamat aaj bhi aap ki saltanut aap ka intazaar kr rahi hai waapis aa jaayay... aap wahaan k baadshah hain...toh Ibrahim ne apni soi jiss se jota theek kr rahay thay daraya mein phainki... r ALLAH se dua ki k ya ALLAH mjy soi dai.... toh SUBHAN ALLAH kho... daraya mein jitni bhi machliyaan thin... woh sub apnay munh mein aik aik soi lai kr baahir aayin..toh Ibrahim ne kha k btao woh baadshahat achi hai yah yeh???."

Subhan Allah.... Subhan Allah...

"Issi tarha Hazrat Ayub ko keeray paray thay. .. zakham pe keeray chaltay thay toh girr jaatay thay... toh aap unnay uthaa kr waapis apnay zakham pe rakhtay r kehtay k issay kha jub ALLAH ne tairay liya yeh khana chuna hai toh kha naah baar baar neechay q girta hai??? "

"R hamaara kya haal hota hai k hayay ALLAH... Hayay ammi g....yaqeen maano aik dafa agr koi chot lgnay pe tum yeh hayay ALLAH bolnay ki baajayay ALHUMDULIILAH bolo gay toh daikhna kitna lutaf aayay ga...agr naah aaya toh mera girebaan tumhaaray saamnay hai.... ALLAH ka shukar ada karna seekho... hansna muskuraana seekho... khush rehna seekho r khushiyaan baantna seekho...."

Aakhar mein sir ne uss larkay ko daikha jiss ki shakal daikh k sir ne poora lecture diya tha...

Sach hai hum jitna shukar ada karain kum hai...

Sir hamain ALLAH hafiz keh kr chalay gayay...laikin hamain un k ilfaaz k sehar se nikalnay mein bohat waqt lga..❤

            ---------------------------

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top

Tags: #story