Hamdard
Sooni galiyan hain,
sannata chaaron taraf
Main andhere raston per
muskura kar chalta hun
Ladkhadana fir uthna,
akele hai chalna
Taaron ki tarah toot ta,
suraj ke jaise dhalta hun
Dukh mera kam na tha,
na pareshaniyon ne choda
Fir bhi tere aansun dekh
dil mera roya
Shayad dukh tha tabhi
tera dukh samajh aaya
Warna Dhoop ki tapish ka
unhe kya pata
Jinke naseeb main
rahi hamesha thandi chhaya
~TallGuy
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top