Kisaan

Tumne kaha tha
Main desh ki shaan hun
Fir kyun aaj sadak per soya
Main gareeb kisaan hun

Mujhe 5 rupay dekar
50 rupay main bechte aaloo ho
70 saal se kuch na badlaa
Kaam band, bas tum chaalu ho

Meri zameen hai, mera haq hai
Tum bhala kyun mera bhala batate ho
Meri umra bhar ki roti, tumhare do pal ki dikkat
Fir bhi apne haath sekne, meri chita jalate ho

~TallGuy

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top